A
Asur harni dusht dalni
Lyrics -
Asur harni dusht dalni singh vahini durge maa
sukh pradayini bhaya nivarini jai bhawani durge maa
chanda mund vinashkarini rund mund sada dhare
mahisi mardini kar kapalini sadhako ke dukh hare
maat ganapati shiv ardhangini maha rani durge maa
nirbhaykarni asur harni dukh dalidra nivarini
bhukti mukhti dayini maa roop nek darini
maha kaali jagat janani dayadani durge maa
jagat ka palan karo maa bhakt jan bhav bhaya haro
bhakton ke sankat nivaro riddhi siddhi sada dharo
madhur madhuri madhur kalash ki amrit daani durge maa
Aarti kije shail suta ki
Aarti kije Shail Suta ki
Jagadamba ki
Jagadamba ki aarti kije
Sneh Sudha Sukh Sundar Lije,jinke naam let Drig Bhije
Aisi wah Maataa Vasudhaa ki
Aarti Kije Shail Suta Ki Jagdambaji ki,
Paap vinaashinii kali mal haarini, dayaamayii bhavsaagar taarini
Shastra dhaarinii shail vihaarini, budhiraashi Ganpati maata ki
Aarti kije Shail Suta ki Jagdambaji ki,
Sinhavaahini maatu Bhavaani, gaurav gaan karen jag praani
Shiv ke hhridyaasan ki raani, kare aarti mil jul taa ki
Aarti kije Shail Suta ki Jagdambaji ki,
Ambe charan kamal hain tere
Lyrics -
Ambe charan kamal hain tere
hum banware hain janam janam ke
nis din lete phere
Tu dharti jag palankarti
ambar ka adhaar hai tu hi
sab sukh jhute sab dukh jhute
is jeevan ka saar hai tu hi
tu satyam tu shivam sundaram
hum sab chapalit chere
Os mein ansu phool mein shraddha
antar mein lekar ujiyare
tere mandir mein natmastak
nabh ke suraj chand sitare
humne teri muskaano mein
dekhe madhur sawere
Ambe charan kamal hain tere
hum banware hain janam janam ke
nis din lete phere
Tu dharti jag palankarti
ambar ka adhaar hai tu hi
sab sukh jhute sab dukh jhute
is jeevan ka saar hai tu hi
tu satyam tu shivam sundaram
hum sab chapalit chere
Os mein ansu phool mein shraddha
antar mein lekar ujiyare
tere mandir mein natmastak
nabh ke suraj chand sitare
humne teri muskaano mein
dekhe madhur sawere
Anand mayi chaitanya mayi
Lyrics -
anandmayi chaitanyamayi satya mayi varde
anandmayi chaitanyamayi satya mayi varde
Apni pujariyon ki hoti maa
Lyrics -
Apne pujariyon ke dwar ke bhikhariyon ki
hoti maa sahayi hai ji
puja navratriyon
sachhi shraddha sejo prani in dino vrat rakhte hain
unke sukhe vrikshon pe bhi adbhut hi phal lagte hain
Aayen hain dware tere laal
Lyrics -
Aayen hain dware tere laal daatiyen poore sab karna sawaal daatiyen
tu to paltati hai sabke naseeb ko ghadiyon mein sehenshaah karti gareeb ko
sada gun tere gayen tere maa sadke jaayen
maati ko chandan yahan bante hue dekha hai
sukhe hue chehron ko khilte hue dekha hai
yahan jo aayen sawali kabhi maa jaaye na khali
har besahare ko maa deti hai sahaara tu
naiya ko khiwaiya ban deti hai kinara tu
daya jo teri paate wohh patthar bhi tar jaate
Aadi pujito paad pankaje
Lyrics -
aadi pujit paad pankaj maapdaam apghatakam
kharv mardul maadbhutarun gunjgaanan sundaram
sanstu mo bhav darvatam bhav parvavati abh sobhavam
bardhataam sruti nanadanam swar taal sangam shiddhidam
raajtaam hridyesunah prithumadyama prith masmritaam
vishvanaatha ka sutradhaaran lilaya lalitha smrita
murtiradbhutroopini dhwani yagya sutra vimaditam
vighna sankat shrinkhala hridaya daya khalu khandita
0 comments:
Post a Comment