Friday, 19 September 2014


Maiya ji ka jagrata by Anoop Jalota and Neeta Singh 





Tere dar aaye sawali 


Lyrics -

Tere dar aaye sawali
muh maanga phal sabko dede maata jyota wali

teena lok ke rachana se maa bhare tere bhandaar hain
sabka kashta niwarane aate tere hi darbaar hain
rai ko parvat kar deta tera ek ishaara maa
isiliye tere dware jhukta yeh brahmand saara maa
sabko sachha anand deti teri daya nirali

jo koi jaisi ichha lekar aata hai tere charnon mein
usko woh sukh mil jaata hai tere sundar bhawanon mein
apni mamta ke aanchal ke hume bhi denachaaya maa
dhoondh rah i hai tera saharahar nirbal ki kaaya
tere siva kaun kare maa bhakton ki rakhwali

teri karuna ki amrit se aaye bujhane pyaas maa
aur bhi pakka kar hi dena bhakton ka viswaas maa
puri ho jaaye har ek asha kabhi nirasha ghere na
koi kushi sansaar ki maiya bhakton se muh phere na
mukt karo haathon se maa jholiyaan bhar do khali


De chhaya 




Lyrics -

De chhaya maa de chhaya achhe guno ki de chhaya
durguno ki dhoop mein jhulas rahi ha kaya

maa daya dharam ki de chhaya
maa nek karam ki de chhaya
maa sabke bhale ki de chhaya
kuchh bhav ujale ki

paap gunahit se kahe kitno ko tumne hai maa maaf kiya
bhare buraiyon ke chhiton se bade cholon ko saaf kiya
path se bhakte huon ko rasta tune maa dikhlaaya

antar man ki bagiya mein koi dwesh ka ankur phute na
prem pyar sadbhaav ki poonji koi  lutera lute na
hume bhi vaisa ras de jaisa harishchandra pe barsaaya

aisa de vardaan ki sach hum sangram haare na
kisi ki kutiya tod ke maiya apna mahal usare na
maa tere bin dosh bhawan se sabne sachha sukh paya

Maata raahein rahi nihaar 




Lyrics-

Maata raahein rahi nihaar bhakton jaldi jaldi aana
maiya bulaye baarambaar bhakton jaldi jaldi aana

ban  paye na swarn abhushan ban paaye na chandi ke chhatar
haar pushpon ke le aana bhakton jaldi jaldi aana

bade dhwaja ki chaah na karna chunar gote ki chinta na karna
laal chola hi le aana bhakton jaldi jaldi aana

laa paao na chhappan bhojan la paao na rabri kurchan
halwa pudi hi le aan abhakton jaldi jaldi aana

maa ke dware jo bhi aate man ki murade sab paa jaate
jholiyaan bhar bhar ke jaana bhakton jaldi jaldi aana

Maa wajreshwari 




Lyrics -

Jai wajreshwari maa wajreshwari
hai nagarkot tera dhaam maa wajreshwari

teri jyoti rahi chamak rahi door se
teri dhwaja damak rahi door se
maa oonche se bhawanon wali

hum aaye fariyadi badi door se
tan man se thake mazboor se
maa sun le ter humari

meri khali jholi bhar de maa
bhandaar sabhi ke bhar de maa
tu jag ki paalanhaari

Yahan bhi charcha


Lyrics -

Yahan bhi charcha wahan bhi charcha
idhar bhi charcha udhar bhi charcha
maa tere upkaaron ka
kaaya kalp kiya hai tumne mujh se kai hazaron ka

teri dehleez se jinka do pal mastak jud gaya
unki jeevan se to baadal dukh santaap ud gaya
isiliye gungaan hai hota sacche hi darbaaron ka

teri mamta ki chhaon mein adbhud shanti milti hai
kaale andhyare se man mein sukh maya jyoti
tujhse bada na koi maseeha hum jaise laacharon ka

tumne laakhon kangaalo ko dhan se maalamaal kiya
rote hue pariwaron ko khushiyan de khushhaal kiya
baant baant ke bhi nahi ghatata kuchh tere bhandaaron ka

Apni pujariyon ki hoti maa


Lyrics -

Apne pujariyon ke dwar ke bhikhariyon ki
 hoti maa sahayi hai ji
puja navratriyon

sachhi shraddha sejo prani in dino vrat rakhte hain
unke sukhe vrikshon pe bhi adbhut hi phal lagte hain

Maiya tune sab diya




Lyrics -

Maiya tune sab hai diya par maine kuchh bhi na kiya
bhatak raha mera man pyasa aa ke de ja tu hi dilasa
jai maa jai maa
mere man ko shanti de meri maa

sabhi sukhon ko chhod mera man maa charnon mein aaya
tere charnon mein hi mile maa mujhko kshatra chhaya
mujhko chhaya de meri maa

kaam krodh mad lobh mein phans ke dhan ke dher lagaye
mahal atari unche kar diye phir bhi man lalchaye re
man bhatak bhatak pachhtaye re

tere charnon ki ganga mein ek baar jo nahaye
isi janam mein sau janamon ki bhakti ka phal paaye
aisi hi bhakti de  meri maa

Jago ri maiyaji ka jagrata




Lyrics -

Jago re jago re jago re maiya ji ka jagrata
jagraate mein aane wala kabhi na khali  jaata

jagrata maiya ka karle aayen hain hum saare
jyot jalale re maiya ko paap katenge saare
hota jeevan safal humara bhed bhav mit jaata

chhod ke jag ke moh jaal ko amba ke dware aaye
bhavsaagar ko paar kare aur maa ki bhetein laayen
maata ke darshan paata jo sachhe manse aata

shera wali ke charnon mein apna sheesh jhukaye
jyota wali se hum apne man vanchhit pal paaye
shraddhase jo koi bhi aata bigadi apni banata 

0 comments:

Post a Comment