Thursday, 4 September 2014


Aao hum bhajan karen by Anoop Jalota Ji 










Sadho santo ka ye kehna hai


Lyrics -

Sadhu santo ka yeh kehna hai japo prabhu ka naam 
aao hum bhajan karen

Koi shankar ka gungaan kare koi kahe ram mera swami 
koi krishna ki leela mein khoya koi brahma vishnu mahesh jape 

Kahin omkaar se mukti mile kahin durga maa ki bhakti phale 
koi gaye ganapati ki mahima koi jai maa jai maa jaap kare 

Koi geeta ka sadesh padhe upnishad se koi gyan grahe
koi ucchare rigved mantra koi puraan ki mahima gaye


Hari ka naam tu lele


Lyrics -

Hari ka naam tu le le manwa 
unhi ka naam tu le le manwa

bhara samundar gehra paani doob na jaaye teri naiya
tu khevat apne jeevan ka kar na apna bhool 

raah thikaana tu na jaane kho na jaana is mele mein
ek akela tujhko chalna guru ka naam na bhool 

gyan bina yeh sab andhiyaara jap ki jyot jalaye ja
tujhme shakti hai bhakti ki ise kabhi na bhool 


Radha ka prem kaun jaane




Lyrics -


Radha ka prem kaun jaane
nahi tan nahi man ka aadha adhoora
woh to purna prem hai sampoorna prem hai

yogi maha yogi kahe sadhu aur sant kahe
kanha jahan radha wahan radha jahan kanha wahan

radha kahe swami mere tu to rahe man mein mere
murli bajao kanha radha ko bulao kanha

Shiv shankar avinasi


Lyrics -

Tum Shankar avinashi  
sab jan ke subhkari ho,deendayalu more prabhu ji
Shiv shankar avinashi  

bholenath ki bhakti kare jo man vancchit phal paate woh
tum hi gagan ho tum hi agan ho sab jan ke mangalkari ho 

tum ho karta tum ho harta tum prabho sabke rakhwale ho 
brahma vishnu dhyan lagaye sabko sukh tum dete ho 

tum bhav bhanjan subhkari ho bhavsagar tum paar kara do
kashi mein kailaash mein ho tum sakal jagat ke hitkaari ho 



Ghar mein bhajan





Lyrics -

Ghar mein bhajan kabhi kiya nahi
ab jungle mein kya karna hai
apne aap ko bura lage
woh duje ko kyu dena hai

khud ko sambhala kabhi nahi
aur duniya badalne chala kahin
apne man mein shanti nahi
aur sukh shanti ki baat kare

janam janam ka kaam hai ye
tu jhatpat karna kyu chahe
saadhan saadhak sandhya siddhi
pal do pal ki baat nahi

sachhi saadhana sadhak se
barso tak tap karwati hai
bhakti bhawana shakti saadhana
har pal ko nirmal karti hai

Kuchh  bhi samajh na aaye


Lyrics -


Kuchh bhi samajh na aave mohe

kaun hai apna kaun paraaya
ye dhoop ye saaya yeh doobata tara
ye geet yeh sapna yeh jeevan humara

kahe kya sune kya like kya padhe kya 
yeh ret ke dher se arth badhe kya 
yeh kisko hai dena yeh kisko hai lena 
yeh asha nirasha hai mushkil samjhana

yeh haanthon ka malna thikana badalna 
yeh chupke se chalna  yeh chhup chhup ke rona 
hai gin gin ke lena hai gin gin ke dena 
yeh mera yeh tera yeh jeevan ka phera 

yeh milna bichhadna yeh paana yeh khona 
yeh tan man ka bandhan hai ek din to khulna 
akela hai rehna akela hai sehna 
yeh jeevan ki bagiya mein chhup chhup ke rehna 


Ye sarva brahma hai



Lyrics -


Ye sarva brahma hai

tu hai brahma main hoon brahma
sarva brahma brahma hai
ye sarva satya hai
tu hai satya main hoon satya
sarva satya satya hai

ek se anek hai ek mein anek hai
taal laya aur swar sab mile hain om mein

purna se tu poorna le phir bi woh sampoorna hai
kya hai ant kya ananat kya anant kya hai ant

arth kya nirarth kya kya sabhi ka arth hai
shabd kya maun kya phir kaun sunta hai

jod ke tu todata tod ke tu jodta
ek andhkaar hai jisme amar jyoti hai



Neelkanth mahadev dayalu



Lyrics -

Neelkanth mahadev dayalu
kamal nayan se tez kiran do
ashayein sampoorna karo tum

jai bholenath jai mahadev
jai shivshankar jai avinashi

tere mukut  mein nirmal ganga
mastak par chanda shobhit hai
gale  mein sohe sarpa ki maala
sundarta ke tum sagar ho

pal ki bhakti pal mein mukti anant karuna ka saagar ho
teeno lok ki shakti tum ho shrishti ka kaarean bhi tum ho

siddha tapaswi yogi ho tum dev jano ke rakhwale ho
mand sughandh bahe vayu mein jahan tahan tera sumiran ho


0 comments:

Post a Comment