1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Thursday 14 August 2014

B







Badra re tu 


Listen to badra re tu


Lyrics -

O badra Re badra 
Badra re tu Jalbhari le aayo
Chhoti chhoti bundan barsan lagi
Koyal sabad sunayo
oh badra ...
Gaaje baaje pawan madhuriyo 
Ambar badra chhayo 
Sez sanwaari piya ghar aayen
Hil mil mangal gaayo 
Meera ke prabhu Hari avinashi 
Vaak bhayo jin paayo

Badi der bhayi nandlala


Lyrics -


Bari der bhai nandalala
Teri rah take brijbala

Gwal bal ik ik se puchhe
kaha hai murli wala re.

Bari der bhai nandalala
Teri rah take brijbala

Koi na jaye kunja gali mein
Tujha bin kaliya chunne ko
Taras rahe hai jamuna ke tat
Dhun murli ki sunane ko
Ab to daras dikhade natkhat
Kyon duvidha me dala re
.
Bari der bhai nandalala
Teri rah take brijbala

Sankat mein hai aaj vo dharti
Jis par tune janam liya
Pura kar de aaj wachan vah
Gita me jo tune diya
Koi nahi hai tujh bin mohan
Bharat ka rakhwala re.

Bari der bhai nandalala
Teri rah take brijbala
.
Gwalbal ek ek se puchhe
Bari der bhai nandalala

Teri rah take brijbala

Vrindavan ka krishna kanhaiya


Lyrics -


Brindaavan Ka Krishna Kanhaiya
Sab Ki Aankhon Ka Taara
Man Hi Man Kyon Jale Raadhika
Mohan To Hai Sab Ka Pyaara

Jamana Tat Par, Nand Ka Laala
Jab Jab Raas Rachaaye Re
Tan Man Dole Kaanha Aisi
Bansi Madhur Bajaaye Re
Sudh-Budh Bhooli Khadi Gopiyaan
Jaane Kaisa Jaadu Daara
Brindaavan Ka Krishn Kanhaiya

Rang Salona Aisa Jaise
Chhaai Ho Ghata Saavan Ki
Ai Ri Main To Hui Deewaani
Manamohan Mann Bhaavan Ki
Tere Kaaran Dekh Baanvare
Chhod Diya Maine Jag Saara
Brindaavan Ka Krishna Kanhaiya

Bol radha shyam diwani


Lyrics -

Bole radha shyam diwani 
piya ka mukhada 
preet bina hai jeevan aise 
jaise nadiya ho bin paani

govindam govidam govindam bhaj mere mana 

man ka naata man ka bandhan 
itna pyara itna  paawan 
kayi mauke janam  janam se 
mein to banti meera mohan 

naino mein hai chhabi matwari 
dhun murli ki laagi pyari 
jab se aayi shree charnon mein 
maine saari duniya tyagi 

Bada natkhat hai


Lyrics -

Bada natkhat hai re krishan kanhaiya 
kya kare yashoda maiya 

dhoondhe re ankhiyaan use chahu ore 
jaane kahan chhup gaya nand kishore
ud gaya aise jaise purvaiya 

aa tohe main gale se laga loon 
laage na kisi ki nazar man mein chhupa loon 
dhoop jagat hai re mamta hai chhaiyan 

mere jeevan ka  tu ek hi sapna 
jo koi dekhe tujhe samjhe wo apna 
sabka hai pyara bansi bajaiya 




Bhagwaan kahen arjun se 

Listen to bhagwaan kahen arjun se 

Lyrics -

bhagwaan kahen arjun se ek param gupt gurh gyan 
isko sun kar janjal mukt hoga arjun tu paar 

jaise ki megh mein jal hi jal waise hi jag mein main hoon chhaya 
sab bhoot hain mere antargat bhooton mein samohit hai maya 
janmi hai jaise nabh se pawan nabhmandal mein hi rehti hai
waise mujhse janme prani ki chhaya mujme basti hai 
sab kalp adi mein janme woh ant nirantar gyan 
jisko sun kar tu .... 

main hi sansaar rachata hoon yeh chakra sada chalta rehta 
woh mudh andh agyani hain maanush jo mujhe tucch kehta
jo gyani hain mujhko jane woh mujhko nitya bhaja karten 
koi swami sewak bhav rakhe koi brahma virat roop puje 
satchidanand kehte hain karte hain mera dhyan 
jisko sun kar...

ban surya prabhu bantu jyoti varsha bankar jal barsaun 
amrit ban jeevan shakti banun ban mritu satya se milvaun 
jo anya devgana ko dhyate nishcit unko paa jatehain 
jab punya cheen ho jaaten hain phir mrityu lok mein aaten hain
par mere sab sharanagat bhav sagar mukt sujan
jisko sun.... 

arjun main nar narayana hoon 
har jad chetan ka kaaran hoon
ye bhed na devon ne jana 
rishi muniyon ne nahi pehchana
sab jeev mere main jeevan hoon
main aadi rahit main janma rahit 
prani jo mujhe samjhe samuchit 
use mokhsa mile woh chintan hoon 
yeh bhaya abhaya utpatti pralaya 
sab kirti akirti mujhi se hai
main kasta hoon main hi nivaran hoon 
jo sunte ho maine gaya hain
jo dikhata hai meri maya hai 
sabko baandhe woh bandhan hoon
sankadik sapta maha rishijan
swayambhu twat rahe manu ban 
un karak ka main karan hoon

arjun hatprabh rah gayen 
bhar aayen dou nain 
saadaharan maanush nahi
bol saken yeh bain

hey kamal nayan sampurna srishti ke swami 
mera moh nashta kar gayi yeh amrit vaani 
hey purushottama abhari hoon main tere darshan paa kar 
main dhanya dhanya ho gaya tumhare shree charanon mein aa kar 
tum sakha saarathi bandhu mitra ye dhara gagan sab kuchh ho
anand sindhu tum bindu bindu avatari jan ankush ho
maine srijan pralaya ki jani purna kahani 
mera moh nashta kar gayi yeh amrit vaani 

bole bhagwan divya drishti karta hoon tujhe pradan
chrama chachhu se mujhe dekhna tanik nahi aasan 

Sanjay bola yogeshawar ne arjun ko vishwaroop dikhlaya 
brahmand mein yogeshwar chaayen 
yogeshwar mein brahmand samaya 

anshankhya mukh Aasankhya netra aur asankhya shashtra thein 
asankhya pedu peev bhal bahu bich ashtra thein
thein divya dant prakash yukt malya divya bhushanam 
hazar divya surya ke prakasako se nirjanam 
anek devi devata anek rishi mahanatama
va bhootkaal vartanaam aur bhavishya darshanam 
asankhya sarp rudra vasu asur aur yaksha devdatta 
woh ashwinikumar thein gandharva adi thein pitar 
asankhya divya dwar thein vishal shristi dant mein 
dhara kahan gagan kahan na adi mein na ant mein
thei kauravon aur pandavon ke sainya dal khade hue 
na jaane kitne prani thein dant mein dabe hue 

arjun bolen hey prabhu vyakul hain sab log 
daya karo karunanidhi mita bharam aur shoka 
romanchit arjun hua dono jode haanth 
baar baar karta naman kampit pulkit gad
main vyakul hoon chaturbhuj roop dikhao taat 
arjun ko har roop mein hue daras shree labh


Baje re muraliya baje 

Listen to Baje re muraliya baje

Lyrics- 

vimukh shikhar se dhara
dhaye radha hari sammukh aaye
bansuriya hari saanwariya ki radha gori sun bhave
baje muraliya baje baaje re muraliya baaje
adhar dhare mohan murali par hont pe maaya viraaje 
hare hare baans ki bani muraliya 
maram maram ko chhuve anguliyaan 
chanchal chatur anguliyan jispar
pili mundari anguri shyam 
mundari par radha ka naam 
aakar dekhe sune madhur swar 
radha gori laaje 
kanak mundariya saaje

 Banke Bihari Krishna Murari 

listen to Banke bihari Krishna Murari


Lyrics-

Banke bihari krishna murari 
Meri bari kahan chupe
Darshan dijo sharan mein lijo 
Hum balihari kahan chupe
Aankh mecholi hume na bhaye 
Jag maaya ke jal bichhaye 
Ras racha kar bansi baja ke
Dhenu chara kar preet jaga kar
Natwar naagar nishthur chhaliya 
Leela nyari kahan chupe 
Sharan mein aatap tum avinashi 
Jal thal gagan ravi ghat basi
Yog suna kar rath ko chala kar
Kahan kho gaye humko lubha kar
Govind govind meera gayi 
Ganika tari kahan chhupe 

Baant nihare Ghanshyam

listen to baant nihare ghanshyam 


Lyrics -

Baat nihare Ghanshyam naina neer bahe 
Aas kare din rain naina neer bahe

Yog dhyan mein chit nahi lage 
Man ki peer hi pal pal jage 
Rain jage abhiram 
Naina neer bahe 

Banke bihari krishna murari 
Kahe sakhi sudh budh bisrai
Kab aaoge more dham 
Naina neer bahe 

Patit paawan mohi sharan mein lijo 
Nath sakha hari Darshan dijo
Lagan lagi tere naam 
Naina neer bahe 

 Bhor Bhayi baaji madhur muraliya 

listen to Bhor bhayi baji madhur muraliya 

Lyrics -

Bhor bhayi baji madhur muraliya 
Kaise dhare jiya dheer re 

Madhuban baji vrindavan baji 
Tat jamuna ke teer
Baith kadamb pe bansi bajave
Sthir bhayo jamuna neer re 

Dard na jani peer na jani 
Shyam bado bepeer 
Meera ke prabhu giridhar nagar
Aakhir jaat ahir re










Barse badariya sawan ki 


Lyrics -

  Barse badariya sawan ki 
sawan ki manbhawan ki 

sawan mein umgyo mero manwa 
bhanak suni hari aawan ki   

umar ghumar chahun disi se aayo 
damini damke jhar laavan ki

nanhi nanhi bundan megha barse 
sheetal pawan suhawan ki 

Meera ke prabhu giridhar naagar 
anand mangal gawan ki 











Bol hari bol hari hari bol


Lyrics -

Bol hari bol hari hari bol 
keshav madhav govind bol

naam prabhu ka hai sukhkari 
paap katenge pal mein bhari 
nanak na kachhu tera mol 

jo chahe bhav sagar tarna 
mit javega jeena marna
paap ki gathari sir se khol 

bhaj le re man krishna murari 
natwar naagar girivar dhari 
naam ka amrit pee nit ghol 









Bhjahoo re man 


Bhajahoon re man sri nand nandan abhaya charan arvind hey 
Durlabh manav janam satsange tar jaave bhav sindh re 
Sheet Aatap Vatavariyat , ae din aavanijaani re 
Biphale sevenu kripan durjan chapal sab sukh lagi re... 
Sravan Kirtan Smaran Vandan Paadsevan Dasya re 
Poojan Sakhijan Atmanivedan , Govind Das abhilashi re...
Hare Krishna Hare Krishna Krishna Krishna Hare Hare 
Hare Rama Hare Rama Rama Rama Hare Hare .

Bairi bansuriya 

Lyrics -

Bairi bansuriya meri sautaniya 
radha rani soche yeh hai bedi matwali
saut meri bansuriya kitni nirali 
hoton pe  simati rehti hardam 
kanha se lipti rehti hai hardam 
yeh to hai kismat wali 

yamuna kinare sandhya sakare yeh to jadu chalaye 
brindaban ki kana kan jhoome  kanha jo murli bajaye 
saat suronki rangon se nikali brij ki har kone mein yeh bikhari 
kitni nazon se paali 

na janu kya jadu hai isme pal mein chaina churaye 
iski dhun mein khoye kanhaiya ho gayen hum to paraye 
sautan to phir sautan hi thahri kya mujhse bhi sundar hai bairi 
kajal si hai kaali 

Baaje Jhanana Jhanana ghungharoo

Listen to baje jhanan jhanan ghungharoo 

Lyrics -

Baaje jhanan jhanan ghungharoo baaje ghungharoo 
hoke deewani shyam ke rang mein jab jab naachi meera 
naache ghungharoo

aisi lagan meera man mein lagayi
 aankhon mein chhupe krishna kanhayi
sud bud sabki woh bisrai dil mein mohan ke yaad sadayi
itni hoke magan ratate ratate mohan jab jab meera naachi 
naache ghungharoo

baat kisi ki woh na maane bas giridhar ko apna jaane 
sab hai paraye uski nazar mein manmohan ko bas pehchane 
itni hoke magan ratate ratate mohan jab jab meera naachi 
naache ghungharoo



Bharoso dridh in charnan kero 



Listen to bharoso dridh 

Lyrics - 

Bharoso dridh in charnan kero



Sri Vallabh nakh chandra chhata bin
 
Sab jag maahi andhero
 

Saadhan aur nahin ya kali me
 

Jaaso hot nibhero
Bina mol ko chero


Baso more




Lyrics - 

baso more nainan mein nandlal
mohani murat sanwari surat 
naina bane vishal 

mor mukut makarakrit kundal 
arun tilak sohe bhal 
adhar sudharas murali rajati 
ur baijanti maal

chhudra ghantika katitar shobhit 
nupur sabad rasal 
meera prabhu santan sukhdayi
bhagat bas chalat gopal 


Banwari re



Lyrics -


Banwari re jine ka sahara tera naam re
mujhe duniya walon se kya kaam re

jhoothi duniya jhoote bandhan jhoothi hai ye maaya
jhootha saans ka aana jaana jhoothi hai yeh kaaya
yahan sancho tero naam re

rang mein tere rang gayi giridhar chhod diya jag saara
ban gayi tere prem ki jogan leke man ektaara
mujhe pyara tera dhaam  re

darshan tera jis din paaun har chinta mit jaaye
jeevan mera in charnon mein aas ki jyot jalaye
meri bah pakad lo shyam re

Bala main bairagan hoongi


Bala main bairagan hoongi
jin bheshya mharo sahab rijhe , sohi bhesh dharungi
sheel santosh dharun ghat bheetar,samta pakad rahungi
jako naam niranjan kahiye, tako dhyan dharungi
guru ke gyan rangu tan kapda,man mudra pairungi
prem pitsu hari gun gaun, charnan lipat rahungi
ya tan ki main karun kingari rasna naam kahungi
meera ke prabhu giridhar naagar saadha sang rahungi 

Lyrics - Bhor Bhayi baaji madhur muraliya

listen to Bhor bhayi baji madhur muraliya 

Lyrics -

Bhor bhayi baji madhur muraliya 
Kaise dhare jiya dheer re 

Madhuban baji vrindavan baji 
Tat jamuna ke teer
Baith kadamb pe bansi bajave
Sthir bhayo jamuna neer re 

Dard na jani peer na jani 
Shyam bado bepeer 
Meera ke prabhu giridhar nagar
Aakhir jaat ahir re
l

Baso mere nainan mein nandlaal


Lyrics -

baso mere nainan mein nandlaal 
mohini murat saanwari surat naina bane vishal
mor mukut makarakrit kundal arun tilak sohe bhaal
adhar sudharas murali virajat ur baijayanti maal
chhudra ghantika kati tat shobhit nupur shabdh rasaal
meera prabhu santan sukhdayi bhagat bachhal gopal