Friday, 19 September 2014

Maa : The Almighty Goddess 


Lelo ji lelo


Lyrics -

Lelo re lelo maiya jaisi main chunari laayi
sakhiyon ke saath jaake kaisi main chunari laayi

chunari mein boote aalishaan badhalo mera maan
maiya ji ise odho na

bhakti ke nyare rango se chunar yeh rangayi hai
shraddha ke paawan dhage se gote ki silayi hai
gota vishwas wala chunar mein pade dikhayi

sadkarmo ke taaron se chunar mein hui kadhayi hai
bhaav samarpan ke kaaran manmohini rangat aayi hai
saddharmon ki bhi rangat rangi chunar pe chhayi

taaze taaze phoolon ka  mai haar maa pehnaungi
tere charnon mein maata main nariyal chadhaungi
bhet sweekaar karlo bhakton ka hey mahamaayi


Kar jod ke karlo 



Lyrics -

Kar jod ke kar lo ji mahashakti ka dhyan
adrishya hoke rehti jo sab mein vidyamaan

jiske bal se hi chalte hain sanyam niyam sabhi sansaari
jo jagat ki rachana karti vishnu uske paalanhaari
sukh anand shanti shankar kare pradaan

woh hi hai brahmand nayike vishwavidit kai roop mayi ke
bhakt bulate bhajan gayi ke aa jati maa prem payi ke
is bal pe hai surakshit hum praniyon mein pran

Jo maata ke dwaar 




Lyrics -

Jo maata ke dwar pe bikhari ban ke aayo re
shraddha ke do phool chadha ke maa ke darshan paayo re

naam tumhara durge maata sabke man ko bhayo re
Jo maata ke dwar pe bikhari ban ke aayo re

deen dukhi bhakton ne hridaya se jaki dhyan lagayo re
har sankat se bhakt ko maata ne shighra bachayo re

roop niraala sheetale maata vaahan gardha hai nyara re
haath mein khappar dhaar ke soneshwar  man ko bhayo re

Maa tere aashirvaad se 


Lyrics -

Dhanya ho ambe maa dhanya ho durge maa

Maa tere aashirvaad se mukaam paa liya
duniya mein barson baad sahi naam paa liya

hone lagi hai humari bhi tulna srvashreshtha dhanwanon mein
aadar aur satkaar hai milta samaroh sammano mein
humne socha se bhi zyada inaam paa liya

ki hai kripa humpar waise hi kije sab shrotaaon par
mitra drohi dharma ke nindak satta aur netaon par
jaise humne jeevan sukh araam paa liya

Bin kahe samajh jaati hai hai 




Lyrics -

Bin kahe samajh jati hai bhakton ke jazbaat
jo chaho mil jaati hai maa ke dar pe saugaat

jo satsangi wahan yagya karayen
kanya kuwari aur vipra jimaye
vipra jimaye bhai bandhu bulaye
khush ho ke cahli aati hai darshan dene sakshaat
jo chaho mil jati hai ....

jo iske priya bhakt sataye uspar ye krodhit ho jaaye
maa ambe krodhit ho jaaye jagadambe krodhit ho jaaye
le shashtra maa ho jaati ranbhumi mein prenaat
jo chaho mil jaati hai ......

sherawali tere dar se koi gaya na khali

Dwaar mandir ke khol


Lyrics-

Dwaar mandir ke khol bhawani bhakt bulayee
ni le chal ke aaye hai karne darshan saare

jai chandra ghanta jai kaalratri jai Kushmanda jai sidhhidatri
jai mahagauri jai katyanani jai shailputri jai brhmacharini 
jai is madi bol gaaye sab bhajan manane

divya prem bhakti mein raaji ho jayo shree jagdamb maa ji
punyit kare bhagat  din raati sabpar kripa karo yahi bhanti  
kismat ke pat khol pade hain sharan tihare 

Waqt jaaye khali na 


Lyrics -

Waqt jaaye khali naa roz subah shaam lo pyaar
maa pahada wali ka sachhe dil se naam lo 

jai jai maa durge maa jai jai maa ambe maa

yahi sharda yahi laxmi kalka kehlati hai 
jiski pooja ghar ghar mein kai roopon mein ki jati hai 
maa ki kathaon ka varnan sun bina daam lo pyaar

humne bhi parkhA HAI ISKO DUNIYA bhi batlati 
jispar maa ki kripa hui to zindagi ban jaati hai 
tum bhi laabh utha lo dhan se bhar do daam lo 

Kare dhyan jo maa 


Lyrics -

kare dhyan jo maa ko man se pukare 
hare dukh maa unka jeevan sanware

hai mamta mayi meri sheetala 
jagat mein hai zahir karegi bhala woh
sada gham se bando ko maa woh ubaare

sawa laakh jo jaap karta hai man se 
mile usko mukti hai aavagaman se 
turant paar bhavsindhu se maa utaare

hai kan kan ki wasi niwasi hridaya ki 
kade wali maata hai daati abhaya ki 
sada jaate hain jo maa ke dware

Kyun aahein bharta hai 


Lyrics -

Kyun aahein bharta hai tu kar ta ta thaiya 
bol bol bol man jai ambe maiya 

tere kasht mere kasht maata woh hare gi
hara bhara jeevan jagdambe maa karegi 
deedaar degi gar bhav ki chadhaiya

katra mein bana dhaam unka hai nirala
devi devataon mein bada hai bol baala
zahir jahan mein hai kastha ki haraiya





0 comments:

Post a Comment