Friday, 5 April 2013

Bhajans By Anoop Jalota

Bhajans By Anoop Jalota





Thumak Chalat Ram Chandra

Listen to thumak chalat Ram Chandra


Lyrics -

Thumak chalat ram chandra bajat paijaniya


Kilaki Kilaki uthat dhaye girat bhumi latpataye

dhaye maaye god let dashrath ki raniya

vidrum se arun adhar bolat mukh madhur madhur

sundar nasika bich latkat latkaniya

mewa modak rasal man bhave so lehu laal

aur lechu ruchir paan kanchan jinjhiniya

Sita Ke Ram Radha Ke Shyam

Listen to Sita ke Ram


Lyrics -

Sita ke ram radha ke shyam

meera ke giridhar nagar sur ke ghanshyam

mehlon ka sukh siya ne ram ka sath nibhaya

laxmi ne dhar roop siya ka jag ka paap mitaya
bana diya tha is dharti ko ram bhakti ka dham

radha ne shree shyam sundar sang aisa raas rachaya

teeno lok mein shyam aur radha ka roop samaya
koti koti bhakton ke mukh par radhe shyam ka naam


Wo Kala Ek Basari Wala

Listen to Wo kala bansuri wala 


Lyrics-

Woh kala ek baansuri wala 
Sudh bisara gaya mori re
Sudh bisara gaya mori
Makahan chor woh naddkishore 
kar gayo dil ki chori re

Panghat pe meri baiyan marori 

Main boli to meri mataki phodi 
Paiya pado karoon vinati main ose
maane na phir bhi mori re
Sudh bisara gaya mori 

Chip gayo aise baan chala ke 

Kahan gayo ek taan suna ke 
Gokul dhunda maine Mathura dhoondi 
Koi nagariya na chodi re 
Sudh bisara gaya mori

Hare Krishna Krishna


Listen to hare krishna  krishna


Lyrics-

Hare krishna krishna krishna krishna hare hare

Hare ram ram ram ram hare hare

Papiyon ke paap se dharti apawan thi kabhi 

krishna ke vardan se pawan huen manav sabhi

dharma ke path par chale to swarg ban jaye dhara 

krishna kripa prem se yadi man humara ho bhara 

bhul se bhul ho jaaye to hum sweekaar lein

dukh ke pal mein ram ka bhi naam sau sau baar lein

aacharan sundar rahe kartavya se vichalit na hon 

hum swayam apne hi  karmon se kabhi shapit na ho 

Sakhi Baaje Pag Paijaniya

Listen to Sakhi baje pag paijaniya


Lyrics-

sakhi baje pag paijani 

jhanannana na na  baje mohan pag paijani 
kali banmali chhavi nirali sohe man mohe jiya dole 
hume praman  niyatan taan mare jo baan gayi jaan 
murali ki taan kare madhur gaan sang baje pakhavaj
jhananan baje ...
saptsuran teen gram bansi baje sasa ni ni dha dha pa pa
re ma ni da pa re sa 
charan dharan dharat paad parat nahi pagan jhanjhar jhanke 
jhananna ....  

Radha Ke Bina Shyam Aadha

Listen to Radha ke bina shyam adha


Lyrics-

radha ke bina shyam adha kehte radheshyam 

janam janam ke bhagya jaga de 

vyarth pada mala bin moti vyarath rahi deepak bin jyoti   

chanda bina chandani kaisi suraj bina dhoop na hoti 
bin radha ke kahan hai pura nat naagar ka naam 

satth hai jaise jal ki dhara saath hai jaise nadi kinara 

sath hai jaise neelgagan ke suraj chanda tara tara
vaise inke bina adhoora man vrindavan dham

shree radha ko jisne bhulaya usne apna janam ganvaya 

dhanya hui wo vaani jisne radhe shyam naam hai gaaya 
unka sumiran kare bina kab milta hai vishram  

Man Mein Base Hain Do Hi Naam

Listen to man mein base hain do hi naam


Lyrics-


Man mein base hain do hi naam 

sita ram jai seeta ram 

puchho mere tan man  se 

bandhe ho preet ke bandhan se 
pran hain tere drishti mein 
door nahi ho ankhiyan se 
kyu puchho main tera kaam 

jhoote tan ko chhod diya

toote man ko jod diya  
yug beeta jag chhod diya 
sabse naata tod diya 
mujhko hai bas tumse kaam

ho sakta hai koi aisa 

kaun hai duja tere jaisa 
main jaanoo ki tu hai kaisa 
jaise gun hai roop hai waisa
tujhko sumirun aathon yaam 

Ram Ramaiya Gaye Ja


Listen to Ram Ramaiya gaye ja


Lyrics-

"Ram naam ratate raho jab tak ghat mein pran
Kabhi to deen dayaal ke bhanak padegi kaan "

"Keep on enchanting the name Ram till you have breath in your body 
your voice will sure reach to that merciful someday ."

Raam ramaiya gaaye ja Ram se lagan lagayeja
Ram hi taaren Ram ubaaren Ram naam dohraaye ja 

"Keep on enchanting Ram Ramaiya, Keep on loving Ram 
Ram takes you accross this world only Ram brings you out from this ocean of world 
Keep on repeating the name "Ram"!!!!!!!!!!!".

Subhah yahan to shaam wahan hai 
Raam bina aaraam kahan hai
Ram Ramaiya gaye ja jeevan ke sukh paayeja
Ram hi taaren Ram ubaren ram naam dohraaye ja 

Bhatkaaye jab bhool bhulaiya 
beech bhanwar jab atke naiya 
Ram Ramaiya gaaye jaa har uljha suljhayeja 
Ram hi taaren Ram ubaren ram naam dohraaye ja 

Ram naam bin jaga soya
andhiyaare mein khoya 
Ram Ramaiya gaaye ja man ka deep jalaye ja
Ram hi taaren Ram ubaren ram naam dohraaye ja 


Radha Aisi Bhai Shyam

Listen to Radha aisi bhayi shyam


Lyrics -

radha aisi bhayi shyam ki deewani ki brij ki kahani ho gayi 

ek bhole bhali ganva ki ganwaran ki panditon ki baani ho gayi 

radha na hoti to vrindavan ki vrindavan na hota 

kanha to hote banse bhi hoti bansi mein pran na hota 
prem ki bhasha janta na koi kanhaiya ko yunhi manta na koi 
bina parinaya woh prem ki pujaran kanha ki patrani ho gayi 

radha ki paayal na bajti to mohan aisi na raas rachate 

nindiya chura kar madhuban bulakar ungali pe kisko nachate 
kya aisi khushboo chandan mein hoti  kya aisi mishri makan mein hotti 
thoda sa makhan khila kar woh gwalin annapurna si dani ho gayi 

radha na hoti to kunjgalin ki aisi nirali na hoti 

radha ke naina na rote to yamuna aise kali na hoti 
sawan to hota jhoole na hote radha ke sang natvar jhoole na hote
sara jeevan lutakar woh bhikharan dhaniko ki rajdhani ho gayi  

Jinke Hrurde Hari Naam Base

Listen to jinke hriday hari naam


Lyrics-

Jinke hirdaya hari naam base 
tin aur ka naam liya na liya 

jinke dware par gang bahe 

tin koop ka neer piya na piya

 jin kaam kiya parmarath ka 

tin haath se daan diya na diya 

jinke ghar ek saput bhayo

tin lakh kapoot bhaya na bhaya  


Govind Jai Jai

Listen to govind jai jai


Lyrics-

Govind jai jai gopal jai jai 

radha raman hari govind jai jai

brahma ki jai jai vishnu ki jai jai 
uma pati shiv shankar ki jai jai 

radha ki jai jai rukmini ki jai jai 

mor mukut bansi wale ki jai jai 

ganga ki jai jai yamuna ki jai 

saraswati triveni ki jai jai

ram ji ki jai jai shyam ji ki jai jai 

dashrath kunwar charon bhaiyon ki jai jai 

krishna ki jai jai laxmi ki jai jai 

krishna baldev dono bhaiyon ki jai jai   

Bharat Bhai Kapi Se

Listen to Kapi se urin hum nahi


Lyrics -

Bharat bhai Kapi se urin hum nahi

Lord Ram Returned from exile and is narrating the story of his exile to his brother  Bharat ji .He was introducing everyone who helped him in conquering the war and when he went upto Hanumn ji his eyes got wet and  he said
these very special words for Hanuma ji

Kapi se Urin hum nahi Bharat bhai 
kapi se urin hum nahi 
bharat bhai kapi se urin hum nahi

Dear brother Bharat I can never overcome to be oblized by Kapi ("The ape" here for Hnuman ji )

sau yojan maryad samudra ki 
100 yojans (1yojan = 6-15 kilometers) skirts of ocean 
ye kudi gayo chhan mahi
He jumped over in seconds 
lanka jari siya sudhi layo
Set fire in Lanka and brought the information of Siya's well being 
par garv nahi man mahi 
But he dont feel proud for all 

shakti baan lagyo lakshman ke
Laxman was shot by shakti baan
hahakaar bhayo dal mahi
there was an upheavel in the crowd 
dhaulagiri kar dhar le aayo 
He carried the Dhaula mountain peak in his hands 
bhor na hone paayi 
before the dawn broke out

ahi ravan ki bhuja ukhadi 
He pulled off the arms of Ahi Ravan 
paithi gayo math mahi 
jo bhaiya hanumat nahi hote
Oh brother ! if Hanuman was not there 
mohe ko lato jag mahi 
who had brought me back in this world 

Agya bhang kabahun nahi kinhi
He never became disobedient 
jahan pathayo tahan jayi 
whereever I sent Him He went there 
Tulsidas pawansut mahima 
Tulsidas ji says that the glory of Pawansut (The son of Wind = Hanuman ji )
prabhu nij mukh karat badhai
Lord appraises by his own mouth 

Tan Ke Tamboore Mein

Listen to tan ke tambure


Lyrics-

Tan ke tambure mein do saanson ki taar bole jai siya ram ram 
jai radhe shyam 

Ab to is man ke mandir mein prabhu ka hua basera 
magan hua man mera choota janam janam ka phera 
magan hua man mera 
pyasi do ankhiyon se aansuon ki dhaar bole jai siya ram ram 
jai radhe shyam 

lagan lagi leeladhari se jagi re jagmag jyoti 
ram naam ka heera paaya sham naam ka moti jagi re jagmag jyoti 
man ki muraliya se sur ka sringaar bole jai siya ram ram 
jai radhe shyam  


Ramcharan Sukhdai

Listen to Ram charan sukhdayi


Lyrics-

Bhajman ram charan sukhdayi japo re ram charan sukhdayi 

Jin charnan se nikasi sursari sankar jata samayi
 jata shankari naam padyo hai tribhuvan taranhari 

Jehi charnan ki charan paduka bharat rahyo liv laayi 
soyi charan kevat dhoyi linhi tab hari naav chadhayi 

Dandakvan prabhu paavan kinhi rishiyan traas mitayi 
soyi charan gautam rishi nari parsi param pad payi 

Joyi charan santan jan sevat sada rahat sukhdayi
 soyi prabhu trilok ke swami kanak mriga sang dhayi 

Shiv sankadik aru bhrahmadik shesh sahas mukh gaayi Tulsidas marut sut (son of maruti : Hanuman ji ) ki prabhu nij mukh karat badhayi 



Chadaryan Jhini Jhini Re

Listen to chadariya jhini re jhini


Lyrics-

Jhini re jhini re jhini chadariya
  ram naam ras bhini chadariya
 jhini re jhini re jhini chadariya
ashta kamal dal charkha doley
 panch tatva, gun tini chadariya
saiin ko siyat mas dus lagey
 thokey-thokey ke bini chadariya
so chadar sur nar muni odi
odi ke maili kini chadariya
das kabir jatan so odi
 jyon ki tyon dhar deen chadariya


Maine Linho Govind

Listen to maine lino govind mol


Lyrics- 

maai mai to liyo Ramaiyyo mol

koi kahae chhane, koi kahe chavde,
liyo hai bajanta dhol

koi kahe kaalo, koi kahe goro
liyo hai main aankhya khol

koi kahe halko, koi kahe bharo
liyo hai tarazu tol

tan ka gahnaa main sab kuchh deenaa
diyo hai baajuband khol

meera ke prabhu girdhar naagar
purab janam ko hai kaul

main to leeno govind mol, maai ri
main to leeno govind mol

koii kahe sastaa, koii kahe meh.ngaa
leeno taraazuu tol,

koii kahe braj mein, koii kahe ban mein
karat govind kalol

meeraa kahe prabhu giridhar naagar
aavat prem ke mol


Janam Tera

Listen to janam tera


Lyrics -

Janam tera baaton hi beet gayo 
re tune kabahun na krishna kahyo

paanch baras ka bhola re bhala ab to bees bhayo 
makar pachisi maya kaaran desh videsh gayo

tees baras ki ab mati upaji lobh badhe nit nayo
maya jori lakh karori ajahun na tripta bhayo

vridh bhayo tab aalas upaji kaff nit kanth rahyo 
sangati kabahun na kini birtha janam liyo 

yah sansaar matlab ka lobhi jhutha thaath rachyo 
kahat kabir samajh man murakh tu kyu bhool gayo 

re tune kabahun na krishna kahyo 


Rang De Chunaryan


Listen to rang de chunariya


Lyrics -

Rang de chunariya
Shyam piya mri rang de chunariya 

Aisi rang de ki rang nahi chhute 
Dhobiya dhove chahe ye saari umariya 
Shyam piya...

Lal na rangau main to hari na rangau 
Apne hi rang mein rang de chunariya 
Shyam piya ...

Bina rangaye main to ghar nahi jaungi
Beet hi jaaye chahe ye saari umariya 

Meera ke prabhu giridhar naagar


"Jal se patla kaun hai kaun bhumi se bhari 
Kaun agan se tez hai aur kaun kaajal se kaali 

Jal se patla gyan hai aur paap bhumi se bhari 
Krodh agan se tez hai aur kalank kaajal se kaali "

Hari charnan mein(shyam charnan mein,prabhu charnan mein)
Jaoon balihariya 
Shyam piya ... 



Mati Kahe Kumhar Se

Listen to mati kahe kumhar se


Lyrics- 

mati kahe kumhar se tu kya roundhe mohe 
ik din aisa aayega main roundungi toye 

aayen hain to jayenge raja rank sabhi 
ek singhashan chadhi chale ek bandhe zanzir 

durbal ko na sataiye jaki moti haaye 
bina jeebh ke haaye ke loha bhasm hoyi jaye

tulsi is sansaar mein sabse miliye dhayi
na jaane kis roop mein Narayana mil jaayen


Shree Ram Chandra

Listen to shree ram chandra


Lyrics - 

shree ram chandra kripalu bhajman haran bhava bhaya darunam
nav kanj lochan kanj mukh kar kanj pad kanjarunam 

kandarp aganit amit chhavi nav neel neeraj sundaram
pat peet manahu tadit ruchi suchi naumi janak sutavarm 

sir mukut kundal tilak charu udar ang vibhushanam 
aajanubhuj sir chapdhar sangram jit khardushanam

bhaj deenbandhu dinesh danav daitya vansh nikandanam
raghunand anandkand koshalchand dasrath nandanam

iti vadit tulsidas shankar shesh muni man ranjanam
mam hridaya niwas kuru kamadi khal dal ganjanam 



Itna To Karna Swami

Listen to itna to karna swami


Lyrics -

itna to karna swami jab pran tan se nikale 
gobind naam lekar tab pran tan se nikale

pitambari kashi ho chhavi man mein ye basi ho 
honthon  pe kuchh hansi ho jab pran tan se nikale

us waqt jaldi aana nahi shyam bhool jaana 
radhe ko saath laana jab pran tan se nikale 

ek bhakt ki hai arzi khud garj ki hai garzi 
aage tumhari marzi jab pran tan se nikale


Surdasji Ka Ek Tara

Listen to surdas ji ka ektara


Lyrics-

surdas ka iktara meera ki kar taan 

bole jai giridhar gopal

haanth chhudaye jaat ho nirbal jaan ke mohe 

hirdaya se jab jao to sabal  main jaun main 
hanth chhuda ke chale kanahiya phir bhi saath na chhoda 
darshan ki pyasi ankhiyon ne hari se nata joda 
chhodi mamta chhodi maya chhoda jag janjaal 

giridhar nagar ki bhakti ka paya aisa heera 

rana ji ka vish ka pyala has ke pee gayi meera
meera giridhar lage raji pehan bhakti varmal 

surdas ki ektare ne chhedi aisi gatha 

jisko sunkar jhuka liya tribhuwan ne apne matha 
bhakt ki suni pukar  daud kar aayen thein nandlal 

Hari Naam Ka Pyala


Listen to hari naam ka pyala


Lyrics -

Hari naam ka pyaalaa hare Krishna ki haalaa
aisi haalaa pi pi karke chalaa chale matwaalaa


Radha jaisi baalaa aur vrindavan ka gwaalaa
aisaa gwaalaa Murli Manohar Japo Krishna ki maalaa


Hare Krishna kaa jap ho aur Hare Krishna ki maalaa
Dev jyoti se hriday suddha ho  nikle man ki jwaalaa


 
Krishna ki dhun main tan ho, aur Hare Krishna main man ho
Aise tan man ke Mandir main Krihsna dale haalaa


 
Hare Krihsna main Bal hain, Krishna jal aur thal hai
aise jal thal nabh se pi lo Narayan ki haalaa

Jag Mein Hai Sundar Do Naam

Listen to jag mein sundar hain do naam


Lyrics - 

Jag mein sundar hain do naam
chahe Krishna kaho ya Ram
Bolo Ram Ram Ram
Bolo Shyam Shyam Shyam 

Makhan Brij Mein Ek Churaave
Ek Ber Bhilni Ke Khaave
Prembhav Se Bhare Anokhe
Donon Ke Hain Kaam

Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam


Ek Kams Paapi Ko Maare
Ek Dusht Ravan Samhare
Donon Deen Ke Dukh Harat Hain
Donon Bal Ke Dhaam

Ek Radhika Ke Sang Raaje
Ek Janaki Sang Biraaje
Chaahe Sita-Ram Kaho
Ya Bolo Radhe-Shyam


Ek Hriday Mein Prem Badhaave,
Ek Taap Santap Mitaave,
Donon Sukh Ke Sagar Hain,
Aur Donon Pooran Kaam,

Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam

Makhan Mein Maa

Listen to makhan mein maa


Lyrics - 

makhan mein maa shabd samahit isiliye ye bhave 

jab jab lage honthon se maa teri yaad dilave 

maa jab tu le haanth mein mathani dahi mathne ko baithe 

tu jaane hai tera kanha chhup chhup tujhko dekhe 
jaane hai to haanth se apne kyun nahi khilaye 
maiya chori karan uksave 

maa tujhse ye nata hi to makhan sa hai mitha 

is bandhan ka matlab maine hai tujhse hi sikha 
tere naina har pal hi to neh barkha barsave 
maiya hardam pyar jatave 

 Prabhu Ji Tum Chandan Hum Paani


Listen to prabhu ji tum chandan hum paani 


Lyrics-


Prabhu ji tum chandan hum paani
Jaki ang ang baas samayi
Prabhu ji tum ghanban hum mora
JAise chitwat chandra chakora

Prabhu ji tum deepak hum baati
JAki jyot bare din rati

Prabhu ji tum moti hum dhaga
Jaise sonehu milat suhaga

Prabhu ji tum swami hum dasa
Aisi bhakti kare Raidasa



Main Nahin Makhan Khayo


Listen to main nahi makhan khayo


Lyrics-


Maiyaa mori, main Nahi Makhan Khayo

Bhor bhayo gaiyan ke paache, Madhuvan mohi pathayo .
chaar prahar vanshivat bhatakyo, saanj pare ghar aayo ..

main baalak bahiyan ko choto, chinko kidi vidhi payo .
gwaal baal sab bair pare hain, barbas mukh laptayo ..

Tu janani man kii ati mori, inke kahe patiyaayo .
Jiya tete kachu bhed upjihai, jaani parayo jaayo ..

yaha le apani lakuti kambaliyaa, bahutahi naach nachaayo .
Jiya tete kachu bhed upjihai, jaani parayo jaayo ..
Surdas tab bihashi Yashoda  lai ur kanth lagaayo


Aisi Laagi Lagan

Listen to aisi lagi lagan


Lyrics-


Hai aankh wo jo shyam ka darshan kiya kare
hai sheesh woh prabhu charnon mein jo vandan kiya kare
bekar woh mukh hai jo lage vyarth baaton mein
mukh woh hai jo hari naam ka  sumiran kiya kare

Heere moti se nahi hai shobha hanthon ki
hain haath woh bhagwaan ka pujan kiya kare
mar kar bhi amar hai us jeev ka is jag mein
Prabhu prem mein balidan jo jeevan kiya kare

Aisi lagi lagan meera ho gayi magan
woh to gali gali hari gun gaane lagi
Mehalon mein pali ban ke jogan chali
Meera rani deewani kahanelagi

Koi roke nahi koi toke nahi
Meera Goind Gopal gaane lagi
baithi santon ke sang rangi mohan ke rang
meera premi preetam ko manane  lagi
woh to gali gali hari gun gaane lagi

Rana ne vish diya mano amrit piya
Mano sagar mein sarita samane lagi
dukh lakhon sahe mukh se Gobind kahe
Meera Govind Gopal gaane lagi
woh to gali gali  hari gun gaane lagi


Rasna nis din bhaj hari naam 

Listen to rasna nis din bhaj hari naam 


Lyrics -

rasna nis din bhaj hari naam

ram krishna shree krishna ram bhajo 
dono sukh aur anand dham 

kanha yachit chor kaho ya 

raghuvar avadha kishore kaho 
pratidin bolo antho yaam 
ram krishna shree krishna ram bhajo 

raaghav sa koi kripalu nahi 

maadhav 


Do din ka jag mein mela 

listen to do din ka jag mein mela 

Lyrics-

chalti chaki dekh ke diya kabira roye 

do patan ke beech mein sabut bacha na koye 

Do din ka jag mein mela sab 
chala chali ka khela

koi chala gaya koi jaave 

koi gathari baandh sidhave 
koi  khada taiyar akela 
ye chala chali ka khela re khela re khela re   

paap kapat chhal maya kar ke

 lakh karor kamaya 
sang chale na ek adhela 
ye chala chali ka khela re khela re khela re 

maat pita sut nari bhayi

 ant sahayak nahi 
phir kyun dharta paap ka dhela 
ye chala chali ka khela re khela re khela re 

yeh to nashwar sansara

 bhajan tu kar  le esh ka pyara 
brahmanand kahe sun chela
 yeh chala chali ka khela 


Naam hari ka japle bande 

Listen to naam hari ka jap le bande 

Lyrics -

Naam hari ka jap le bande
phir peechhe pachhtaye ga

tu kehta hai meri kaya kaya ka guman kya

chand sa sundar yeh tan tera mitti mein mil jayega

wahan se kya tu laya bande yahan se kya le jayega

mutthi baandh ke aaya jag mein haanth pasare jayega

balapan mein khela khyaa aayi jawani mast raha

budhapan mein rog grase khat pade pachhtaye ga

japna hai so jap le bande akhir so mit jayega

kahat kabir suno bhai sadho karni ka phal payega

Sanwariya mori naiya tara de 

Listen to sanwariya mori naiya tara de 

Lyrics -

Sanwariya mori naiya tara de

naiya tara de paar laga

nanda nai sagan kasai hui mastani meerabai

aisa hi mujhe mast bana  de

gaj ke aake phand chhudayo drupad suta ke cheer badhayo

aisa hi mujhe bhakt bana de

moh ke vash mein arjun aaya roop virat se har li maya

aisa hi mujhe roop dikha de

Mat kar tu abhiman re bande 


Listen to mat kar tu abhiman 

Lyrics -

mat kar tu abhiman re bande

jhoothi teri shaan re mat kar tu abhiman

Aarti kije hanuman lala ki 


Lyrics -

Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.
Ja Ke Bal Se Giriver Kaanpe, Rog Dosh Ja Ke Nikat Na Jaanke.

Anjani Putra Mahabaldaye, Santan Ke Prabhu Sada Sahaye.
De Beeraha Raghunath Pathai, Lanka Jaari Siya Sudhi Laiye.

Lanka So Kot Samundra Se Khaiy, Jaat Pavan Sut Baar Na Laiye.
Lanka Jaari Asur Sab Maare, Siya Ramji Ke Kaaj Sanvare.

Lakshman Moorchit Parhe Sakare, Aan Sajeevan Pran Ubhaare.
Paith Pataal Tori Yamkare, Ahiravan Ke Bhuja Ukhaare.

Baayen Bhuja Asur Dal Mare, Daayen Bhuja Sab Santa Jana Tare.
Surnar Munijan Aarti Utare, Jai Jai Jai Hanuman Uchaare.

Kanchan Thaar Kapoor Lo Chhai, Aarti Karat Aajani Mai.
Jo Hanumanji Ki Aarti Gaave, Basi Baikuntha Amar Padh Pave.

Lanka Vidvance Kiye Ragurai, Tulsidas Swami Aarti Gaaie.
Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.

Pawan Tanay Sankat Haran Managal Moorti Roop,
Ram Lakhan Sita Sahit Hridaya Bhasu Sur Bhoop

2 comments: