Saturday 26 July 2014

Golden collection : bhajans from films vol 4





Shyam teri bansi


Lyrics - 


Shyam Teri Bansi pukare Radha naam
log kare Meera ko yuhi badnaam

Saware ki bansi ko bajane se kaam
Radha ka bhi Shyam wo to Meera ka bhi Shyam

O Jamunaa ki lahare bansi-bat ki chhainya
kisaka nahin hai kaho Krishna-Kanaiya
Shyam ka diwana to sara Brijdham

log kare Meera ko yuhi badnam


O Kaun jane basuriya kisko bulaye
jiske man bhaaye usike gun gaye
kaun nahin kaun nahin Bansi ki dhun ka gulam

Radha ka bhi Shyam wo to Meera ka bhi Shyam

Shyam Teri Bansi pukare Radha naam
KanhaiyaTeri Bansi pukare Radha naam
log kare Meera ko yuhi badnam


Bol radha shyam diwani


Lyrics -

Bole radha shyam diwani 
piya ka mukhada 
preet bina hai jeevan aise 
jaise nadiya ho bin paani

govindam govidam govindam bhaj mere mana 

man ka naata man ka bandhan 
itna pyara itna  paawan 
kayi mauke janam  janam se 
mein to banti meera mohan 

naino mein hai chhabi matwari 
dhun murli ki laagi pyari 
jab se aayi shree charnon mein 
maine saari duniya tyagi 

Yashomati maiya se bole


Lyrics-


Yashomati Maiyaa Se Bole Nandalaala
Raadha Kyon Gori Main Kyon Kaala
Boli Muskaati Maiya, Lalan Ko Bataaya
Kaali Andhiyari Aadhi Raat Men Tu Aaya
Laadala Kanhaiya Meraa,Ho..
Laadala Kanhaiya Meraa, Kaali Kamali Vaala
Isi Lie Kaala

Boli Muskaati Maiya, Sun Mere Pyaare(2)
Gori Gori Raadhika Ke, Nain Kajaraare
Kaale Nainon Vaali Ne Ho.. 
Kaale Nainon Vaali Ne,Aisa Jaadu Daala
Isi Lie Kaala



Ram ji ki nikali sawari


Lyrics -

Sar pe mukut saje mukh pe ujaala
Haath dhanush gale mein pushp maala
Hum das inke yeh sabke swaami
Anjaan hum yeh antar yaami
Sheesh jhukaao ram gun gaao
Bolo jai vishnu ke avtaari

Ramji ki nikli sawari
Ramji ki leela hai nyaari
Ek taraf lakshman ek taraf seeta
Beech main jagat ke paalan haari


Dheere chala rath o rathwaale
Tohe khabar kya o bhole bhale
Ek baar dekhe dil na bharega
Sau baar dekho phir jee karega
Vyaakul bade hain kabse khade hain
Darshan ke pyaase sab nar naari


Chaudah baras ka vanvaas paaya
Maata pita ka vachan nibhaaya
Dhokhe se har li raavan ne seeta
Raavan ko mara lanka ko jeeta
Tab tab yeh aaye tab tab yeh aaye
Jab jab ye duniya inko pukaari


Chaupayan


Lyrics -

Mangal bhawan amangal

hoihe wahi jo ram rachi rakha 
ko 

deeraj dharam mitra aru naari
aapad kaal yeh chari

jehi ke jehi par satya sanehu 
so tehi milehi na kachhu sandehu

jaki rahi bhawana jaisi 
prabhu moorati dekhi tin taisi 

raghukul reeti sada chali aayi 
pran jaaye par vachan na jaayi

hari anant hari katha ananta 
kehhi sunahi bahu vidhi sab santa 

ram siya ram siya ram jai jai ram 

Satyam shivam sundaram


Lyrics -


Ishwar satya hai 
Satya hi Shiv hai 
Shiv hi sundar hai 
Jaago uth kar dekho 
Jeevan jyot ujaagar hai 
Satyam Shivam sundaram, satyam Shivam sundaram 



Raam avadh mein, kaashi mein Shiv 
kanhaa vrindaavan mein 
Dayaa karo Prabhu, dekho inko 
Har ghar ke aangan mein 
Radha Mohan sharanam 



Ek soorya hai, ek gagan hai
 ek hi dharti mata 
Dayaa karo Prabhu, ek bane sab 
Sab ka ek se naata 
Radha Mohan sharanam 


Jo tum todo piya


Lyrics -

jo tum todo piya main nahi todun
toson preet tod krishna kaun sang jodun

tum bhaye truvar main bhai pankhiya
tum bhaye sarowar main teri machiya
tum bhaye girivar main bhayi chaya
tum bhaye chanda main bhayi chakora

tum bhaye moti prabhu hum bhaye dhaga
tum bhaye sona hum bhaye suhaga
meera kahe prabhu braj ke vasi
tum mere thakur main teri dasi

He narayan


Lyrics -

Hey narayana meri kahiya re kariya
kariye chhima 

main ati durbal main mati heena 
jo kachhu kinha parbas kinha
par jo bhaya mere haath bhaya 
deendayal vicharo daya 

yeh sanjog suna na kahi re 
deep hai par jyot nahi re 
hey jyotirmaya jyot bharo
baah pakad mohe paar karo

Prabhu ji mere avagun chit na dharo


Lyrics -

Prabhu more avagun chit na dharo
samdarshi hai naam tiharo chahe to paar karo


 ek nadiya ek naar kahave mailo neer bharo
jab dou mil ke ek baran bhaye sursari naam paryo

 ek loha pooja mein raakhat ek ghar badhik paryo
paaras gun avagun nahi chitvat Kanchan karat kharo

ek  jeev ek brahma kahave Sur Shyam jhagaro
abki ber mohi paar utaaro nahi pan jaat taryo

Om namah shivaye


Lyrics 

Om namah shivaye Om namah shivaye
saansaon ki sargam pe dhadkan ye dohraye

Jeevan mein kaisa andhera hua hai 
sandeh ne humko ghera hua hai 
man pancchi bhagwan bohat aaj ghabraaye 

vishwas ki maala tooti padi hai 
bhagwan sahara de mushkil ghadi hai 
rasta dikha rahi teri sharan aaye


0 comments:

Post a Comment