Friday 1 August 2014

Golden collection : Bhajans from films vol 3





saanjh savere


Lyrics-

saanjh savere adharon pe mere bas tumhara hai naam
main tumhari dasi tum mere swami main radha tum shyam 

jagi bhi to soyi rahi main dhyan  mein tumhare khoyi rahi main
oh main kya jaanu kab din beeta beet gayi kab shaam 

 gokul mathura terath saare kitne sundar kitne nyare 
par main na maanu pati charnana sa jag mein koi dham 


Raghupati raaghav raaja ram


Lyrics - 

Raghupati raaghav raja ram  patitpaawan sita ram 
ishwar allah tere naam sabko sanmati de bhagwaan 

Sukh ke sab sathi


Lyrics - 

Sukh ke sab sathi dukh ke na koi 
mere ram mere ram 
tera naam ek saancha dooja na koi 

jeevan aani jaani chhaya 
jhoothi maaya jhoothi kaaya 
phir kahe ko saari umariya 
paap ki gathari dhoyi

na kuchh tera na kuchh mera 
jo jag jogi wala phera
raja ho ya rank sabhi ka 
ant ek sa hoye 

Bahar ki tu mati kha ke 
man ke bheetar kyu na jhake
ujale tan par maan kiya 
aur man ki mail na dhoyi

Bada natkhat hai


Lyrics -

Bada natkhat hai re krishan kanhaiya 
kya kare yashoda maiya 

dhoondhe re ankhiyaan use chahu ore 
jaane kahan chhup gaya nand kishore
ud gaya aise jaise purvaiya 

aa tohe main gale se laga loon 
laage na kisi ki nazar man mein chhupa loon 
dhoop jagat hai re mamta hai chhaiyan 

mere jeevan ka  tu ek hi sapna 
jo koi dekhe tujhe samjhe wo apna 
sabka hai pyara bansi bajaiya 

Tan man dhan sab hai tera


Lyrics -

Tan man dhan sab hai tera 
bin tere kya hai mera 
raat din main tere geet gaata rahoon

kya dharti kya sooraj chanda 
jag moh maaya ka ek phanda 
main hoon sidhi sada banda 
jag choron ka hai dera

kya apna aur kya begaana 
jaan ke kya hai dhokha khana 
jeevan hai bas aana jaana 
ek jogi ka hai phera 


Tu hi saagar hai


Lyrics -

Tu hi saagar hai tu hi kinaar 
dhoondhata hai tu

uska chhaya hai tu uska darpan 
tere sine mein hai uski dhadkan 
teri aankhon pe uska ishara
dhoondhata hai tu uska sahara

Karmewadhikaraste ma phaleshu kadachan 
ma karmaphal hetubhutwa ma 

paap kya punya hai kya  yeh bhula de
karma kar phal ki chinta mita de 
ye pariksha hogi dubara 

Main to aarti utaroon


Lyrics -

main to aarti utaaruun re santoshi maata ki
jaya jaya santoshi maata jaya jaya maan 

badi mamata hai bada pyaar maan ki aankhon mein
badi karuna maaya dulaar maan ki aankhon mein
 kyon na dekhoon main baarambaar maan ki aankhon mein
dikhe har ghadi naya chamatkaar maan ki aankhon mein
 ho nritya karu jhoom-jhuum, jham jhamaajham jhoom-jhuum
 jhaanki nihaarun re, o baanki baanki jhaanki nihaarun re


sada hoti hai jay jayakaar maan ke mandir mein
 maan ke mandir mein
 nit jhaanjhar ki hoe jhankaar maan ke mandir mein
 sada manjeer karte pukaar maan ke mandir mein
vardaan ke bhare hain bhandaar maan ke mandir mein
 deep dharoon dhoop dharoon, prem sahit bhakti karoon
jeevan sudhaaruun re, o pyaara pyaara jeevan sudhaaruun re






0 comments:

Post a Comment