magalam kaushalendraya mahneyagunabhaye
chakravarti tanujaye sarvbhaumaya mangalam
vedvedantvedyaya meghshyamal murtaye
punsamohan rupaye punya stotrahapi mangalam
vishwamitrantarangaya mithilanagari pateya
bhagyanam parivasaya bhaumya rupaya mangalam
pitrabhaktaya satatam bratrinesahashitaya
nandiakhillokaya rambhadraya mangalam
sakt swamitvavasaya chitrakoot viharine
sebyaya sarvayanikam dhero dharaya mangalam
saunitya achajanakhya chapvana sidharine
sansebyaye sadabhaktyaya swamine mahmangalam
danadakaranya vasaya khandita var siddhave
brddharajaya bhaktaya mukhtidayastu mangalam
sadaram sabrikantah phalahun laabhilashini
solabhya paripurnaya satvo driptaya mangalam
hanumasyamedhaya manisabhisht dhayine
bali pramathyanastu mahadheeraya mangalam
srimate raghuvirayaya sindhu langhitsinghave
jit rakhshas rajaya prandheeraya mangalam
asajanakritibya amisiddhaya siddhaya
rajadhiraja rajaya ram bhadraya mangalam
mangala sasanpare madacharayapuroname
sarveshcha kurvenacharaye shastrdharyastumangalam
man mein ram ramale
Lyrics - man mein ram ramale
Janam Safal Hoga Re Bande, Mann Mein Ram Basale
Janam Safal Hoga Re Bande, Mann Mein Ram Basale
Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram – 2
Janam safal hoga bande man mein ram basale,
Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram
He Ram naam ke moti ko saanso ki maala bana le,
Ram patit paawan karunakar aur sadaa sukh dataa
Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram
Ram patit paawan karunakar aur sadaa sukh dataa
Saras Suhavan ati manbhaavan Ram se preet lagale,
Man mein ram basale
Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram
Moh maya hai jhuta bandhan tyag use tu prani,
Ram ki jyot jalaa kar apna bhag jagaa le,
Man mein ram basale,
Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram
Ram bhajan mein doob kay apni nirmal kar le kaya,
Ram naam se preet lagaa kay jeevan paar laga le,
Man mein ram basale,
Bolo Ram Jai Jai Ram Bolo Ram…
Man Mein Base Hain Do Hi Naam
Lyrics-
Man mein base hain do hi naam
sita ram jai seeta ram
puchho mere tan man se
bandhe ho preet ke bandhan se
pran hain tere drishti mein
door nahi ho ankhiyan se
kyu puchho main tera kaam
jhoote tan ko chhod diya
toote man ko jod diya
yug beeta jag chhod diya
sabse naata tod diya
mujhko hai bas tumse kaam
ho sakta hai koi aisa
kaun hai duja tere jaisa
main jaanoo ki tu hai kaisa
jaise gun hai roop hai waisa
tujhko sumirun aathon yaam
mit nahi sakta kabhi likha hua
Lyrics -
mit nahi sakta kabhi likha hua takdir ka
bas nahi chalta yaha insan ki tadbir ka
kaun hai jis par kabhi kali ghat chhai nahi
ram or ghanshyam par bhi kya vipat aayi nahi
yad hai ban ban bhatakna janki raghuvir ka
mit nahi sakta kabhi likha hua takdir ka
sukh kabhi or dukh kabhi sansar ki ye reet hai
aaj jiski har hai to kal usi ki jeet hai
dhup chhaw ki rang hai sansar ki tasvir ka
mit nahi sakta kabhi likha hua takdir ka
bas nahi chalta yaha insan ki tadbir ka
Mujhko do vardaan ram ji
Lyrics -
mujhko do vardaan ram ji
sada tumhara naam pukarun
karoon sada vandana tumhari
apna agla janam sudharun
chah nahi hai phool banu main
aur tumhare sheesh chadhun main
mujhko to bas neer bana do
sada tumhare charan pakharun
chah nahi chandan banane ki
maathe par lagne rehne ki
mujhko to bas deep bana do
subah shaam aarti utarun
prabhu daya ki bheekh maangati
dwaar tumhare sheesh jhukati
mujhko to bas divya drishti do
sada tumhara roop nihaarun
0 comments:
Post a Comment