Monday 21 July 2014

Bhajan Ras by Preeti saagar 




Ram naam ki odhu chadaria 


Lyrics -

ram naam ki odhu chadariya 
dukh ki boond gire na tan par 
barse chahe jitni badariya 

maaya ne yeh bandhan baandha 
beet gaya yeh  jeevan aadha 
ye jo thoda samaya bacha hai 
sham ko uth jaayegi gathariya

ye chadar hai paap mitati 
bhav saagar ke paar lagati 
aaj nahi to kab odho ge
katati jaaye roz umariya

bina daam ke yeh aati hai
milan ran ram se karvati hai
tulsi ne odhi ram mil gayen 
meera ko mil gaye saanwariya 

Mujhko do vardaan ram ji 


Lyrics -

mujhko do vardaan ram ji 
sada tumhara naam pukarun
karoon sada vandana tumhari 
apna agla janam sudharun 

chah nahi hai phool banu main 
aur tumhare sheesh chadhun main 
mujhko to bas neer bana do 
sada tumhare charan pakharun 

chah nahi chandan banane ki 
maathe par lagne rehne ki 
mujhko to bas deep bana do 
subah shaam aarti utarun 

prabhu daya ki bheekh maangati 
dwaar tumhare sheesh jhukati 
mujhko to bas divya drishti do 

Shyam teri bansi bhayi re 

                                                    Listen to shyam teri bansi bhayi re 

                                                                              Lyrics-


shyam teri bansi bhayi bairaniya 

jamuna ke tat jal bahrne aayi 
tune kanha aisi bansi bajayi 
sudh bisra ke main hui re banwariya 

bansi vat par raas rachaya 
har gopi ko shyam banaya 
bansi to phir bhi bani re sautaniya 

mujhko apni bansi bana le 
jeevan mera safal bana de 
kanha main to hui teri joginiya 

Shyam tumhara dhaam chhod


Lyrics-

Shyam tumhara dhaam chhod kar aur kahan main jaun 
man mandir mein base hue ttum kisko main batlau 

pada hua vrindavan suna yamuna kehti mujhe nachhuna 
govardhan ki dasha dekh kar dukh man ko hota hai duna 
gopi kehti main is man ka darpan kise dikhaun 

man ke gokul mein tum rehte gokul chhod nahi sakti main 
gop gopiyon se bhi apna naata tod nahi sakti main 
man kehta ab to mohan dhun yahi ramaun

Milun kaise tumse bhagwaan 


Lyrics -

Milun kaise tumse bhagwaan 
milan ko vyakul tan man pran 

sab kehte hai tum ho mujhme lekin tum kuchh nahi bolte
main pukarti reh jati hoom tum adharon ko nahi khole 
tumko dhoondh hui hairaan 

tan ko dekha man mein jhnakha sab ko apne kaam mein paaya 
darpan mein nainon ko dekha unme na tum dikhe na chhaya
kahan chhupe baithe anjaan 

Manwa chal jamna ki ore 


Lyrics -

Tod ke bandhan saare
 chal jamuna ki ore manwa

yah jeevan hai rain andheri 
yeh kaaya hai rakh ki dheri 
toote saans ki dor 

jo tujhko prano se pyara 
toote ga tan ka ektaara
nahi milegi ot 

jeevan hai ek behti dhara 
iska milta nahi kinara 
iska ore na chhor 

kahin nahi milta ujiyaara 
pag pag phaila andhiyaara 
jag hai bada kathor 

Ishwar allah vahe guru 


Lyrics -

Ishwar allah wahe guru chahe kaho shree ram
malik sabka ek hai alag alag hai naam 

sabse prabhu ka pyara naata 
woh hi pita hai woh hi maata 
mandir masjid ya girijaghar 
sabhi prabhu ke dhaam 

geeta bilble ya kuraan 
malik ka sabhi mein gyan hai 
sabka pyara sada banata 
sabke bigade kaam 

sab dharmon ko prem sikhata 
sabko sachhi rah dikhata
door kiya karta hai daata 
sabke kasht tamaam 


0 comments:

Post a Comment