Monday 21 July 2014

J



Jai raghunandan jai siyaram 


Lyrics -

Shree ramchandra ashrit parijaatah
samasta kalyaan guna viramah  
sita mukham guruh chanchareek
nirantar mangal maatnetu

Jai Raghunandan jai siya ram
hey dukhbhanjan tumhe pranaam 

bhant bhant ko neh tumhi sikhlate 
nar naari ke prem ki jyoti jag mein tumhi jalate 
oh naiya ke khevan haare japoo main tumharo naam 

tum ho daya ke saagar prabhu ji 
tum hi paalanhaare 
chain tumhi se paiye hai yeh manwa saanjh sakare 

jo bhi tumhari aas lagaye bane usi ke kaam

Jag Mein Hai Sundar Do Naam

Listen to jag mein sundar hain do naam

Lyrics - 

Jag mein sundar hain do naam
chahe Krishna kaho ya Ram
Bolo Ram Ram Ram
Bolo Shyam Shyam Shyam 

Makhan Brij Mein Ek Churaave
Ek Ber Bhilni Ke Khaave
Prembhav Se Bhare Anokhe
Donon Ke Hain Kaam

Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam


Ek Kams Paapi Ko Maare
Ek Dusht Ravan Samhare
Donon Deen Ke Dukh Harat Hain
Donon Bal Ke Dhaam

Ek Radhika Ke Sang Raaje
Ek Janaki Sang Biraaje
Chaahe Sita-Ram Kaho
Ya Bolo Radhe-Shyam


Ek Hriday Mein Prem Badhaave,
Ek Taap Santap Mitaave,
Donon Sukh Ke Sagar Hain,
Aur Donon Pooran Kaam,

Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam

Jinke hirdaya ram rame 


Jinke hirdaya ram rame unhe kahe ki kami
unko kahe ki kami
jap le ram siya ram bolo ram siya ram

ram ki mahima jo nit gayen unke bhagya hain bhari
ramayana ka paath jo karte unki main balihari
jinke hirdaya ram laganiya aathon yaam lagi
unko kahe ki kami

ram naam tulsi ne gaaya bhav sagar bhaye paara
ram naam jape kabira bhaya ram deedara
ram chunariya odh ke meera joganiya bani
usko kahe ki kami

ram rachaiya saare jag ka sabka jeevan data
wohi bandhu pran atma guru pita aur mata
unki shran mein lago bhaiya unsa koi nahi

phir to kahe ki kami


Jai  shree Ram Jai JAi shree Ram



Jai  shree Ram Jai JAi shree Ram
Yahi naam bhaya mukti ka dhaam
Ise rate paaye aaraam 
Ram tumhe hai koti pranaam  

Shree ram hi bhagwan shree Ram ka mahaan
Brahma roop hain kar lo dhyan daya rop hain kripa nidhan

Sree Ram ke naam hazar shree ram karen bhav paar 
Yahi naam jag aadhar isi naam mein hai sukh ka saar  

kare atma nitya vivhore le jaaye satya ki ore
Iska koi ore na chhor yei naam hai moksha ki dor

jake priya na ram baidehi

Listen to jake priya na Ram baidehi 

Lyrics- 

jaake piya na ram baidehi 
so chadiye koti bairi sam yadyapi param sanehi 
Tajyo pita prahlad vibhihan bandhu bharat mahtari
bali guru tyajo kant brij bani tani bhaya mud mangalkari
naate neh ram se maniyat subhag susebya jahanlo 
anjan kahan wa aankh jehi phute bahutak kaho kahanlo
tulsi so sab bhanti paramhit pujya pran te pyaro
jaso hoya saneha ram pada aito mato hamaro


Jape hum shree ram ka naam



Thaka tri taapon se yah maanav paye ga aaram
Jape hum Shree Ram ka naam

Sharnagat ho raghunayak ke paayenge sukhdham 
Yah jeevan chalta jayega pal pal hi aviraam

Sankat jab jab aaye dhara par bane sahayak Ram 
Hume ubaro hey parmataman shat shat koti pranaam



Jab hi raghupati sang siya chali 




Lyrics-

Jab hi raghupati sang siya chali
Vikal viyog log pur tiya kahe
aati anyaya bhayi
kou kahe manigan tajat kanchlagi
karat na bhoop bhali
kou kahe kul kubeni kaikayi
uka vishaya phal na phali
tulsi kul ish hu ki kathor ka
tehi leni dalaki dali


Jab janki nath sahaya

Listen to Jab janki naath sahaya 

Lyrics-

Jab janki nath sahaya kare 
tab kaun bigad kare nar tero
Suraj mangal som bhrigu sut 
Budh aru guru vardayak tero
rahu ketu ke nahi gamyata
Sang sanishchar hoya uchero




Jinke hirdaya sri ram base 

Listen to Jinke hirdaya sri ram base 

Lyrics-

Twameva mata cha pita twameva
twameva bandhu scha sakha twameva 

Jinke hirdaya sri ram base
un aur ko naam liyo na liyo

koi mange kanchan si kaya 
koi maang raha prabhu se maaya
koi punya karen koi daan karen 
koi daan ka roz bakhan kare
jin kanyadhan ko daan diyo
un aur ko daan diyo na diyo 

koi ghar mein baitha naman kare 
koi hari mandir mein bhajan kare 
koi ganga jamuna snaan kare
koi kashi jaake dhyan dhare 
jin maat pita ki sewa ki 
un teerath snaan kiyo na kiyo 

Jagiye raghunath kunwar

Listen to jagiye raghunath kunwar

Lyrics -

(Aadidev namahstubhayam 
Praseed mam bhaskar 
Divakar namostubhyam 
Prabhakar namostute )surya stuti 

Jagiye Raghunath kunwar
panchhi ban bole
chandra kiran sheetal bhayi 
chakayi piya milan gayi 
Trividh mand bahat pavan
Pallav drum dore

Prat bhanu pragat bhayo 
Rajini ko timir gayo
bhringg karat gunj gaan 
kamalan dal khole

brahmadik dharat dhyan 
sur nar muni karat daan 
jagan ki ber bhayi 
nayan palak khole

tulsidas ati anand 
nirakhi ke mukharvind
deenan ko det daan 
bhushan bahu mole 

Janani main na jiyun bin rama


Listen to janani main na jiyun bin ram 

Lyrics- 

janani main na jiyun bin Ram 
Ram lakhan siya banhi gaman kiye
Pita gayen sur dham

hot bhor humhu ban jaibe 
avadh aave kehi kaam 
Kapati kutil kubudhhi abhagin 
kaun haro tero gyan

sur nar muni sab dosh det hain 
nahi kiyo bhal kaam 
tulsidas prabhu aas charan ke 
bhayen vidhata baam 


Jai shree ram jai shree ram 

Listen to jai shree ram


Lyrics -


                                  Jai Jai Ram Jai Shri Ram, Do Akshar Ka Pyaara Naam,

Jai Jai Ram Jai Shri Ram, Do Akshar Ka Pyaara Naam
Ram Naam ke japne se hi- Ram Naam ke japne se hi
ban jate sab bigade kaam


Madhu-kaitav do Daityo ko, Matsya roop se Maara,

Vedon Ka Udhar Kiya, Magan Hua Jag Saara

Saagar Manthan Mein Prabhu Ne, Kashyap Roop Banaya,

Apani Preeth Par Madhura chal, Parvat Ka Bhaar Uthaya

prithavi ki Raksha ke liyeeeee, baaraah roop mein aaye..

Hiranyaksh ko Maar Ke Dharti Jal Ke upaara Laaye

Bhakt Prahalad ki Rakha ko Prabhu ne Narsimha Avataar Liya;
abhimaani Atyachaari Hiranyakashayap ko maar diya
bhoomi teen pag mang ke Bali se Vaman Roop Virat Kiya

Bali ke ser par pag dhar ke prabhu ne uska udhaar kiya

Prashuram Avtaar Prabhu ka Jagat Prasidh Kahaye

treta yug mein Prabhu ne hi, Shri Ram roop mein Janam Liya;
janak Sabha mein Shiv ke Dhanush ko thod Siya se Viah kiya.
jab Dwapar yug aayega, Avataar KRISHNA ka lege prabhu
Sanghar Kansa ka karke Tanhi Santaap Jagat Ka harenge Prabhu
Jab Ghar ghar hinsa phalegi, prabhu Budh roop mein aayenge
(Budham Sharnam Gagchami, Budham Sharnam Gagchami)
Manav ko prem Ahinsa ka prabhu pawan path padayenge

Hoga Kalpi Avataar Prabhu ka, Jab ghor kalyug aaye;

Dharti pe adharm ki chaya kahin na rehne paaye.




Jai ram rama ramanam shamanam


Lyrics-

jai ram rama ramanam shamanam bhabha tapa bhaya kul pahi janam 

mahi mandala mandala charo tarang dhrita sayata chapa nishang gawaram

jai ram shri ram 
jai jai ram shri ram

muni manasa pankaja bhringa bhaje raghubir maha ranaveer ajay
tawa naam japami namami hari bhawa roga mahamada maana ari

guna sheela tripa parmayatanam pranamami nirantar shree ramanam
raghu nanda nikandaya dhwandwa dhanam mahi pala bilokaya dina janam


0 comments:

Post a Comment