Friday, 25 July 2014

When you remember.... God !



Tu pyar ka saagar hai 


Tu pyar ka saagar hai teri ek boond ke pyase hum 
lauta jo diya tune chale jaayenge jahan se hum

Ghayal man ka paagal panchhi 
udne ko beqraar
pankh hai komal aas hai dhundhali 
jaana hai sagar paar
ab tu hi ise samjha 
raah bhule thein kahan se hum

idhar jhoom ke gaaye zindagi 
udhar hai maut khadi
koi na jaane kahan hai seema 
uljhan aan padi 
kaanon mein zara keh de 
ki aaye kaun disha se hum 

Itni Shakti hume de na daata 


Lyrics -

itni shakti hume de na daata man ka vishwas kamzor ho na 
hum chale nek raste pe humse bhool kar bhi koi bhool ho na 

door agyaan ke ho andhere tu hume gyan ki roshani de 
har burai se bachte rahe hum jitni bhi de bhali zindagi de 
bair ho na kisi ka kisi se bhawana man mein badle ki ho na
hum chale nek  raste pe ....

hum na soche hume kya mila hai ,hum ye soche kiya kya hai arpan 
phool khushiyon ke baante sabhi ko ,sabka jeevan hi ban jaaye madhuban 
apni karuna ka jal tu baha ke kar de paawan har ek man  ka kona 
hum chale nek raste pe humse .....

Itna to karna swami 


Lyrics-

Itna to karna swami jab pran tanse nikale 
govind naam leke tab pran tan se nikale

shree ganga ji ka tat ho yamuna ka vanshivat ho 
mera saanwara nikat ho jab pran tan se nikale 

shree vrindavan ka sthal ho ,mere mukh mein tulsidal ho 
vishnu charan ka jal ho , jab pran tan se nikale 

jab kanth pran aave koi rog na satave 
yam darash na dikhave jab pran tan se nikale 

sudhi hove nahi tan ki, taiyari ho gaman ki 
lakdi ho braj ke van ki jab pran tan se nikale

yeh nek si araz hai mano to kya harz hai 
kucch aap ka farz hai jab pran tan se nikale  

Manmohana 


Lyrics -

Manmohana.....
 kanha suno na 
tum bin  paun kaise chain 
tarsun tumhi ko din rain 

chhod ke apni kashi mathura
 aake baso mere nain 
tum bin paun kaise chain 
tarsu tumhi ko din rain 

ek pal ujiyara aaye ek pal andhiyara chhaye 
man kyun na ghabraye kaise na ghabraye 
man jo koi badha apni rahon mein paaye 
kaun disha jaaye, tumbin kaun samjhaye 
raas rachaiya vrindavan ke gokul ke vasi 
shyam salone nandlala krishna banwari 
main too hoon tan man haari 
manmohana manmohana ......

jeevan ek nadiya hai lehron lehron behti jaaye 
isme man ki naiya doobe kabhi tar jaaye
tum na khivaiya ho to koi kaise tat paaye 
majhdhar wah langhe jo tumhari sharan aaye 
 main hoon tumhari tunhara yeh mera jeevan 
tumko hi dekhu main dekhu koi darpan 
bansi ban jaaubgi in hothon ki ho jaaungi 
in sapno se chal kar hai mera aangan 


Hey mero manmohana


Lyrics -


hey mero manmohana aayo nahi nahi sakhi ri

kai kahun kaaj kiya santan ka
Kai kahun gail bhulavana ..
Kahan karoon kit jaaun sajani
lage hai birha satavana ..
Meera dasi darshan pyasi
hari charna chit laav na ..

Laaj rakho giridhari 

Listen to laaj rakho giridhari

Lyrics -

Laaj rakho giridhari

jaisi laaj rakhi arjun ki bharat yuddh majhari
saarthi hoke rath ko haakyo chakra sudarshan dhari
bhagat ki tek na taari

jaisi laaj rakhi draupadi ki hone na dinhi ughari
khechat khechat dou bhuj thake
duhshashan pachhaari

surdas ki laaj rakho prabhu ab to hai rakhwari
radhe radhe srivar pyare  shrivrishbhan dulari
sharan mein aayo tihari 

Manmohan kanha 

Listen to manmohan kanha

Lyrics -

Manmohan kanha vinati karoon din rain 
Rah take mere nain 
Ab to daras dedo kunj bihari 
Manva hai bechain 

Neh ki dori tum sang jori 

Humse to nahi jaavegi todi 
Hey murali dhar krishna murari 
Tanik na aave chain 
Raah take mere nain ....

Suna suna laage 

Listen to suna suna lage

Lyrics -

maiya ki mamta taji taj baba ka pyar
gwal baal ki mitrata gopiyan ki manohaar

taj ke sab parivaar ko taj murli ki taan
apno  se mukh mod ke mathura chale  gopal

Suna suna laage biraj ka dhaam
gokul ko chhod chale re ghanshyam

jjamuna roye madhuban roye  roye kadamb ki chhaiyan
bhar bhar naina roye re gwale  roye biraj ki gaiyan
rah rok kar roye mansukha bicchad rahe ghanshyam re

bol sake na ban ke panchhi asuvan se bahre naina
aaja kanha na jaa kanha kooke re pinjare ki maina
nadiya roye girivar roye le kanha ka naam re

prem diwani radha rani bhar nainan mein paani
suak subak kahe haye re kanha  tune birha ki peer na jani
kaise kate gi tum bin sathi jeevan ki ab shaam re 

Meri pat rakho giridhari 

Meri pat rakho giridhari

Lyrics -

Pat rakho giridhari
pat rakho re giridhari

Meri pat  rakho giridhari
main dukhiya sharan tumhari

chhod tumhara dwar prabhu main kiske dware jaun
tum bin mera kaun sahara kiski aas lagaun
yeh bolo krishna murari

dekho  mari beech bhanwar mein doob rahi hai naiya
charon ore hai ghor andhera koi nahi khewaiya
toofaan utha hai bhari mujhe shakti do banwari

A turning point in my life when I was 12 years old .
It may 

Geeta saar 

Listen to vyarth chintit ho rahe ho

Lyrics -

Vyarth chintit ho rahe ho, vyarth dar kar  ro rahe ho
ajanma hai amaratma ,dharma jeevan kho rahe

jo hua accha hua jo ho raha accha hi hai
hoga jo accha hi hoga yeh niyam saccha hi hai
kal bhula do bojh kal ka aaj tum kyu dho rahe ho
ajanma hai amaratma ....

hui bhuri bhulon ka phir aaj paschataap kyun
kal jo hoga anischit hai aaj phir santaap kyun
jut pado kartavya mein baant kiski jo rahe ho
ajnma hai amaratma .....

kya gaya tum ro pade tum roye kya the kho diya
hai hua kya nasht tumne aisa kya tha kho diya
vyarth glani se bhara man aansuon se dho rahe ho
ajnma hai amaratma .......

Leke khali haath aaye jo liya yahi se liya
jo liya us b se usko jo diya yahi par  diya
jaan kar dastoor jag ka kyun pareshan ho rahe ho
ajanma hai amaratma.......

jo tumhara aaj hai kal woh hi tha kisi aur ka
hoga parson jaane kiska yeh niyam is daur ka
magan ho apna samajhna dukhon ko sanjo rahe ho
ajnma hai amaratma ...

jisko tum mrityu samajhte hai wohi jeevan tumhara
hai niyam jag ka badalna kya paraaya kya tumhara
ek kshan kangaal ho kshan bhar mein dhan se bho rahe ho
ajnma hai amaratma ...

mera tera bada chhota bhed yeh man se mita  do
sab tumhare tum sabhi ke phaasle man se hata do
kitne janmon tak karo ge paapp kar tum jo rahe ho
ajanma hai amaratma ....

hai kiraye ka makaan na tum ho iske na tumhara
panchtatwon ka bana ghar deh kucch din ka sahara
is makaan mein ho musafir is kadar kyun so rahe ho
ajanma hai amaratma ....

utho apne aap ko bhagwaaan ko arpit karo
apni chinta shok aur bhaya sab use arpit karo
hai wohi uttam sahara kyun sahara kho rahe ho
ajanma hai amaratma ...

jab karo jobhi karo arpan karo bhagwaan ko
swatah ko kar do samarpit tyag do abhimaan ko
mukti ka aanand har pal sarvada kyu kho rahe ho
ajnma hai amaratma...


Rehna nahi des birana hai 

Rehna nahi des birana hai


lyrics --

Rehna nahi des birana hai
rehna nahi sun bhai sadho rehna nahi
yeh sansar kaagaz ki pudiya bund pade ghul jana hai
yeh sansar jhad aur jhakad aag lage bar jana hai
yeh sansar kante ki badi ulajh ulajh mari jana hai
suno bhai sadho ulajh ulajh mari jana hai
kehat kabira suno bhai sadho
sad guru naam thikana hai

Asha ke deep jale 

Listen to asha ke jab deep jale

Lyrics -

asha ke jab deep bujhe to man ka deep jala
jag ka rasta chhod ke bhagwan teri ore chala

apni chhaya mein bhagwan bitha le mujhe
main hoon tera tu apna bana le mujhe

ab mujhe gam ka gam na khushi ki khushi
hai andhera bhi mere liye roshani
main jiyun jab talak aajma le mujhe

dekh kar main kisi ki khushi na jaloon
raah insaaniyat ki hamesha chaloon
bhool jaun to jag se utha le mujhe 

Nainan neer bahe 

Listen to nainan neer bahe

Lyrics -

Nainan neer bahe shyam ki peer sahe
akhiyan aas rahe
nainan  neer bahe ...

man mor nit kahe pihu pihu tor rahe
kaunan gaanv gaye darshan unan chahe
chhabi ki lagan lage preet ki reet yahe
shyam das ki chaah  pulkit jiya rahe

If you have ever felt the effect of true devotion , this song is for you ! Seriously try this .You will feel how sophisticated and pious the God is .

Mujhe maloom hai ki bhakti sabko naseeb nahi hoti 

lekin jise hoti hai us sa kushnasib koi doosara nahi hota .

Thats why the demon vrittasur asked for such a boon from lord vishnu that he may always find company of  the lord's devotees ,so that he may never get far from the mediation of Lord Vishnu .


Kyu ki agar aap bhagwaan ko jaante hain to aap ke liye sab kuchh jhooth hai 

lekin agar aap ne jhooth ko apna sab kuchh bana liya to aapka bhagwaan aap ke liye jhooth hai .

And one who runs after perishable things will be perished till that perishes upon which he depends .


The devotion starts you from 0 but takes upto infinity .Thats why "bade se bada moorakh bhi isko paake mahan gyani ban jaata hai ".Because the distance between 0 to infinity it covers by itself .See how ..beacause when a person lives to fulfill his desires of worldly interests ,he is blind to see anything except the material world but as he gets devotion he reaches directly to the God ,who is complete .It is a long matter to discuss ..so leave it upto this only and listen to these bhajans ... :)


Main kaise aaungi 

Listen to main kaise aaungi

Lyrics -

Main kaise aaungi main kaise aaungi
saanwariya hari bikat nagariya main kaise aaungi
naam  nishani haara panth duhela
chehat dekh mera tan man jariya main kaise aaungi
jab lagne jo hari pahuchat nahi
tab lag aave khali dagariya main kaise aaungi
begampur mein soyi  jan jaave
rom rom jinke prem ki pudiya main kaise aaungi
kahe kabira soyi jan pahunche
brahma agan par tan man jariya

Koi kahiyo re 

Listen to koi kahiyo re 

Lyrics -

koi kahiyo re prabhu aavan ki aavan ki man bhavan ki
aap na aaye likh nahi bheje bana pari lalchavan ki
yeh dou naina kahyo nahi mane nadiya bahe jaise saavan ki
koi kahiyo re prabhu aavan ki
kahan kara kachu nahi bas mero paankh nahi ud jaavan ki
meera kahe prabhu kabre miloge cheri bhayi hun tere naaman ki 

Ai malik tere bande hum 


Lyrics -

Aye Maalik Tere Bande Hum
Aise Ho Humaare Karam
Neki Par Chale, Aaur Badi Se Tale
Taki Haste Hue Nikale Dum

Ye Andheraa Ghanaa Chhaa Raha

Tera Insaan Ghabara Raha
Ho Rahaa Bekhabar 

 Kuchh Naa Aataa Najar
 Sukh Kaa Sooraj Chhipa Ja Raha
Hai Teri Roshani Mein Jo Dam

 Tu Amaawas Ko Kar De Poonam

Badaa Kamajor Hain Aadami

 Abhi Laakhon Hain Is Mein Kami
Par Too Jo Khadaa

Hain Dayaaloo Badaa
Teree Kirapa Se Dharati Thami
Diya Tune Hume  Janam 


Tu he le lega Hum sab ke Gam

Jab Julmon Kaa Ho Saamanaa

 Tab Tu Hi Hume Thamna 
Wo Buraee Kare
 Hum Bhalaaee Bhare
 Naheen Badale Kee Ho Kaamanaa
Badh Uthhe Pyaar Kaa Har Kadam 

Aaur Mite Bair Kaa Ye Bharam




0 comments:

Post a Comment