Friday 5 May 2017

Rafi bhajans "M"


Ma jag tere charno me aayo bholi ma


Maa Jag Tere Charano Mein Aayo Bholi Maa 

Lyrics -


Bol sanche drabar ki
Ma jag tere charno me aayo bholi ma
Jag tere charno me aayo bholi ma
Jag tere charno me aayo bholi ma
Darash dikha de bigdi bana de
Darash dikha de bigdi bana de
Bhakto ne shish jhukayo bholi ma
O jag tere charno me aayo bholi ma
Jag tere charno me aayo bholi ma
Man bhi tera tan bhi tera
Rom rom tera pyasa bholi ma
Aankho me hai tera drashan
Dil me tera dilasha
Hath jodkar vinti karte
Hath jodkar o jyotawaliye
Latawaliye hath jodkar vinti karte
Bhakto ke dukhde mitayo bholi ma
Ma bhakto ke dukhde mitayo bholi ma
Ma jag tere charno me aayo bholi ma
Ma jag tere charno me aayo bholi ma
Chahe bure hai chahe bhale hai
Jo kuch bhi hai tere bholi ma
Kadam kadam par dip jala de
Chhaye ghor andhere
Bhatak gaye jo balak tere
Bhatak gaye jo jyotawaliye
Latawaliye bhatak gaye jo balak tere
Unko rah dikhayo bholi ma
Ma unko rah dikhayo bholi ma
Ma jag tere charno me aayo bholi ma
Ha jag tere charno me aayo bholi ma
Mahishasur aur sur nishumb
Jais rakshas chun chun mare bholi ma
Ambar lochan chund mund durjan
Narko me hai utare, bharo ka sar
Kat ke kali, bharo ka sar
O jyotawaliye latawaliye bharo ka sar
Kat ke kali pavo ke niche dabayo bholi ma
Ha pavo ke niche dabayo bholi ma
Ma jag tere charno me aayo bholi ma
Ha jag tere charno me aayo bholi ma
Darash dikha de bigdi bana de
Darash dikha de bigdi bana de
Bhakto ne shish jhukayo bholi ma
O jag tere charno me aayo bholi ma
Ma jag tere charno me aayo bholi ma
Sare bolo jai mata ki jai mata ki
Jai mata ki milke bolo jai mata ki
Jai mata ki jai mata ki zor se bolo
Jai mata ki jai mata ki jai mata ki
Bhakto bolo jai mata ki jai mata ki jai mata ki
Sare bolo jai mata ki  zor se bolo jai mata ki
Khul ke bolo jai mata ki phir se bolo jai mata ki
Jai mata ki jai mata ki jai mata kijai mata ki
O latawaliye ma jai mata ki jai mata ki jai mata ki
O latawaliye jai mata ki jai mata ki jai mata ki.

Mahakavi Shri Vedvyas Ki

Mahabharat Katha


Lyrics -


Mahakavi Shri Vedvyas Ki Aarathi Sabhi Utarat Hai,
Jinki Lekani Se Nikala, Yeh Mahakavya Mahabharat Hai..
Bahut Din Bite Purani Baat Hai,
Aaj Tak Jo Vishw Mein Vikhyath Hai,
Hastinapur Naam Ki Thi Ik Yahan Nagari Badi,
Heere Panon Motiyon Ki Aab Se Jab Mag Jadi,
Jiske Upar Chandra Vanshi Rajavon Ka Raj Tha,
Jiske Raja Pandu Par, Saari Praja Ko Naaz Tha,
Is Katha Mein Zor Hai, Aandhiyon Kaa Shor Hai,
Bheem Arjun Kaa Parakram, Draupadi Ki Hai Vyatha,
Jisne Di Bharat Ko Geeta, Voh Mahabharat Katha,
Yeh Mahabharat Ki Katha, Yeh Mahabharat Ki Katha..
Pandu Se Pandav Huve, Dhritrashtra Se Kavrav Huve,
Ik Zameen Ke Kalank, Duje, Jagath Ke Gaurav Huve,
Dusht Duryodhan, Adharm Ki Raah Par Chalne Laga,
Nij Chachere Bhaiyon Se, Vyarth Hi Jalne Laga,
Kintu Pandusut Yudhisthir, Dharam Ke Avtaar The,
Bhai Se Bhai Na Jhagade, Unke Shudh Vichaar The,
Krishna Ka Upadesh Hai, Manata Sab Desh Hai,
Bheem Arjun Kaa Parakram, Draupadi Ki Hai Vyatha,
Jisne Di Bharat Ko Geeta, Voh Mahabharat Katha,
Yeh Mahabharat Ki Katha, Yeh Mahabharat Ki Katha..
Ay Rakhi Bandhawane Wale, Kahan Chupe Ho Krishna Murar,
Panch Pandavon Ki Panchaali, Bhari Sabha Mein Kare Pukaar..
Dharamraj Bane Juvari, Jhooti Sid Par Ad Gaye,
Pandavon Ki Akal Par Bhi, Haaye Pattar Pad Gaye,
Kauravon Ki Nagntha Par, Paap Yeh Chadne Laga,
Mahabharat Mein Pralay Ka, Beej Yeh Padne Laga,
Dusht Dushasan Adharmi, Vastra Keche Jaa Raha Hai,
Thak Gaye Yeh Haath Par, Saadi Ka Ant Na Aaraha,
Purush Voh, Haathon Mein Jinke, Dharam Ki Talvaar Ho,
Inke Haathon Mein Hai Saadi, Veeratha Dhikaar Ho,
Laaj Naari Ki Na Jaaye, Jo Jagath Ki Maat Hai,
Iske Izzat Abaru, Pyaare Prabhu Ke Haath Hai,
Shashtra Sab Yodha Liye, Chup Hai Sar Neecha Kiye,
ChakrDhari Ne Mitaayi, Draupadi Ki Yeh Vyatha
Jisne Di Bharat Ko Geeta, Voh Mahabharat Katha,
Yeh Mahabharat Ki Katha, Yeh Mahabharat Ki Katha..
Sukh Jaata Hai, Dukh Aata, Dukh Jaata Hai, Sukh Aaata,
Kintu Pandavon Ke Jeevan Ka, Dukh Hi Dukh Se Naata,
Likha Bhagya Ka, Kabhi Na Tal Tha, Honahaar Hoti Hai,
Dekh Pandavon Ko Banavasi, Dharati Bhi Roti Hai,
Dharam Raj Kehelane Wale, Chod Ke Ghar Sansaar Chale,
Sang Draupadi Ban Ban Bhatake, Raj Paat Sab Haar Chale,
Arjun Ka Ghandeev Aaj Nahin, Is Vipada Kaa Bhar Hare,
Gadha Bheem Ki Mahabali Ke, Kandhon Par Araam Kare,
Ab Na Mile, Aakash Hi Chat Hai, Dharti Inka Bichona Hai,
Raj Vanshiyon Ko Ab Tho, Ban Ke Kanton Par Sona Hai,
Bhari Baiti Door Anokhe, Beej Naye Boti Hai,
Dekh Pandavon Ko Banvasi, Dharati Bhi Roti Hai,
Jungle Mein Mangal Chaaya Hai, Bhulgaye Voh Pichle Pal,
Panchali Ke Liye Bheem, Nikale Hein Laane, Swarankamal,
Saamne Yeh Kaun Jiska, Rang Bhi Ranga Ang Hai,
Vridh Hai Vanar Magar, Kya Josh Hai Kya Umang Hai,
Puch Inki Shakti Shaali, Raah Mein Bajarang Hai,
Jai Pawan Putr Mahaan, Jai Jai Banture Balwaan,
Jai Hey Raam Priya Hanumaan,
Chakrvuh Ka Chakr Ghira Hai, Kavrav Dal Ki Chaal Hai,
Aaj Kaal Ki Chaati Par, Abhimanyu Jaisa Bal Hai,
Saamne Is Vuh Mein, Pehele Jaidrath Aagaye,
Veer Abhimanyu Ke Haathon, Yeh Bhi Muki Khagaye,
Pehele Socha Maar Daalun, Kya Yahi Satkarma Hai,
Phir Kaha Na Maarana, Murchit Ko Ghor Adharam Hai,
Chal-Kapat Ki Yeh Ladaayi, Dekh Kar Hoti Vyatha,
Saat Yodhavon Se Ladate, Ek Balak Ki Katha,
Yeh Mahabharat Ki Katha, Yeh Mahabharat Ki Katha..
Saamne Dekha Khade Yeh Karan Sar Uncha Liye,
Ban Abhimanyu Ka Chuta, Dhanush Ke Tukde Kiye,
Hila Dushasan Ka Aasan, Voh Bhi Bhaga Kampa Ke,
Kaun Aage Aayega, Jwalamukhi Is Aag Ke,
Ab-lo Dekho, Bha-na-jon (Bhanjon) Ke, Pyaare Mama Aagaye,
Aaj Yeh Pase Na Palte, Ulte Jhasan Kha Gaye,
Idhar Dekho Dhanur Dhari, Shalya Saj-dhaj Kar Khada,
Yeh Bhi Toota Istarah, Jun Daal Se Pata Jhada,
Jwal Bhadaki Aaj Duryodhan Ki Bhi Na Khair Hai,
Aaj Vish Uglega Yeh, Sadiyon Purana Bair Hai,
Sab Ne Socha, Istarah, Balak Yeh Baaz Na Aayega,
Kutniti Se Ise, Maro, Tabhi Mar Jaayega,
Ik Taraf Saathon Maharathi, Ek Taraf Balak Akela,
Phir Bhi Jab Tak Pran Tan Mein, Kshatriyon Ka Khel Khela,
Vah Vah Pyare Bhatije, Tujh Se Ujwal Vansh Hai,
Aa Gale Mille Ghadi Bhar, Tu Humara Ansh Hai,
Is Tarah Ik Chaal Kapati, Chhali Duryodhan Chala,
Gale Milne Ke Bahane, Nij Bhatije Ko Chhala,
Pit Par Abhimanyu Ke, Ik Baan Dhoke Ka Chala..

Mahima Shree Ram ki

Mahima Shri Ram Ki 


Lyrics -

jehi sumirat siddha hoyi gananayak tarvarvadan

karahu anughrah soyi buddhi rashi siddhi sadan 

Mahima Shree Ram ki
do akshar ka ram naam hai
balihari is naam ki
dharti gaaye ambar gaaye
mahima shree ram  ki

sur ranjan bhanjan mahi bhaga
hari jagdeesh bhuiye  ab kaga
parasu jaat pad pankaj bhuri
tari ahilya ut agh ughi
dharti aakaash agni paan pawan mein
man ke nayan se dekho chhayi chetan
chhavi sukhdham ki

mudit kahahi jahan tah nar nari
bandau ram sang bhal bhari
bhayau ram sang siya biyahu
sur nar naag vidit sab kahu
ram ji ki maaya sare jag ko nachati
bhakti miti moh maaya se bachati
andhakaarnashini

tapas besh bes
chaudah baras ram banwasi
kewat ati anand au raja
prabhu ke charan pakharan laga
majhdhaar mein bhi usko milta kinara
ram raghurai jisko deta sahara
dukh ki vinashini

Man re tan hai dukh ka gaon


Man Re Tan Hain Dukh Ka Gaon


Lyrics -

Man re tan hai dukh ka gaon

jeevan sukh ya dukh koi jo soche uljhe
ram naam ke sumiran se hi har ek uljhan suljhe
kaante bhi dete hai chhaon

sahar adhoora log adhure koi na jag mein poora
dukh bhi lekar aanshu chhalkar nache gaan mayura

Man Tadpat Hari Darasan Ko Aaj

Man Tarpat Hari Darshan Ko Aai


Lyrics -

Man Ta.Dapat Hari Darasan Ko Aaj More Tum Bin Biga.De Sakal Kaaj Aa, Vinatii Karat, Huu.N, Rakhiyo Laaj, Man Ta.Dapat... Tumhare Dvaar Kaa Mai.N Huu.N Jogii Hamarii Or Nazar Kab Hogii Sun More Vyaakul Man Kii Baat, Ta.Dapat Harii Darasan... Bin Guruu Gyaan Kahaa.N Se Paauu.N Diijo Daan Harii Gun Gaauu.N Sab Gunii Jan Pe Tumhaaraa Raaj, Ta.Dapat Harii... Muralii Manohar Aas Na To.Do Dukh Bha.Njan More Saath Na Chho.Do Mohe Darasan Bhikshaa De Do Aaj De Do Aaj,...

Man re tu kahe na dheer dhare 

Man Re Tu Kahe Na Dheer Dhare 


Lyrics -

Man re tu kahe na dheer dhare 
wo nirmohi moh na jaane jinka moh kare

is jeevan ki chadhai dhalti dhoop ko kisne bandha
rang pe kisne pehre daal,e roop ko kisne bandha 
kahe ye jatan kare

tna hi upkaar samajh jitna koi saath nibha de 
janam maran ka mel hai sapna ye sapna bisra de
koi na sang mare 

Manamohan mann me ho tumhi

Manmohan Man Mein


Lyrics -


Manamohan mann me ho tumhi
Manamohan mann me ho tumhi
More ag ag tumhi samaaye
Jaano ya jaano na ho tumahi
Manamohan mann me
Manamohan mann me
Man me
Ho tumhi ho  tumhi
Manamohan mann me ho tumhi
More ag ag tumhi samaaye
Jaano ya jaano na ho tumahi
Manamohan mann me
Dekh dekh tori chhab saanvariyaa
Dekh dekh tori chhab saanvariyaa
Bani hai raadhaa tumhari baanvariyaa
Rom rom tumhare gun gaaye
Maano yaa maano naa ho tumhi
Manamohan mann me
Dekh dekh tori chhab saanvariyaa
Hoo bani hai raadha tumhari baanvariyaa
Dekh dekh tori chhab saanvariyaa
Bani hai raadhaa tumhari baanvariyaa
Rom rom tumhare gun gaaye
Maano yaa maano na ho tumhi
Manamohan mann me

Mori binati suno bhagavaan


Mori Binti Suno Bhagwan


Lyrics -

Mori binati suno bhagavaan, ab mori binati suno bhagavaan
Aaj meri tooti beena mein phir se daaro praan

Na maangu yah mahal-khazaane na maangu yah taaj
Aaj bhare darabaar mein svaami rakhiyo meri laaj
Raagi ko bas saat suron ka daata de varadaan
Ab mori binati suno bhagavaan

Sooraj ki raftaar badal de, maan tu rakh le mera
Jab tak toota taar na bole, jag mein rahe andhera
Shabanm se nikale angaare daal-daal jal jaaye
Kaanto se bhar jaaye bagiyaa, reti phool khilaaye
Jis jag mein sangeet nahi vah ho jaaye shamashaan
Vah ho jaaye shamashaan (4)

More shyam pal pal mere mukh se nikale

More Shyam Pal Pal Mere Mukh Se Nikle


Lyrics -

More shyam pal pal mere mukh se nikale
nisdin tero naam
tere charan ki main hoon dasi
le ja jaldhaar
bhatak na jaun jeevanasha
phir aayi hai shaam

daras ki baat ab to bhula do
dhoond phiri nandgaanv
man ki muraliya woh sir khoje
jinme base ho shyam

Ho na saki main Radha teri
phir bhi pujaaran hoon main
hansi udaaye Brij ke baasi
preet hui badnaam

More ram re tori nagri ajab virani

More Ram Re Tori Nagri Ajab Veerani


Lyrics -


more ram re tori nagri ajab virani
tori nagri ajab virani
jhilmil maya ki chaadariya odhe bani diwani
more ram re tori nagri ajab virani
tori nagri ajab virani
rup rang ki is kaya par nach raha nar nanga
nayan nayan se preet lagaye deepak jale patanga
re murkh ye kanchan kaya mati me mil jani
log kahe ghar mera
more ram re tori nagri ajab virani
tori nagri ajab virani
tori nagri ajab virani
tinke chun chun mahal banaya
na ghar tera na ghar mera chidiya rain basera
more ram re tori nagri ajab virani
thi jo kal tak rani ghar ki aaj hui begani
Mori binati suno bhagavaan

Meri Vinti Suno Bhagwan


Lyrics -

Mori binati suno bhagavaan, ab mori binati suno bhagavaan
Aaj meri tooti beena mein phir se daaro praan

Na maangu yah mahal-khazaane na maangu yah taaj
Aaj bhare darabaar mein svaami rakhiyo meri laaj
Raagi ko bas saat suron ka daata de varadaan
Ab mori binati suno bhagavaan

Sooraj ki raftaar badal de, maan tu rakh le mera
Jab tak toota taar na bole, jag mein rahe andhera
Shabanm se nikale angaare daal-daal jal jaaye
Kaanto se bhar jaaye bagiyaa, reti phool khilaaye
Jis jag mein sangeet nahi vah ho jaaye shamashaan
Vah ho jaaye shamashaan (4)

Mere Shyaam Tera Naam

Mere Shyam Tera Naam Bole Man Subah Shyam


Lyrics -

Mere Shyaam Tera Naam, Bole Man Subho Shaam,
Mere Shyaam Tera Naam, Bole Man Subho Shaam,

Jab Tak Tera Bhajan Na Gavun,
Man Panchi Atulaaye,
Us Din Jag Mein Dhoop Na Nikale,
Us Din Raat Na Aaye,
Mera Jeevan Teri Pooja,
Aur Na Mujh Ko Sooje Dooja Koyi Kaam,

Tere Rang Ke Aage Lagata,
Rang Jagath Ka Phika,
Aur Na Kuch Sunta Hun Jab Tu,
Chede Sur Bansi Kaa, Khoojaata Hai,
Man Brindaavan,
Tere Do Charanon Mein Mohan Mera Dhaam,

Mere Shyaam Tera Naam, Bole Man Subho Shaam,
Mere Shyaam Tera Naam, Bole Man Subho Shaam

Mere ram kaha ho tum

Mere Raam Kahan Ho Tum


Lyrics -


Mere ram kaha ho tum
Mere ram kaha ho tum
Biraha ka dukh na saha jaye
Mere ram kaha ho tum
Mere pran kaha ho tum
Mere pran kaha ho tum
Ke tum bin ab na raha jaye
Mere pran kaha ho tum
Chand tumhe meri dharti pal mein
Chand tumhe meri dharti pal mein
Kali kamal ki phunk ke jal mein
Aaj chhupi kis badal dal mein
Aaj chhupi kis badal dal mein
Mukh na dukh laye
Mere pran kaha ho tum
Ke tum bin ab na raha jaye
Mere pran kaha ho tum
Charan tumhare mujhse chhuke
Charan tumhare mujhse chhuke
Aash na tuti na aansu ruke
Tumse itna ruthe
Tum to humse utna ruthe
Dukh mein nahi aaye
Biraha ka dukh na saha jaye
Mere ram kaha ho tum
Chand siya se mujhko milaye
Chand siya se mujhko milaye
Raah mein megh laga hai deep bhuja jaye
Mere ram kaha ho tum
Mere pran kaha ho tum
Ke tum bin ab na raha jaye
Mere pran kaha ho tum
Kaha ho tum kaha ho tum
Kaha ho tum
Kaha ho tum
Kaha ho tum.

Mere mann mein hai ram

Mere Mann Mein Hain Ram, 


Lyrics -


Aaj wahi hai kan kan mein ram
Yug jayenge yug aayenge
Amar rahega prabhu ka pyar
Raghupati raghav raja ram
Patit pawan sita ram
Mere mann mein hai ram
Mere tan mein hai ram
Mere naino ki nagariya
Mein ram hai
Mere mann mein hai ram
Mere tan mein hai ram
Mere naino ki nagariya
Mein ram hai
Mere mann mein hai ram
Mere tan mein hai ram
Meri naiya ke khivaiya
Sanso ke swami
Meri naiya ke khivaiya
Naiya ke khivaiya
Kan kan mein hai ram
Kan kan mein hai ram
Tripwan mein hai ram
Nile rab ki atariya mein ram hai
Mere mann mein hai ram
Mere tan mein hai ram
Jaha kahi dekho
Wahi ram ki hai maya
Jaha kahi dekho
Wahi ram ki hai maya
Sab hi ke saath shri ram ji ki chhaya
Sab hi ke saath shri ram ji ki chhaya
Ram ji ki chhaya sumiran mein hai ram
Sumiran mein hai ram
Darshan mein hai ram
Mere mann ki muraliya mein ram hai
Mere mann mein hai ram
Mere tan mein hai ram
Mere naino ki nagariya
Mein ram hai
Mere mann mein hai ram
Mere tan mein hai ram
Raghupati ragha raja ram
Patit pawan sita ram
Raghupati raghav raja ram
Patit pawan sita ram
Raghupati raghav raja ram
Patit pawan sita ram
Raghupati raghav raja ram
Patit pawan sita ram
Raghupati raghav raja ram
Patit pawan sita ram
Raghupati raghav raja ram
Patit pawan sita ram

Mere bhagye ke vidhata 

Mere Bhagya Ke Vidhaata Sukh Dukh Ke O Dat



mere bhagye ke vidhata
mere bhagye ke vidhata, sukh dukh ke o data
parabhu apni daya ka, mujhe dan de de
bas itna sahara, bhagwan de de
de de aisa ujiyara, jo mita de andhiyara
mere bhagye ke vidhata
dukh ki ghadi me tu hi sabhi ko sambhale
tujhse hi jag me hote andhere ujale
tujhse hi jag me hote andhere ujale
tere khel hai nirale o sansar ke rakhvale
dukh ki ghadi me tu hi sabhi ko sambhale
tere khel hai nirale
aisi sulgati hai jiwan ki bati
o dayalu jara mujh pe bhi dayan de de
bas itna sahara bhagwan de de
aisi sulgati hai jiwan ki bati
mere bhagye ke vidhata
nayi aasha ki kiran dayavan de de
jal bhi na pati haye bujh bhi na pati
jal bhi na pati haye bujh bhi na pati
mai hu deep adh jala sa
mai hu deep adh jala sa
mujhe ghere hai nirasha
mere bhagye ke vidhata
bas itna sahara bhagwan de de
mere bhagye ke vidhata, sukh dukh ke o data
de de aisa ujira jo mita de andhiyara
parabhu apni daya ka mujhe dan de de
bas itna sahara bhagwan de de
parbhu meri or niharo
hey parmesewar hey dukh hari
ab na mujhe bisaaro
har lo meri vipda sari, dukh se mujhe ubharo
andhiyaro ke sagar se, parbhu mujhko par utaro
parbhu meri or niharo
dedo aankho ko ujiyari meri or niharo
parbhu meri or niharo

Mere aaka hai shahe madina
Mere Aaka Hain Shahe Madina



Mere aaka hai shahe madina
Mere aaka hai shahe madina
Ab yahi intza hai khuda se
Kamli wale ka daman chhute
Jaan jati hai jaaye bala se
Mere aaka hai shahe madina
Mere aaka hai shahe madina
Sab hukumat ka papi jamundar
Sab hukumat ka papi jamundar
Rahe gaya hai nigaho mein baskar
Rahe gaya hai nigaho mein baskar
Dur rahkar bhi kadmo pe inke
Dekha hai har jagah se
Kamli wale ka daman chhute
Jaan jati hai jaaye bala se
Mere aaka hai shahe madina
Mere aaka hai shahe madina
Apne bando pe rahmat ka saya
Apne bando pe rahmat ka saya
Rakhna har hal mein tu khudaya
Rakhna har hal mein tu khudaya
Shame iman bujhne na paye
Is zamane ki zalim hawa se
Kamli wale ka daman chhute
Jaan jati hai jaaye bala se
Mere aaka hai shahe madina
Mere aaka hai shahe madina
Main hu deewana iske nadi ka
Gham nahi hai mujhe zindagi ka
Kya bigadega mera zamana
Main nahi darne wala kada se
Main nahi darne wala kada se


0 comments:

Post a Comment