Saturday 4 July 2015




Maha Shivratri :Eternal Shiv Bhajans 









Shiv shankar ko jisne pooja 





Lyrics -

Shiv shankar ko jisne pooja uska hi uddhaar hua
antkaal ko bhavsaagar mein uska beda paar
bhole shankar ki pooja karo karo
dhyan charnon mein uske dharo

har har mahadev shiv shambhoo

damru wala hai jag mein dayalu bada
deen dukhiyon ka daata jagat ka pita
sabpe karta hai yeh bhola shankar daya
sabko deta hai yeh aasara
in paawan charnon mein arpan aakar jo ik baar hua
ant kaal ko bhavsagar ...

naam ooncha hai sabse mahadev ka
vandana iski karte hain sab devata
iski pooja se vardaan paate hain sab
shakti ka daan paate sab
naag asur prani sab par hi bhole ka upkaar hua
antkaal ko bhavsagar mein....


Mann mera mandir shiv meri pooja





Lyrics -



Om Namah Shivaya


satya hai ishwar shiv hai jeevan sundar yeh sansaar hai
teeno lok hain tujhme teri maaya aparampaar hai

Mann mera mandir shiv meri pooja
shiv se bada nahi koi dooja
bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv mahima ke gun gaayeja

paarvati jab sita bankar jai shree ram ke sammukh aayi
ram ne unko maata kah kar shiv shankar ki mahima gaayi
shiv bhakti mein sab kuchh soojha shiv bhakti se bada nahi dooja

teri jata se nikali ganga aur ganga ne bhishma diya hai
tere bhakton ki shakti  ne saare jagat ko jeet liya hai
tujhko sab vedon ne pooja shiv bhakti se bada nahi koi dooja


Chalo Shivalaya





Lyrics -

Chalo shivalaya chalo shivalaya chalo shivalay chalo
tapta maruthal hai jag saara sheetal chhanv shivalaya
bahe jahan anand ki dhara woh sukhdham shivalay hai

shivling ka paawan darshan khol dega bhav ke bandhan
mukti maangana asaan ho jata mit jaati sari uljhan
sab dukh se jahan mile kinara aisi naav shivalaya hai

ho jaaye jahan kashi tan baidyanath sam nath saman
shraddha mein jahan base trayambak mile jahan rameshwar dhan
charon ore jahan shiv ka nazara aisa gaanv shivalaya
behti jahan anad ki dhara wo sukhdhaam shivalaya hai


Hey shambhoo baba


Lyrics -



Hey Shambhoo baba mere bholenath

teeno lok mein tu hi tu
shraddha suman mera man deh patri
jeevan bhi arpan kar doon

jag ka swami hai tu antaryami hai tu anmit kahani hai tu
teri shakti apaar tera paawan hai dwaar teri pooja hi mera jeevan adhaar
dhool teri charnon ki lekar jeevan ko sakaar kiya


man mein hai kaamana kuchh main aur janu na zindagi bhar karun teri aradhana

sukh ki pehchan de tu mujhe gyan de prem sabse karoon aisa vardaan de
tune diya bal nirbal ko agyani ko gyan diya


Hey bhole shankar padharo


Lyrics -



Hey bhole shankar padharo baithe chuup ke kahan

jatdhari padharo baithe chhup ke kahan
ganga jat mein tumhari hum pyase
aao mukti ke daata pada sankat yahan
maha sati ke pati meri suno vandana
maha sati ke pati bolo chhupe ho kahan



bahgirath ko ganga prabhu tumne di thi

sagar ji putron ko  ukti mili thi
neelkanth mahadev hume hai bharosa
iccha tumhare bin kuchh bhi na hota
bhole shankar gaurishankar padharo kisne roka bhala
aao bhasma ramaiya sab kucchh taj ke yahan

meri tapsya ka phal chahe le lo
ganga jal ab apne bhakton ko de do
pran pakheru kahin pyasa ud jaaye na
koi teri karuna pe ungli uthaye na
bhiksha main maangu jan kalyaan ki
icchha karo puri ganga snan ki
an na der karo aa ke kasht haro
meri baat rakh lo meri laaj rakh lo
hey bhole gangadhar padharo
hey bhole vishdhaR PADHARO
dor tut jaaye na mera jag mein nhai koi tere bina


Subah subah le shiv ka naam 


Lyrics -



Subah subah le shiv ka naam kar le bande ye shubh kaam

Subah subah le shiv ka naam shiv aayenge tere paas

Om namah shivaya

khud ko raakh lapete phirte auron ko dete dhan dhan
devon ke hit vish pee dala neelkanth ko koti pranaam

shiv ke charnon mein milte hain saari teerath charon dham
karni ka sukh tere haathon shiv ke haathon mein parinaam

shiv ke rehte kaisi chinta saath rahe prabhu aathon yaam
shiv ko bhaj le sukh paayega man ko aayega araam


Jyotirling ka dhyan karo 


Lyrics-


Om namah shivaya

Shivshankar ka gungaan karo
shiv bhakti ka raspaan karo
jeevan jyotirmaya ho jaaye
Jyotirling ka dhyan karo
shivshankar ka gungaan karo

usne hi jagat banaya hai kan kan mein wahi samaya hai
dukh bhi sukh sa hi beete ga sir par jab shivki chhaya hai
bolo har har har mahadev har mushkil ko asaan karo
shivshankar ka gungaan karo

shankar to hai antaryami bhakton ke liye sakha se hain
bhgawaan bhaav ke bhukhe hain bhagwaan prem ke pyase hai
man ke mandir mein isiliye shiv mandir ka nirmaan karo
shivshankar ka gungaan karo

Chalo bhole baba ke dware 


Lyrics -


chalo bhole baba ke dware sab dukh katenge tumhare

bhole baba ..

chala ek shikari dekho karne ko shikaar
shiv chaudash ki pawan wah raat
anjaane mein hua prahar pooja sanskaar
hue baba prakat bole mango vardaan
darshan kar shikari ko ho aaya vairagya gyan
par vadh kar woh bola hari om hari om ..
do mujhe bhakti vardaan
bhole baba uske sahare sab dukh katenge tumhare

papachar ke kaaran kasht sahe kanyswamini ne
 bhiksha mang ti woh  pahunchi go pur mein
mila bilbapatra use bikhsha ke roop mein
bilbapatra anjane mein pheka shivling pe
punya shivratri vrat ka aise paaya usne
mahima se shiv ki moksha paaya usne
bhole baba uske sahare sab dukh katenge tumhare  


Subah subah hey bhole


Lyrics-



om namah shivaya om namah shivaya

om namah shivaya om namah shivaya

subah subah hey bhole kartein hain teri pooja
teri siva hua hai na koi hoga duja
om namah shivaya

bhole teri jata se behti hai ganga dhara
saare jagat ki pale tu tu hai pita humara
nirbal ka tu hi bal hai deta hai tu hi sahara
tere siva jahan mein koi nahi humara
hey bhole tu jaisa hai waisa koi na hoga

sukh chain mangate hain janmon ke hum bhikhari
humpe daya tu karna aayen sharan tihari
tere dwar pe pade hain sun le araz humari
jholi humari bhar de  shiv shankar bhandari
bhav sagar se paar kare jo koi nahi dooja

tumko niharatein hain aankhon mein hai yeh aasha
vishwas hai yeh humko poori karoge aasha
bigadi bana do apni drishti daya ki daalo
thagte hue hain prani shiv ji hume sambhalo
japte rahenge hum par tujhko karte rahenge pooja


Milta hai sachha sukh 




Lyrics -

Milta hai saccha sukh shiv ji

tumhare charnon mein
yeh binati hai pal chiin chhin ki
rahe dhyan tumhare charnon mein

chahe bairi sab sansaar bane
chahe jeevan mujhpe bhaar bane
chahe maut gale ka haar bane
rahe dhyan tumhare charnon mein

chahe agni mein mujhe jalna ho
chahe kanton pe mujhe chalna ho
chahe chhod ke desh nikalana ho
rahe dhyan tumhare charnon mein

chahe sankat ne mujhe ghera ho
chahe charon ore andhera ho
par man nahi dagmag mera ho
rahe dhyan tumahre chanon mein

jehva par tera naam rahe
tera dhyan subah aur sham rahe
teri yaad to aathon yaam rahe
rahe dhyan tumhare charnon mein


Jai bhole jai bhandari


Lyrics -



Jai bhole bhandari teri hai mahima nyari

teri mohani murat lage hai pyari

kan kan mein hai tera vaas prabhu
hai teenon lok mein tu hi tu
jal mein hai thal mein hai nabh mein
pawan mein hai teri chhavi hai samayi
damru ke dhun mein jhume yeh shrishti
mahima ye kaisi rachayi
teri jai jai kare duniya saari

jisne bhi tera dhyan kiya
usko sukh ka vardaan diya
daani hai vardaani hai bhole baba hai
bhakton pe upkaar tera
raavan ko de daali sone ki lanka
kiya aap parvat pe dera
nahi dooja koi tum sa upkaari

om hari om

Shiv shankar rakhwala mere 


Lyrics -


Om karpoor gauram karunavataram sansaar saaram bhujgendra haaram

sada vasantam hridayarvinde bhavam bhavani sahitam namami

Shiv shankar rakhwala mera
mangal kaari naam hai unka shambhoo bhala mera

jinki mahima rishi muni gaayen yogi jinka dhyan lagaye
man unka matwala mera ..

jo bhi shiv shiv naam dhiyaye woh hi manvaanchhit phal paaye
aisa shiv kirpala mera...

vighna hare santaap mitaye yug yug ke sab paap jalaye
aisi netra ki jawala mera...

gyani jinhe vicharat haare bhagtan ke woh khada duware
aisa deendayala mera ...


Mahashivratri parv hai paawan 


Lyrics -



Mahashivratri parv hai paawan sukhdayi phaldayi

katha suni vrat kar ke jisne moksha ki sidhi paayi

guru naam ka ek bheel tha chor paapi vyabhichari
maar mrigon ko jeevan yaapan karta tha woh shikari
swajan the bhukhe kaha maar kar laao koi shikar
dushkarmon se chala raha tha woh apna sansaar
din bhar bhatka par na paaya usne koi shikar
thak kar haara vyadh bichara kya karta laachaar
hua andhera chadha ped par raat bitaane saari
pyas bujhane saath mein usne li jal bhar ke paari

biliv ke us taruvar ke niche tha shivling purana
chupke se patton mein chhip kar baitha saadh nishana
raat ke pehle prahar mein aayi hirne peene paani
teer chala kar dharashayi bar do yeh byadh ne paani
jyu hi teer chala kar usne khichhi dhanush kamaan
paani gir abhishek hua aur gire ling par baan
chatur prahar ki shiv pooja se bhil ki aankhein khuli
paapi  jeev ko anjaane shiv bhakti raah mili

taatv mukhi charamr se chanki bahipa ka abhaas
ab uske bach kar jaane ki chhoot chuki thi aas
bachan diya aur boli hirani bachhon ko mil aaun
laut ke tab yeh deh niraathak teri bhet chadhaun
keval satya se tiki hui hai  bheel yeh saari shrishti
prithvi sthir sagar mein sanyam ankush mein hai vrishti
heerani ki maata ne usko satya ki aan dilayi
vachan baddha us hirani ne tab bheel se mukti paayi


chintit ho hirani ki behna aa pahunchi sarovar par
bachhon aur pati ko apne chhod ke aayi ghar par
lalchayi aankhon se bhyadh ne uspap teer tha sadha
dooje prahar ke shiv pooja pat gayi uski badha
swajan se milke lauti hirani de kar use vachan
pyas ka maara jal peene ko pahuncha wahin hiran
baan chadha kar dhanush pe usne jab pratyancha taani
bagvan vichhiche patton sang jab gira ling par paani

teen prahar ki pooja se man ka kucchh mail dhula
mrig ke vachano ko sun kar budhhi ka dwar khula
shankit byadh hiran se bola sabka bachana hai jhootha
laut ke na aayi hirani to ab vishwas hai toota
kisi tarah aakhir woh maana kaha laut kar aana
aa pahuncha pari vaar sahit tha usko vachan nibhana
chauthe prahar ki shiv poojan ki nimit bhool ab jaani
chakit hua hirnon ke mukh se sun upkaar ki baani

hua jagaran shivratri ka hua bhool se shiv ka poojan
bheel ke jaise paamar jeevan paaye shiv ke darsha
naam rakha guh uska shiv ne bole daya nidhaan
ram ke darshan honge tujhko deta hoon vardaan
mrig yoni se mukti paa kar mrig bhi swarg sidhare
aabu parvat pe rameshwar ban kar prabhu padhare
kai roopon mein shesh sabhi ne uski mahima gaayi
mahashivratri ke vrat poojan main hai sidhhi samayi


Mahashivratri ka parv nirala


Lyrics -


Bhola bhandari teri jaijaikaar

shivgangangadhari teri jaijaikaar
Mahashivratri ka parv nirala
dhoom machi tere darbaar
bhole kar de humara uddhaar
doodh chadhaya aur laye gangajal bhi
saath mein hain phoolon ki haar
bhole kar de humara udhhaar

badi aas leke aayi bhagton ki toliyaan
sabki dayalu ke bhar de na jholiyaan
poora bahot kuchh kabhi humko mile ga
tere bhadaron ka to tona bhi na hilega
pal mein badal jati mathe ki lakeerein
zara si hilata jab taar

likha hua sabka hisaab tere dham re
kahin pe to likha hoga apna bhi naam re
tune kai ranko ko raja hai bana diya
murjhayi bagiya ko phoolon se saja diya
apne poojariyon mein likh ke humara naam
bigadi humari bhi sanwaar

jauhariyon ka raja tu motiyon ki thaal hai
teri ore dekhe yahan sara hi jahan hai
tu hi jadi sabki hi zindagi ke naam ka
hum kyu na maange jab saara jag maangata
palte hai teeno lok tere hi to aasare
humpe bhi karo upkaar

Aaya shivratri tyohaar


Lyrics-


Aaya shivratri tyohaar

yeh sara sansaar lage mathura kashi  haridwar
jhume hai dharti ambar jale hai deep ghar ghar
bolo re shivshankar ki jai jai kaar

is din dev bhi dharti pe aakar karte hai shivling ki pooja bhaiya
shraddha se is din rakhta hai vrat jo shiv uspe rakhte daya ki chhaiyan
din se bhi ujli aaj ki yeh raat hai honi saari raat shiv kripa ki barsaat hai
hovega na koi lachaar

baaje nagade gunje shehnayi ek doosare ko  dete log badhayi
koi magan hai peehu ki pyala baante khushi mein dekho koi mithai
sabke dilon mein ek hi umang hai
sabpe chdha hai shiv ki bhakti ka rang hai
nache ho ke magan nar naar

Jai shiv onkara 


Lyrics -


3 comments:

  1. Please put lyrics in English shiv bajhan Shivalay na Chod. Nirmala Mistry. U.K.

    ReplyDelete
    Replies
    1. are you talking about this bhajan https://www.youtube.com/watch?v=eUKJCnsKGhc

      Delete
    2. https://bhajansagar.blogspot.com/2023/07/blog-post.html

      Delete