Wednesday 8 July 2015


Janmein Awadh mein Ram :Ram Navami Bhajans 




Janmein Awadh Mein Raam - Ram Navami Bhajans



Mann mein ram basale



Lyrics -

Janam safal hoga re bande
Man mein ram basale
Bolo ram jai jai ram bolo ram 
Hey ram naam ke moti ko sanso ki mala bana le
Ram patit pawan karunakar aur sada sukh data
Saras suhawan ati manbhavan ram se preet lagale,
Man mein ram basale

Moh maya hai jhuta bandhan tyag use tu prani,
Ram ki jyot jala kar apna bhag jaga le
Man mein ram basale

Ram bhajan mein doob ke apni nirmal kar le kaya
Ram naam se preet laga kay jeevan paar laga le
Man mein ram basale

Ram ram Sita ram


Lyrics -

Ram ram Sita ram(dhun)

Ram japo


Lyrics-

Ram japo ram japo ram japo man mein 
ram ji bade hai udaar re bande ram ji karenge beda paar 
raghupati raaghav raja ram patitpaawan sita ram 

mangal bhawan amangal haari drav husu dashrath ajir bihari 
jihi bidhi hoyi nath hit mora karahu so begi das mai tora

hoiye soyi jo ram rachi rakha ko kari tar badhave  shakha 
pravisi nagar kije sab kaaja hridaya rakhi kaushal pur raja 



Teeno lok aur charon dham


Lyrics -


Ram ram ram ram

Teeno lok aur charon dham bol rahe hain ram hi ram
jai ram jai ram jai ram jai ram

ram hi rank hai ram hi raja
mera ram har rang mein saza
maangane wale arab caroron
dani ek hi ram hain daata
kya subah aur kya hai shaam

Ram naam bolo


Lyrics -

Ram  naam bolo hari naam bolo 
nitya niyam se sprabhu naam bolo
kuchh samay nikalo subah shaam bolo 
charon prahar bolo aathon yaam bolo 

paap katega punya milega jeevan ka abhishaap mitega 
kaam krodh mad lobh hata lo man mandir mein jyoti  jala lo 

ram naam ka asar hai saara ram naam ne jag ko taara 
ram ki leela tum bhi jano dil ke antar ram basa lo 

ram charit hai jeevan darsha aajkiya hai aap ko arpan 
jo sukh chaho is jeevan mein ram rang mein swayam ko rang lo 

Hari anant hari katha ananta kahahi sumiri yeh bidhi sab santa 
sagar sumiran je nar karahi bhav baridhi gopad iv tarahi



Bhajman ram charan sukhdayi by Anuradha Paudwal


Lyrics -

bhajman ram charan sukhdayi 

jihi charnan se nikasi sursari shankar jata samayi 
jata shankari naam paryo hai tribuwan taranhari 

joi charanan ki charan paduka bharat rahe live layi 
soi charan kevat dhoyi linhi tab hari naav chadhayi 

joi charan santan jan sevat sada rahat sukhdayi 
soi charan gautam rishi nari parasi param pad payi 

dandakvan prabhu pawan kinho rishiyan tras mitayi 
soyi prabhu trilok ke swami kanak mriga sang dhayi 

kapi sugriv bhadhu bhaye byakul tin jaya chhatra dharayi 
ripu ko bhanj vibhishan nisichar parasi lanka payi

shiv sankadik aru brahmadik shesh sahas mukh gayi 

tulsidas marutsut kiprabhu nij mukh karat badai 

Tu Ram bhajan kar prani by Anuradha Paudwal


Lyrics -

Tu ram bhajan kar prani 
teri do din ki zindagani

kala maaya baadal chhaya 
moorakh man kahe bharmaaya 
ud jayega saans ka panchhi 
birtha aani jaani 

jisne ram naam gun gaaya 
usko lagena dukh ki chhaya
nirdhan ka dhan ram naam hai 
main hoon ram deewani 


Jai Raghunandan jai siyaram by Jagjeet Singh


Lyrics -

Jai Raghunandan jai siyaram (dhun)

Raghunandan raghav ram hare by Anuradha Paudwal


Lyrics -

Raghunandan raghav ram hare 
siya ram hare siya ram hare (dhun)

Haath jodkar aaya by Anoop Jalota


Lyrics -

haath jodkar aaya hoon main tujhko karne pranaam
sharan mein lelo na thukarao o mere shree ram 

binati meri kaun sunega peeda meri kaun harega 
tum bin mero koi nahi hai aaye jo mere kaam 

sharan tumhari jo bhi aata laut ke khali haath na jaata 
main bhi aakar baith gaya hoon in charnon ke dham 

daya karo hey jagat ke swami tum sab jano antaryami
meri sun lo to main janu sancha hai tera naam 

Ram preeti ki reeti aap neeke by Anuradha Paudwal


Lyrics -

Ram preeti ki reti aap neeke janiyat hai 
bade ki badai chhote ki chhotayi door kare 
aisi birdawali bani ved baniyat hai 

geedh ko kiyo sarahu bhilani ko khayo phal 
sur sadhu sabha badi bhagya ghaniyat hai 
ravare atari nath vedahu aniyat 
 jo gyan hu te garvaniyat hai 

prabhu ki kripa kripalu kathin kalihu kaalu
mahima samujhi puri aniyat hai
tulsi parayi bas dahre asiyan ras 
deen bandhu dware atakniyat hain


Ram naam ki moti by Anoop Jalota and Rajeev  Raj Aditya


Lyrics -

Raam Naam Ke Hire Moti
Me Bikharaaon Gali Gali
Lelo Re Koi Raam Naam
Shor Machaao Gali Gali
Shree Ram Jay Ram Jay Jay Ram

Jin Jin Ye He Moti Chune
Vo To Maalaa Maal Hue
Dhan Dolata Ke Bane Pujaari
Aakir Saba Kangaal Hue

Mat Bhule Mere Ram Naam Ko
Baat Sunau Tume Bhali
Lelo Re Koi Raam Naam
Shor Machaao Gali Gali

Kyun Karataa He Mera Meri
Ye Te Raa Makaan Nahi
Juthe Jag Me Fasaa Hua Jo
Wo Sachaa Insaan Nahi

Jag Ka Mela Do Din Ka Hai
Ant Me Hogi Chala Chali
Lelo Re Koi Raam Naam
Shor Machaao Gali Gali

Maayaa Ke Divaani Sunalo
Ek Din Eisa Aaye Ga
Dhan Dolat Aur Maal Khajana
Yahin Pada Rahe Jaaye Ga

Sundar Kaayaa Miti Hogi
Charchaa Hogi Gali Gali
Lelo Re Koi Raam Naam
Shor Machaao Gali Gali

Aarti shree ramayan ji ki


Lyrics -

Aarti Sri Ramayan Ji Ki
Kirti Kalit Lalit Siya Pi Ki

Gaavat Brahamadik Muni Narad
Balmeek Bigyaan Bisaarad
Suk Sankaadi Sesh Aru Saarad
Barni Pavansut Kirti Neeki
Aarti Sri Ramayan Ji Ki
Kirti Kalit Lalit Siya Pi Ki

Gaavat Ved Puraan Ashtdas
Chhao Shastra Sab Granthan Ko Ras
Muni Jan Dhan Santan Ko Sabras
Saar Ansh Samat Sab Hi Ki
Aarti Sri Ramayan Ji Ki
Kirti Kalit Lalit Siya Pi Ki

Gaavat Santat Sambhu Bhavani
Aru Ghatsambhav Muni Bigyani
Vyaas Aadi Kabi Barj Bakhaani
Kaagbhusundi Garud Ke Hi Ki
Aarti Sri Ramayan Ji Ki
Kirti Kalit Lalit Siya Pi Ki

Kalimal Harni Vishya Ras Feeki
Subhag Singaar Mukti Jubti Ki
Dalan Rog Bhav Moori Ami Ki
Taat Maat Sab Vidhi Tulsi Ki
Aarti Sri Ramayan Ji Ki
Keerti Kalit Lalit Siya Pi Ki




1 comments:

  1. Similarly, "Aaj Biraj Mein Holi Re Rasiya" is a song that captures the essence of Holi in its lyrics. Sung in the form of a captivating melody, the song describes the joyous celebration of Holi, with people coming together to smear colors on each other, sing and dance, and express their affection and camaraderie.https://www.newsonglyrics.co.in/aaj-biraj-mein-holi-re-rasiya-lyrics-in-english/

    ReplyDelete