Wednesday, 27 May 2015

Beautiful animated bhajan's videos

When I was a kid I had an experience with life ...God was the closest and the best Friend of mine .

I was a kid.I used to fear all .But whatever I had to say I expressed and asked to God .But as I grew older ,I started knowing that who was always so easily accessible to me ,He is the master of all.If I can talk to him ,why others look so big to me to reach.My God I knew ,whom I am closest to ..He is the Master of this universe ,who loves me the most .He talked to me listened to me ... Once I found Him singing a beautiful song in my dreams for me ,when I cried after fighting with the demons .He sung "Duniya bhar ka main hoon nawab ,par phir bhi sabse chhota hoon .Hai pal pal ki mujhko khabar ,phir bhi main har pal sota hoon.Aaj nawaab hua tu jab ,mujhko khoja karta hai.Par yaad karo woh kshan jab tu baccha hoya karta tha ,saara jag tujhse bada par main tera pyara hoya karta tha .Ab bada hua tu jab to tujhko lagta dar kyu itna .Yaad rakh ai bande ki tere saath hai parmatma ."I was studying that night the History of king Ashoka where he adresses himself as "Devanaampiyadassin" during preperation of my civil services  exams.I  woke up and copied it instantly .


I am sure this life is beautiful but only when we accept the beauty of nature and so the beauty of God.Everything going against it is destructive both physically and spiritually

These are few beautiful bhajans that your kids would like to watch ...inculcate  values in your kids .

Panchavati man bhawan upwan


I am sure once you will see this ,will become a nature lover ...o so b'ful panchavti forest and so b'ful sita ji with such a b'ful heart and soul ... wish i could really see that world ... but this video is enough for our devastated generation .... enjoy your culture ...
 smile emoticon



Lyrics  -

Panchvati man bhaavan upwan
jis upwan mein man ko bhavein
shree raghuvar ki chitwan
mohak chitwan sundar chitwan

komal kaliyaankhil khil jaayen
lata vriksha se mil mil jaayen
dadur mor papeeha gaayen
madhur madhur swar har pal

toot gayen pinjare ke bandhan
mukt hue panchhi ke gunjan
mohak mand sughandh pawan se
mahak raha hai madhuban

man anandit pulkit kaaya
chandan vat ki sheetal chhaya
saajan ke sang is upwan mein
laut ke aaya bachpan

Gokul dham biraj ka vasi


Gokul dham viraj ka wasi kanha nand kishore
koi kahe chitchor koi kehta maakhan chor
chor chor maakhan chor chhaliya maakhan chor

Gokul dham viraj ka wasi kanha nand kishore
matki phodi jisne humari woh nahi koi aur
chor chor maakhan chor chhaliya maakhan chor

neh laga kar gaiya mujhko aap hi doodh pilati
pakad pakad gokul ki gopin maakhan aap khilati
jhuto dosh lagave kahe vritha batave chor
chor chor maakhan chor main nahi maakhan chor

aati hai hume laaj bataate kaise hum batlaate
chupke se jamuna tat aakar kapde aap churaye
kanha ne nirdosh prem ki aisi kheechi dor
chor chor maakhan chor ...

gokul ke sab gwale milkar humko bahut sataate
samajh ke chhota kare sharat mujhko chor banate
jaun kahan hum chhod biraj ko na dikhe koi ore
chor chor maakhan chor ....

gwalon ke sang chhaliya bankar hum ko khoob rijhaye
murli ki  phir chhed taan yeh prem ka swang rachaye
humko roz sataye aake kunj galin ki chhor
chor chor maakhan chor .....

                                                                 Parasi hari ke charan



Lyrics -

Parasi hari ke charan man re 
Subhag sheetal kamal komal trividh jwala haran
jin charan prahlad parse indra padavi dharan 
jin charan dhruva atal kinhe rakhe apni sharan
jin charan brahmand bhetyo nakh shikha sir dharan
jin charan prabhu parasi linhi tari gautam gharan 
jin charan fani naag nathyo gop leela karan
jin charan gobardhan dharyo garva madhava haran 
dasi meera laal giridhar agam taaran taran 

Shankar ji ka damru baaje


Lyrics -

shankar ji ka damru baaje,parvati ka nandan nache
barfile kailash shikhar par
jai ganesh ki dhoom ,o jai ho
tak dhin dhin dhin dhin tak
nache dhin dhin
dhintak dhintak nache

manmohak manbhavan natkhat mushak gan bhage sarpat
vighna vinayak sankat mochan vakratund kajrare lochan
jhoome gaaye baal ganesh bhakt jano ke kato klesh

sun kar itna zyada shor parvati aayi us ore
darkar maata uma ke aage dum dabakar mushak bhage
par apni dhun mein mast gajanan thirak rahe hai bhool ke tan man
ganapti bappa maurya mangal murti  maurya

Mahabali maharudra 




Lyrics-

Parakram se gunje tribhuvan dharti patal,dhust bhanjan.
jal sagar kare parajay krandan,trikaal nirantar lok vandan
mahabali maha rudra maha vajra shoryavaan veer hanuman......
Jai Hanuman Gyan Guna Sagar
Jai Kipis Tihun Lok Ujgaar
Ramdoot Atulit Bal Dhamaa,
Anjani Putra Pavansut naamaa.
parakram se gunje tribhuvan dharti patal,dhust bhanjan.
jal sagar kare parajay krandan,trikaal nirantar lok vandan
mahabali maha rudra maha vajra shoryavaan veer hanuman......
chehre se chalakti namrata ankho mein shant chit ki chaya
tum terenani terena
chehre se chalakti namrata ankho mein shant chit ki chaya
uper hai subha ki lali disha sindhu aur lipi kaya
mahabali maha rudra maha vajra shoryavaan veer hanuman ......
(ni sa ga ga re sa ni).......
Mahebeer Bikram Bajrangi,
Kumati Nivaar Sumati Ke Sangi.
Kanchan Baran Biraaj Subesaa,
Kanan kundal kunchit kesa.
Hath Bajra Aur Dhvaja Birjai,
Kandhe Moonj Janeu saage.
Shankar Suvna Kesari Nandan,
Tej Pratap Maha Jag Vandan.
vikat samay nikat jo aaye pratham vahi smaran aa jaye
vikat samay nikat jo aaye pratham vahi smaran aa jaye
har vipda vo dur kare sankat mochan tabhi kahalaye
mahabali maha rudra maha vajra shoryavaan veer hanuman
(ni sa ga ga re sa ni).....
shakti ki nayi paribhasha virat vikrami roop anhokha
shakti ki nayi paribhasha virat vikrami roop anhokha
laye uthaye dhrongiri aur jag dekhegi rajagiri ???
mahabali maha rudra maha vajra shoryavaan veer hanuman ......
parakram se gunje tribhuvan dharti patal,dhust bhanjan.
jal sagar kare parajay krandan,trikaal nirantar lok vandan



Jai shree ram 






Lyrics-



Ragukul reeti sada chali aayi 

pran jaaye par vachan na jaayi
dharma desh ko kinhi raksha 
ram naam te karle bhai sneh manwa
shree ram ka sukhdhaam ka 
shiv shankar ne jaap kiya tha do akshar ke naam ka
mangalmaya shree ram ka

Dashavataar title song 





Lyrics -



Behta paani chalti hawayen chamke suraj raat suhaye

gaate pancchi khilte paudhe jhoome baadal mast phizaaayen 
kyun behte hain kyu chalte hain kyu khilte aur gaate hain 
zindagi dene wala kaun rakshak kaun hai iska paalan haara
narayan ke varda hasth se chalta jaaye ye sansaar 
vishnave namah vishnave namah vishnave namah vishnave namah 


par is prakrit dhara ko kisi vikriti ne lalkaara

dharam ka  suraj laga doobane ghir aaya jab andhiyaara 
tab tab kshir sagar se uthkar karne shrishti ka udhhar
shree vishnu ne yugon yugon se liya hai dharti par avataar 


dashaavataar  dashaavataar  dashaavataar  dashaavataar 



Sada sumiran karle





Lyrics-


Sada sumiran karle prani naam na hari sunave 

bhakti ki mahima se nar ka narayan ho jaave 

dhyan kare uska to maayapash lipat na paave
bhava ki gehri khayi bhi ho chaan mein paar karave

vishnave namah vishnave namah  vishnave namah  vishnave namah


Bolo bolo ramchandra ki  jai 





Lyrics -



Jai Pavanputra hanuman ki jai 

ram ka leke naam karenge chalo ram ka kaam 
ram hi shakti ram hi bhakti 
ram punya ka dhaam bolo bolo ram candra ki jai
siyapati ram chandra ki jai 
shree ram jai ram jai jai  ram 


ram baan ram doot ho sada vijay hi paaya 

jalsagar ya bhav sagar ho ram ne paar karaya 
bolo bolo ram chandra ki jai siya var ram chandra ki jai 


shree ram jai ram jai jai  ram 



dharma ki shakti aur maryada swayam dharma hain ram

ram naam paakar taire hain saagar pe paashaan 
ram naam ki shakti se hi lanka par ho tran 

bolo bolo ram chandra ki jai siya var ram chandra ki jai 

veer bane baanar paakar ram naam saaya
aganit rakshas veer dashanan koi na tik paaya
bolo bolo ram chandra ki jai siya var ram chandra ki jai 

Janani main ram doot hanumaan





Lyrics -



Janani main ram doot hanumaan 

charan kamal mein shat shat vandan 
kar do maa kalyaan mila hai avasar aaj mahaan 


chamke koti surya sam raghuvar 

sheet chandra si vaani madhukar 
kar ke raavan haran tumhara kiya mrityu aahwaan 
janani main ram doot....

satya vachan kehta maa sita
har pal prabhu ko tumhari chinta
ashru nayan se jharat nirantar
vyakul hain shree ram
janani main ram doot...

Shree raghuwar ki banar sena


Lyrics-

Siyavar ramchandra ki jai

Shri raghuvar ki baanar sena setu baandh rahi ... shree ram
ravan ke jeevan ka rakshak jag mein koi nahi

paathar jud gayen sagar phat gayen
lanka mein bhaya kampan bhar gayen
sun lo prani ram naam ki mahima yeah saari
raghupati raaghav ram chandra ka naam sada mangalkari
siya ram ke naam smaran se hui dhanya duniya saari
jaan sake to jaan ram ka naam hai dukh haari
shree raghuvar ki .....

ram charan ke chho lene se
patthar bhi tirte paani mein
jai siya ram jai jai siya ram
jeevan ka mantra yehi
jahan ekta wahin safalta
jahan bhakti hai wahin safalta
dharam ki raksha karne ko jo sagar laangh rahi
shree raghuvar ki ......

Bhakt Sudama 


Lyrics -

Krishna krishna krishna krishna 
krishna krishna hare krishna krishna
Krishna krishna kehte jiska jeevan bana taraana
mitrata ka jise pratik kahe krishna bhakt sudama
sudama sudama sudama shree krishna mitra sudama 

bhookh pyas sab sah kar bhatke dar dar deen bhikhara 
kan kan mein jise krishna dikhe jisme dhoondhe sahara
krishna bhakti mein taar preet jisne bhari charam seema 

Raat suhani (Raas Song) 


Lyrics-

Raat suhani mast chandani mausam ye albela hai
ras rachaye natkhat kanha leeladhar ki leela hai

poonam mein bheega vrindavan radha ke sang jhume mohan 
dekho dekho jalti hain sakhiyan raat bhar karti hain batiyaan
radha hi tujhko pyari hum bhi preet ke hain adhikari 
hey.. bole mohan mai hoon sabka prem ka rang nirala hai
raas rachaye natkhat kanha leeladhar ki leela hai


Krishna Eternal love song

If you have Krishna to love ,whom you need more to love 


Lyrics -

O KRISHNA 
Mitwa humare dil ke o pyare 
sathi humare mitwa o pyare 
yamuna kinare aaja kanha pukare 
Mitwa humare dil ke o pyare 
sathi humare mitwa o pyare 
yamuna kinare aaja radha pukare 
o radha o krishna 

subah ki tu laali main hoon sabera 
tu hai chakori main chanda hoon tera
jeevan ke naiya ke saath sahare
o krishna o radha 

janmon se teri aur teri rahungi 
sehne pade jo dukh bhi sahungi 
ek pal bhi ab to naa gujare gujaare 


Bum bhole bum bhole


Lyrics -

Vishwanathaashtakam


Lyrics -

Kaal kyon


Lyrics -

Shree Venkatesh mansa smarami


Lyrics -

0 comments:

Post a Comment