Friday 28 March 2014

R



Radhe tere charnon ki yadi dhool hi mil jaaye

Listen to Radhe tere charnon ki


Radhe tere charnon ki gar dhool hi mil jaaye
Shyama tere chranon ki gar dhool hi mil jaaye
sach kahati hoon meri , taqdeer badal jaaye

yah man bada chanchal hai , kaise tera bhajan karoon
jitna ise samjhaun utna hi machal jaaye

Sunte hai teri rehmat din raat barasati hai
Ek boond jo mil jaaye , dil ki kali khil jaaye

Nazaron se girana na , chahe jitni saza dena
Nazaron s jo gir jaaun , mushkil hai sambhal paana

Bas ek tamanna hai , bhakt ke is dil mein
tu samne ho mere mera dum hi nikal jaaye

Radha Ke Bina Shyam Aadha

Listen to Radha ke bina shyam adha

Lyrics-

radha ke bina shyam adha kehte radheshyam
janam janam ke bhagya jaga de

vyarth pada mala bin moti vyarath rahi deepak bin jyoti  
chanda bina chandani kaisi suraj bina dhoop na hoti
bin radha ke kahan hai pura nat naagar ka naam

satth hai jaise jal ki dhara saath hai jaise nadi kinara
sath hai jaise neelgagan ke suraj chanda tara tara
vaise inke bina adhoora man vrindavan dham

shree radha ko jisne bhulaya usne apna janam ganvaya
dhanya hui wo vaani jisne radhe shyam naam hai gaaya
unka sumiran kare bina kab milta hai vishram

Ri bansi kaun tap te kiyo 

Listen to ri bansi

Lyrics -

Ri bansi kaun tap tein kiyo
Rahat giridhar mukh hi lagi
Adharan ko ras piyo
Shyam sundar kamal lochan
Tohi tan man diyo
Sur shri gopal bas bhayen
Jagat mein yash liyo

Rani tero chir jiyo Gopal

Listen to Rani tero chir jiyo Gopal

Lyrics -

Rani tero chir jiyo gopal
Begi badhyo badi hoya viradh lat, mahari manohar baal
Upaji paryo yah koonkhi bhagya bal,samudra seep jaise laal
Sab gokul ke pran jeevan dhan , bairin ke ursal
Sur kito jiya sukh paavat hai, nirkhat shyam tamal
Raj aaraj lagyo meri akhiyan,roge dosh janjaal

Radhe Govind Radhe Govind

Listen to radhey govind radhe govind

Lyrics -

Radhe govind gopala bhaj le yeh naan
man mein subah shaam
jeevan tera tar jaye ga
 ban jayenge manwa re tere bigade kaam

sukh hai sathi saare dukhon mein na koyi
khol tu man ki aankhen kahe raha soyi

Radhe govind gopala bhaj le yeh naan
man mein subah shaam
jeevan ki lambi rahen
 giridhari ke charnon mein kar le vishram

moh ke sagar mein woh hai patwaar
kanha kanha kanha jap le hoga beda paar

Radhe govind gopala bhaj le yeh naan
man mein subah shaam
jhooti duniya ke maaya
jhoote saare  rishte naate re
sancha ek shyam

Rang De Chunaryan

Listen to rang de chunariya

Lyrics -

Rang de chunariya
Shyam piya mri rang de chunariya

Aisi rang de ki rang nahi chhute
Dhobiya dhove chahe ye saari umariya
Shyam piya...

Lal na rangau main to hari na rangau
Apne hi rang mein rang de chunariya
Shyam piya ...

Bina rangaye main to ghar nahi jaungi
Beet hi jaaye chahe ye saari umariya





0 comments:

Post a Comment