Monday, 10 March 2014

Creations of Shree bhai ji hanuman prasad poddar ji 




A beautiful creation by Bhai ji shree hanuman prasad poddar ji .His writings have a different simplicity that expresses his true  feelings for God .These creations are capable of culminating a simple and true devotion , morale and  knowledge in human beings if the meanings are understood well .

Shree Vishnu charan vandan 

Raag jaijaivanti : taal jhumara

Shobhit charo bhuja sudarshan sankh gada sar seej se yukt 
ruchir keereet subhag pitambar kamal nayan shobha sanyukt 
chinha vipra-pad ka vaksha par kaustubh mani gal manjul haar
param sukhad shree vishnu charan vandan karta hoon barambaar

Raag Kalyaan : Taal kaharwa 

Shloka 

Narayanam hrishikesham govindam garundhwajam 
vasudewam hari krishnam keshawam pranamamyaham 

Doha 

Shree ganapati guru sharda bandau barambaar 
parbrhma ke roop sab bhinna bhinna akaar 
puni sumiro guruvar charan vanchhit phal dataar
ati dustar bhav sindhu te je pahuchavahi paar 

Raag bahiravi : taal roopak 

Bandau vishnu Vishwadhaar 
lok pati surpati ramapati subhag shantakaar
kamal lochan kalush har kalyaan pad daataar
neel neerad varna neeraj nabh anuhaar 
bhrigu lata kaustubh shushobhit hridaya muktahaar 
shankh chakra gada kamal yukt bhuj vibhushit char 
peet pat paridhaan paawan ang ang udaar 
shesh shaiyya shayit ,yogi dhyan gamya ,apaar 
dukhmaya bhavbhaya haran asharan sharan avikaar 

Prarthana : Raag asawari :taal ghumali

Param guru ram milawan haar 
ati udaar manjul mangal maya abhimat phal dataar 
tooti phooti naav padi mam bheeshan bhav nad dhaar 
jayati jayati jaya dev dayanidhi begi utaro paar 

Raag deshi khamaaj : taal punjabi theka 

Aayo charan taki sharan tihari 
begi kari mohi abhaya bihari 
joni anek phirahu bhatkanehu 
ab prabhu pad chhadehu na murari
ma sam deen na daata tum sam 
bhali mili yah jodi humari
main hoon patit patitpaavan tum
paawan karu nij birad sambhari

Raag gaara : taal dadara 

Jayati dev jayati dev jaya dayalu deva
param guru param pujya param dev deva 
sab bidhi tav charan sharan aayi pariyo dasa
den heen mati malin tadapi sharan aasha 
paatak apaar kintu daya ko bhikhari 
dukhit jaani rakho sharan paap punj haari 
abalo ke sakal dosh kshama karahu swami
aiso karu jaate puni hau na kupath gaami
paatra hau kupatra hau bhale anadhikari 
tadapi hau tumharo ab lehu mohi ubari
log kahat tumharo sab manahu  kahat soyi 
kariye satya soyi nath bhav bhram sab khoyi 
mori ore jani nihari dekhiye nij tanhi 
hat kari mohi rakhiye hari santat tal panahi 
kaho kaha baar baar janahu sab bheva
jayati jayati jai dayalu jai dayalu deva 

Raag bilawal :taal tewara 

Prabhu tav charan kim pariharhu 
ye charan mohi param pyare chhin na inte taro 
jin padan ki amit mahima ved sur nar muni kahe 
das santat karat anubhav rahat nisdin gahe 
parasi jinko shila tehi chhin bani sundari nari 
dharani muniwar ki ahilya sako kehi bidhi tari 
in padan sam sharan asharan doosaro kou nahi 
hoi jo kou tum batavah dhayi pakaro tahi
aur vidhi nahi taro taaryo ,hoyi sadhya su karo
jalaj gat makrand ali jyu manahi charanhi dharo 

Raag desi khamaaj 

Bah u jug bahu joni phiri haro,ab to ek bharoso tiharo
yadyapi kutil kaamrat paapitadapi gulaam sada hau tiharo 
jaun kahan tav charan bihayi ,linho prabhu pad kalam saharo

Raag baageshree : taal teentaal 

Prabhu tum apno birad sambharo 
adham udharan naam dharayo ab mat tahi bisaro 
moso adhik adham ko jagmah papin mah sardaro
dhundh dhundh jag agh ati kinhe ganat na aave paaro
more adh ko likhat likhawat chitragupat pachiharo 
tau na aayo ant aghan ko chaadi kamal bicharo
ablo adham anek udhare moso pallav daro
rakho laaj naam apne ki ,mat khovo patiyaro 

Raag tilag : taal teentaal 

Ab hari ek bharoso tero 
nahi kachhu saadhan gyan bhagati ko nahi birag ur hero 
agh dhowat aghaat nahi kabahu man vishyan ko chero 
indriya sakal bhograth santat bas na chalat kachhu mero 
kaam krodh mad lobh sharish ati prabal ripun te ghero 
parbas pariyo na gati nikasan ki yadyapi kalesh ghanero 
parkhe sakal bandhu nahi kou vipad kaal ko nero 
deen dayaal daya kari rakhehu bhavjal budhat bero 

Raag sohini : taal tewara

Hey dayamaya deenbandhu deeno ko apnaiye 
doobata beda mera majhdhaar paar lagaiye
nath tum to patitpaawan main patit sabse bada
kijiye paawan mujhe main sharan mein hoon aa pada 
tum garib niwaj ho yo jagat sara kah raha
main garib anath dukh pravah mein nit bah raha 
is garibi se chhuda kar kijiye mujhko sanaath 
tum sarikhe naath phir kyu kahaun main anath
ho trishit aakul amit prabhu chahta jo boond neer
tum trishahari anokhe use dete sudha ksheer 
yah tumahri amit mahima satya saari hai prabhu 
kisliye main raha vanchit phir tak he vibhu 
ab nahi aisa uchit prabhu kripa mujhpar kijiye 
paap ka bandhan chhuda nit shanti mujhko dijiye 

Raag kedara: taal teentaal 

Prabhu mero man aiso ho jaave 
vishyan ko vish sagaro utare puni nahi kabahu chhave 
vinso sakal kaaman man ki anat na katahu dhave 
nirkhat neerad nirantar maadhuri shyam murati sukh paave 
kaami jimi kamini sang chahe lobhi dhan man laave 
timi abirat nij priyatam ki sudhi chhin ek nahi bisrave 
mamta sakal jagat ki choote madhur shyam chhabi bhave 
tave aanan saroj ras chakhan man madhukar bani jaave 

Raag Kedara : Taal teen taal 

Chahu bas yahi shree ram 
aviral amal achal anpayini prem bhagati nishkaam
chahe na sut pariwaar bandhu dhan dharni jubati lalaam 
sukh vaibhav upbhog jagat ke chahe na suchi sur dham 
hari gun sunat sunawat kabahu man na hoyi upram 
jeevan sahchar sadhu sang subh ho sansat abhiram 
nirad neel naveen badan ati shobha maya sukhdhaam 
nirkhat raho vishwamaya nisi din chhin nan laho bishram 

Raag asawari : taal dhumali 

Mere ek ram naam adhara 
dhundh thakyo par milyo na dujo bheer pare ko yaar 
dekhe sune anek mahipati pandit sahukaar 
yadyapi neeti dharam dhan sanyukt nahi as param udaar
maat pita bhrata nari sut sewak bandhu apaar 
bipad kaal mah kou na sangi swarath maya sansaar 
kahi karuna dayalu guru dino ram naam sukh saar 
dustar bhav saagar mah atkyo bero utaro paar 


Raag kedara : taal taan taal 

Hua ab main kritaartah maharaaj 
diya charan ashraya gareeb ko dhaya garib niwaz 
ghooma nabh jal prithvital par dhare nit naye saaj 
mili na shanti kahi prabhu aisi jaisi mujhko aaj
bibidh roop se pooja maine kitna dev samaj 
kitne dhani udaar manaye hua na mera kaaj 
dukh samudra mein doob raha tha mera bhagna jahaaj 
charan kinara mila achanak chhuta dukh ka raaj 

Raag khamaaj : taal deep chandi 

Marwadi ..

Nath main tharo ji tharo 
chokho buro kutil aru kaam ,jo kachhu hoon so tharo
bigadyo hoon to tharyo bigado ,the hi maino sudharo 
sudharyo to prabhu sudharyo tharo,tha su kade na nyaro
buro buro main bhot buro hoon ,aakhar taabar tharo
buro kukha kar main rah jasyu ,naav bigadasi tharo
tharo hoon,tharo hi bajun,rahasyu tharo tharo 
aangaliya muh pare na hove ,ya to aap vicharo
meri baat jaaye to jaao ,soch nahi kachhu mharo
mere badyo soch yo lagyo birad laaj si tharo
jache jis tara karo nath !ab mharo chahe tyaro 
jaangh ughadiya laaj maroga ,udi baat bicharo 

Raag peelu : taal deepchandi 

Marwadi ..

 Nath thare sharan padi dasi 
Moye bhavsaagar mein tyaar katadyo janam maran phansi
nath main bhot kasht payi 
bhatak bhatak chaurasi juni minak deh paayi
mitadyo dukha ki rasi  
nath main paap bhot kina
sanasari bhog ki asha dukh bhot dinha 
kaaman ahai satyanasi
Nath main bhagati nahi kinhi 
jhootha bhoga ki trishna mein ummar kho dinhi 
dukh ab meto abinasi 
Nath ab sab asha tooti 
thare shree charna ki bhagati ek hai sanjeevani booti 
rahu nit darshan ki pyasi 

Nath mane abki baar bachao 
pansyo aaye main bhanwar jaal niklan ki baat batao 
rasto bhulyo milyo andhero maarag aap dikhao
dukhiyane udhhaar karan ko ,thare gharo umao 
mere jisyo dukhi kun jag mein ,prabhu ji aap batao 
bhot kasta main bhugatya swami ,ab to phand katao 
dheeraj gayi dharam bhi chhutyo ,aafat aap mitao 
aarat bhot ho rahyo prabhu ji ab mat baar lagayo
karo maaf takseer das ki sharan mane baksao

Raag joshi : taal deepchandi 

Marwadi ..

Nath tharo sharno aayo ji 
jachyo jis tarah khel kilayo the man chayo ji 
bojho sabhi utaryo man ko dukh binsayo ji 
chinta miti bade charna ko saharo paayo ji 
soch phikar ab saaro tharo upar aayo ji 
main to ab nischint huo antar harkhayo ji 
jas apajas sab tharo main to das kuhayo ji 
man bhanwaro tharo charan kamal mein ja liptayo ji 

Raag malhaar : taal roopak 

Suniyo tero patitpaawan naam 
azamil se patit ko te diyo apno dham 
byaadh khag mrig je rahe nit dharam te upraam 
kiye paawan ati patit te bhaye pooran kaam 
kathin kali ke kaal ,ati taare kuthaar 
dhramheen malin paatak ,nirat aatho jaam 
paap karat uchhah jut mam man na linhe viraam 
tadapi ajahu na mohi taryo kimi barsayo naam 

Raag sankara : taal roopak 

Deenbandhu kripasindhu kripabandhu do prabhu 
us kripa ki boond se phir budhhi aisi ho prabhu 
vrittiyan drutgami ho ja samave nath me 
nadi nad jaise samate hain sabhi jal nath mein 
jis taraf dekhu udhar hi daras ho shree ram ka 
aankh bhi mundo to dekhu mukhkamal ghanshyam ka 
aap mein main aa milun prabhu yah mujhe vardaan do
milti tarang samudra mein jaise mujhe bhi sthan do 
choot jaave dukh saare chuddra seema door ho  
daityon ki duvidha mite anand mein bharpoor ho 
anand seema rahit ho anand purnyanand ho
anand sat anand ho anand chit anand ho 
anand ka anand ho anand mein anand ho 
anand ko anand ho anand hi anand ho 

Raag bheempalasi : taal teen taal 

Ab nath kaise ho kayaan 
prabhu pad pankaj vimukh nirantar rahte paamar pran 
par sukh kaatar maha malin man chahat pad nirvcaan
satya ahinsa prem daya sab kar gayen door prayaan 
laga hridaya mein dosh ghrina hinsa ka bedhak baan 
bhed budhhi se bhara hridaya sab bhranti hua pashaan 
atma bhawan bhool bair par sada chdhaata shaan
laga kaamana  bhoot bhayanak mita dharma parinaam 
ubhaya bhrashtha hua bankar ab pashu bin poonchh vishaan
shruti smriti ki karta avahelana padhata nahi puran 
prabhu patit is adham deen ka tumhi karo ab traan 


Raag asawari : ek laalasa man mah dharo 
bansi wat kalindi tat nat naagar nit niharo 
murali taan manohar suni suni tan sudhi sakal bisaro 
pal pal nirakhi jhalak ang angani pulkit tan man waro 
rijhahu shyam manayi gayi gun gunjj maal gar daro 
parmananad bhuli jag sagaro shyamahi shyam pukaro 

Raag :jaijaivanti : taal jhumara 

Kar pranaam tere charno mein lagta hoon ab tere kaaj
 paalan karne ko agya tav main niyukt hota hoon aaj
anatr mein sthit rahkar mere baagdor pakde rehna 
nipat nirankush chanchal man ko saavdhaan karte rehna 
antaryaami ko anatah sthit dekh sanshankit hove man 
paap vaasana uthate hi ho naash laaj se wah jal bhun 
jivon ka kalrav ho dinbhar sunane mein mere aave 
tera hi gungaan jaan man pramudit ho ati sukh paave 
tu hi  ho sarvatra vyapt  hari tujhme yah saara sansaar
 isi bhawana se antar bhar milun sabhi se tujhe nihaar 
pratipal nij indriya samuh se jo kuchh bhi achaar karoo 
kewal tujhe rijhane ko tera hi vyawahaar karoon  


Moko kachhu na chahiye ram 
tum bin sab hi phike laage nana sukh dhan dhaam 
sundari santati sewak sab gun ,budhi bidya bharpoor
kirati kala nipunta neeti inko rakhiye door
aath siddhi nau nidhhi aapni aur janan ko dije 
main to chero janam janam ko kar dhari apno kije 
nyaya chahta kshama nahi do dand dosh anusaar
arth dand dena chaho to karo swarth sab chhar 
rahne mat do kuchh bhi iske apna mera kaar 
kaid agar karna chaho to prem bediyaan daar
rakho baandh ise nij nit charnon ke karaagaar
nirvasit karna chaho to looto ghar sansaar 
pahuncha do satwar doshi ko bhav samudra ke paar
kabhi na aane do phir wapis marne do bekaar 
bah jaane do ise wahan satchidanand ki dhaar 


Hoga kab woh sudin samaya subh ,mayaawi man bankar deen 
mohmukt ho ho jaayega ,paawan prabhu charnon mein leen 
kab jag ki jhoothi baton se ho jave gi ghrina ise 
kab samjhega use bhayanak maan raha ramdiya jise 
kab guru charnon ki raj ko yah nij mastak par dharega 
kaam krodh lob adi vairiyon ko ko kab hat se maarega 
punya bhumi rishi sevit mein kab hoga iska nirjan vaas
ganga ki puneet dhara se kab sab agh ka hoga naash 
kab chhodengi sabal indriyan apne vishayon mein ramna 
kab sikhengi ulti aakar antar mein uske jamna 
kab sadhan ke prakhar tez se saara tam mit jaayega 
kab man vishaya vimukh ho hari ki vimal bhakti ko payega
dhan jan pad ki prabal laalsa kastmayi kab chhutegi
maan  badayi main mere ki phansi kab yah tootegi 
kab yah moh prapanch chhutega kab prapanch ka hoga baadh
par vairagya prakat kab hoga kab sukh hoga ise agaadh
kab bhava bhaya ke kaaran mithya ahankaar ka hoga naash
kab sachha swaroop dikhega chhot jayega dehadhyaas
kab sabke aadhaar ek bhuma-sukh ka mukh dikhega 
kab yah sab bhedon mein nitya abhed dekhna sikhega 
kab pratibimb bimb hoga kab nahi rahega chitta aabhaas 
nijanand nirmal nij avyaya mein kab hoga nitya niwas 

Bana do vimalbuddhi bhagwaan 
tarkjaal saara hi har lo haro sumati abhimaan
haro moh maaya mamta mad matsar mithya maan 
kalush kaam mati kumati haro ,hey hare ! haro agyan 
dambh dosh durniti haran kar karo saralta daan 
bhog yog apvarg -swarg ki haro spriha balwaan
chakar karo charu charnon ka nit hi nij jan jaan 
bhar do hridaya bhakti shraddha se karo prem ka daan 
kabhi na karo door nij pad se meto bhav ka bhaan 

Hey nath tumhi sabke malik tum hi sabke rakhware ho 
tum hi sab jag mein vyap rahe ,vibhu roop aneko dhare ho 
tum hi nabh jal thal agni tumhi ,tum suraj chand sitare ho
yah sabhi charachar hai tumme tum hi sabke dhruv taare ho
hum maha moodh agyani jan ,prabhu bhav sagar mein doob rahe 
nahi nek tumhari bhakti karen man malin vishya mein khoob rahe
satsangat mein nahi jaaye kabhi ,khal sangati mein bharpoor rahe 
sahate darun dukh diwas rain hum sachhe sukh se door rahe 
tum deenbandhu jagpaawan ho hum deen patit ati bhari hain 
hai nahi jagat mein thaur kahin ,hum aaye sharan tumhari hain 
hum pade tumhare hain dar pe tumpe tan man dhan vaare hain
is tooti phooti naiya ko bhavsagar se khena hoga 
phir nij haathon se nath ! uthakar paas bitha lena hoga 
hey asharan sharan nath anaath ,ab to aashraya dena hoga 
humko nij charnon ka nischit nit das bana lena hoga 

Mohan rakhu pad rajtare 
sur surendra vidhi pad nahi chahiye darahu mukuti pare
jag sukh ke sab saaj sanwarahu ,inte dukh na tare 
sukh dukh laabh hani jag ki sam ,neko man  na jare
binu viram chhabi dhaam nirakhi tan man nit prem gare 

Hey swami ! ananya avalamban hey mere jeevanaadhaar 
teri daya ahaituki par nirbhar kar aan pada hoon dwar 
jaun kahan jagat mein tere siwa na shranad hai koi 
bhatka parakh chuka sabko kuchh mila NA APNI PAT KHOYI 
rakhan door kisi ne mujhse apni nazar nahi jodi 
ati hit kiya stya samjahaya sab mithya pratiti todi 
hua niraas ,udaas gaya vishwas jagat ke bhogon ka 
jinke liye kho diya jeevan ,pata laga un logon ka 
ab to nahi deekhata mujhko tere siwa sahara aur 
jal jahaj ka kauwa jaise pata nahi doosara thaur 
Karunakar! karunakar satwar ab to de mandir pat khol 
baanki jhaanki nath !tanik suna de mithe bol 
gunj uthe patyek rom mein param madhur wah divya swar 
hrit tantri baj  uthe sath hi mila usi mein apna sur 
tan pulakit ho ,su-man jalaj ki khil jaaye saari kaliyaan
charan mridul ban madhup usi mein karte rahe rangraliyaan ho jaun unmatt ,bhool jaun tan man ki sudhi saari
dekhu phir kan kan mein teri chhabi nav neerad ghan pyari 
hey swamin tera sewak ban ter bal houn balwan 
paap taap chhip jaaye ho bhayabheet mujhe tera jan jaan

Jaya jagdeesh hare prabhu ,jaya jagdeesh hare 
maayateet .maheshwar,man vach buddhi pare
aadi anaadi agochar avichal avinashi
atul anant anamaya amit shakti rashi
amal akal aja akshaya avyaya avikari 
sat chitta sukhmaya sundar shiv sattadhari
vidhi hari shankar ganapati surya shakti roopa
vishwa charachar tumhi ,tumhi jag bhoopa 
maata pita pitamah swami suhrid bharta 
vishwotpadak paalak rakshak sangharta 
sakshi sharan sakha priya priyatam purna prabho
kewal kaal kalanaidhi kalateet vibho
ram krishna karunamaya premamrit sagar
manmohan murlidhar nit nav natnaagar 
sab vidhiheen malin mati hum ati paataki jan
prabhu pad vimukh abhagikali kalushit tan man 
aahsraya daan dayarnav hum sabko dije
paap taap har hari!sab nij jan kar lije 

Har har har mahadev 
satya sanatan sundar shiv !sabke swami
avikaari avinashi aja antaryami 
aadi anant anamaya akal kaladhari 
amal aroop agochar avichal aghhaari
brahma vishnu maheshwar tum trimurtidhari 
karta bharta dharta tum hi sanhaari 
rakshak bhakshak tum audhardani 
sakhsi param akarta karta abhimani
manimaya bhawan niwasi ati bhogi raagi 
sada masaan bihari yogi bairagi
chhal kapaal garal gal mundmaal byali
chitabhsma tan trinayan ayan mahakali
pret pishach susevit peet jatadhari 
vivasan vikat roopdhar rudra pralayakaari
shubhra saumya sursaridhar shashidhar sukhkaari
atikamaniya shantikar shiv muni manhaari 
nirgun sagun niranjan jagmaya nitya prabhu
kaalroop kewal har !kaalatit vibho 
satchit anand rasmaya karunamaya dhata 
prem sudha nidhi priyatam akhil vishwa trata
hum ati deen dayamaya ! charan sharan dije
sab bidhi nirmal mati kar apna kar lije 

Bandhu gano ! mili kahoprem se yadupati brajpati shyama shyam 
mudit chitta se ghosh karo puni patitpaawan radhe shyam 
jihwa jeevan safal karo kah - jaya yadunandan  jaya ghanshyam 
hridaya khol bolo mat chuko rukmini ballabh shyama shyam 
nav neerad tanu gaur manohar ,jai shree maadhav jai balram
ubhaya sakha mohan ke pyare ,jaya shreedama jayati sudaam 
param bhakt nishkaam shiromani - udhav arjun shobha dhaam
prem bhakti ras leen nirantar vidur vidur grihani abhiram 
ati umang se bolo santan -yadupati brajpati shyama shyam 
mukt kanth se sada pukaro patitpawan radhe shyam 

Saadhan naam sam  nahi aan 
japat shiv sankadi saarad naaradai sujaan
naam ke bal mitat bhishan ashubh bhagya bidhan 
naam bal maanav lahat sukh sahaj  man anumaan
naam terat tarat darun bipati sok mahaan
arta kari nar naari ,dhruva sab rahe suchi sahidaan 
naam ke  partaap te jal par tare paashaan
naam bal sagar ulanghyo sahaj hi hanuman 
naam bal sambhav sakal je kachhu asambhav jaan
dhanya te nar ,rahat jinke naam rat ki baan 
paap punj prajaribe hit prabal paavak khaan
hot chhin mein chhar ,nikasat naam jaan ajaan 
naam sursari mein nirantar karat je jan snaan 
mitat teeno taap mukh nahi hot kabahu malaan
naam aashrit janan ke man basat nit bhagwaan
jarat kharat kusawana sab turat lajja maan 
naam jeevan naam amrit naam sukh ko thaan 
naam rat je naam par te purush ati matimaan 
naam nit anand nirjhar ,ati puneet puraan 
mukta stwar hot je jan karat saadar paan 
naam japat susiddha jogi banat samrathwaan
naam te upajat subhagati biraag subh balwaan
naam ke partaap deekhat prakriti deep bujhaan 
naam bal ugat prabhamaya bhanu tatwagyan 
naam ki mahima amit ko sake kari gungaan
ram te bad naam jehi bal bikat shree bhagwaan 

Bandhugano mili kaho pram se - raghupati raaghav raja ram 
mudit chitta se ghosh karo puni- patitpawan sitaram 
jihwa jeevan safal karo kah jaya raghunandan jaya siyaram 
hridaya khol bolo mat chuko - janaki ballabh sitaram
gaur ruchir ,navghanshyam chhabi,jaya lakshman jaya jaya siyaram 
anugat param anuj raghubar ke - bharat shatrughan shobhadhaam
ubhaya sakha raaghav ke pyare -kapipati lankapati abhiram 
param bhakt nishkaam shiromani 'jaya shree maruti puran kaam'
ati umang se bolo santat - raghupati raaghav raja ram
muktkanth ho sada pukaro patitpaawan sitaram .

Bhool jag ke vishyan ko jap man hari ko naam 
deenbandhu hari karunasaagar patitan ke vishram
aapad andhkaarmaha shreehari puranchand lalaam
paap taap sab mite naam te naas hoyi sab kaam
jam ke doot bhayatur bhage sunat naam sukhdhaam
bhagyavaan je japat nirantar naam sada nishkaam
nirakh sukhi satwar ho murati hari ki jag abhiram 
bhagyaheen jinke man mukh mah basat na hari ko naam
narak roop jag jeevan tinhko bhumibhaar agh dhaam 

Ram ram ram bhajo ram bhajo bhai 
ram bhajan heen janam sada dukhdayi 
ati durlabh deh sahajhi mein payi 
moorakh rahyo ram bhool vishyan man laayi
baalakpan dukh anek bhogat hi beetayi
sti sukh dhan ki apaar chinta tarunayi 
raat diwas pasu ki jyu it ut rahyo dhayi
trishna ki beli badhi paap bari paayi
baat pitta kafahu badhyo dukhad zara aayi
indrin ki shakti ghati sir dhuni pachhitayi
itnehi mein kathin kaal gheri liyo aayi
mrityu nikat dekhi dekhi ati hi bhaya paayi
soch karat man hi man ati s epachhitayi
haye main na bhajya ram ,kaha karyo maayi
mrityu pran haran karan kutub te chhudayi
mahdukh rahyo chhaye bifal sab upaayi
paapan ke phal swaroop buri joni paayi
dukh bhog karat puni narkan mah jaayi
baar baar janam mrityu byadhi aru budhayi
jhelat ati kathin kasht shanti nahi paayi
yahi bidhi bhavdukh apaar barne nahi jayi
bhav bheshaj ram naam shruti puraan gayi
ram naam japat tribidh taap jag nasayi
ram naam mangalkaran sab bidhi sukhdayi
prem magan man te sakal kamana bihayi
joi japat ram  naam soyi mukti paayi

Bhali hai ram naam ki ot 
jinha linhi tinke mastak te padi paap ki pot
ram naam sumirat jin kinho lagi na jam ki chot
antahkaran bhayo ati nirmal rahi tanik nahi khot
ram naam linhe te jar gayi maaya mamta mot
ram naam te mile ram ,jag rah gayo phokat phot

Aur sab bhool bhale hi shree harinaam na bhool
shree harinaam sudhamaya sabke hit ,sabke anukool
shree harinaam bhajan te pahunchat bhavsagar par cool
rog sok antaap paap sab ,jaise sukhi tool
bhagwannam prabal paawakte jare sakal jadmool
jinha harinaam bhajan nahi kinho ,jeevan tinhko dhool
bhakti rasaal mile nahi kabahu boye bishaya babool
shree harinaam bhayo jinke man jagjeevan ko mool
tinh ko dhanya jagat mah jeevan paatak path pratikool

Kar man hari ko dhyan ,ram gun gaiye
prem magan sab deh surati bisariye 
hari sankeertan karat ashru dhara bahe
gadgad hove kanth param sukh so lahe 
pulkit tanu hari prem hridayay jo nachahi
sur muni taki anupam gati nit janchahi 
naam let mukh hasat kabahu kar rudanahi 
tako hit nit karahi dayamaya sadanhi

Ram ram gao santo ,ram ram gao
ram naam gayi gayi ram ko rijhao
ram hi ko naam japo ram hi dhyayo 
ram ram ram kahat pramudit hwai jao 
ram ram suni sunayi hiya ati hulsao
ram ram ram ratat sab bidhi sukh paao 
ram naam madya piyo bishaya mad bhulao 
ram su-ras piya piya tan sudhi bisarao
ram aadi madhya ram ram ant paao
ram akhil jagat roop ram mein samao

Kartal so taali det ,ram mukh boli 
bas jali turant paatak punjo ki holi 

Prem mudit man se kaho ram ram ram 
shree ram ram ram shree ram ram ram 
pap kate dukh mite let ram naam 
bhav samudra sukhad naav ek ram naam 
param shanti sukh nidhan nitya ram naam
niradhar ko adhaar ek ram naam 
param gopya param isht mantra ram naam
sant hridaya sada basat ek ram naam 
mahadev satat japat divya ram naam
kasi marat mukt karat kahat ram naam
maata pita bandhu sakha sabahi ram naam
bhakt janan jeevandhan ek ram naam

Mukh so kahat ram naam panth chalat joyi 
pag pagpar paawat nar jagya phalhi soyi

Ram ram ram ram ram ram ram 
bhaj man pyare sita ram
santo ke jeevan dhruva taare ,bhakto ke prano se pyare
vishwambhar sab jag rakhware ,sab bidhi puran kaam 
azamil dukh taaranhaare gaj ganika ke taaranhaare
drupadsuta bhaya waaranhaare sukhmaya mangal dhaam
anil anal jal ravi shashi taare
prithavi gagan gandh ras saare
tujh sarita ke sab phavvare tum sabke vishram
tumpar dhan jan tan man vaare tujh premamrit mad matware 
dhanya dhanya te jag ujiyare ,jinke mukh yah naam 

Chahat jo paramsukh tu jaap kar harinaam ka 
param paawan param sundar param mangal dham ka 
liya jisne hai kabhi hari naam bhaya bhram bhool se 
tar gaya wah bhi turat bandhan kate jad mool se 
hai sabhi paatak purane ghaas sukhe ke samaan 
bhasma karne ko unhe harinaam paawak hai mahaan
surya ugate hi andhera naash hota hai yatha 
sabhi agh hain nasht hote naam ki smriti se tatha
jaap karte jo chatur nar saavdhani se sada
we na bandhate bhool kar yam paas darun mein kada 
baat karte kaam karte baithate uthate samaya 
rah chalte naam lete vicharte hain we abhaya 
sath milkar prem se harinaam karte gaan jo 
mukt hote moh se kar prem amrit paan so 

Re man hari sumiran kari lije 
hari ko naam prem so japiye ,hari ras  rasna pije 
harigun gaiye ,suniya nirantar ,hari charnani chit dije 
hari bhagtan ki sharan grahan kari ,hari sang preeti karije 
hari sam hari jan samujhi manhi man tinko sewan kije
hari kehi bidhi so humso rijhe ,so hi prashna karije 
hari jan hari marag pahichane anumati dehi so kije 
harihit khaiye .pahiriya harihit ,harihit karam karije
hari hit hari san sab jag seiya ,harijit mariye jije .

Man ban madhup haripad saroruh leen ho 
nishchinta kar ras paan bhaya bhram heen ho 
tu bhool kar saare jagat ki bhawana 
rah mast aatho pahar mat yon deen ho 
tu gungunahat chhod bahar ki sabhi 
bas ram gun gunjaar kar madhu peen ho 
tu chhod de ab jah tahan ka bhatakana 
hari charan aashrit ti yatha jal meen ho 

Hari ko harijan atihi piyare 
hari hari jan te bhed na rakhe ,apne sam kari daare
jaati paati kul dhaam dharam dhan nahi kachhu baat bichare 
jehi man hari pad prem ahaituk ,tehi dhig nem bisare 
byadh nishad ajamil ganika kete adham udhare 
,kari khag baanar bhalu nishachar ,prem bibas sab taare 
parakhi prem hiya harashi ram bhilani ke bhawan padhare 
baarahi baar khaat jhoote phal rahe sarahat haare
bidur gharani sudhi bisari tan ki shyam jabhi pagu dhare 
kadli phal ke chhilka khaye ,premmagan man bhare 
re man aise param prem maya hari ko mat bisara re 
prabhu ke pad saroj ras chakhan ,tu madhukar bani ja re 

Man nit bhagatan haath bikaun
aatho jaam hridaya mein rakhu palak nahi bisrau 
kal na parat baikunth basat mohi jogin man na samau
jah mam bhagat prem jut gaanwahi taha basat sukh paaun
bhagtan ki jaisi ruchi dekhu taiso besh banau 
taru apne bachan bhagat lagi,tinke bachan nibhaun 
oonch neech sab kaaj bhagat ke ,nij kar sakal banau 
pag dhoun ,rath haakun ,maju baasan chhani chhavau 
maangu nahi daam kachhu tin te nahi kachhu tinhi sataun
prem sahit jal patra pushp phal jo deve so khaun
nij sarbas bhagtan ko saupu apno swatwa bulaun
bhagat kahe soi kaun nirantar beche to bik jaaun 

tajo re man jhoothe sukh ki aasha 
hari pad bhajo ,tajo sab mamta ,chhod bishaya abhilaasha 
bishayan mein sukh sapnehu nahi ,kewal matra durasa 
kamini sut pitu maat bandhu jas kirati sakal supaasa 
chhinmah hot biyog saban te kathin kaal jag nasa 
kshan bhangur sab bishaya ,nirantar banat kaal ke grasa 
inme jo kou phir sukh chahat so nit marat piyasa 
prabhu pad padam sada abinasi sewat param hulasa 
mile param sukh ghate na kabahu ,jinke man biswasa 

karat nahi kyu prabhu par vishwas 
bishwambhar sab jag ke paalak pure teri aas
sukh lagi thokar khaat itahi ut dolat sada udaas
milat na kabahu sukh bishyan mein dukhmaya ayh abhilash 
prabu pad padam sada chintan kar chhute jam ki traas
man anant anad magan nit prtamudit param hulaas

Jagat mein swarath ke sab meet 
jab lagi jaso rahat swarth kachhu ,tab lagi taso preet 
mata pita jehi suthit nis din sahat kasht samudayi
buddh bhaye swarath sab nasyo ,soyi sut mrityu manayi
bhog jog jab lo juvati stri tablo atihi piyari
bidhibas soyi jadi bhayi byadhibas ,turat chahi tehi mari 
priytam prannath kahi kahi jo atulit preeti dikhawat
soyi nari rachi aan purush sang pati ki mrityu manawat 
kal nahi parat mitra binu chhanbhar sang rahe sang khaye 
binasyo dhan swarath jab chhutyo mukh batraat lajaye 
sancho hriday akaaran premi ram ek jag mahi 
tehi sang jorahu preet nirantar jag kou apno nahi 

Man kachhu wa din ki sudhi rakh 
ja din tere tanu dukaan ki uth jaihe sab saakh 
indriya sakal na maanahi anumati chhod chale sab saath
sut pariwaar nari nahi kou puchhe dukh ki gaath
warant le yamdoot aayi tohi pakari bandhi le jaye 
kou na bane sahaye kaal tihi dekhat hi rahi jaaye
jam ke kaaraagaar narak mah atisaya sankat paaye
baar baar karni sumiran kari sir dhuni dhuni pachhitaye
jo yahi dukh te ubaro chahat to hari naam pukaar
ram naam te mite sakal dukh mile param sukhsaar 

Jagat mein kije yo byavahaar
akhil jagat harimaya bichari man,kije sabson pyar
maata pita gurujan pag bandiya shraddha sahit udaar
phal bihaye tinki aagya so kije ab achaar
desh jaati kul kutumb naari sut ,suhrid deh pariwaar
jatha jog sabki sewa nit kije swarth bisaar
barnashram anukool karam sab kije bidhi anusaar
phal kaamna biheen kintu kewal kartavya bichar 

Jagat mein koi nahi tera re
chhad britha abhimaan tyaag de mera mera re
kaal karam bas jag saraya bich kinha dera re
is saraye mein sabhi musafir rain basera re 
jis tan ko tu sada sanware saanjh sabera re 
ek din marghat pade bhasam ka hokar dhera re 
maata pita bhrata sut baandhav nari chera re 
ant na hoye sahaya kaal jab deve ghera re 
jag ka saara bhog sada kaaran dukhkera re 
bhaj man hari ka naam paar ho bhav jal bera re 
deendayal bhaktwatsal hari malik tera re 
deen hoye unke charnon mein kar le dera re 

Shyam mohi tum bin kachhu na suhave 
jab te tum taji braj gaye mathura hit uthalyoi aave
birah byatha sagare tanu vyapi tanik na chain lakhave
kal nahi parat nimesh ek mohi ,man  samudra lahrave
nand ghar suno madhuban suno hiya suno bilkhave 
ati bihwal brishbhanu nandini ,nainan neer bahave 
sakuch bihayi pukari kahati so shyam mile sukh paave 

Udho tum to bade biragi 
hum tp nipat ganwari gwalini ,shyam roop anuragi
jehi chhin pratham shyam chhabi dekhi tehi chhin hridaya samani 
nikasat nahi ab kaunehu bidhi rom rom urjhani
aatho jaam magan man nirkhat shyam murati nij mahi 
drig nahi pekhat anya vastu jag ,buddhi bicharat nahi 
udho tumharo gyan nirantar hou tumhi sukhkaari
hum to sada shyam rang ranchi tahi  na sakahi utari 

Banhi ban shyam charawat gaiya
subhag ang sukhma ko sagar kar bich lakut dharaiya
peet basan damkat damini sam ,murali adhar bajaiya
dhavat it ut dau ke sang ,khel karat larikaiya
gaiyan ke pachhe nit bhajat nand raya ko chhaiya
dhanya dhanya we brij ki dhumari dhauri kari gaiya
jinahi piyawat jal yamuna tat thadu aapo kanhaiya

Udho madhupur ka baasi 
mharo bichhadyo shyam  milaye birah ki kaat kathan phansi
shyam binu chain nahi aave 
mharo jab se bichhadyo shyam hivado ulajhyo hi aave
chhaye rahi byakulta bhari 
mhare shyam birah mein aaj nain se rahyo neer jaari
shyam binu braj sunyo laage
suni kunj ,teer jamuna ko ,sab suno laage
goth ban shyam bina suno 
mhare ek ek pul jug sam beete ,birah badhe duno
udho araj suno mhari 
tharo gun nahi bhula kade miladyo mohan banwari 

Bidur ghar shyam pahune aaye 
nakh sikh ruchir roop manmohan ,koti madan chhabi chhaye
bidur na hute gharahi mein tehi chhin ,shyam pukaran laage
bidur gharani nahati uthi dhayi nain prem ras paage
bhuli basan nhat rahi jehi thall ,tanu sudhi sakal bhulayi 
bolati atpati bachan prembas ,kadari phal le aayi
chheelat daarat gudo it ut chhilka shyam khavave 
baarahi baar swad kahi kahi hari pramudit bhog lagave
tanik ber mah hari gun gaawat bidur gharahi jab aayen 
dekhi daras so kahat ahah ,tai chhilka shyam khawawe
karte kera jhataki vidur gharani gharmahi pathayi 
tanu sudhi paayi salaaj sasankit basan pahiri chali aayi 
bidur premjut chhili chhili ke kera harihi khiyave 
kahat shyam wo saras manohar swaad na in mah aave
bhukho sada prem ko dolun bhagat janan grih jaaun
paayi premjut amit padarath khaat na kabahu aghaun

 `


     



0 comments:

Post a Comment