Saturday 10 August 2013

maakhan chor - Krishna Bhajans

Maakhan chor - Krishna Bhajans 

Maakhan chor





Kya kya kahoon main krishna 


Lyrics -

Kya kya kahoon main krishna kanhaiya ka balpan 
aisa tha bansuri ke bajaiya ka balpan 
aur madhupuri ke basaiya balpan 
mohan swaroop nritya karaiya ka balpan 
ban ban ke gwaal gaiya charaiya ka balpan 
bhakton suno ..

eh roz muh mein kanha ne mati ko kha liya 
punchha yashoda ne to apna muh chhupa liya
muh khol teen lok ka aalam dikha  diya
aisa tha bansuri ke bajaiya....
  hai hontho pe unka chalna bayan karoon 
ya unhi ki baat muh se nikalna bayan karoon  
ya godiyon mein unka machalna bayan karoon 
aisa tha bansuri ke bajaiya....

balpan mein krishna ne dushton ko tara tha 
jab yamuna mein kale naag ko kya khoob maara tha 
indra ko sabak sikha giri ko uthaya tha 
aisa tha bansuri ke bajaiya....

makhan ke bahane se sakhi unko lati thien
jahir mein unko chhedati aur gul machati thien 
parde mein we krishna ke balihari jaati thien 
aisa tha bansuri ke bajaiya....

karne lage dhoom jo giridhari nandlal 
ek  aap aur doosare unke  gwal bal 
raas rache matki phode shree madan gopal 
aisa tha bansuri ke bajaiya....

sab mil ke bhakton krishna murari ki bolo jai 
govind kunj chhail bihari ki bolo jai
un neel dheer krishna murari ki bolo jai
aisa tha bansuri ke bajaiya....
  
Shyam teri bansi 


Lyrics -

Shyam teri bansi baje dhire dhire 
gokul mein radha nache dhire dhire 

aage aage krishna chale pichhe se radha 
beech mein paayal baje dhire dhire 

aage aage ram chale pichhe se laxman 
beech mein sita chalen dhire dhire 

aage aage shankar chale pichhe se parvati 
beech mein damru baje dhire dhire 

aage aage ganga bahe pichhe se jamuna 
beech mein saraswati bahe dhire dire 

Thumak thumak chalat 


Lyrics -

Thumak thumak pag dhare re kanhaiya 
nache nandlala, nachave unki maiya

meva mithai shyam  manhu na bhave  
makahan mishri khilave unki maiya 
nache nandlala..

krishna krishna jai jai krishna 

toshak palang shyam manhu na bhave 
sone ka palana jhulave unki maiya 
nache nandlala..

mahal attari shyam manhu na bhave 
gokul mein raas rachave re kanhaiya 
nache nandlala..

Jai kanhaiya lal ki 


Lyrics -

Jai kanhaiya lal ki madan gopal ki 

Jai kanhaiya lal ki madan gopal ki 
gao re gao re gao jai jai nandlal ki 
hanthi ghoda palaki toli sang gwal ki 
gao re gao re gao jai jai nandlal ki 

mangal ghadi aayo mangal gaao 
janam liyo hai bhagwan khushiyan manao 
tika lagao jhula jhulao 
gao re gao re gao... 

rang abir gulal udaao
gokul nagari aaj sajao 
deep jalao aarti sajao 
gao re gao re gao..

aayo re aayo taranhaara 
nand yashoda ka raajdulara 
darshan paao wari wari jaao 
gao re gao re gao ..

Man re chal ke vrindavan 


Lyrics -

Man re chal ke vrindavan mein dekho 
shyam murali bajate milenge 
swayam jhoola pe hai radha rani 
aur mohan jhoolate milenge 

Kabhi jamuna ke tat pe woh jaate 
kabhi nache woh sabko nachate 
kabhi madhuban mein sag gwalon ke 
kanha gaiya charate milenge 

Kabhi maiya ke rasri mein bandhate 
kabhi nand baba ke kanhdh chadhtae 
kabhi kabhi ghar ghar mei ja ke kanhaiya 
dahi goras lutate milenge 

Roop shyamal chhavi nayri nyari 
gopiyan sang mein pyari puari 
radhe rani ke sang gopiyon sang 
maharaas rachate milenge 

Apne bhakton ki bigadi bana ke 
deen dukhiyon ki peeda mita ke 
kabhi brij wasiyon ke liye woh 
giriwar ko uthate milenge 

Janam liyo krishna kanhaiya 


Lyrics -

kar man nand ko dhyan 
yah awasar tahiphir na milego mero kaho ab man 
ghunghar bari alken mukh par kundal jhalkat kaan 
narayana alsaane naina jhoomat roop nidhan 

jaman liyo krishna kanhaiya, gokul mein baaje badhaiya
maata jasoda phuli na samave, jhuk jhuk let balaiya

maharh vastrarbharan kanchuko sheehbhushitah
gopaha samayuyah rajan nanupayan paanahah
  
chalo sakhi janam safal kar aave, pragate hai kunwar kanhaiya

avadyatantya vichitrani vaditrani mahotsawe 
krishne vishwaswarenam te nandasya vrajmavate 

aangan mein sakhi sohar gaaven, baaje madhur shahnaiya 

gopaha parasparam drishta dadhi ksheer ghritam bubhih 
asinchanto vilimpanto navneetaischa chishipkshiko  

dahi haldi ki keech machi hai, nand baba ke anganaiya
prem bhari premagan nache, nand baba ke anganaiya 

nando mahamanastebhyo vasoalankar bodhanam 
sutmagadhbandibhyo  ye nevidyo jeevanah 

 baba lootavat anna dhan sunma ,nand baba ke anganaiya

toshishah prinjanam shrinam pahiti  balake 
haridra churna teladwahi sinchantyo janmunjagoh 

det ashish sakal braj nari, chir jivo dono bhaiya 
nand ke anand bhaye jai kanhaiya lal ki 

Aarti kunj bihari ki 

Listen to aarti kunj bihari ki

Lyrics - 

Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki

Gale Mein Baijanti Mala, Bajave Murali Madhur Bala
Shravan Mein Kundal Jhalakala, Nand Ke Anand Nandlala

Gagan Sam Ang Kanti Kali, Radhika Chamak Rahi Aali
Latan Mein Thadhe Banamali
Bhramar Si Alak, Kasturi Tilak, Chandra Si Jhalak
Lalit Chavi Shyama Pyari Ki
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki

Kanakmay Mor Mukut Bilse, Devata Darsan Ko Tarse
Gagan So Suman Raasi Barse
Baje Murchang, Madhur Mridang, Gwaalin Sang
Atual Rati Gop Kumaari Ki
Shri Giradhar Krishna Murari Ki

Jahaan Te Pragat Bhayi Ganga, Kalush Kali Haarini Shri Ganga,
Smaran Te Hot Moh Bhanga
Basi Shiv Shish, Jataa Ke Biich, Harei Agh Kiich;
Charan Chhavi Shri Banvaari Ki.
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki...

Chamakati Ujjawal Tat Renu, Baj Rahi Vrindavan Benu
Chahu Disi Gopi Gwaal Dhenu
Hansat Mridu Mand, Chandani Chandra, Katat Bhav Phand
Ter Sun Diin Bhikhaarii Kii
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki


0 comments:

Post a Comment