Wednesday 14 August 2013

Prarthana

Prarthana By Usha Mangeshkar 




Ya mohan ke main roop lubhani


Lyrics -

ya mohan ke main roop lubhani 

sundar badan kamal dal lochan 
banke chitwan mand muskani 

jamuna ke neer teere dhenu charave 

bansi mein gaave mithi bani 

tan man dhan giridhar par vaarun 

charan kamal meera laptani 

Man mein basi bas chah yehi


Lyrics -

man mein hai basi bas chah yehi 

priya naam tumhara uchara karoon 
bithala ke tumhe hiya mandir mein 
manmohini murat nihara karoon 
bhar ke drig patra mein prem ka jal
pad pankaj nath pakhara karoon 
ban prem pujarin tumhari prabhu 
nit aarti bhavya utara karoon 

tum aao na aao yahan tumko 

nis basar hi main bulaya karoon 
teri naam ki mala sada priye
man ke manko pe phiraya karoon 
jis panth mein paaon dharo tum 
main palke us panth bichhaya karoon 
bhar lochan ke gagari nit hi 
pad pankaj pe dhalkaya karoon 

tum aao to bhi bhool yahan 

drig neer se paanv pakhara karoon 
man mandir ko kar swachh prabhu 
ur aasan par padharaya karoon
mridu manjul bhav ki mala bana 
tere pooja ka saaj sajaya karoon 
ab aur nahi kuchh paas mere
nit prem prasoon chadhaya karoon  

tum jaan ayogya bisaro mujhe

par main na tujhe bisraya karoon 
gungaan karoon  nit dhyan karoon 
tum man karo main manaya karoon
tav prem pujariyo ki pad dhool 
main sada nij sheeh chadhaya karoon  
tere bhakton ki bhakti karoon  main sada 
tere chahne walon ko chaha karoon 

Kaya ka pinjara

Listen to kaya ka pinjara

Lyrics -

Kaya ka pinjara dole re
ek saans ka panchhi bole

tan nagari man hain mandir
parmatma jiske andar 
do nain hain suddh samandar 
paapi paap ko dho le 

aane ke shakshi jaana 

jaane se kya pachhtana 
duniya hai musafir khana 
ab jaag jagat ya soye re 

maa baap patni pati saare

koi bhi nahi kisi ka 
jhagda hai jeete jeeta kyun
gupt bhed ko khole re 

Aarti yugal kishore ki

Listen to aarti yugal kishore ki

Lyrics -

Aarti yugal kishore ki kije 
radhe dhan nyochhavar kije 

ravi shashi koti badan ki shobha
tahi nirat mein rahe na lobha 
gaur shyam mukh nirakhat rijhe 
prabhu ka roop nayan bhar pije 

kanchan thar kapoor ki bati 
hari aayen nirmal bhayi chhati
phoolan ki sej phoolan ki mala 
ratan singhasan baithe nandlala

shree purushottam girivar dhari 
aarti karat sakal nar nari 
nand nandan brajbhanu kishori 
parmanand swami avichal jodi 

Arey dil arey dil

Listen to arey dil arey dil

Lyrics -

arey dil arey dil arey dil arey dil 
premnagar ka ant na paya 
jo aaya to jayega 

sun mere sajan sun mere mita 
ya jeevan mein kya kya beeta 
sir pahun ko pochha lita 
aage kaun chhudayega 

parli paar mera mita khadiya 
us milne ka dhyan na dhariya 
toot na ava go upar jo baitha 
ja tin dhokha khayega  

das kabir kahe samjhayi 
ant kaal tera kaun sahayi 
chala akela sang na koi 
kiya aapna pavega 

Jago bansi wale lalna

Listen to jago bansi wale lalna

Lyrics - 

Jago bansi wale lalna 
jago more pyare 

rajni beeti bhor bhayo hai 
ghar ghar khule kiwade 
gopi dadhi mathat suniyat hai 
kangana ke jhankaare 

Maakhan roti haanth mein linhi 
gouwan ke rakhware 
Meera ke prabhu giridhar nagar 
sharan aaye ko taare 

0 comments:

Post a Comment