Monday 6 October 2014


Maa aayen sharan tumhari



Jai jai jai jagjanani 


Lyrics-

jai jai jai jai jagjanani sharan tiharo aayo hai
sharan tiharo aayo maiya sharan tihari aayo hai

bail sinhasan baithi meri maiya shankar roop dharayo hai
jata joot sir gang biraje sheeshnaag liptayo hai

garud sinhasan baithi meri maiya vishnu roop dharayo hai
mor mukut pitambar sohe mukh dhar venu bajayo hai

hans sinhasan baithi meri maiya brahma roop dharayo hai
chaaron ved mukh chaar viraje charo ved yash gaayo hai

singh sinhasan baithi meri maiya shakti roop dharayo hai
dhyanu bhagat maiya tera yash gaave charan kamal chit laayo hai

Sathi mil ke bolo jai maata di 




Lyrics -


kripa ki na hoti jo aaj tumhari to suni rehti adalat tumhari

jo deeno ke dil mein jagah tum na paati to kis dil hoti ifaajat tumhari
garibon ki duniya maa aabaad tumse garibon se hai baadshahat tumhari
na mulzami hote na tum hoti haathon na ghar ghar mein hoti ibaadat tumhari

saathiyon mil ke bolo jai maata di jai maata
premiyon mil ke bolo jai maata di jai maata

unche unche parvaton pe maiyan ji ka dera hai
maa meri ka dera hai
uchhe maiya aap basdi niche shahar basera hai

maiya naal pyar karo maiya hume pyar kare
daati hume pyaar kare
dukhade saare katdegi maiya da deedaar karo


kalbhairo julm kiya maiya ji ko gher liya

maa meri ko gher
jahan use maar diya wohi dar tera hai

sab mil jai jai kaar kare maiya tere dwaar khade
daati tere dwaar khade
sab di jholi nu bhare wahi dar tera hai

Meri maata gagan mein jaaye rahi 




Lyrics -

Meri maata gagan mein jaayo rahi
jaayo rahi ji dhayo rahi

trikut mahal par chadh kar dekho jagmag jyoti jagayo rahi
baadal garje amrit barse bijli chamak man bhaayo rahi
dasme mahal pe sez maiya chun chun phool sajayo rahi

Maa bagyo sherawali 




Lyrics -

mujhme jap tap na saadhan aur nahi kachhu gyan hai
nirlajjata hai ek baaki aur maiya mujhe abhi maan hai
paap bhojhe se ladi naiya bhanwar mein jaa rahi
maata daudo ab bachao jald doobi ja rahi

Maa bagya sherawaliye mera sahara tu hai
mera sahara tu hai ambe mera sahara tu hai
lo tanu laga sahare mera sahara tu hai

parvat vasa tera main palla parya tera
mainu charne aan laga le mera sahara tu hai

dar tere main aaya hath jod ke sheesh jhukaya
mainu apna baal bana le mera sahara tu hai

meri naiya dole aur khati hai hichkole
mohe bhav to paar laga le mera sahara tu hai

Namaskaar hai 




Lyrics -

Likha kya bhagya mein teri dilkas nahi dekhi woh tehrirein
maa kripa jispe kar deti badal deti hai taqdeerein

namaskaar hai maa namaskaar
tujhe maa karoron namaskaar hai

tu maa ban ke kart hume pyar hai
tu jagdamba ban bharti bhandaar hai
daya se maa teri yeh sansaar hai

tu bhakton ki kirti aur satkaar hai
tu vishnu ki maaya tu sansaar hai
tu hi apne daason ki rakhwaar hai

tu hi naina devi hai maat jawala
tu hi chintapurni maiya devbaala
tu vaishnuroop avataar hai

hai be antroop kayi naam hai
tera naam japte subah shaam hai
tu har jagah maa madadgaar hai

Hum aaye sharan tumhari 




Lyrics -


Maa yadi ap bhi mujhe chhod dengi phir kahan jaunga main

bhavsagar se naav kaise par paar kar paaunga  main
sab jagah bhatak maine ab li hai sharan aap ki
paar karna ya na karna yeh marzi hai aap ki

hum aaye sharan tihari hai
thukra na kahin humko dena
maiya aap daya ki sagar ho
apraadh kshama sab kar dena

hai paas na mere bal buddhi tap
aur gyan nahi man ki shuddhi
maiya aake jyoti jaga dena
gyan ki jyoti jaga dena
apraadh kshma sab kar dena


main bhatak raha hoon idhar udhar

kuchh pata nahi ab jaun kidhar
maiya aakar maarg dikha dena
apraadh kshama sab kar dena

dhan dhaam nahi kuchh apna
main dekh raha hoon jyu sapna
maiya aakar mujhe jaga dena
apradha kshama sab kar dena

main laga doobane jahan kahi
ho koyi bhi apna wahan nahi
maiya aakar mujhe bacha lena
apradha kshama sab kar dena

0 comments:

Post a Comment