Thursday 16 October 2014

Bhajan chalta rahe by Sharma bandhu 




Bhajan chalta rahe 


Lyrics -

Bhajan chalta rahe magan manwa rahe
anand badhata rahe dekho
siya ram siya ram hari naam ka

ye bhajan jisne hokar magan hai kiya
ho gaya woh amar usne amrit piya
usko shikwa na koi shikayat rahi
uske nar deh paane ka phal paa liya
hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol

agam sansaar hai
visham vyavahaar hai
sugam bas naam hai dekho
siya ram siya ram hari naam ka

ram ji ke bhajan mein to bal hai bada
dwaar shabari ke chal kar ke aana pada
iske bal pe prabhu se tha kewat ada
apne charnon ko unko dhulana pada
hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol

bharam mit jaayenge
karam khil jayenge
adham tar jayenge
dekho siya ram siya ram hari naam ka

ram charnon mein se aane se kahe dare
woh kripalu to hain woh kripa hi kare
bhakt ki bhool saari bhula kar prabhu
saare santaap aur paap man se hare
hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol

lagan lagi rahe
jalan jati rahe
ratan badhati rahe
dekho siya ram siya ram hari naam ka

Rah ke chal diye


Lyrics -

Rah ke chal diyen jahan mein char din
woh bhi pyare ram ji ke pyar bin
tu soch le vichaar le apne ko sudhar le
sudh bisaar ke man ko vaar ke
kar bhajan hari ke chhin

yeh vaasanaayen jo jeevan mein bas
jo na ram ji ki prem dhaar mein bahi
ho kyu andhera na man se mere jayega
naam ka hridayay mein deep jagmagaye to
ram naam ka prem geet gaa taal baje dhinak dhin

ram naam lekar shuru to kar naya safar
ram ki kripa se mili tujhe sahi dagar
naam ka bharosa ab kabhi  na chhodana
tu bhajan ke bal se rukh hawa ka modna
chhod deenata saari heenata dosh apne ab na gin

ram ho humare aur hum ho ram ke
hum ban sakenge bas tabhi to kaam ke
mol in palon ka na kabhi bisariye
naam ke sahare zindagi sudhariye
pyar mein magan chal karen bhajan
rasta nahi kathin

Sun sun sun mere sathi




Lyrics -

Sun sun sun mere sathi
hriday ki preet prabhu ko rijhati
prem ka dhan jo liye
usi ke ram hue sukhdham hue
sabkaam hue

prem deewani meera rani kehti hai kya baat suhani
mai ni main to govind lino mol
bhed diyen sab khol hari to aave prem ke mol
Sun sun sun mere sathi
hridaya ke man mein jala ke baati prem ka pran jo liye
usi ke ram hue sukhdham hue sabkaam hue

daras deewana hua fakira prem dhani al mast kabira
kachhe pachhe hari kiye kahat kabir kabir
kehat kabira jaano prem se bada na koi gyan
sun sun sun mere sathi
na jhoothi duniya jise lalchati
samarpit man jo kiye usi ke ram hue
sukhdham hue sabkaam hue

tulsi ne sab chhod ke maaya raghuwar kya khoob manaya
tulsidas chandan ghise tilak det raghuveer
ram to hai bas pyar pyar se kare to koi bhi paye
sun sun sun mere sathi
prem ki lagan jise lag jati
jo prabhu ka ban ke jiye usi ke ram hue
sukhdham hue sabkaam hue

Jaise parvat se zharne 




Lyrics -

Jaise parvat se jharne jhar jhar jhar jharte aayen mithi awaaz sunaye
hum bhi to gungunaye hari ka naam gaayen hari ka naam gaayen gaayen re

jaise saawan mein baadal ghan ghan aawaz sunaye hum bhi to gungunaye
hari ka naam gaayen hari ka naam gaayen siya ram gaayen re

jaise poonam ke din chana ki chandani chamke chamke re
jaise bagiya mein sheetal hawa aa jaaye chupke se chpke se
aisa nirmal saral tera pyaar ho phir kyu na tera udhhar ho
jaise phoolon pe bhanwara gungun karta aaye mithi awaaz sunaye
hum bhi to gungunaye .....

ram jai jai ram ram jai jai ram

jaise amraiyon mein kokil kare kujan re
jaise basanti rut mein bagiya ka khile kan kan re
aisa rang se bhara tera pyar phir kyun na tera udhhaar ho
jaise ganga ki lehrein kal kal kal kari aayen mithi awaz sunaye
hum bhi to gungunaye .....

apne man ke mahal mein raaghav kripalu ko basa le tu basa le
apni vaani se unke paawan charita ko tu gaa le haan ga le
aisa sangeet maya tera pyaar ho phir kyu na tera udhhar ho
badal ka premi chatak jo peehu peehu gaaye mithi aawaz sunaye
hum bhi to gungunaye .....

Is bhavsagar ka gehra paani




Lyrics -

Is bhavsagar ka gehra paani
bhatak na jaaye iski lehron mein teri yeh naav purani

badi iski lehar chali tez hawa kaun raksha kare ram ji ke siva
chhod sare bharam na samay ko ganwa
woh bachate sada tu sharan mein to aa
pyar se sarvadaa yahi gaate raho
siya rama kaho  siya rama kaho siya ram kaho

kucchh duniya chali kuchh man ki kami
kuchh tune na santo ki  vani suni
ab badal dastan le sahi rasta
ram bhakti bina na kisi ki bani
ram bhakti hridaya mein jagate raho
siya rama kaho siya rama kaho siya rama kaho

Ram sanware sabke kaam 




Lyrics -

Sita ram jai sita ram
Ram sanware sabke kaam
sita ram jai sita ram
o gaate jaana subahe shaam
sita ram jai sita ram

sukh dukh ki ghanghor ghatatyen kitni garje kitni barse
chintit hokar vichalit hokar ya ghabrakar inke dar se
bhool na jaana uska naam sita ram jai sita ram

deen heen adhamo patiton ki aur kahan hogi sunwayi 
dwar sabhi ke liye khule hain ram kare sabko sukhdayi 
kripa barasti hai abhiram sita ram jai sita ram 

Bolo bolo aankhein kholo 


Lyrics -

Bolo bolo ankhein kholo
aao gaao prabhu ka naam
sita ram sita ram sita ram

jo man ka hai ujiyara
bhakton ko laage pyara
vedon ka yeh saar roop hai 
santon ka vishram 
sitaram sitaram sitaram 

bhakti ki raah dikhata
preeti ki lagan lagata
iske aage haare saare
krodh lobh mad kaam 
sitaram sitaram sitaram 

isko aadhaar bana le
is raah pe paanv badha le 
mit jayegi chinta sari 
mil jayenge ram
sitaram sitaram sitaram  

Naam Ram ji ka anmol khajana




Lyrics -

Naam ram ji ka anmol khajana
jiske hridaya ne yeh khazana pehchana
woh to jape ga hoke prem deewana 
shyam  shyam shyam shyam ga 

socho aisa kaun sa saral hai upaya bhala duja 
dekho bada kathin hai karna jap tap pooja 
man ho paraya jahan tan ho paraya 
badi badi saadhanayein kaun kare upaya
ek baar naam ki sharan mein jo aaye
rasta kathin bhi saral ho jaaye 
bolo bolo sare sant yahi batayein 

socho jab gaj ko pakad liya jal mein magar ne
dekho jab doobne ko tha woh jal ki gehar mein
haar kar hari naam usne pukara
prabhu ne turat use aa ke ubaara 
prabhu ki kripa ki yeh kathayen samjhayen 
naam ke hi pichhe naami dauda chala aaye 
bada bad bhagi hai jo sada yehi gaaye
shyam shyam shyam shyam ga 

Ramam 




Lyrics -

Jeevan ki bagi mein sona hai mati
agar man yeh preetam na gaaye madhur geetam
ramam ramam
ram jai jai ram  jai jai ram
ram jai jai ram jai jai ram

man yeh swayam mein hi uljha
kaanton ko isne sada phool samjha
aankhon ke hote hue khaye thokar
dukh mein prabhu tumko dikhlaye ro kar
preeti mein teri na aankhen hui nam
magar man yeh preetam bhare bhakti ka dum

sapno ke jhulon pe ye man aisa jhoola
sukh uparat apne prabhu ko hi bhula
maaya ke toofan mein tinke sa jeevan
mazboor udta raha hai yeh har chhan
suraj ke bin kaise kat payega tam
magar man yeh preetam kare vyarth hi sham

na naav chahun main us paar lagna
na ram mandir pe chahoon pahuchana 
swar mein kahan se bharun aisi karuna 
jisse sada tumko parta hai khichna 
tera sahara jo mil jaaye pyara 
tabhi  man ka preetam kate ga sabhi bhram  








0 comments:

Post a Comment