Thursday 17 April 2014

R



Radhe tere charnon ki yadi dhool hi mil jaaye


Radhe tere charnon ki gar dhool hi mil jaaye
Shyama tere chranon ki gar dhool hi mil jaaye
sach kahati hoon meri , taqdeer badal jaaye

yah man bada chanchal hai , kaise tera bhajan karoon
jitna ise samjhaun utna hi machal jaaye

Sunte hai teri rehmat din raat barasati hai
Ek boond jo mil jaaye , dil ki kali khil jaaye

Nazaron se girana na , chahe jitni saza dena
Nazaron s jo gir jaaun , mushkil hai sambhal paana

Bas ek tamanna hai , bhakt ke is dil mein

tu samne ho mere mera dum hi nikal jaaye



Radha Ke Bina Shyam Aadha

Listen to Radha ke bina shyam adha 

Lyrics-

radha ke bina shyam adha kehte radheshyam 
janam janam ke bhagya jaga de 

vyarth pada mala bin moti vyarath rahi deepak bin jyoti   
chanda bina chandani kaisi suraj bina dhoop na hoti 
bin radha ke kahan hai pura nat naagar ka naam 

satth hai jaise jal ki dhara saath hai jaise nadi kinara 
sath hai jaise neelgagan ke suraj chanda tara tara
vaise inke bina adhoora man vrindavan dham

shree radha ko jisne bhulaya usne apna janam ganvaya 
dhanya hui wo vaani jisne radhe shyam naam hai gaaya 
unka sumiran kare bina kab milta hai vishram  

Ri bansi kaun tap te kiyo 

Listen to ri bansi 

Lyrics -

Ri bansi kaun tap tein kiyo
Rahat giridhar mukh hi lagi 
Adharan ko ras piyo 
Shyam sundar kamal lochan 
Tohi tan man diyo
Sur shri gopal bas bhayen
Jagat mein yash liyo

Rani tero chir jiyo Gopal

Listen to Rani tero chir jiyo Gopal 

Lyrics - 

Rani tero chir jiyo gopal
Begi badhyo badi hoya viradh lat, mahari manohar baal
Upaji paryo yah koonkhi bhagya bal,samudra seep jaise laal
Sab gokul ke pran jeevan dhan , bairin ke ursal
Sur kito jiya sukh paavat hai, nirkhat shyam tamal
Raj aaraj lagyo meri akhiyan,roge dosh janjaal


Rang De Chunaryan

Lyrics -

Rang de chunariya
Shyam piya mri rang de chunariya 

Aisi rang de ki rang nahi chhute 
Dhobiya dhove chahe ye saari umariya 
Shyam piya...

Lal na rangau main to hari na rangau 
Apne hi rang mein rang de chunariya 
Shyam piya ...

Bina rangaye main to ghar nahi jaungi
Beet hi jaaye chahe ye saari umariya 

Meera ke prabhu giridhar naagar


"Jal se patla kaun hai kaun bhumi se bhari 
Kaun agan se tez hai aur kaun kaajal se kaali 

Jal se patla gyan hai aur paap bhumi se bhari 
Krodh agan se tez hai aur kalank kaajal se kaali "

Hari charnan mein(shyam charnan mein,prabhu charnan mein)
Jaoon balihariya 
Shyam piya ... 




 Radha raman hari bol 


Lyrics -

Jai Jai Radha raman hari bol 

mujhe kaam hai ishwar se, jagat roothe  to roothan de 
baith sangat mein santan ki, karoon kalyan main apna
log duniya ke bhogon mein, mauj loote to lootan de 
prabhu ke dhyan karne se lagi lagan mere
preet sansaar vishyan se agar tootat hai to tootan de 

tum bin meri kaun khabar le gobardhan giridhari 
sheesh mukut pitambar sohe kundal ki balihari


0 comments:

Post a Comment