Tuesday 22 April 2014

E


Eri main to prem diwani (b'ful meerabai song) 
Listen to Eri main to prem diwani

Lyrics-

Eri main to prem diwani
mera dard na jaane koi 

ghayal ki gati ghayal jaane 
jo koi ghayal hoye 
jauhari ki gati jauhari jaane 
kije na jauhari hoye 

suli upar sej humari 
sovan kis vidhi hoye 
gagan mandal par sej piya 
kis vidhi milna hoye 

dard ki maari ban ban dolun
vaidya mila nahi koye 
meera ki prabhu peer mite gi 
jab baidya saanwariya hoye 



Ek aag lagi hai seene mein


Ek aag lagi hai seene mein nainon se neer na dhalta hai
oh shyam idhar bhi dekh zara maati ka mandir jalta hai

Chun chun kar yaadon ki kaliyaan singhasan ek banaya tha
hey nath tumhare swagat ko man mandir khub sajaya tha
yug beet gaye tum naa aaye  tan se ab pran nikalta hai
oh shyam .... 

Hey nath tumhare paane ko paavan man mera ho na saka
paapon se bhare is jeevan ko  bhagwan main ab tak dho na saka
charnon mein tere mit jaane ko ek prem hridaya mein machalta hai
oh shyam ...... 

Oh shyam sharan mein aaye ko ab dar se to thukrao na
hey madhur manohar manmohan mad bhari jhalak dikhao na 
Is kaal ki aandhi mein jeevan ka ek deepak jalta bujhta
oh shyam ... 

Ek radha ek meera 

0 comments:

Post a Comment