Thursday 16 January 2014

Creations of Haridas ji 




Jyu hi  jyu hi tum raakhat 

Jyu hi  jyu hi tum raakhat ho tyu hi tyu hi rahiyat hai ho hari
Aur achar che payi dharo su to kaho kaun ke paind bhari
Jadyapi hau apno bhayo kiyo chaho kaise kari sako jo tum rakho pakari
kahi haridas pinjara ke janawar lo tarpharai rahyo udibe ko kito ukari

Kahu ko bas nahi tumhari kripa te

Kahu ko bas nahi tumhari kripa te sab hoye bihari biharini
aur mithya prapanch kahe ko bhashiye so to hai haarani
Jahi tumso hit tahi tum hit karo ,sab sukh karini
shree haridas ke swami shyama kunj bihari ,pranani ke aadhaarani

Hit to kije kamal nain so

Hit to kije kamal nain so,ja hit aage aur hit lago phiko
kai hit kije sadhu sangati so jaave kalmash ji ko
hari ko hit aiso jaiso rang majeeth sansaarhit kasumbi din duti ko
kahi haridas hit kije bihari so aur na nibahu jaani ji ko

Tinka bayari ke bas

Tinka bayari ke bas
jyu bhave tyu udayi le jayi aapne ras
brahmalok shivlok aur lok as
kah haridas bichari dekhyo bina bihari nahi jas

Hari ke naam ko aalas kyu karat hai

Hari ke naam ko aalas kyu karat hai re kaal phirat sar saadhe
heera bahut jawahar sanche kaha bhayo hasti dar bandhe
ber kuber kachhu nahi jaanat chadhyo phirat hai kandhe
kahi haridas kachhu na chalat jab aawat ant ki aandhe

Man lagaye preeti kije 

Man lagaye preeti kije kar karwa so brajbithini dije sohini
brindaban so ban upwan so gunj maal kar pohini
go gosutan so mrig mrigsutan so aur tan nek na johini
shree haridas ke swami shyama kiunj bihari so chitta jyu sir par dohini

Hari ko aisoi sab khel

Hari ko aisoi sab khel
mrig trishna jag vyaap rahi hai kahu bijoro na bel
dhanmad jobanmad aur rajmad jyu panchhin mein del
kah haridas yahe jiya jano teerath so mel

Jau lo jive tau lo hari bhajo re

Jau lo jive tau lo hari bhajo re man aur baat sab baadi
diwas chari ko hala bhala tu kaha leigo laadi
maaya mad gun mad jobanmad bhulyo nagar bibadi
kahi haridas lobh charpat bhayo kahe ki lage phiradi

Prem samudra roopras gahire 

Prem samudra roopras gahire kaise laage ghaat
bekaryo de jani kahawat jaani panoki kaha pari baat
kahu ko sar pare na sudho maarat gaal gali gali haat
kahi haridas biharihi jano tako na aughat ghaat

Gaho man sab ras ko ras saar

Gaho man sab ras ko ras saar
lok bed kul karme tajiye bhajiye nitya bihar
grih kamini kanchan dhan tyago sumiro shyam udaar
kahi haridas reeti santan ki gadi ko adhikaar


0 comments:

Post a Comment