1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Friday, 29 June 2012


Bhajan Sandhya By anoop Jalota



Thumak Chalat Ram Chandra

Thumak chalat ram chandra
baajat paijaniya

kilak kilak uthat dhave
girat bhumi latpataye
dhaya maat god let
dashrath ki raniya

anchal raj ang jhari
vividh bhanti so dulari
tan man dhan vaari vaari
kahat mridu vachaniya

vidwam se arun adhar
bolat mukh madhur madhur
subhag nasika mein charu
latkat latkaniya

tulasidas ati aanand
dekh ke mukharvind
raghuvar chhabi ke samaan
raghubar chhavi baniya


Wo Kala Ek Basari Wala

Woh kala ek bansuri wala
sud bisara gaya mori
Makhan chor jo nand kishore woh
kar gayo man ki chori
sudh bisara gaya mori

"That black one who carries a flute 
has taken away the conciousness of my mind 
he who steals butter who is the the son of nanda 
has stolen the heart" .

Panghat pe mori baiyaan marori
main boli to meri mataki phodi
paiyaan padun karun binati main
par maane na ek woh mori
sudh bisara gaya mori

"On the bank of river he flirted with me by twisting the arms
when I objected he broke up my pitchure 
I touched his feet ,requested him 
but he does not consider even a little " 

Chhup gayo phir ek taan suna ke
kahan gayo ek baan chala ke
gokul dhundha maine mathura dhundhi
koi nagariya na chhodi
sud bisara gaya mori

"He has hidden again spreading a tune of flute 
where has he gone by shooting an arrow 
I searched for him in Gokul, I searched for him in Mathura 
haven't left any place 
he has taken away the conciousness of my mind".

Ram Ramaiya Gaye Ja


Lyrics -

"Ram naam ratate raho jab tak ghat mein pran
Kabhi to deen dayaal ke bhanak padegi kaan "

"Keep on enchanting the name Ram till you have breath in your body
your voice will sure reach to that merciful someday ."

Raam ramaiya gaaye ja Ram se lagan lagayeja
Ram hi taaren Ram ubaaren Ram naam dohraaye ja

"Keep on enchanting Ram Ramaiya, Keep on loving Ram
Ram takes you accross this world only Ram brings you out from this ocean of world 
Keep on repeating the name "Ram"!!!!!!!!!!!".

Subhah yahan to shaam wahan hai 
Raam bina aaraam kahan hai
Ram Ramaiya gaye ja jeevan ke sukh paayeja
Ram hi taaren Ram ubaren ram naam dohraaye ja 

Bhatkaaye jab bhool bhulaiya 
beech bhanwar jab atke naiya 
Ram Ramaiya gaaye jaa har uljha suljhayeja 
Ram hi taaren Ram ubaren ram naam dohraaye ja 

Ram naam bin jaga soya
andhiyaare mein khoya 
Ram Ramaiya gaaye ja man ka deep jalaye ja
Ram hi taaren Ram ubaren ram naam dohraaye ja 
  
Bharat Bhai Kapi Se


Bharat bhai Kapi se urin hum nahi

Lord Ram Returned from exile and is narrating the story of his exile to his brother  Bharat ji .He was introducing everyone who helped him in conquering the war and when he went upto Hanumn ji his eyes got wet and  he said
these very special words for Hanuma ji

Kapi se Urin hum nahi Bharat bhai
kapi se urin hum nahi
bharat bhai kapi se urin hum nahi

Dear brother Bharat I can never overcome to be oblized by Kapi ("The ape" here for Hnuman ji )


sau yojan maryad samudra ki

100 yojans (1yojan = 6-15 kilometers) skirts of ocean
ye kudi gayo chhan mahi
He jumped over in seconds
lanka jari siya sudhi layo
Set fire in Lanka and brought the information of Siya's well being
par garv nahi man mahi
But he dont feel proud for all

shakti baan lagyo lakshman ke

Laxman was shot by shakti baan
hahakaar bhayo dal mahi
there was an upheavel in the crowd
dhaulagiri kar dhar le aayo
He carried the Dhaula mountain peak in his hands
bhor na hone paayi
before the dawn broke out

ahi ravan ki bhuja ukhadi

He pulled off the arms of Ahi Ravan
paithi gayo math mahi
jo bhaiya hanumat nahi hote
Oh brother ! if Hanuman was not there
mohe ko lato jag mahi
who had brought me back in this world

Agya bhang kabahun nahi kinhi
He never became disobedient
jahan pathayo tahan jayi
whereever I sent Him He went there
Tulsidas pawansut mahima
Tulsidas ji says that the glory of Pawansut (The son of Wind = Hanuman ji )
prabhu nij mukh karat badhai
Lord appraises by his own mouth

Tan Ke Tamboore Mein

Listen to Tan ke tamboore mein

Lyrics -

Tan ke tambure mein do saanson ki taar bole jai siya ram ram

jai radhe shyam

Ab to is man ke mandir mein prabhu ka hua basera

magan hua man mera choota janam janam ka phera
magan hua man mera
pyasi do ankhiyon se aansuon ki dhaar bole jai siya ram ram
jai radhe shyam

lagan lagi leeladhari se jagi re jagmag jyoti

ram naam ka heera paaya sham naam ka moti jagi re jagmag jyoti
man ki muraliya se sur ka sringaar bole jai siya ram ram
jai radhe shyam

Ramcharan Sukhdai

Lisetn to Bhajman Ram charan sukhdayi

Lyrics -

Bhajman ram charan sukhdayi japo re ram charan sukhdayi


Jin charnan se nikasi sursari sankar jata samayi

 jata shankari naam padyo hai tribhuvan taranhari

Jehi charnan ki charan paduka bharat rahyo liv laayi
soyi charan kevat dhoyi linhi tab hari naav chadhayi

Dandakvan prabhu paavan kinhi rishiyan traas mitayi

soyi charan gautam rishi nari parsi param pad payi

Joyi charan santan jan sevat sada rahat sukhdayi

 soyi prabhu trilok ke swami kanak mriga sang dhayi

Shiv sankadik aru bhrahmadik shesh sahas mukh gaayi Tulsidas marut sut (son of maruti : Hanuman ji ) ki prabhu nij mukh karat badhayi



Chadariyan Jhini Jhini Re

Listen to Chadariya Jhini re Jhini

Lyrics -

Jhini re jhini re jhini chadariya

  ram naam ras bhini chadariya
 jhini re jhini re jhini chadariya
ashta kamal dal charkha doley
 panch tatva, gun tini chadariya
saiin ko siyat mas dus lagey
 thokey-thokey ke bini chadariya
so chadar sur nar muni odi
odi ke maili kini chadariya
das kabir jatan so odi
 jyon ki tyon dhar deen chadariya

Maine Linho Govind

Listen to Maine linho Govind mol

Lyrics -

maai mai to liyo Ramaiyyo mol


koi kahae chhane, koi kahe chavde,

liyo hai bajanta dhol

koi kahe kaalo, koi kahe goro

liyo hai main aankhya khol

koi kahe halko, koi kahe bharo

liyo hai tazu tol

tan ka gahnaa main sab kuchh deenaa

diyo hai baajuband khol

meera ke prabhu girdhar naagar

purab janam ko hai kaul

mai.n to leeno govind mol, maa_ii rii

main to leeno govind mol

koii kahe sastaa, koii kahe meh.ngaa

leeno taraazuu tol,
maai ri main to leeno govind mol

koii kahe braj mein, koii kahe ban me.n

karat govind kalol,
maai ri main to leeno govind mol

meera kahe prabhu giridhar naagar

aavat prem ke pol
mai ri maine to leeno

Janam Tera

Listen to Janam tera baaton hi beet gayo

Lyrics -

Janam tera baaton hi beet gayo
re tune kabahun na krishna kahyo

paanch baras ka bhola re bhala ab to bees bhayo
makar pachisi maya kaaran desh videsh gayo

tees baras ki ab mati upaji lobh badhe nit nayo
maya jori lakh karori ajahun na tripta bhayo

vridh bhayo tab aalas upaji kaff nit kanth rahyo
sangati kabahun na kini birtha janam liyo

yah sansaar matlab ka lobhi jhutha thaath rachyo
kahat kabir samajh man murakh tu kyu bhool gayo

re tune kabahun na krishna kahyo


Rang De Chunariyan

Listen to rang de chunariya

Lyrics -

Rang de chunariya
Shyam piya mri rang de chunariya

Aisi rang de ki rang nahi chhute
Dhobiya dhove chahe ye saari umariya
Shyam piya...

Lal na rangau main to hari na rangau
Apne hi rang mein rang de chunariya
Shyam piya ...

Bina rangaye main to ghar nahi jaungi
Beet hi jaaye chahe ye saari umariya

Meera ke prabhu giridhar naagar


"Jal se patla kaun hai kaun bhumi se bhari 
Kaun agan se tez hai aur kaun kaajal se kaali 

Jal se patla gyan hai aur paap bhumi se bhari 
Krodh agan se tez hai aur kalank kaajal se kaali "

Hari charnan mein(shyam charnan mein,prabhu charnan mein)
Jaoon balihariya
Shyam piya ...


Mati Kahe Kumhar Se


mati kahe kumhar se tu kya roundhe mohe
ik din aisa aayega main roundungi toye

"the soil asks the potter what is your status that you crush me 
a day will come when I will crush  you (when you will die). "

aayen hain to jayenge raja rank sabhi
ek singhashan chadhi chale ek bandhe zanzir

"If they have come ,they will go .
Either it is the King who sits on the throne or a beggar 
who is bound from the chain ."

durbal ko na sataiye jaki moti haaye
bina jeebh ke haaye ke loha bhasm hoyi jaye

"Do not persecute the weak whose curse is so strong, 
without use of the tounge (means without speaking any wrong word)
it burns a strong thing as iron to ashes."

chalti chakki dekh ke diya kabira roye 
do patan ke beech mein sabut bacha na koye

"Kabirdas ji says that he cries seeing the moving trademill
where between the two slabs nothing remained unbroken 
Sense : He cries to see the the cycle of the time
 that engulfs everything slowly ."

haad jale ju lakadi kesh jale ju ghas
sab jag  jalta dekh ke bhaye kabir udaas

"Kabirdas ji says :at the end of life the bone burns like the wood 
and the hair burns as grass 
Seeing all world set on fire he gets sad ."

kabira khai kot ki paani pive na koye 
jaayi mile jab gang se to gangotak hoye

"Kabirdas ji says that nobody drinks the dirty water of  the trench 
but when it meets to the Ganga then it becomes as pious as the water from Gangotri .
Sense: when the human being lives lost in this world it is like the dirty water 
but as he meets with the God he becomes as pious as ganga ."

tulsi tulsi sab kahe tulsi ban ki ghas 
ho gayi kirpa ram ki to ban gayen tulsidas 

"Tulsidas ji says :Everyone is speaking tulsi tulsi ,tulsi is the shrub of jungle
but as he got the favour of lord Ram , he became Tulsidas."

saanch barabar tap nahi jhoot barabar pap
jake hirdaya sanch hai take hirdaya prabhu 

"There is no penance as the truth .There is no sin as a lie .
Where there is truth , there you resides Oh Lord ."

dukh mein sumiran sab karen sukh mein kare na koyi 
jo sukh mein sumiran kare to dukh 

"Everyone remembers Lord in sorrow .No body remembers in happiness.
Why there remains sorrow when one remembers lord during happiness?"

rahiman badan ko dekh ke laghu na dije dari 
jahan kaam aaye sui kya kare talwaar

"Rahim Says dont forget the smaller finding the bigger
both have their own values.What is the use of the sword there where we need a neddle?"

rahiman dhaga prem ka na todo chitkaye 
toote se phir na jude jude to gaanth pad jaaye

"Rahim adresses the human saying don't break harshly the thread of love
it could not be joined further and if joins ,a knot appears there ."   

the best three paras of this song that lures me the most are -

Rahim was a a Krishna devotee .He was a great donor .He used to gaze downcast  when he donated the charity to anyone.At this his contemporary Tulsidas ji send him a message asking these words- 

aisi deni den ju, kit sikhe hosain 
jyu jyu kar uncho karyo tyun tyun niche nain 

"Sir , where have you learnt from such a type of donation
where you keep downcasting your gaze while raising your hands to donate?"
Then Rahim replies him saying 

"denhaar koi aur hai bhejat jo din rain 
log bharam humpar karen taso niche nain" 

"the donor is someone else who sends all this to me 
people are confused  with me (that donor to be Rahim) so my gaze is downcasted . "

Tulsi is sansaar mein sabse miliye dhayi
na jaane kis roop mein Narayana mil jaayen

'Tulsidas ji says rush to meet everyone in this world
because it is not known that in which guise you meet the lord Narayana ."

This column has a story behind this .It was Tulsidas ji's experience that he wrote something like this .
My Sir whom I used to call "materji " because he had taught my uncle and "bua "  too and he was  so old, narrated the b'ful story behind this column to me .But it is so sad that he is no more .There is nothing to get sad because everyone has to go one day but the main reason to get sad is that he was a very special person .A gold medallist in sanskrit from BHU who met my grandfather when he was facing a financial problem and came to my grandfather's shop to sell that gold medal .My dadaji denied to buy that precious thing and gave him the money as a borrow.I wish to put forth all good things that I have learnt from him to all my readers .....  By the ways  lets focus on that story........ :) The story is something like this -

Once tulsidas ji went to the jungle in the dawn .He was sitting in the shade of tree .There he heard the voice of a monkey who was supposed to be "Hanuman ji ".He said you love the lord so much ,I can make you meet Him.Tulsidas ji said how ?He said I will be present with you on the bank of river Saryu .Come tomorrow I will let you meet Lord Rama there .He said ok.Both of them reached the river bank .Tulsidas ji took bath there in the river , came outside and made a paste of sandal to apply on forehead .As he was making the paste Hanuman ji indicated him saying something which tulsidas ji described like - 

"Chitrakoot ke ghat pe bhai santan ki bheed 
Tulsidas chandan ghisat tilak det raghubeer "

Means - At the wharf of CHITRAKOOT ,there is a legion of saints 
Tulsidas is filing the sandal and He is Raghubeer who is applying the mark on forehead .

At this Tulsidas ji recognized his Lord .So he says 

"Tulsi is sansaar mein sabse miliye dhayi
na jaane kis roop mein Narayana mil jaayen"

Shree Ram Chandra

Listen to shree ram chandra

Lyrics -

shree ram chandra kripalu bhajman haran bhava bhaya darunam
nav kanj lochan kanj mukh kar kanj pad kanjarunam

kandarp aganit amit chhavi nav neel neeraj sundaram
pat peet manahu tadit ruchi suchi naumi janak sutavarm

sir mukut kundal tilak charu udar ang vibhushanam
aajanubhuj sir chapdhar sangram jit khardushanam

bhaj deenbandhu dinesh danav daitya vansh nikandanam
raghunand anandkand koshalchand dasrath nandanam

iti vadit tulsidas shankar shesh muni man ranjanam
mam hridaya niwas kuru kamadi khal dal ganjanam 

Itna To Karna Swami


itna to karna swami jab pran tan se nikale
gobind naam lekar tab pran tan se nikale

pitambari kashi ho chhavi man mein ye basi ho 
honthon  pe kuchh hansi ho jab pran tan se nikale

us waqt jaldi aana nahi shyam bhool jaana 
radhe ko saath laana jab pran tan se nikale 

ek bhakt ki hai arzi khud garj ki hai garzi 
aage tumhari marzi jab pran tan se nikale 

Hari Naam Ka Pyala

Listen to Hari naam ka pyala

Lyrics -

Hari naam ka pyaalaa hare Krishna ki haalaa
aisi haalaa pi pi karke chalaa chale matwaalaa


Radha jaisi baalaa aur vrindavan ka gwaalaa
aisaa gwaalaa Murli Manohar Japo Krishna ki maalaa


Hare Krishna kaa jap ho aur Hare Krishna ki maalaa
Dev jyoti se hriday suddha ho  nikle man ki jwaalaa


 
Krishna ki dhun main tan ho, aur Hare Krishna main man ho
Aise tan man ke Mandir main Krihsna dale haalaa


 
Hare Krihsna main Bal hain, Krishna jal aur thal hai
aise jal thal nabh se pi lo Narayan ki haalaa

Jag Mein Hai Sundar Do Naam


Jag mein sundar hain do naam
chahe Krishna kaho ya Ram
Bolo Ram Ram Ram
Bolo Shyam Shyam Shyam 

Makhan Brij Mein Ek Churaave
Ek Ber Bhilni Ke Khaave
Prembhav Se Bhare Anokhe
Donon Ke Hain Kaam

Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam


Ek Kams Paapi Ko Maare
Ek Dusht Ravan Samhare
Donon Deen Ke Dukh Harat Hain
Donon Bal Ke Dhaam

Ek Radhika Ke Sang Raaje
Ek Janaki Sang Biraaje
Chaahe Sita-Ram Kaho
Ya Bolo Radhe-Shyam


Ek Hriday Mein Prem Badhaave,
Ek Taap Santap Mitaave,
Donon Sukh Ke Sagar Hain,
Aur Donon Pooran Kaam,

Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam


Prabhu Ji Tum Chandan Hum Paani


Prabhu ji tum chandan hum paani
Jaki ang ang baas samayi
Prabhu ji tum ghanban hum mora
JAise chitwat chandra chakora

Prabhu ji tum deepak hum baati
JAki jyot bare din rati

Prabhu ji tum moti hum dhaga
Jaise sonehu milat suhaga

Prabhu ji tum swami hum dasa
Aisi bhakti kare Raidasa

Main Nahin Makhan Khayo


Maiyaa mori, main Nahi Makhan Khayo

Bhor bhayo gaiyan ke paache, Madhuvan mohi pathayo .
chaar prahar vanshivat bhatakyo, saanj pare ghar aayo ..

main baalak bahiyan ko choto, chinko kidi vidhi payo .
gwaal baal sab bair pare hain, barbas mukh laptayo ..

Tu janani man kii ati mori, inke kahe patiyaayo .
Jiya tete kachu bhed upjihai, jaani parayo jaayo ..

yaha le apani lakuti kambaliyaa, bahutahi naach nachaayo .
Jiya tete kachu bhed upjihai, jaani parayo jaayo ..
Surdas tab bihashi Yashoda  lai ur kanth lagaayo

Aisi Laagi Lagan


Hai aankh wo jo shyam ka darshan kiya kare
hai sheesh woh prabhu charnon mein jo vandan kiya kare
bekar woh mukh hai jo lage vyarth baaton mein
mukh woh hai jo hari naam ka  sumiran kiya kare

Heere moti se nahi hai shobha hanthon ki
hain haath woh bhagwaan ka pujan kiya kare
mar kar bhi amar hai us jeev ka is jag mein
Prabhu prem mein balidan jo jeevan kiya kare

Aisi lagi lagan meera ho gayi magan
woh to gali gali hari gun gaane lagi
Mehalon mein pali ban ke jogan chali
Meera rani deewani kahanelagi

Koi roke nahi koi toke nahi
Meera Goind Gopal gaane lagi
baithi santon ke sang rangi mohan ke rang
meera premi preetam ko manane  lagi
woh to gali gali hari gun gaane lagi

Rana ne vish diya mano amrit piya
Mano sagar mein sarita samane lagi
dukh lakhon sahe mukh se Gobind kahe
Meera Govind Gopal gaane lagi
woh to gali gali  hari gun gaane lagi







Wednesday, 20 June 2012

Krishna



Man Mathura aru Tan Vrindavan


Lyrics -

Man mathura aru tan vrindavan
Nain bahen yamuna jal paawan

rom rom hai gopi gwala
dhadkan japati nis din mala
vrindavan ki kunj galin ke
pran tumhi to ho nandlala
saanson mein murali ki sargam
ye jeevan hai tere kaaran
man mathura ....

hand maas ki is haandi mein
prem bhakti ka kar do manthan
ye navneet churane aana
de jaana tu tera darshan
man ke manke piro piro kar
nisdin karti tera sumiran
man mathura ... 

Ghanan Ghanan Ghan Shyam Barsat


Ghanan ghanan Ghanshyam barsat
tulsi hasi Ghanshyam bheejat

chalat atpat girat latpat
uthat chatpat mudat chhatpat
kari hatheli bund nirkhat
dekhi motin hasat parkhat
 bund bikharat mobhe surat 
kabahu kheejat kabahun reejhat


kanha kilkat nanduri damkat
chhipat damini palak jhapkat
chhan chhananananana meha barsat
jhan jhananananana nupur baajat
charan chumat megha harshat
chhui sakat nahi gagan tarsat

begi dhavat chakithaari
bhuwan bhuwanakar atari
naam le yasuda pukari
kit gayo lalna bihari
dikhi parat ho preet bandhi
kaanh bhijat dekhi reejhat 

Jai Jai Ram Ramaiya



Jai Jai ram ramaiya jag ke paar lagaiya
Jai Jai Krishna Kanhaiya Jag mein raas raas rachaiya

Hey maryada hey yug Krishna kahan gaye tum aaj to bolo
Paap hai apne charam bindu par dhanush chakra se isko todo

Ramayan ka Ram kahan hai Geeta ka Ghanshyam kahan hai
Ram ke woh aadesh kahan hain Geeta ke sandesh kahan hain

neelambhuj shyamal komalangam
seeta samaroh pitvambubhagam
pado mahashayak charu chapam
namami Ramam Raghuvansh natham

apne vachan charitarth karo prabhu
kalyug mein hey Krishna sun lo
dustadalan raghuveer kahan hai surya vansh ka veer kahan hai

Japa kar japa kar



Japa kar japa kar hari om tatsat
hari om tatsat Hari om tatsat

Halahal ka meera ne pyala peeya tha
use vish se amrit kisne kiya tha
Meera deewani isi naam ki thi
Hari Om Tatsat Hari Om Tatsat

Lagi aag Lanka mein Hulchal macha tha
to Ghar phir Vibhishan ka kyun kar bacha tha
Likha tha yahi shabd kutiya pe uske
Hari Om Tatsat Hari Om Tatsat

Dushta ne lohe ka khambha racha tha
Nirdosh Prahlad kyun kar bacha tha
kari thi vinaya ek swar se jo usne
Hari Om Tatsat Hari Om Tatsat


Kaha Krishna ne Shashtra uthao


Yudh ksetra men jab arjun ne taja dhanush aur baan
kaha krishna ne shashtra uthao yodhha bano mahaan
dono ore khadi thi sena tab arjun ghabraye
dekh ke apne kul sambandhi kamal nain bhar aayen
apne baadon se apno ke kaise har loon pran
"adhikaar tyaag chup baith rehna yeh maha dushkarma hai
nyayaat apne bandhuon ko dand dena dharm hai"
hey arjun tu shok na karne yogya soka karta hai
inka marna nischit hai phir yuddh se kyun darta hai 
sabko hi jaana hai ek din baat samajh aasan
azar amar hai sirf aatma bas sharir mar jaaye
jaise vastra purane taj koi naye vastra apnaaye
dharma yudh se vimukh hua jo uska kya samman
ye saara sansaar hai mujhme mere ansh sabhi
saare jeev samaye mujhme mere ansh sabhi 
chan bhangur rishton ko taj kar yuddh ko var lo parth
"vayuryamo agni varunah shashankah
prajapatsthawam prapitamahascha
namah namastestu shahatrakritwah
punaschabuyorapi namo namaste"
   
dekh viraat roop bhagwan ka arjun kaanp uthe
geeta gyan jaga antar mein man ke netra khule
utha liya tab dhanush haanth mein sath liye tab baan
 

Geetasaar

Listen to Geeta Saar

Lyrics -


Vyarth chintit ho rahe ho
Vyarth dar kar ro rahe ho
Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho

Jo hua achchha hua
Jo ho raha achchha hi hai
Hoga jo achha hi hoga
Yah niyam sachcha hi hai
Per bhula do bojh kal ka
Aaj tum kyu doh rahe ho

Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho

Hue bhooli bhoolo ka phir
Aaj paschatap kyun
Kal kya hoga aanishchit hai
Aaj phir santaap kyun
Jut pado kartavya me tu
Baat kiski jo rahe ho

Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho

Kya gaya tum roo pade
Tum laye kya the kho diya
Hai kiya kya nasht tumne
Aisa kya tha kho diyaa
Vyarath glani se bhara mann
Aansuo se doh rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Leke khaali haath aaye
Jo liya yahi se liya
Jo liya naseeb se usko
Jo diya yahi per diya
Jankar dastoor jag ka
Kyu pareshan ho rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jo tumhara aaj hai kal
Vo hi tha kisi aur ka
Hoga parso jane kiska
Yah niyam sarkar ka
Magn ho apana samjhna
Dukho ko sanjo rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jisko to tum mrityu samajhate
Hai vahi jeewan tumhara
Hai niyam jag ka badalana
Kya paraya kya tumhara
Ek kshad me kangaal ho kshad
Bharam dhan se ho rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Mera tera bada chhota
Bhed ye mann se hata do
Sab tumhare tum sabhi ke
Fasle man se hatado
Kitne janamo tak karoge
Paap kar tum jo rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Hai kiraye ka makan na
Tum ho isske na tumhara
Panch tatvo ka bana ghar
Deh ko inka sahara
Is makan me ho musafir
Is kadar yu so rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Utho apane aap ko
Bhagwan ko arpit karo
Apani chinta shok aur bhaye
Sab usse arpit karo
Hai vahi uttam sahara
Kyu sahara kho ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jab karo jo bhi karo
Aarpan karo bhagwan ko
Sada kardo samarpan
Tyag kar abhiman ko
Mukti ka aanand anubhav
Sarvda kyu kho rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Vyarth chintit ho rahe ho
Vyarth dar kar ro rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Monday, 18 June 2012

Hey Ram and Shiva


Om Shivaya Hari Om Shivaya


Om Shivaya Hari Om Shivaya (Dhun)

Hey Ram Hey Ram  


Hey Ram Hey Ram Jag mein sanchon tero naam
Tu hi mata tu hi pita hai tu hi to hai radha ka shyam

Tu antaryami sabka swami tere charnon mein charon dhaam
Hey Ram hey Ram ...

Tu hi bigade tu hi sanwaare is jag ke saare kaam
Hey Ram hey Ram ..

Tu hi jagdata vishwavidhata tu hi subah tu hi shaam
Hey Ram hey Ram ..


Har Har Har Mahadev


Har Har Har Mahadev Shiv Shankar aadidev

Parameshwar akhileshwar Tandav priya shashi shekhar
Vishwadhar vishwanath gangadhar deenanath
Jatajoot chandradhari deenan ke hitkari 
Gauripati nandeeshwar Shaileshwar Jagadeeshwar 


Hey Shiv shankar Hey Karunakar  


Hey Shivsankar hey karunakar suniye araz humari
Bhav saagar se paar utaaro aaye sharan tihari

Chandra lalaat bhabhut ramaye kati ambar dhari
Kar mein dmaru gale bhujanga nandi thade dware  
Hey gangadhr daras dikha do hey bhole bhandari

Janam maran ke tum ho swami Hey Shankar avinashi
Kan KAn mein hai roop tumhara  hery bhole kailashi
Charan sharan mein aaya jogi rakhiyo laaj  humari

Jai  shree Ram Jai JAi shree Ram


Jai  shree Ram Jai JAi shree Ram
Yahi naam bhaya mukti ka dhaam
Ise rate paaye aaraam 
Ram tumhe hai koti pranaam  

Shree ram hi bhagwan shree Ram ka mahaan
Brahma roop hain kar lo dhyan daya rop hain kripa nidhan

Sree Ram ke naam hazar shree ram karen bhav paar 
Yahi naam jag aadhar isi naam mein hai sukh ka saar  

kare atma nitya vivhore le jaaye satya ki ore
Iska koi ore na chhor yei naam hai moksha ki dor

Adhar adhar pe gunj raha hai


Adhar adhar par gunj raha hai
Ram Ram Ram

Adhar adhar pe gunj raha hai Ram tumhara naam
Karo upkaar jagat ka ki ho uddhar jagat ka

Jal mein ram tumhi ho mere thal mein ram tumhi
jal thal mein ram tumhi
dharti maa lehrate aanchal mein ram tumhi
har ore ho ram tumhi
Ram Ram ki rat sunta hoon subah sunu ya shaam
Karo upkaar jagat ka ....

Har kan kan mein ram base kali kali mein tum
har kali kali mein tum
Ghar aangan mein geet tumhare aur gali gali mein tum
Dhyan tumhi mein rama hua hai har pal aathon yaam
karo upkaar jagat ka .....

Jape hum shree ram ka naam


Thaka tri taapon se yah maanav paye ga aaram
Jape hum Shree Ram ka naam

Sharnagat ho raghunayak ke paayenge sukhdham
Yah jeevan chalta jayega pal pal hi aviraam

Sankat jab jab aaye dhara par bane sahayak Ram
Hume ubaro hey parmataman shat shat koti pranaam

Sada maryada mein rahana


Sada maryada mein rahana Hume sikhlate hai shree Ram
Satya ko jeete hain Shree Ram Lakshya ko paate hai shree Ram

Humare paanv jab kabhi bhi bhatak jaate hain rahon se
Bhor ki ujali kirnon se marg dikhlate hain shree Ram

Danujata ke hanthon dwara manujata jab chhalni hoti
Dhanush  kandho par dhare dhara pe aate hain shree Ram

Humari hai prasun ichha ki unke charnon ki raj lein
Nikat jo unke jaate hain unhe dulrate hain shree Ram

Shraddha By Ahmed and Mohammed Hussain



Sharde Jai Hans Vahini


sharde jai hans vahini jayati veena vadini
jai saraswati gyan dayini kamal haas vikasini

riddhi siddhi vivek dayini tum trishul vinashini  
devi mand suhaas vardhini hridaya hans virajini

madhur kavya kala diksha pranav naad vikasini
bhagwati sangeet var de bhuwan manas vasini


More Shyam Ghanshyam

Listen to More Shyam Ghanshyam

Lyrics -

More shyam ghanshyam radheshyam 

Ab radhe rani
De daro bansi mori
Jo bansi mere pran basat hai
Woh bansi gayi chori
Kaise main gaun radhe kaise bajaun
Kaise bulaon gaiya bheri
Mukh se tum gao kanha
Mukh se bajao
Mukh se bulao gaiya bheri
Meera ke prabhu giridhar nagar
Bansi le kari chori
  

Gaiye Ganapati Jagavandan


Gaiye Ganapati Jagavandan
Shankar suvan bhawani ke nandan

Shiddhi sadan gaj badan vinayak
Kripa sindhu sundar sab laayak

Modak priya mud mangal data
Vidya varidhi siddhi vidhata

Maangat Tulsidas kar jore
Basahu Ram Siya maanas more

Jai Jai Jagjanani Devi


Jai Jai jagjanani devi Sur nar muni asur seve
Bhakti mukti dayini Bhaya haranya kalika maa jai

Jai Mahesh bhawani Durge maa Anek roop naamini
Samasta lok swamini Himshail balika maa jai

Varam charam kari kripaal shoolhen dhanush baan
Durge maa tarun tarni bhakt palika maa jai

Raghupati pad param prem.. maa ...Durge maa Tulsi yah achalnema 
Devihu prassana pahi pranat prantika maa jai

Kanha Teri Johat Rah Gayi Baant


Kanha teri johat rah gayi baant

Johat johat ek pal thade
Kalindi ke ghaat

Jhooti preet kari manmohan
Ya kapati ki baat

Meera ke prabhu Giridhar naagar
De gayo braj ko chhaat
more shyam more shyam ghanshyam
more shyam ...

Tum Bin Mori Kaun Khabar le

Tum bin mori kaun khabar le
Gobardhan giridhari
mor mukut sir chhatra biraje  
kundal ki gati nyari
vrindavan mein dhenu (cow )charave
bansi(flute) bajave giridhari
meera ke prabhu giridhar naagar
charan kamal pe balihari

Bhaal Chandra Jata Ganga

Listen to Bhaal Chandra Jata Ganga

Lyrics -


Hari Om Hari Om Hari Om

Bhaal chandra jata Gang 
Tri naina bhasam ang 

Trishul damaru gale bhujang 
Tum aur Gauri rahat sang 
Madan dahana peevat bhang 
Dharat dhyan gyan rang 

Anandeshwar ardh naari nateshwar 
Pranaam hey Parmeshwar 
Aadi naath tu Mahesh Adi nath tu Ganesh 
Bhairav sarpa bhuteshwar 

Kaal Kaal Mahakaal jatajoot chandrabhaal 
Kanth byal mund maal
Trishul damaru Gale kapal
Sumirat nar hot nihal