Wednesday, 20 June 2012

Krishna



Man Mathura aru Tan Vrindavan


Lyrics -

Man mathura aru tan vrindavan
Nain bahen yamuna jal paawan

rom rom hai gopi gwala
dhadkan japati nis din mala
vrindavan ki kunj galin ke
pran tumhi to ho nandlala
saanson mein murali ki sargam
ye jeevan hai tere kaaran
man mathura ....

hand maas ki is haandi mein
prem bhakti ka kar do manthan
ye navneet churane aana
de jaana tu tera darshan
man ke manke piro piro kar
nisdin karti tera sumiran
man mathura ... 

Ghanan Ghanan Ghan Shyam Barsat


Ghanan ghanan Ghanshyam barsat
tulsi hasi Ghanshyam bheejat

chalat atpat girat latpat
uthat chatpat mudat chhatpat
kari hatheli bund nirkhat
dekhi motin hasat parkhat
 bund bikharat mobhe surat 
kabahu kheejat kabahun reejhat


kanha kilkat nanduri damkat
chhipat damini palak jhapkat
chhan chhananananana meha barsat
jhan jhananananana nupur baajat
charan chumat megha harshat
chhui sakat nahi gagan tarsat

begi dhavat chakithaari
bhuwan bhuwanakar atari
naam le yasuda pukari
kit gayo lalna bihari
dikhi parat ho preet bandhi
kaanh bhijat dekhi reejhat 

Jai Jai Ram Ramaiya



Jai Jai ram ramaiya jag ke paar lagaiya
Jai Jai Krishna Kanhaiya Jag mein raas raas rachaiya

Hey maryada hey yug Krishna kahan gaye tum aaj to bolo
Paap hai apne charam bindu par dhanush chakra se isko todo

Ramayan ka Ram kahan hai Geeta ka Ghanshyam kahan hai
Ram ke woh aadesh kahan hain Geeta ke sandesh kahan hain

neelambhuj shyamal komalangam
seeta samaroh pitvambubhagam
pado mahashayak charu chapam
namami Ramam Raghuvansh natham

apne vachan charitarth karo prabhu
kalyug mein hey Krishna sun lo
dustadalan raghuveer kahan hai surya vansh ka veer kahan hai

Japa kar japa kar



Japa kar japa kar hari om tatsat
hari om tatsat Hari om tatsat

Halahal ka meera ne pyala peeya tha
use vish se amrit kisne kiya tha
Meera deewani isi naam ki thi
Hari Om Tatsat Hari Om Tatsat

Lagi aag Lanka mein Hulchal macha tha
to Ghar phir Vibhishan ka kyun kar bacha tha
Likha tha yahi shabd kutiya pe uske
Hari Om Tatsat Hari Om Tatsat

Dushta ne lohe ka khambha racha tha
Nirdosh Prahlad kyun kar bacha tha
kari thi vinaya ek swar se jo usne
Hari Om Tatsat Hari Om Tatsat


Kaha Krishna ne Shashtra uthao


Yudh ksetra men jab arjun ne taja dhanush aur baan
kaha krishna ne shashtra uthao yodhha bano mahaan
dono ore khadi thi sena tab arjun ghabraye
dekh ke apne kul sambandhi kamal nain bhar aayen
apne baadon se apno ke kaise har loon pran
"adhikaar tyaag chup baith rehna yeh maha dushkarma hai
nyayaat apne bandhuon ko dand dena dharm hai"
hey arjun tu shok na karne yogya soka karta hai
inka marna nischit hai phir yuddh se kyun darta hai 
sabko hi jaana hai ek din baat samajh aasan
azar amar hai sirf aatma bas sharir mar jaaye
jaise vastra purane taj koi naye vastra apnaaye
dharma yudh se vimukh hua jo uska kya samman
ye saara sansaar hai mujhme mere ansh sabhi
saare jeev samaye mujhme mere ansh sabhi 
chan bhangur rishton ko taj kar yuddh ko var lo parth
"vayuryamo agni varunah shashankah
prajapatsthawam prapitamahascha
namah namastestu shahatrakritwah
punaschabuyorapi namo namaste"
   
dekh viraat roop bhagwan ka arjun kaanp uthe
geeta gyan jaga antar mein man ke netra khule
utha liya tab dhanush haanth mein sath liye tab baan
 

Geetasaar

Listen to Geeta Saar

Lyrics -


Vyarth chintit ho rahe ho
Vyarth dar kar ro rahe ho
Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho

Jo hua achchha hua
Jo ho raha achchha hi hai
Hoga jo achha hi hoga
Yah niyam sachcha hi hai
Per bhula do bojh kal ka
Aaj tum kyu doh rahe ho

Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho

Hue bhooli bhoolo ka phir
Aaj paschatap kyun
Kal kya hoga aanishchit hai
Aaj phir santaap kyun
Jut pado kartavya me tu
Baat kiski jo rahe ho

Ajanma hai amar atma
Vyarth jeewan kho rahe ho

Kya gaya tum roo pade
Tum laye kya the kho diya
Hai kiya kya nasht tumne
Aisa kya tha kho diyaa
Vyarath glani se bhara mann
Aansuo se doh rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Leke khaali haath aaye
Jo liya yahi se liya
Jo liya naseeb se usko
Jo diya yahi per diya
Jankar dastoor jag ka
Kyu pareshan ho rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jo tumhara aaj hai kal
Vo hi tha kisi aur ka
Hoga parso jane kiska
Yah niyam sarkar ka
Magn ho apana samjhna
Dukho ko sanjo rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jisko to tum mrityu samajhate
Hai vahi jeewan tumhara
Hai niyam jag ka badalana
Kya paraya kya tumhara
Ek kshad me kangaal ho kshad
Bharam dhan se ho rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Mera tera bada chhota
Bhed ye mann se hata do
Sab tumhare tum sabhi ke
Fasle man se hatado
Kitne janamo tak karoge
Paap kar tum jo rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Hai kiraye ka makan na
Tum ho isske na tumhara
Panch tatvo ka bana ghar
Deh ko inka sahara
Is makan me ho musafir
Is kadar yu so rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Utho apane aap ko
Bhagwan ko arpit karo
Apani chinta shok aur bhaye
Sab usse arpit karo
Hai vahi uttam sahara
Kyu sahara kho ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

Jab karo jo bhi karo
Aarpan karo bhagwan ko
Sada kardo samarpan
Tyag kar abhiman ko
Mukti ka aanand anubhav
Sarvda kyu kho rahe ho

Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho
Vyarth chintit ho rahe ho
Vyarth dar kar ro rahe ho
Ajanma hai amar atma
Bhaye me jeewan kho rahe ho

0 comments:

Post a Comment