Saturday 7 January 2012

Maa 







Ambe charan kamal hain tere


Listen to Ambe charan kamal hain tere

Lyrics -

Ambe charan kamal hain tere
hum banware hain janam janam ke
nis din lete phere

Tu dharti jag palankarti
ambar ka adhaar hai tu hi
sab sukh jhute sab dukh jhute
is jeevan ka saar hai tu hi
tu satyam tu shivam sundaram
hum sab chapalit chere

Os mein ansu phool mein shraddha
antar mein lekar ujiyare
tere mandir mein natmastak
nabh ke suraj chand sitare
humne teri muskaano mein
dekhe madhur sawere

De maa nij charnon ka 


Listen to de maa nij charnon ka

Lyrics -

De maa nij charnon ka pyar
purna prem de amar sneha de
divya shanti ka anant dher de
puja karoon sada main teri
de sumiran ka aadhar

tujhko chahun tujhko manu
tujhpar hi nij jeevan vaarun
dhyan rahe tera hi nis din
de bhakti ka uphaar

hridaya abhipsa se jagrit ho
Abhaya asta mere sir par ho
divya prem se ot prot ho
jeevan ka paravar

Karam sakal tav vilas 


Listen to karma sakal tav vilas

Lyrics -

Karma sakal tav vilas
Lok aham keval haas

Hasti keech beech daryo
pangu paar giri sahaas
brahma pada pe koi baithayo
patitata ko hathgulas

yantra baddha kini mohe
chalit karyo nav prakash
tu dharani dehe mati
maila woh jo dishu ujaas

rath saman mohi banaye
chala woh haath tumhre raas
karo karma apni aur
bhulo sakal jag ki pyaas


Mera jeevan teri sharan


Listen to mera jeevan teri sharan

Lyrics -

mera jeevan teri sharan
saare raag virag hue ab
moh saare tyag huen ab
ek yahi mera bandhan

avirat raha bhatakta ab tak
bhatkun aur abhi main kab tak
paalun keval tujhko hi maa
ek yehi meri hai lagan

tere charnon pe ho arpan
mere jeevan ke gun avagun
saari vyathayen door karo maa
ho kusumit mera vandan

Mere man ke andhtamas mein

Listen to mere man ke andh tamas mein

Lyrics -

mere man ke andh tamas mein
jyotirmayi utaro
mere man ke andh tamas mein
gyan mayi utro

kahan yahan devo ka nandan
malayachal ka abhinava chandan
mere ur ke ujare van mein
karunamayi vicharo

nahi kahin kuch mujhme sundar
kaajal sa kala yeh antar
pranon ke gehre gahwar mein
mamtamayi utro

Anand mayi chaitanya mayi

Listen to Anand mayi chaitanya mayi

Lyrics -

anandmayi chaitanyamayi satya mayi varde

Sarveshwari jagdishwari

Listen to sarveshwari jagadishwari

Lyrics -

Sarveshwari jagadishwari
hey matri roop maheshwari
mamtamayi karunamayi
jagjeevani sanjeevani
samastha jeevaneshwari
kripalini jagtarini
pratipal bhuvan hridayeshwari
tamaharini subhkarini
manmohini vishweshwari

Var de veenavadini

Listen to var de var de

Lyrics -

Var de var de var de
veena vadini var de
nirmal man kar de
prem atul kar de
sab mein sammati ho
aisa humko var de
satyamayi tu hai
gyanmayi tu hai
premmayi bhi tu hai
hum bacchon ko var de
Saraswati bhi tu hai
mahalaksmi tu hai
mahakali bhi tu hai
hum bhakton ko var de

0 comments:

Post a Comment