Monday, 2 January 2012

Parmarth Geeta Saar

Parmarth Geetasaar



Yudh kshetra mein 


Listen to yudh kshetra mein

Lyrics -

sanjay ne dhitrashtra se kahi amolak baat
yudh khsetra ka haal main tumhe sunaau taat
kaurav pandava sainya dal khade hain dono ore
ek se badh kar ek hain surveer chahu ore
duryodhan ke sang hain bhishma drone gurujan
arjun ke rath saarathi shree krishna bhagwan
dekhe dono ore jab bhai bandhu anek
arjun ne gandeeva dhanush diya turat hi phek

yudh kshetra mein jab arjun ne
tyaja dhanush aur baan
maha paap mujhse na hoga
hey akhilesh sujaan

Laabh aur sukh lobh se apne kul ko doon main maar
jo jeevan ho swarth bhara us jeevan ko dhitkaar
mere moh lobh ka swami tum hikaro nidan
mahapaap mujhse na hoga ...

guru drone aur bhishma pitamah aswasthama par
inko maarun karun nichata ho kar kshatriya var
inka rakt bahane se accha nij de doon main pran

dekh arjun ki dasha

Listen to dekh arjun ki dasha

Lyrics -

Dekh arjun ki dasha prabhu krishna bole
jeevan atma ke bhed sab khole
atma na janme deh janma paye
atma na marti kabhi deh mar jaaye
janma jo le mar jaye janma phir hole

shashtra se kat na paaye
jale na jalaaye
jal se jo ho na gili
vayu na sukhaye
atma mein main hi main hoon
arjun bhole

dharma yudh jo na kare papi kehlaye
tu hai ek yodha kho jaaye
aise apyash se achha
mrityu ka hole

kaam se krodh jage krodh se maya
isse jo bach ke raha yogi kehlaya
indriyan bas mein kar ke karma yogi hole

Main kisko gahun kisko chhodun

Listen to main kisko gahun

Lyrics -

Main kisko gahun kisko chodun
Jis marg se hi kalyaan mera
us marg se main nata jodun
prabhu kisko gahu kisko chhodun

ek ore kaha tum yudh karo
yeh karmaka marg dikhate ho
phir karma se badh kar he keshava
tum gyan ko sheshtra batate ho

mujhko koi bhi lagav nahi
phir bhi yadi karma na karta hoon
maanav anusaran kare mera
maanava hanta main kehlaun
tum mujhe gaho aur karma karo
us marg mein hi kalyaan tera

tum gyan se man ko vash mein lo
talwaar atma shakti ki lo
yeh kaam roop durjaya shatru
pehle iska samhaar karo
hey parth utho aur karma karo
is marg se hi kalyaan tera

Geeta ka hai ye gyan

Listen to Geeta ka hai ye gyan

Lyrics -

geet ka hai yeh gyan param kalyani
bole arjun se krishna madhur ye vaani

sabse pehle dinkar ne isko paya
maine hi usko geeta gyan sunaaya
kamal nayan ki baat suni chakraya
yah moh grasta arjun ki samajh na aaya
dinkar hai bahut purana tum ab aaye
yeh madhur vachan hai kaise use sunaye
bhed na yeh samjhu main hoon agyani

yagayon se gyan ka amrit jo pata
we yogi mere param dham aata hai
hey arjun tu yadi paapi kehlaye ga
gyan roop nauka mein tar jata
andhkaar se janme har shanshaya ko
gyan roopi talwaar se khandit kar do
tum utho nyaya ke liye lado he gyani

Prabhu karmon ke sanyas

Listen to prabhu karmon ke sanyas

Lyrics -

prabhu karmon ke sanyas ki raah dikhayi
nishkaam karma ki mahima tumne gayi

in dono mein jo ho uttamkari
woh batlao mujhko hey krishna murari
nishkaam karma ka yog sugam sundar hai
dono margon mein kuchh bhi nahi antar hai
nishtha se bhi marg vyakti apnaaye
dono ke hi phalroop mokshka ko paaye
jo alag alag phal samjhe we abhichari
aise bole arjun se krishna murari

yeh jeev moh ki dhara mein behta hai
maya ke dwara gyan dhaka rehta hai
jab atmagyan ka sat prakash chhata hai
hey arjun moksha tabhi maanava pata
tu gyan deep se kaat nisha andhiyari
aise bolen arjun se krishna murari

Hey prabhu aap kehte jise yog hain

Listen to Hey prabhu aap kehte jise yog hain

Lyrics -

Hey prabhu aap kehte jise yog hain
man hai chanchal bada usko paane na de
dhyan to door hai dhyan ke dwar tak
mujhko jaane na de

karma phal mein anasakta reh kar ke jo
parth kartavya ka nitya paalan kare
woh hi sachha hai sanyaasi sansaar mein
yogi woh hi hai jo karma se na dare
man to baandhe bandhe isko sadho sadhe
apna man pehle vishnu charan pe dhare
kaamnaaon se tum mukt ho jaaoge
pehle sambhav ka tum varan to karo

yeh vishaya vaasana isko tyage bina
jag mein yogi ki padvi nahi pa sake
bhakti ke yog mein tripta ho atma
dhyan ko paa sake dhyan mein ja sake
man ko vash mein karo man bada mitra hai
var na aisa milega na shatru koi
man to jeeta hua kaal parmatma
sukh mein kuchh bhi nahi
dukh meiun kuchh bhi nahi

Jo bhakt bhaktiman dhyaye

Listen to jo bhakt bhaktiman dhyaye

Lyrics -

jo bhakt bhaktiman dhyaye
wohi bhakt mujhko bas paaye
jo jal thal aur amber mein
jo kan kan aur sagar mein basa hai
wohi bhed batana hai

har sidhhi ke liye jagat mein
bahuton ne yatna kiya hai
par na koi bhi prani
ise tatva se jaan saka hai
main jal mein hoon rasdharita
suraj mein jyoti apaar
vedon mein Om rama hai
yehi bhed batana hai

yeh sat raj taamas vaani
hai trigun mayi meri maya
prani mujhko jo jaane
woh hi isse bach paaya
vigyan sahit yeh gyan karunga tujhse purna bakhan
rahe kuchh bhi na anjaan
yehi bhed batana hai

Arjun bola hey purushottama

Listen to Arjun bola hey purushottama

Lyrics -

arjun bola hey purushottam
batlayen adhyatma hai kya
mukti ka marg milta kaise
yeh karma hai kya yeh brahma hai kya

naash na ho jiska arjun
woh brahma pukara jata hai
us brahma ka nitya swabhava hai jo
adhyatma wohi kehlata hai
jin bhavon ka chintan kar ke
prani pran ko chode ga
le kar woh phir se janma unhi ke
phal se nata jodega

jo mujhe prapta ho jata hai
phir janma na uska hota hai
ichhaoon mein jo bhatak gaya
janmon janmon tak rota hai
jo naam mera lete lete
pranon ko chhodta hai arjun
sandeh nahi apna nata
mukti se jodta hai arjun
saare yogon se bada yog
tu om om bas gaa arjun
hari om hari om

Bhagwaan kahen arjun se

Listen to bhagwaan kahen arjun se

Lyrics -

bhagwaan kahen arjun se ek param gupt gurh gyan
isko sun kar janjal mukt hoga arjun tu paar

jaise ki megh mein jal hi jal waise hi jag mein main hoon chhaya
sab bhoot hain mere antargat bhooton mein samohit hai maya
janmi hai jaise nabh se pawan nabhmandal mein hi rehti hai
waise mujhse janme prani ki chhaya mujme basti hai
sab kalp adi mein janme woh ant nirantar gyan
jisko sun kar tu ....

main hi sansaar rachata hoon yeh chakra sada chalta rehta
woh mudh andh agyani hain maanush jo mujhe tucch kehta
jo gyani hain mujhko jane woh mujhko nitya bhaja karten
koi swami sewak bhav rakhe koi brahma virat roop puje
satchidanand kehte hain karte hain mera dhyan
jisko sun kar...

ban surya prabhu bantu jyoti varsha bankar jal barsaun
amrit ban jeevan shakti banun ban mritu satya se milvaun
jo anya devgana ko dhyate nishcit unko paa jatehain
jab punya cheen ho jaaten hain phir mrityu lok mein aaten hain
par mere sab sharanagat bhav sagar mukt sujan
jisko sun....

arjun main nar narayana hoon
har jad chetan ka kaaran hoon
ye bhed na devon ne jana
rishi muniyon ne nahi pehchana
sab jeev mere main jeevan hoon
main aadi rahit main janma rahit
prani jo mujhe samjhe samuchit
use mokhsa mile woh chintan hoon
yeh bhaya abhaya utpatti pralaya
sab kirti akirti mujhi se hai
main kasta hoon main hi nivaran hoon
jo sunte ho maine gaya hain
jo dikhata hai meri maya hai
sabko baandhe woh bandhan hoon
sankadik sapta maha rishijan
swayambhu twat rahe manu ban
un karak ka main karan hoon

arjun hatprabh rah gayen
bhar aayen dou nain
saadaharan maanush nahi
bol saken yeh bain

hey kamal nayan sampurna srishti ke swami
mera moh nashta kar gayi yeh amrit vaani
hey purushottama abhari hoon main tere darshan paa kar
main dhanya dhanya ho gaya tumhare shree charanon mein aa kar
tum sakha saarathi bandhu mitra ye dhara gagan sab kuchh ho
anand sindhu tum bindu bindu avatari jan ankush ho
maine srijan pralaya ki jani purna kahani
mera moh nashta kar gayi yeh amrit vaani

bole bhagwan divya drishti karta hoon tujhe pradan
chrama chachhu se mujhe dekhna tanik nahi aasan

Sanjay bola yogeshawar ne arjun ko vishwaroop dikhlaya
brahmand mein yogeshwar chaayen
yogeshwar mein brahmand samaya

anshankhya mukh Aasankhya netra aur asankhya shashtra thein
asankhya pedu peev bhal bahu bich ashtra thein
thein divya dant prakash yukt malya divya bhushanam
hazar divya surya ke prakasako se nirjanam
anek devi devata anek rishi mahanatama
va bhootkaal vartanaam aur bhavishya darshanam
asankhya sarp rudra vasu asur aur yaksha devdatta
woh ashwinikumar thein gandharva adi thein pitar
asankhya divya dwar thein vishal shristi dant mein
dhara kahan gagan kahan na adi mein na ant mein
thei kauravon aur pandavon ke sainya dal khade hue
na jaane kitne prani thein dant mein dabe hue

arjun bolen hey prabhu vyakul hain sab log
daya karo karunanidhi mita bharam aur shoka
romanchit arjun hua dono jode haanth
baar baar karta naman kampit pulkit gad
main vyakul hoon chaturbhuj roop dikhao taat
arjun ko har roop mein hue daras shree labh

atma gyan mein jo lage hue

Listen to atma gyan mein jo lage hue

Lyrics -

haanth joid arjun kahen suniye shree bhagwan
nirakar sakar mein shreshtha hai kaun shree man

atma jagaran mein jo hain lagen hue
dhyan mein jo mere hain lage hue
hey sagun roop kuldhwaj sakha
aur sadvichar kuldhwaj sakha
naam aur guron ka shravan karen
mujhko prapta ho sake ye manan kare
yeh bhi na ho sake tujhse agar
mere vaste phir tu karma kar
hey sagun roop ...
ghar ka tyag kar tu mere vaste
yeh amar gati hai tere waste
koi shkhar pe ja raha dukhi na ho
tu vijay ko pa raha sukhi na ho
hey sagun roop ...
harsh ya vishad se jo door hai
bas mere hi dhyan mein woh choor hai
sukh mein dukh mein koi bhi na bhed ho
koi bhi bura kahe na khed ho
hey sagun ...
jisme bhakti ka ye gun prakat hua
woh samajh le bas mere nikat hua
aur jo nirakar ki upasana
marg hai kathin kathin hai saadhana

Gyanon mein param gyan

Listen to gyanon mein param gyan

Lyrics -

gyanon mein param gyan
main karunga phir bakhan
muniyon ne liya jaan
mukt ho gayen sujan

satguna sukh mein lagaye
karam rajoguna sikhaye
tama pramad ko jagaye
har le sab atma gyan

trishna sau kriyakar
prani hove na mukt
rajo guna kaamjanit
vishyavaasana pradhan

tam ke hain yeh prasad
nidra alas pramad
vastu gyan ka abhava
yeh patan ka hai pramana

gunatit jo kahaye
meri bhakti marg aaye
mujhme aakar samaye
satchidanand jaan

Arjun ne kaha

Listen to arjun ne kaha

Lyrics -

arjun ne kaha ye deh hai kya
aur deh kisko kehte hain
yeh prakiti hai kya yeh purush hai kya
aur gyan kisko kehte hain

bhagwan bolen is deh kshetra mein
bas do atma rehti hai
ek param atma ek jeevatma
dono dehon mein basati hai
...............

Kehsava ne kaha sun sakha

Listen to keshava ne kaha sun sakha

Lyrics -

keshava ne kaha sun sakha
jag ped hai peepal ka

is ped ki jad hai upar
shakha dhgarti ke andar
jo ise tatva se jaane wohi vedon ko pehchane
is ped ka har patta vaidic mantron se racha

is ped ka adi na ant
ise jaan saken na sant
is vriksha ki jad sakhayen
sukh dukh iske parinaam
aise na hataye hata
vairagya shashtra se kata

Krishna jo shashtra vidhi ko

Listen to krishna jo shashtra vidhi ko

Lyrics -

krishna jo shashtra vidhi ko nahi mante
par jo shraddha se ishwar ka pujan kare
satvi hai yahan rajasi tamasi
aise prani ki nishtha ka varnan karen

phir kaha partha se sunke bhagwaan ne
jaisa antahkaran waise shraddha bane
ved sangat jo tap ko nahi mante
rajsi woh asur hain mere samne

karma jo moh agyan ke wash karen
jeeva woh tamasi roop kehlayega
karma uttama kare jo mere naam se
wohi sat hai woh uska suphal paayega

Hey mahabahu govind keshava

Listen to hey mahabahu govind keshava

Lyrics -

hey mahabahu govind keshava mere
mujhpe itni kripa apni dikhlaiye
tyag kya hai yeh sanyaas kya hai prabhu
mujhko ek ek kar ke yeh samjhaiye

karmaphal tyag kya wohi tyag hai
aur vidwan sanyas ka naam de
kamya karmon ko tyago magar dekhna
yagya aur dhyan tap sang mein rahe

main ladunga nahi mithya nishchaya tera
yehi khatriya kal yudh mein jayega
kar samarpit mujhe karma kar marma kar
paap se tu mukt ho jayega

hey dhananjay bata moh jo hua
tere man ka andhera chhata ya nahi
bola arjun kripa se prabhu aap ki
yudh se ab to pichhe hatunga nahi

3 comments:

  1. sorry to say that we are unable to listen and download these all song s from the aboves links you have given please give perfect link

    ReplyDelete
  2. Hello Sir ,

    These links are all working and I have just checked .But I know that you are not able to download them ... pls give me sometime to arrange this facility .

    thanks
    vers

    ReplyDelete
  3. if it is possible please write them in hindi script

    ReplyDelete