Friday 6 January 2012

Hari Rang Rati by Shobha gurtu 







Jago bansi wale


Listen to Jago bansi wale lalna


Lyrics -

Jago bansi wale lalana jago more pyare... lalana

Rajni biti bhor bhayo
ghar ghar khule kiwad
Gopi dahi mathat phirat hain sab
Kangana ke jhnakar

Utho laal ji bhor bhayo hai
Sur nar thade dware
Gwaal baal sab karat kolahal
Jai jai sabad uchare

Maakhan roti haanth mein linhi
Gaouwan ke rakhware
Meera ke prabhu giridhar naage
Tarnayak udhaare

Mhare ghar aao

Listen to Mhare ghar aao

Lyrics -

Mhare ghar aao pritam pyara

Tan man dhan sab bhent dharungi
Bhajan karungi tumhara
Tum gunwant susahib kahiye
Mome avagun sara

Main niguni kachu gun nahi jaano
Tum so bhagtan haara
Meera kahe prabhu kabre miloge
Tum bin nain dukhara

Chain nahi ghanshyam

Listen to chain nahi ghanshyam

Lyrics

Chain nahi Ghanshyam
Tadpat hoon din raat

Tere naam ki rat ab laagi
Duniya se kya kaam ... tadpat hoon din raat

Apne asuwan se main beh gayi
Baanh pakad ke tham .. tadpat hoon din raat

Nis din baant niharat reh gayi
kab sudhi loge shyam .. tadpat hoon din raat


Mere nazar mein

Listen to mere nazar mein

Lyrics -

Mere nazar mein moti aayo
Main bhala bharose paayo

Char kunj ka dewarh banayo
Uspar kalash dharayo

Sej sooni par saaheb mera
Teeno lok dhari aayo

Desh desh ke darshan aaye
Santan ke man bhayo

kahat kabira suno bhai sadho
Hukmi naao chalayo

Main bagiyan se

Listen to main bagiyan se 


Lyrics -

Main bagiyan se phool ko chun ke
Prabhu ke charan chadhaungi
Ab hari ke gun bas gaaungi

Bhor ki bela hari pad gaa ke
Unko nitya jagaungi
Saat suron ki maal gul ke
Kanth unhe pahinaungi
bhajan suna ke apne hari ka
Sundar roop niharungi
Ab hari ke gun bas gaungi
Main bagiyan se...

Woh hi sakha hain pritam mere
Nath sakal sansaar ke
kanth mein woh hain rom rom hari
Deeno ke oh pran mein
thakur ji ko bhog laga ke
pankha unhe jhelaungi
ab hari gun bas gaaungi
Main bagiyan se...

Hari charan hai charo teerath
Charnan sheesh jhukaungi
HAri naam mein sara sukh hai
unse neh lagaungi
shradha bhakti prem se prabhu mein
Darshan unka paaungi
Ab hari ke gun bas gaaungi
Main bagiyan se ...

 Lagan mhari lagi

Listen to lagan mahri lagi 


Lyrics -

Lagan mhari laagi chaturbhuj ram

Shyam sanehi jeevan yehi
Auran se kya kaam
Nain niharu pal na bisarun
Sumiru nis nir ram

Hari sumiran se sab dukh jave
Man paave vishram
Tam man dhan nauchhavar kije
Kahat Dulari Jaan

2 comments:

  1. Unfortunately, none of the songs play! Very disappointed.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete