Thursday, 14 May 2015

Bhajan Kar le




Shlok


Lyrics -

Mookam karoti vachaalam pangu langhayate girim
yat kripa tamaham vande parma nand maadwam

Teeno lok aur charon dhaam 


Lyrics -

Ram ram ram ram

Teeno lok aur charon dham bol rahe hain ram hi ram
jai ram jai ram jai ram jai ram

ram hi rank hai ram hi raja
mera ram har rang mein saza
maangane wale arab caroron
dani ek hi ram hain daata
kya subah aur kya hai shaam

Bhajan kar le


Lyrics -

Bhajan kar le tu bhajan kar le
dukh sankat tu sab har le

na jangal madhuban mein jaaye
na kahin jaa ke alakh jagaye
shant bhaav se dhyan laga kar
prabhu naam ka tu gun gaa le
is man ka hi bhraman kar le

jaise jaise bhajan karega
moh maaya se moksha milega
dusht bhaav sab bhaag chalenge
rom rom jab prabhu basega
sukh ka koi jatan kar le

ram govindia kah narayan
roop sabhi ke hain manbhawan

Band kar khidki 


Lyrics -

Band kar khidki bhale hi dwar kitne bhi tu taale daal
ek din tod ke pinjada panchhi ud jaana

mahal dhare ke dhare rahenge dhan daulat sab pade rahenge
sath rahega koi na tere door door sab khade rahenge
kar le soch vichar

Ishwar ki kar bhakti bande chhod de saare paap ke dhandhe
moh maaya ke jaal sunahare sab ke sab phansi ke phande
jap  le krishna murar

kar le kuchh to nek kamayi aakhir tere kaam ye aayi
lakh chaurasi yoni bhog ke manas yoni tune payi
karta kyu bekaar

vaqt abhi hai baat maan le sant guni jan se tu gyan le
chhod de jhute taane baane parmeshwar ko satya jaan le
milenge phir kartaar

jap le prabhu hi param aatma khul jayega dwaar saantawa
phir na pinjara na hi pancchi janam maran ka ho ga
bhav sagar kar paar

Man re tu hi bol kahan main jaun




Lyrics -

Mann re tu hi bol kahan main jaun
aankh mein utra moh ka moti kuchh bhi dekh na paaun

suna suna mera jeevan shool bane rahon ke kan kan
mil jaayen ab sadhu santan kar de mere man ka manthan
bhavsagar tar jaaun

bohat kaha guru gyani humte par na maani murakh pagle
ab aayen jab pal chalne ke charan chhue ab har ek jan ke
kaise kise rijhaun

khel kood mein bachpan khoya yauwan mein tu bachpan khoya
vriddha awastha aisi saansein gin gin umar bitayi
chinta chita sajaun

kashi ghoom le mathura ghoom le ghoom le chahe ban man
nar mein hain narayan bande nar mein hain narayan
bolo jai narayan

pehan ke bhagwa tilak laga ke bane tu sant gayani
ho gaya mast maland na peeda kisi ki tune jaani
vibhu kamandal gale mein hai maathe chandan
nar mein hain narayan

daya dharma ya daan karo ye kisi kaam nahi aate
deen dukhi nirdhan ko jab tak gale se nahi lagate
mera narayan hota hai isi baat mein prasanna
nar mein hain narayan

Om Namah Shivaya


Lyrics -

Is jeevan mein jis palchhin mein man santap sataye
bolo om namah shivaya

dhan bandhan mein ghar aangan mein jab moh maaya sataye
bolo om namah shivaya

ghar grishthi mein jag reeti mein sankat jab aa jaaye
bolo om namah shivaya

paap andheri man mandir ki  jag jyoti chhalkaye
bolo om namah shivaya

is shrishti par kashton ka patjhad ban baadal chha jaaye
bolo om namah shivaya

Aisa mera damru wala


Lyrics -

aisa mera damru wala mera shankar bhola bhala
gale mein sarpa lund ki maal bharta sabke hi bhandaare
damru bajaye dum dum dum

Shiv shambhu mahadeva ne dekho  kaisa kutumb banaya hai
putra gajanan gaura patni nandi saath milaya hai
bhoot pishaach kaal sang nache mast rahe matwala

hai malang natraj nateshwar chhod ke naach nachaye
mushkil padi to brahma vishnu swayan se chgal ke aayen
pal mein triloki nath ne sab sankat har daala

sagar manthan mein vish pee ke dev lok ko bachaya tha
bichh gaye raahon mein kali ke sarvanaash se bachaya tha
varna bhashma kar deti shrishti durga krodh  ki jwala

Bol Shree Krishna


Lyrics -

Bol shree krishna mit jaayegi teri vyakul trishna

saavar natwar kanha kanhaiya gita ka mera krishna rachaiya
mohan govardhan parvat dhayi bhav sagar ka bhi khevaiya
jo hai tujhko prabhu se milna bol shree  krishna

kehne ko woh ek gwala maakhan chor woh nand ka laala
dharma ka rakshak karma ka yodhha
sarva kala samrith prith pala deen dayalu daya ka jharna

Diya karan ko vachan nibhaya arjun ka swayam rath bhi chalaya
maa kali ko chhal gaya chhaliya natkhat maa ki sharan bhi aaya
isi ne tera sankat harna

0 comments:

Post a Comment