Thursday, 14 August 2014

A


Ab ke maadhav mohi ubar(beautiful sensitive bhajan)


Lyrics-

Ab to maadhava mohi ubar

Diwas bite rain biti baar baar pukar
Naav hai majhdhar bhagwan teer kaise paye
Ghiri hai ghanghor badari paar kaun lagaye
Kaam krodh samet trishna rahe pal chhin ghere
Nath deenanath krishna mat lagao deri
Daur ke aane bachane draupadi ki laaj
Dwar tera chod kis dwar jaaun aaj
********************************
A surdas pad with similar raaga has also been sung whose lyrics is like following -
"if anyone knows that this song has been sung by any artist please inform me ."
thanks .

Abki maadhava mohi ubaar

Magan hau bhava ambunidhi mein kripa sindhu murar
Neer ati gambhir maaya lobh lahe tarang
Liye jaat agadh jal mein gahe grah anang
Kaam krodh samet trishna pavan ati jhakjhor
Nahi chitvan det tiya suta naam nauka ore
meen indriya atihi kaatat mot agh sir bhar
Pag na it ut dharan paavat urajhi moh sewar
Thakyo jaani behal bihwal sunhu karuna mool
Shyam bhuj gahi kadhi daaryo sur braj ke kool

Meaning -

Oh Madhava Please drive me off this time .
Oh Ocean of mercy Murari ! I am lost in this "treasure of water " like world.
Here there is the illusion which is extreme like lots of water in which the greed raises time to time like the waves of that water .This wave takes me away in the illusion of  deep water where the lust in the form of alligator is ready to ingulf .
The wind of lust and anger  together with greed is very strong .The wife and son does not let me look at the lord's name in the form of fleet that can save me from this ocean of illusion .
The senses in the form of fish bite me lot and I have a heavy burden of sin due to which I cant put my legs anywhere and besides I have been trapped in this fascination in the form of  sea weeds .
Thinking that I am tired , in bad condition and fraught .O cause of mercy Listen to me .

Surdas ji says Oh dear one of Braj ,Shyam !take me out of this ocean by carrying my arms. 

Ab main  nachyo bahut gopal 


Lyrics -

Ab main nachyo bahut gopal
kaam krodh ko pahiri cholna kanth vishaya ki maal 
maha moh ke nupur baajat ninda sabad rasaal
bharam bharyo man bhayo pakhawaj chalat asangat chaal 
trishna naach karti ghat bheetar nana bidhi betaal
maaya ka kati pheta bandhyo lobh tilak 
kotik kala kaachh dikhrayi jan thal sudhi nahi kaal 
surdas ki sabe avidya door karo nandlaal 

Aaj dadhi mithua 

Listen to aaj dadhi mithua 

Lyrics -

Aaj dadhi methua madan gopal 
bhavat mohe tiharo jutho 
chanchal nayan vishal 

dale paat banave dona 
diyan saban ko baant 
jin nahi payo suno re bhaiya 
meri hatheli chant 

bahut dinana hum base vrundavana
krishna tiharo saath
aiso swad hum kabahun na chakhyo 
sun gokul ke naath

aapana hasat hasawat gwalan 
Manas leela roop 
parmanand prabhu hum sab janat 
tum tribhuvan ke bhoop 



Aho pati so upayi kacchu kije 


Lyrics -

Ahopati so upayi kachhu kije 
jihi upaye apno yah bal bhat 
rakh tans so lije 

mansa bacha kahat karmana 
nrip tab ghum na patije 
budhi bal chhal kah kari kaise utari ke
kahe anat liye dije 

nahi na itno bhag  junah ras  
niphalo jan kut kije 
surdas aise sut kou jas 
srawanani suni suni jije

Aali re mere naina 


Lyrics -

Ali ri mere naina baana padi
chitta chadhi mere maadhuri murat ur bich aan adi
kab ki thadi pantha niharun apne bhavan khadi
kaise pran piya bin raakhun jeevan mool jadi

meera giridhar haat bikani log kahen bigadi

Aarti kunj bihari ki 



Lyrics -

Aarti Kunj Bihari Ki

Shri Girdhar Krishna Murari Ki


Gale Mein Baijanti Mala, Bajave Murali Madhur Bala
Shravan Mein Kundal Jhalakala, Nand Ke Anand Nandlala
Gagan Sam Ang Kanti Kali, Radhika Chamak Rahi Aali
Latan Mein Thadhe Banamali

Bhramar Si Alak, Kasturi Tilak, Chandra Si Jhalak
Lalit Chavi Shyama Pyari Ki
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki

Kanakmay Mor Mukut Bilse, Devata Darsan Ko Tarse
Gagan So Suman Raasi Barse
Baje Murchang, Madhur Mridang, Gwaalin Sang
Atual Rati Gop Kumaari Ki
Shri Giradhar Krishna Murari Ki
Jahaan Te Pragat Bhayi Ganga, Kalush Kali Haarini Shri Ganga,
Smaran Te Hot Moh Bhanga
Basi Shiv Shish, Jataa Ke Biich, Harei Agh Kiich;
Charan Chhavi Shri Banvaari Ki.
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki...

Chamakati Ujjawal Tat Renu, Baj Rahi Vrindavan Benu
Chahu Disi Gopi Gwaal Dhenu
Hansat Mridu Mand, Chandani Chandra, Katat Bhav Phand
Ter Sun Diin Bhikhaarii Kii
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki

Aisi Laagi Lagan

Listen to aisi lagi lagan 

Lyrics-

Hai aankh wo jo shyam ka darshan kiya kare
hai sheesh woh prabhu charnon mein jo vandan kiya kare
bekar woh mukh hai jo lage vyarth baaton mein
mukh woh hai jo hari naam ka  sumiran kiya kare

Heere moti se nahi hai shobha hanthon ki
hain haath woh bhagwaan ka pujan kiya kare
mar kar bhi amar hai us jeev ka is jag mein
Prabhu prem mein balidan jo jeevan kiya kare

Aisi lagi lagan meera ho gayi magan
woh to gali gali hari gun gaane lagi
Mehalon mein pali ban ke jogan chali
Meera rani deewani kahanelagi

Koi roke nahi koi toke nahi
Meera Goind Gopal gaane lagi
baithi santon ke sang rangi mohan ke rang
meera premi preetam ko manane  lagi
woh to gali gali hari gun gaane lagi

Rana ne vish diya mano amrit piya
Mano sagar mein sarita samane lagi
dukh lakhon sahe mukh se Gobind kahe
Meera Govind Gopal gaane lagi


woh to gali gali  hari gun gaane lagi

Aaradhey man shyam radhey




Lyrics -

Aaradhey man shyam radhey 
hari shyam radhey 
shyam radhey hari shyam radhey 

amritmaya hari naam tihara 
deenan ka hari yehi sahara 
nis din sumire radhey radhey 

mohan ki murli baje 
pranan mein yehi naam viraje 
din din bhagati aagadhe 

radha bhakti shyam milave 
aaradhan radha ban jaave 
unki sharan ho dhyan sadhe 

Ab main nachyo thakyo 


Lyrics -

Ab main nachyo thakyo thakyo bahot gopal
kaam krodh ka pehne chola 
kanth vishaya ki maal 

maha moh ke nupur bajat
ninda sab darsaya
bhram bhavaron man bhayo pakhavaj 
chalat asangat gyan 

moh ko nad bhayo ghat bhitar 
nana vidhi taital 
maya kokati pheta bandhyo
lobh tilak diyo bhal 

koti kala aisi dikhlayi 
jal thal sudhi nahi paye 
surdas ki saari avidya 
door karo nandlal

Aeri main to prem diwani


Lyrics -


Aeri main to prem diwani mero dard na jaane koye
Ghayal ki gati ghayal jaane jo koi ghayal hoye
jauhari ki gati jauhari jaane ki jin jauhar hoye
suli upar sez humari sovan kis vidhi hoye
gagan mandal par sez piya ki kis vidhi milna hoye
dard ki ban ban dolun vaidya mila nahi koye
meera ki tab peer mita jab vaidya saanvaliya hoye

Ankhiyan hari dashan ki pyasi 




Lyrics -

Hari darshan ki pyasi akhiyaan hari darshan ki pyasi 

dekhyo chahe kamal nayan ko nis din rahat udaasi 

akhiyaan hari darshan ki pyasi

kesar tilak motin ki maala vrindavana ke vaasi 
neh lagaai tyag gayen trin sam daal gayen gal phansi 
akhiyan hari darshan ki ...... 
kahoo ke mana ki ko jaanat logan ke man haasi 
surdas prabhu tumhare daras bin leho karvat kashi ankhiyaan
hari darshan ki pyasi hari darshan ki........


Meaning-





Gopis after Krishnas departure from Gokul become very sad and at this they say -
our eyes are thirsty for a glance of lord .
they want to see 
lotus eyes and so they remain sad each day.
He has a mark of saffron on forehead and who wears the necklace of pearl and who is the resident of Vrindavan, 
binding us in the bond of love has left like a straw and it seems that he has fastened us with the rope around our neck .

The Gopis say  who knows the inside of anyone's mind , people just keep on laughing in their mind about one's situation .Surdas ji says that the gopi's are saying that oh lord without your presence Kashi has also become restless ....then what about us ?



Aaj to anand



Lyrics -

aaj to anand
puran brahma sakal ghat vyapak
so aayo grah nand
garg parahsar aru muni narad
padhat ved shruti chhand
harjeevan prabhu gokul pahunche

mite sabhi dukh dvand



Apnapan rakhna mere ghanshyam 

Lyrics-

apnapan rakhna mere ghanshyam
ghadi ghadi pal pal naam tiharo
rate meri rasana mere ghanshyam
lali lal dou hai garbahen 
umare hiyrn basna 
bhav hindore daal hiye 
jhulaun nit jhulna mere ghanshyam 
dayi uphaar ye haar asuvan ko 
bana loon tujhe apna mere ghanshyam
kaise hun kari kripalu prabhu apno 
puran ho mam sapna mero ghanshyam 

Ali re mere naina baan padi 




Lyrics-


ali re mere naina baan padi
kab ki thadi panth niharun 
pne bhavan khadi
chitta chadhi mere madhuri murat 
ur bich aan adi
meera giridhar haanth bikani 
log kahen bigadi 

Aarti kunj bihari ki 















Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Gale Mein Baijanti Mala, Bajave Murali Madhur Bala
Shravan Mein Kundal Jhalakala, Nand Ke Anand Nandlala
Gagan Sam Ang Kanti Kali, Radhika Chamak Rahi Aali
 Latan Mein Thadhe Banamali
Bhramar Si Alak, Kasturi Tilak, Chandra Si Jhalak
 Lalit Chavi Shyama Pyari Ki
  Shri Giradhar Krishnamuraari Ki

  Kanakmay Mor Mukut Bilse, Devata darshan ko tarse
 Gagan So Suman Raasi barse 
Baje Murchang, Madhur Mridang, Gwaalin Sang
Atual Rati Gop Kumaari Ki
Shri Giradhar Krishna Murari Ki
Jahaan Te Pragat Bhayi Ganga, Kalush Kali Haarini Shri Ganga, 

kali mal harini shree ganga  s
maran Te Hot Moh Bhanga
basi Shiv Shish, Jataa Ke Biich, Harei Agh Kiich;
Charan Chhavi Shri Banvaari Ki.
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki...

Chamakati Ujjawal Tat Renu, Baj Rahi Vrindavan Benu

Chahu Disi Gopi Gwaal Dhenu
Hansat Mridu Mand, Chandani Chandra, Katat Bhav Phand
Ter Sun Diin Bhikhaarii Kii
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki

Aaj dadhi mithua 

Listen to aaj dadhi mithua 

Lyrics -

Aaj dadhi methua madan gopal 
bhavat mohe tiharo jutho 
chanchal nayan vishal 

dale paat banave dona 
diyan saban ko baant 
jin nahi payo suno re bhaiya 
meri hatheli chant 

bahut dinana hum base vrundavana
krishna tiharo saath
aiso swad hum kabahun na chakhyo 
sun gokul ke naath

aapana hasat hasawat gwalan 
Manas leela roop 
parmanand prabhu hum sab janat 
tum tribhuvan ke bhoop 



Ankhiyan Hari Darshan ki pyasi

listen to Hari darshan ki pyasi ankhiyan


Lyrics -

Hari darshan ki pyasi akhiyaan hari darshan ki pyasi 
dekhyo chahe kamal nayan ko nis din rahat udaasi 
akhiyaan hari darshan ki pyasi
kesar tilak motin ki maala vrindavana ke vaasi 
neh lagaai tyag gayen trin sam daal gayen gal phansi 
akhiyan hari darshan ki ...... 
kahoo ke mana ki ko jaanat logan ke man haasi 
surdas prabhu tumhare daras bin leho karvat kashi ankhiyaan
hari darshan ki pyasi hari darshan ki........ 




    Aarti baal krishna ki kije



Jis ghar mein ho aarti charan kamal chit laaye
tahan hari basa karen jyoti anant jagaye

Aarti baal krishna ki kije
apno janam safal kar lije
shree yasuda ko param dularo
baba ki ankhiyan ko taaro
gopin ke pranan se pyaro
inpe pran nyochhavar kije

Baldau ko chhoto bhaiya
kanhva kah kah bole maiya
param mudit man let balaiya
yeh chhavi nainan mein bhar lije
shree radha var sukhad kanhaiya
vrajjan ko navneet khavaiya
dekhat hi man let churaiya
apno sarvas inko dije 



Aarti yugal kishore ki



Listen to aarti yugal kishore ki 

Lyrics -


Aarti yugal kishore ki kije 

radhe dhan nyochhavar kije 

ravi shashi koti badan ki shobha

tahi nirat mein rahe na lobha 
gaur shyam mukh nirakhat rijhe 
prabhu ka roop nayan bhar pije 

kanchan thar kapoor ki bati 

hari aayen nirmal bhayi chhati
phoolan ki sej phoolan ki mala 
ratan singhasan baithe nandlala

shree purushottam girivar dhari 

aarti karat sakal nar nari 
nand nandan brajbhanu kishori 
parmanand swami avichal jodi 


Arjun bola hey purushottama 

Listen to Arjun bola hey purushottama

Lyrics -

arjun bola hey purushottam 
batlayen adhyatma hai kya
mukti ka marg milta kaise 
yeh karma hai kya yeh brahma hai kya

naash na ho jiska arjun 
woh brahma pukara jata hai
us brahma ka nitya swabhava hai jo 
adhyatma wohi kehlata hai 
jin bhavon ka chintan kar ke 
prani pran ko chode ga
le kar woh phir se janma unhi ke 
phal se nata jodega

jo mujhe prapta ho jata hai 
phir janma na uska hota hai 
ichhaoon mein jo bhatak gaya 
janmon janmon tak rota hai 
jo naam mera lete lete 
pranon ko chhodta hai arjun
sandeh nahi apna nata 
mukti se jodta hai arjun
saare yogon se bada yog 
tu om om bas gaa arjun
hari om hari om



atma gyan mein jo lage hue

Listen to atma gyan mein jo lage hue

Lyrics -

haanth joid arjun kahen suniye shree bhagwan
nirakar sakar mein shreshtha hai kaun shree man 

atma jagaran mein jo hain lagen hue
dhyan mein jo mere hain lage hue 
hey sagun roop kuldhwaj sakha
aur sadvichar kuldhwaj sakha 
naam aur guron ka shravan karen
mujhko prapta ho sake ye manan kare 
yeh bhi na ho sake tujhse agar 
mere vaste phir tu karma kar
hey sagun roop ...
ghar ka tyag kar tu mere vaste
yeh amar gati hai tere waste
koi shkhar pe ja raha dukhi na ho 
tu vijay ko pa raha sukhi na ho
hey sagun roop ... 
harsh ya vishad se jo door hai
bas mere hi dhyan mein woh choor hai
sukh mein dukh mein koi bhi na bhed ho 
koi bhi bura kahe na khed ho
hey sagun ... 
jisme bhakti ka ye gun prakat hua
woh samajh le bas mere nikat hua 
aur jo nirakar ki upasana 
marg hai kathin kathin hai saadhana 















Arjun ne kaha 

Listen to arjun ne kaha

Lyrics -

arjun ne kaha ye deh hai kya 
aur deh kisko kehte hain 
yeh prakiti hai kya yeh purush hai kya
aur gyan kisko kehte hain 

bhagwan bolen is deh kshetra mein
bas do atma rehti hai 
ek param atma ek jeevatma
dono dehon mein basati hai 


Abki Tek Humari 

Lyrics -

Listen to abki tek humari 

Abki tek humari murari ,Laaj rakho giridhari 
Jaisi laaj rakhi paarath ki bharat yuddh manjhari 
Saarathi hokar rath ko hankyo chakra Sudarshan dhari 
bhagat ki tek na tari 
Jiasi Laaaj rakhi draupadi ki hone na dinhi ughari 
khechat kechat dou bhuj thaake duhshashan pachihari
chir badhayo murari 
Surdas ki lajja rakho ab ko hai rakhwari 
radhe radhe shreevar pyari , Vishbhanu dulari 
Saran taki aayo tumhari ..


Aan milo aan milo shyam sanware


Lyrics -

aan milo aan milo shyam sanware 
brij mein akeli radhe khoyi khoyi phire 

vrindavan ki galiyon mein tum bin jiyara na laage
nis din tumhari baant dekhe  vyakul  naina bhage 
ab hi aisi dasha hai man ki kya hove phir aage re

aaj na kahe yamuna teere murali madhur bajayi
aaj na kahe sakhiyaan ke sang hil mil raas rachayi
hamara aangan chhod ke tohe kaun nagariya bhayi

ajahu na bheje re mohan taine koi khabariya
ho gayi hai brij ki baala ro ro ke baanwariya
mukh dikhla ja dheer bandha ja nat naagar saanwariya 



.............








0 comments:

Post a Comment