1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Monday, 24 November 2014

Bhajanamrita by Sandhya mukharjee 




Patit udhharini gange 






Lyrics -



patit udhharini gangey maa

hari bhari tat angan nache 
chanchal teri umange


kit hi magri teerath ho gayi charan chumu maa tere

kit nar nari dhanya sudha se karti saanjh savere 
bharatvarsha ke jug jug se tu kanth mein hai jal  maala 
pyasi dharti ki hariyali sheetal punya tarange 


naarad keertan se ho nindit hari karuna bah aayi 

brahma kamadal jhal nahi paaya bhoorj ki jata badhayi
dhali jyot ki ambar shesha dhara kajari raati 
charan himachal se jal ban phir mili tu sagar sange 


krant jagat ke dukh sukh se ho ant khel jo mera 

nainan nindiya barsana ho kaanan  kal kal tera
barse shankit pran mein shanti barse amrit ange maa
maa bhagirathi janm me sur dhuni kal kalyani bande 


Mukut lataka atke 






Lyrics -



Mukut lataka atke mann mahi 

nirkhat  natwar madan manohar 
kundal jhalak alak bikhrayi 


maat bulaat phalak mukh paahan

hoth magan duti  bhauh chadhayi
thumak thumak pag dharat dharani par
baah uthayi karat chaturayi

jhumak jhumak nupur jhankawat
paya paaijani  rijhe rijhayi
charandas sahajo hi anantar
bhawan karajit raah sadayi

Main to prem diwani 




Lyrics -

Heri  main to prem diwani 
mero dard na jaane koye 

ghayal ki gati ghayal jaane jo koi ghayal hoye 
jauhari ki gati jauhari jaane ki jin jauhari hoye 

suli upar sez humari sowan kis bidhi hoye 
gagan mandal par sez piya ki kis bidhi milna hoye 

dard ki maari ban  ban dolun baidya mila nahi koye 
meera ki prabhu peer mitegi jab baidya saanwaliya hoye 

Thumak thumak  chalat 


Lyrics - 

Thumak thumak pag thumak kunj mad 
chapal charan hari aayen 
mere bhulawan aaye mere nain lubhawan aaye 
nimiki jhimiki jhimi nartan dhari hari aayen 
chapal charan hari aayen 
aru karun sam chhina bhhinna  karal dal rudhiyaen 
amal kamal kar murali madhur dhar bansi bajawan aayen 
mere pran bhulawan aayen mere nain lubhawan aayen 
kunj kunj har gunj gunj bhar bhrind rang hari aayen
jhun jhun dun dun manjul gun gun 
phuulla mukul hari aayen 
mere pran bhulawan aayen mere nain lubhawan aayen 

Saddho govind ke gun gaao


Lyrics -

Sadho govind ke gun gaao 
maanaw janam amolak prani birtha kahe ganwao

patit puuneeta deenbandhu hari sharan tahi tum aavo
gaj ki traas miti jyu hi sumiro tum kahe bisrawo 

taj abhimaan moh paap puni bhajan ram chit laavo 
naanak kahat mukti path yehi guru mukh hoyi tum paavo 

Soi rasna jo hari gun gaave 


Lyrics -


Soyi rasna jo harigun gaave
nainan ki chhavi yahe chaturta,jyun makaran mukundahi dhyave
nirmal chit tau soyi sancho,krishna bina jiya aur na bahve
sravanan ki ju yahe adhikayi,suni hari katha sudha ras pyave
kar teyi je shyamahi seve charnani chali brindaban jaave
                                               surdas jaiye bali take ,jo hari ji su preeti badhave 


Ram japu ram japu 


Lyrics -

Ram japu ram japu ram japu banware
ghor bhav neer nidhi naam nij naav re
ek hi sadhan sab riddhi siddhi sadhe re
grase kali rog jog sanjam samadhi re
bhalo jo hai poch jo hai dahino jo baam re
raam naam hi so ant sabahi ko kaam re
jag nabh batika rahi hai phali phooli re
dhunwa kaise dhaurhar dekhi tu na bhuli re
ram naam chhadi je bharoso karo aur re
tulsi paroso tyagi mange kroor kaur re

jai jai ram jai jai ram 


Sunday, 23 November 2014

The Versatile Shubha Mudgal - Bhajan






Nache chhail chhabila nandlaal




Lyrics -

Nache Chhail chhabila nand ka kumar hai
galbahe de priya ke sundar shringaar hai 

it mand mand jhini nupur awaaz hai 
ut paayjeb paayal dharti se baaj hai 

pagiya lasikawar ke sir pe chilaal hai 
bhrikuti lagi laloyi pyari si bhaal hai 

katikaachhane su choli pat ka kinari ka
kaan jadau jhumka gal heer maal hai 

damini surangi sela kirati kumari ka 
motin ki maal sundar shobha apaar hai 

gunja bale guni ke gare gunjmaal hai   
chhatiya lagi lala ke bansi rasaal hai 

nasa bulak besari mathe pe mukut sohe 
dono jhuke paraspar chhabi beshumaar hai 

Doodh so snaan karo manmohan




Lyrics -

Doodh so snaan karo manmohan chhoti diwali kaal manaye 
kar shringaar laal tanwa do oondhe je tasi sheesh jhukaye 

jaiso shyam ik rang kar mili taise hi dampati param sukh paaye
aaj samagam hai pyari to jo nirdhan ke dhan paaye 

wah chhavi dekhi dekh vraj janahi det asheesh apni man bhayi 
chir jeevo dul hari laal dou parmanand das bali jaayi 




Pyari main aise dekhe shyam




Lyrics -

pyari mai aise dekhe shyam 
bansuri bajawat gaavt kalyan 

kab ki thadi rahyan sudh budh bhool gaiyan 
chhone jaisa jadu dala bhule muskaan 

jab dhun paayen paiyaan deh ki na sudh raiyan 
tan man har linho birah alkaan 

meera bai prem paanya giridhar laal dhyayaan 
deh suni deh bhaiyan laga pag dhyan 



Aaj sakhi raas rachayo 




Lyrics -

Aaj sakhi raas rachyo radha raman re
chalahu mil begi sabe sukhahi nirakhe tahe
saghan tare latan tar kunj ke ghanere mein  

bajat veena milat taran tat kinkini 
tujit nupur charan gatin ke gaman mein

rasik var nirakh pare rijhi bhiji ye ali 
chandra sukh kanj gati nirakh paran re 

shree radha raman re 



Chhabilo brindawan ko raas






Lyrics -

Chhabilo brindaban ko raas 
ja par radha mohan biharat upajat sarsari vaas

jeevan mori kapoor dhuri jahan udat chahun disi baas
jal thal kamal mandali bigasat ali makarandan baas

kankan kinkini nupur dhuni suni kag mrig tajat na paas
taan baan sur jaan bimahit chandra sahit akaas 

sukh shobha ras roop preeti gun angan rang suhaas 
dou rijhi parspar bhetat nirakhi nirakhi bali jaas 






Saturday, 25 October 2014

Mere Bhagwan : Shree Vishnu ji 







Mangalam bhagwan vishnu



Lyrics -

Mangalam bhagwaan vishnu mangalam garuddhwajah
mangalam pundareekasham mangalaya tano harih

Shashank chakram 




Lyrics -

Shashankh chakram sakereet kundalam
sapeet vastram sarsiruheksharam
saharvakshathal shobhikostubham
namami vishnu sirsa chaturbhujam

Shreeniwas shree venkateshwar 




Lyrics -

Shreeniwas shree Venkateshwar shree govinda narayan
shreepate hey saptagereesh shree shrutjan paalak namostute


Shreemna narayan narayan chants 





Lyrics -

Shreeman narayan narayan narayan
laxminarayan narayan narayan
badrinarayan narayan narayan
satyanarayan narayan narayan

Shuklam vardharam 




Lyrics -

Shuklaam vardharam vishnu shashi varnam chaturbhujam 
prasannavadanam dhyaye sarva vighnopashantaye 

Hari bol hari bol hari hari bol


Lyrics -

hari bol hari bol hari hari bol 
saanjh sabere hari hari bol 
ek prabhu ke anek naam 
prem se bolo radhe shyam 
hari bol bol hari hari bol 
saanjh sabere hari hari bol 

hari naam mein sab gun gaao 
nis din pal chhin hari gun gaao 
hari bol hari bol hari hari bol 
saanjh sabere hari hari bol 

hari sumiran mein dhyan lagao 
hari charnon mein sheesh jhukao 
hari bol hari bol hari hari bol 
saanjh sabere hari hari bol 


Hari bol hari bol mukund maadhav 




Lyrics -

Hari bol hari bol hari hari bol 
mukund maadhav govind bol 
keshav maadha govind bol 
ram bol ram bol ram ram bol 
seeta samet shree ramchandra bol 
Krishna bol krishna bol krishna krishna bol
radha samet shree radhe krishna bol
shiv bol shiv bol shiv shiv bol 
gauri samet shree saambh shiv bol
har bol har bol har har bol
uma samet shree sambha nath bol 
vitthal bol vitthal vitthal bol vitthal vitthal bol 
ratna samet shree pandharnath bol 
rang bol rang bol rang rang bol 
rukmini samet shree pandurang bol 

Guru brahma guru vishnu 




Lyrics -

Gurur brahma gurur vishnu gurur devo maheshwarah 
guru saakshaat parambrahma tasmai shree guruveh namah 

Thursday, 16 October 2014

Bhajan chalta rahe by Sharma bandhu 




Bhajan chalta rahe 


Lyrics -

Bhajan chalta rahe magan manwa rahe
anand badhata rahe dekho
siya ram siya ram hari naam ka

ye bhajan jisne hokar magan hai kiya
ho gaya woh amar usne amrit piya
usko shikwa na koi shikayat rahi
uske nar deh paane ka phal paa liya
hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol

agam sansaar hai
visham vyavahaar hai
sugam bas naam hai dekho
siya ram siya ram hari naam ka

ram ji ke bhajan mein to bal hai bada
dwaar shabari ke chal kar ke aana pada
iske bal pe prabhu se tha kewat ada
apne charnon ko unko dhulana pada
hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol

bharam mit jaayenge
karam khil jayenge
adham tar jayenge
dekho siya ram siya ram hari naam ka

ram charnon mein se aane se kahe dare
woh kripalu to hain woh kripa hi kare
bhakt ki bhool saari bhula kar prabhu
saare santaap aur paap man se hare
hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol hari bol

lagan lagi rahe
jalan jati rahe
ratan badhati rahe
dekho siya ram siya ram hari naam ka

Rah ke chal diye


Lyrics -

Rah ke chal diyen jahan mein char din
woh bhi pyare ram ji ke pyar bin
tu soch le vichaar le apne ko sudhar le
sudh bisaar ke man ko vaar ke
kar bhajan hari ke chhin

yeh vaasanaayen jo jeevan mein bas
jo na ram ji ki prem dhaar mein bahi
ho kyu andhera na man se mere jayega
naam ka hridayay mein deep jagmagaye to
ram naam ka prem geet gaa taal baje dhinak dhin

ram naam lekar shuru to kar naya safar
ram ki kripa se mili tujhe sahi dagar
naam ka bharosa ab kabhi  na chhodana
tu bhajan ke bal se rukh hawa ka modna
chhod deenata saari heenata dosh apne ab na gin

ram ho humare aur hum ho ram ke
hum ban sakenge bas tabhi to kaam ke
mol in palon ka na kabhi bisariye
naam ke sahare zindagi sudhariye
pyar mein magan chal karen bhajan
rasta nahi kathin

Sun sun sun mere sathi




Lyrics -

Sun sun sun mere sathi
hriday ki preet prabhu ko rijhati
prem ka dhan jo liye
usi ke ram hue sukhdham hue
sabkaam hue

prem deewani meera rani kehti hai kya baat suhani
mai ni main to govind lino mol
bhed diyen sab khol hari to aave prem ke mol
Sun sun sun mere sathi
hridaya ke man mein jala ke baati prem ka pran jo liye
usi ke ram hue sukhdham hue sabkaam hue

daras deewana hua fakira prem dhani al mast kabira
kachhe pachhe hari kiye kahat kabir kabir
kehat kabira jaano prem se bada na koi gyan
sun sun sun mere sathi
na jhoothi duniya jise lalchati
samarpit man jo kiye usi ke ram hue
sukhdham hue sabkaam hue

tulsi ne sab chhod ke maaya raghuwar kya khoob manaya
tulsidas chandan ghise tilak det raghuveer
ram to hai bas pyar pyar se kare to koi bhi paye
sun sun sun mere sathi
prem ki lagan jise lag jati
jo prabhu ka ban ke jiye usi ke ram hue
sukhdham hue sabkaam hue

Jaise parvat se zharne 




Lyrics -

Jaise parvat se jharne jhar jhar jhar jharte aayen mithi awaaz sunaye
hum bhi to gungunaye hari ka naam gaayen hari ka naam gaayen gaayen re

jaise saawan mein baadal ghan ghan aawaz sunaye hum bhi to gungunaye
hari ka naam gaayen hari ka naam gaayen siya ram gaayen re

jaise poonam ke din chana ki chandani chamke chamke re
jaise bagiya mein sheetal hawa aa jaaye chupke se chpke se
aisa nirmal saral tera pyaar ho phir kyu na tera udhhar ho
jaise phoolon pe bhanwara gungun karta aaye mithi awaaz sunaye
hum bhi to gungunaye .....

ram jai jai ram ram jai jai ram

jaise amraiyon mein kokil kare kujan re
jaise basanti rut mein bagiya ka khile kan kan re
aisa rang se bhara tera pyar phir kyun na tera udhhaar ho
jaise ganga ki lehrein kal kal kal kari aayen mithi awaz sunaye
hum bhi to gungunaye .....

apne man ke mahal mein raaghav kripalu ko basa le tu basa le
apni vaani se unke paawan charita ko tu gaa le haan ga le
aisa sangeet maya tera pyaar ho phir kyu na tera udhhar ho
badal ka premi chatak jo peehu peehu gaaye mithi aawaz sunaye
hum bhi to gungunaye .....

Is bhavsagar ka gehra paani




Lyrics -

Is bhavsagar ka gehra paani
bhatak na jaaye iski lehron mein teri yeh naav purani

badi iski lehar chali tez hawa kaun raksha kare ram ji ke siva
chhod sare bharam na samay ko ganwa
woh bachate sada tu sharan mein to aa
pyar se sarvadaa yahi gaate raho
siya rama kaho  siya rama kaho siya ram kaho

kucchh duniya chali kuchh man ki kami
kuchh tune na santo ki  vani suni
ab badal dastan le sahi rasta
ram bhakti bina na kisi ki bani
ram bhakti hridaya mein jagate raho
siya rama kaho siya rama kaho siya rama kaho

Ram sanware sabke kaam 




Lyrics -

Sita ram jai sita ram
Ram sanware sabke kaam
sita ram jai sita ram
o gaate jaana subahe shaam
sita ram jai sita ram

sukh dukh ki ghanghor ghatatyen kitni garje kitni barse
chintit hokar vichalit hokar ya ghabrakar inke dar se
bhool na jaana uska naam sita ram jai sita ram

deen heen adhamo patiton ki aur kahan hogi sunwayi 
dwar sabhi ke liye khule hain ram kare sabko sukhdayi 
kripa barasti hai abhiram sita ram jai sita ram 

Bolo bolo aankhein kholo 


Lyrics -

Bolo bolo ankhein kholo
aao gaao prabhu ka naam
sita ram sita ram sita ram

jo man ka hai ujiyara
bhakton ko laage pyara
vedon ka yeh saar roop hai 
santon ka vishram 
sitaram sitaram sitaram 

bhakti ki raah dikhata
preeti ki lagan lagata
iske aage haare saare
krodh lobh mad kaam 
sitaram sitaram sitaram 

isko aadhaar bana le
is raah pe paanv badha le 
mit jayegi chinta sari 
mil jayenge ram
sitaram sitaram sitaram  

Naam Ram ji ka anmol khajana




Lyrics -

Naam ram ji ka anmol khajana
jiske hridaya ne yeh khazana pehchana
woh to jape ga hoke prem deewana 
shyam  shyam shyam shyam ga 

socho aisa kaun sa saral hai upaya bhala duja 
dekho bada kathin hai karna jap tap pooja 
man ho paraya jahan tan ho paraya 
badi badi saadhanayein kaun kare upaya
ek baar naam ki sharan mein jo aaye
rasta kathin bhi saral ho jaaye 
bolo bolo sare sant yahi batayein 

socho jab gaj ko pakad liya jal mein magar ne
dekho jab doobne ko tha woh jal ki gehar mein
haar kar hari naam usne pukara
prabhu ne turat use aa ke ubaara 
prabhu ki kripa ki yeh kathayen samjhayen 
naam ke hi pichhe naami dauda chala aaye 
bada bad bhagi hai jo sada yehi gaaye
shyam shyam shyam shyam ga 

Ramam 




Lyrics -

Jeevan ki bagi mein sona hai mati
agar man yeh preetam na gaaye madhur geetam
ramam ramam
ram jai jai ram  jai jai ram
ram jai jai ram jai jai ram

man yeh swayam mein hi uljha
kaanton ko isne sada phool samjha
aankhon ke hote hue khaye thokar
dukh mein prabhu tumko dikhlaye ro kar
preeti mein teri na aankhen hui nam
magar man yeh preetam bhare bhakti ka dum

sapno ke jhulon pe ye man aisa jhoola
sukh uparat apne prabhu ko hi bhula
maaya ke toofan mein tinke sa jeevan
mazboor udta raha hai yeh har chhan
suraj ke bin kaise kat payega tam
magar man yeh preetam kare vyarth hi sham

na naav chahun main us paar lagna
na ram mandir pe chahoon pahuchana 
swar mein kahan se bharun aisi karuna 
jisse sada tumko parta hai khichna 
tera sahara jo mil jaaye pyara 
tabhi  man ka preetam kate ga sabhi bhram  








Monday, 6 October 2014


Maa aayen sharan tumhari



Jai jai jai jagjanani 


Lyrics-

jai jai jai jai jagjanani sharan tiharo aayo hai
sharan tiharo aayo maiya sharan tihari aayo hai

bail sinhasan baithi meri maiya shankar roop dharayo hai
jata joot sir gang biraje sheeshnaag liptayo hai

garud sinhasan baithi meri maiya vishnu roop dharayo hai
mor mukut pitambar sohe mukh dhar venu bajayo hai

hans sinhasan baithi meri maiya brahma roop dharayo hai
chaaron ved mukh chaar viraje charo ved yash gaayo hai

singh sinhasan baithi meri maiya shakti roop dharayo hai
dhyanu bhagat maiya tera yash gaave charan kamal chit laayo hai

Sathi mil ke bolo jai maata di 




Lyrics -


kripa ki na hoti jo aaj tumhari to suni rehti adalat tumhari

jo deeno ke dil mein jagah tum na paati to kis dil hoti ifaajat tumhari
garibon ki duniya maa aabaad tumse garibon se hai baadshahat tumhari
na mulzami hote na tum hoti haathon na ghar ghar mein hoti ibaadat tumhari

saathiyon mil ke bolo jai maata di jai maata
premiyon mil ke bolo jai maata di jai maata

unche unche parvaton pe maiyan ji ka dera hai
maa meri ka dera hai
uchhe maiya aap basdi niche shahar basera hai

maiya naal pyar karo maiya hume pyar kare
daati hume pyaar kare
dukhade saare katdegi maiya da deedaar karo


kalbhairo julm kiya maiya ji ko gher liya

maa meri ko gher
jahan use maar diya wohi dar tera hai

sab mil jai jai kaar kare maiya tere dwaar khade
daati tere dwaar khade
sab di jholi nu bhare wahi dar tera hai

Meri maata gagan mein jaaye rahi 




Lyrics -

Meri maata gagan mein jaayo rahi
jaayo rahi ji dhayo rahi

trikut mahal par chadh kar dekho jagmag jyoti jagayo rahi
baadal garje amrit barse bijli chamak man bhaayo rahi
dasme mahal pe sez maiya chun chun phool sajayo rahi

Maa bagyo sherawali 




Lyrics -

mujhme jap tap na saadhan aur nahi kachhu gyan hai
nirlajjata hai ek baaki aur maiya mujhe abhi maan hai
paap bhojhe se ladi naiya bhanwar mein jaa rahi
maata daudo ab bachao jald doobi ja rahi

Maa bagya sherawaliye mera sahara tu hai
mera sahara tu hai ambe mera sahara tu hai
lo tanu laga sahare mera sahara tu hai

parvat vasa tera main palla parya tera
mainu charne aan laga le mera sahara tu hai

dar tere main aaya hath jod ke sheesh jhukaya
mainu apna baal bana le mera sahara tu hai

meri naiya dole aur khati hai hichkole
mohe bhav to paar laga le mera sahara tu hai

Namaskaar hai 




Lyrics -

Likha kya bhagya mein teri dilkas nahi dekhi woh tehrirein
maa kripa jispe kar deti badal deti hai taqdeerein

namaskaar hai maa namaskaar
tujhe maa karoron namaskaar hai

tu maa ban ke kart hume pyar hai
tu jagdamba ban bharti bhandaar hai
daya se maa teri yeh sansaar hai

tu bhakton ki kirti aur satkaar hai
tu vishnu ki maaya tu sansaar hai
tu hi apne daason ki rakhwaar hai

tu hi naina devi hai maat jawala
tu hi chintapurni maiya devbaala
tu vaishnuroop avataar hai

hai be antroop kayi naam hai
tera naam japte subah shaam hai
tu har jagah maa madadgaar hai

Hum aaye sharan tumhari 




Lyrics -


Maa yadi ap bhi mujhe chhod dengi phir kahan jaunga main

bhavsagar se naav kaise par paar kar paaunga  main
sab jagah bhatak maine ab li hai sharan aap ki
paar karna ya na karna yeh marzi hai aap ki

hum aaye sharan tihari hai
thukra na kahin humko dena
maiya aap daya ki sagar ho
apraadh kshama sab kar dena

hai paas na mere bal buddhi tap
aur gyan nahi man ki shuddhi
maiya aake jyoti jaga dena
gyan ki jyoti jaga dena
apraadh kshma sab kar dena


main bhatak raha hoon idhar udhar

kuchh pata nahi ab jaun kidhar
maiya aakar maarg dikha dena
apraadh kshama sab kar dena

dhan dhaam nahi kuchh apna
main dekh raha hoon jyu sapna
maiya aakar mujhe jaga dena
apradha kshama sab kar dena

main laga doobane jahan kahi
ho koyi bhi apna wahan nahi
maiya aakar mujhe bacha lena
apradha kshama sab kar dena