Wednesday, 17 July 2013

BHAKTIMALA

Bhaktimala by Vani Jairam 




1.Daras bin dukhan lage nain


Lyrics -

daras bin dukhan laage nain ..
jab se tum bichde prabhu mose
kabahun na aayo chain

sabad sunat meri chatiya kanpe
meethe lage bain
birah ka thah kasu kahoon sajani
beh gaye karvat nain

kal na padat pag hari mag jovat
bhayi chama si rain
meera ke prabhu kabre miloge
dukh metan sukh den

2.Man murakh janam gavayon

Listen to man murakh


Lyrics-

Man murakh  janam ganvayo 
kar abhiman vishaya so rachyo 
naam sharan nahi aayo 

yah sansaar phool sembal ko 
sundar dekhi lubhayo 
chakhan lagyo ud gayi rui 
haanth kachhu nahi aayo 

kahan bhayo ab yeh man soche
 pahle nahi kamayo 
surdas hari naam bhajan bin 
sir dhuni dhuni pachhitayo

3.Man re parasi hari ke charan


Lyrics-

Man re parasi hari ke charan
Subhag sheetal kamal komal 
trividh jwala haran 
Jin charan dhruva atal kinhi rakh apni shran
Jin charan brahmand bhedyo nakh shikha sir dharan
Jin charan prabhu parasi linhe kari gautam karan
Jin charan fani naag nathyo gop leela karan
Jin charan gobardhan dharyo garv madhawa haran 
Dasi meera lal giridhar agam taaran taran 


4.Main to tera hi naam pukarungi

Listen to main to tera hi naam

Lyrics -

Krishna Krishna Krishna 

Main to tera hi naam pukarungi 
tu meri pukaar sune na sune 

dekha suraj mein chanda mein dekha
dekha tujhe sitaron mein d
dekha nadiya ke paani mein 
lehron aur kinaron mein 
jidhar bhi dekha tujhe hi paya
phir kaise tujhe bisarungi 

dharti mein tu hai ambar mein tu hai 
kan kan mein tu hi samaya hai 
main idhar chalun ya udhar chalun 
tu sath chala ban chhaya hai 
koi ore nahi jahan tu nahi 
main kitni baar niharungi 
tu meri pukar sune na sune ..


5.Meera magan bhayi


Lyrics - 

Meera magan bhai hari ke gun gaaye 
Saanp pitara rana bheja meera hath diyo jaye
Dhanya bhoya jab dekhan lagi Shaligram gayi paye 
Zahar ka pyala rana bheja amrit diya banaye
Dhanya bhoya jab piban lagi ho gayi amar athay 
Suli sez rana ne bheji dijyo meera suvaya 
Sanjh bhai meera sovan lagi mano phool bichhaye
Meera ke prabhu sada sahai rakhe vighan hataye 
Bhajan bhav mein mast dolti giridhar bali bali jaye 

0 comments:

Post a Comment