Saturday 6 July 2013

Bhajans By Ustad Rashid Khan

Bhajans by Ustad Rashid Khan



Re man paar utar ab jaiyo 


Lyrics-

re man paar utar ab jaiho
shraddha ke naav mein baith
bhakti ki patwaar chale

hai vishwas nadi ki dhaar
sahi disha mein paal khule

man chit saral brahma sadhana
puni tab brahma ko paiho
das narayana nirgun gun ke
ektara sang jaiho

sadho param dharam sukhdayi 


Lyrics -


Sadho param dharam sukhdayi

sancha dharam bhed na jaani, sabhi gale lagayi
param dharam hi bharam mitave ,sab jeev jagatesh jaani
roz roz jhagda sagada kar bahar nahi lugai
das narayana dharam woh jhootha
mukh man kare burai

Kabira kabahun bhed na khole


Lyrics -

Kabira kabahun  bhed na khole

jekar jiyara prem basat hai
saras vachan hi bole
pyaas lage par jo paros le
ish hirdaya mein hole
dukhiya ke ansu peele we
darad saban ka jo le le
das narayana as manusya ko
sai god mein le le

Kaahe badariya rimjhim barse


Lyrics - 

Kaahen badariya rimjhim barse
dharti nadiya dono pyase
kaahen saavan ko tarse
kaahen badariya rimjhim ...

chahe milan ki pyas bujhe jab
lagan lage re us dar se
kare ibadat pooja dhyan sab
sab teerath re sab gharse
das narayana brahma milan ke
lagan lagi hai re man se

Sai bina darad kareje hoyi


Lyrics -

Sai bina darad kareje hoyi
din nahi chain raat nahi nindira
kahe kahu dukh hoyi

adhi ratiya pichhle paharwan
sai bina taras rahe hoyi
kahat kabir suno bhai sadho
sai mile sukh hoyi

Jai sharda bhawani 



Lyrics -

Jaya sharda bhawani bharti 
vidya dani maha vakya vani devi dhyaven   
sur nar muni mani 
devi ko tribhuban jani jo 
jaki man iccha soyi udaape 
mangal budh dani gyan ko nidani 
veena pustak dharni pratham devi dhyaven 
tansen teri astuti gaayo 
sapt sur teen gyan raag rang 
lai aksar aave

Karoon bharosa 



Lyrics -

Karoon bharosa sada shyam ka
ek bharosa shyam naam ka

jab dukhiyara man ho jaaye
shyam naam hi dukh bisaraye
ek mantra bas ye kaam ka  
bas ek matra yahi kaam ka

ant kaal jab jee utlaye
shyam naam jo mukh jaaye
das narayana shyam dham ka

Paalna jhoole 


Lyrics -

Palna jhoole nandlal 
resham dori chandan palna 
kajal teeka bhal 
jo sukh jasomati pal pal paave 
durlabh rishi muni ka
das narayana bali bali jave 
dekh chhavi brijbaal 

Shree radhey govind hari


Lyrics-

Shree radhey govind hari 
sang mero man lagyo 
taj ke moh maya hari man bhaya
hari ki bhakti amol

jhooti jag ki preet 
dukh mein na koi meet
prabhu mein hai anand 
sab jag tyago 

ant samaya jab hoye
jaaye na sang koyi
das narayana hari charna
puni vakyo jayo 

Shyam naam paawan  


Lyrics -

Shyam naam pawan jas ganga 
jab dukhiyara man ho jaave 
shyam ka chintan man ko bhave 
dhyan karoon man rahe umanga
charan kamal pe sheesh nawaun
sham ki mahima har pal gaun 
Das Narayana taje kusanga 
shyam naam paawan yash ganga 
tan man ke peeda har jaave
sukh sampati ghar ghar aave





0 comments:

Post a Comment