Monday 19 December 2011

Golden hindi bhajans

Golden Bhajans by Hari Om Sharan ji







Maili chadar odh ke kaise

Listen to maili chadar odh ke kaise

Lyrics -

Maili Chaadar Odhke Kaise
Dwaar Tumhaare Aaoon
Hey Paavan Parameshwara Mere
Man Hi Man Sharmaaoon

Tune Mujhko Jag Me Bhejaa
Nirmal Dekar Kaayaa
Aakar Is Sansaar Maine
Isko Daag Lagaaya
Janam Janam Ki Maili Chaadar
Kaise Daag Chudaaoon

Nirmal Vaani Paakar Tujhse
Naam Na Teraa Gaayaa
Nain Moondhkar He Parameshwar
Kabhi Naa Tujhko Dhyaayaa
Man Veena Ki Taaren Tooti
Ab Kyaa Geeth Sunaaoon

In Pairon Se Chal Kar Tere
Mandir Kabhi Na Aayaa
Jahaan Jahaan Ho Poojaa Teri
Kabhi Naa Sees Jhukaayaa
Hey Harihar Main Haar Ke Aayaa
Ab Kyaa Haar Chadhaaoon


Tera Ram ji karenge beda paar

Listen to tera ram ji karenge beda paar

lyrics-

Tera Ram ji karenge beda paar
udasi man kahe ko dare

Naiya teri ram hawale
Lehar Lehar Hari aap sambhale
Hari aap hi uthave tera bhar
udasi man kahe ko dare

Kabu mein majhdhar usi ke
Hanthon mein patwaar usi ke
Teri haar bhi rahi hai teri baat
udsi man kahe ko dare

Sahaj kinara mil jaayega
Param sahara mil jaayega
Dori saup ke tu dekh le ek baar
Udasi man kahe ko dare

Ab na bani to phir na banegi


lyrics-

Ab na bani to phir na banegi
Nar tan baar baar nahi milta

Heera sa janam kyun birtha gawayo
Na satsang kiyo hari gun gaayo
JAnani teri tujhe phir na janegi
Nar tan baar baar nahi milta

Tere jawani bharma bhulani
Guru pita maat ki baat na mani
Naiya kaho kaise paar lagegi
Nar tan baar baar nahi milta

Oh prani teri kaya mati
Dharni sirat hai patang kyu kati
mati mein mati mil ke rahegi
Nar tan baar baar nahi milta


Ye garv bhara mastak mera

Listen to yeh garv bhara mastak mera

Lyrics-

Yeh garv bhara mastak mera
prabhu chran dhuli par jhukne do
ahankar vikar haro man ka
Niz naam ki mala japne do

Ye Garv Bhara, Mastak Mera
Prabhu Charan Dhool Tak, Jhuk Ne Do
Ahankar Vikar, Bhare Man Ko
Nij Naam Ki Mala, Japne Do
Ye Garv Bhara...


Mai Man Ke Mail Ko, Dho Na Saka
Ye Jeevan Tera, Ho Na Saka
Aa Ho Na Saka, Mai Premi Houn
Itna Na Jhuka
Girbhi Jo Padoun Tho, Uthne Do
Ye Garv Bhara...


Main Gyaan Ki Baton Me, Khoya
Aur, Karm Hina Bankar Soya
Jab Ankh Khuli, To Man Roya
Jab Soye Mujh Ko, Jagne Do
Ye Garv Bhara...


Jaisa Houn Mai, Khota Ya Khara,
Nirdosh Sharan Me, Aa To Gaya
Aa, Aa To Gaya
Ik Bar Ye, Kehade Khali Ja
Ye Preet Ki Reet, Jhalak Ne De
Ye Garv Bhara...

Prabhu teri raza mein hai meri raza

Listen to prabhu teri raza mein hai meri raza

Lyrics-


Neend se ab jaag bande

Listen to neend se ab jaag bande

Lyrics-

Neend nishani maut ki , uth kabira jaag
Aur rasayan chadi ke , naam rasayan laag.

neend se ab jaag bande, raam mein abb mann rama
nirguna se laag bande, hai wahi parmaatma
neend se ab jaag bande

ho gayi bhor kab se,
gyaan ka suraj uga
ja rahi har swaas birtha
sai sumiran mein laga
neend se ab jaag bande..

Phir na paayega tu avsar,
kar le apana tu bhala
swapn ke bandhan hai jhuthe
moh se mann ko chhuda
neend se ab jaag bande..

dhaar le satnaam saaki,
bandagi kar le zara
main jo ulate kabira
sai toh sanmukh khada
neend se ab jaag bande..



Govind ke gun ga le

Govind ke gun ga le re o bhole prani
man mein raam rama le re o bhole prani

jeevan ka har pal yun jaaye
nikali swans nahi phir aaye
prabhu ko sheesh jhuka le re o bhole prani

is jag mein sab beh jata hai
prabhu ka hi sab rah jata hai
prem ki jyot jala le re o bhole prani

hari narayana sumiran karle
hoke sharan bhavsagar tar le
bhule man ko mana le re o bhole prani  

jaya bhola bhandari


Lyrics -

jaya bhola bhandari shivhar
jai kailash pati shivshankar sab jag ke hitkari

nis din tera dhyan karen hum simre mantra tumhara
hey shiv shankar mantra jagao hove ghat ujiyara
namami shankar namami shankar kripa karo tripurari

shankh naad se shabd jaga kar swar sangeet banaya
yug yug se ye shrishti naache aisa damaru bajaya
teri yaad bhula ke jag mein dukh paave sansaari

teeno taap haran kar deta yeh trishul tumhara
tera naam jape se jag mein milta mukti dwara
mahadev parbrahma vidhata aayen sharan tihari

Jay jay jay Hanumana Gosai 

Lyrics -

Vegi haro, Hanumana Mahaprabhu
jo kachu sankata hoye hamaro
Kauna sa sankata mora gariba ko
jo tuma se nahi jata hai taro

Jay jay jay Hanumana Gosai
kripa karo, Maharaja

Tana me tumhare shakti viraje mana bhakti se bhina
Jo jana tumhari sharana me aye dukha darada harnina
Hanumata dukha darada harnina
Mahavira Prabhu hama dukhiyana ke
tuma ho gariba nivaja, Hanumata

Rama Lakhana Vaidehi tum par sada rahe harshaye
Hriday chirake Rama Siya ka darshana diya karaye
Do kara jora araja  Hanumanta kahiyo Prabhu se aja  Hanumata

Jap le hari ka naam


Jap le hari ka naam saanjh sakare
antaryami data hare dukh saare

jagat pita ka dhyan na aaya
madmate prani tune janam gavaya
kabhi nahi khole tune antardware

swanson ki tu jap le mala
guru kirpa se hove nihala
bhava saagar se paar utaare

sharan pade bin nishphal jeena
jeevan mein shubh karam na kina
yun hi na prani heera janam ganva re

Jinke hirdaya ram rame 


Jinke hirdaya ram rame unhe kahe ki kami
unko kahe ki kami
jap le ram siya ram bolo ram siya ram

ram ki mahima jo nit gayen unke bhagya hain bhari
ramayana ka paath jo karte unki main balihari
jinke hirdaya ram laganiya aathon yaam lagi
unko kahe ki kami

ram naam tulsi ne gaaya bhav sagar bhaye paara
ram naam jape kabira bhaya ram deedara
ram chunariya odh ke meera joganiya bani
usko kahe ki kami

ram rachaiya saare jag ka sabka jeevan data
wohi bandhu pran atma guru pita aur mata
unki shran mein lago bhaiya unsa koi nahi
phir to kahe ki kami

Jiske sir par haath ho tera 


Jiske sir par haanth ho tera woh kaise dukh paaye
atal bharosa ko tera jag bairi ho jaaye

teri raza mein razi hokar har kaaraj woh karta
jo tu deta khush hokar woh apne aanchal bharta
uthe sabere dhyan mein teri rain bhyi so jaaye

hoke sharan tumhari rehta man ki chinta tyagi
teri kripa prasadi pake man ab hua vairagi
moh maya ke bandhan toote
vandan tera gaaye
saanson ki mala par jaape nirmal naam tihara
bhav saagar ki lehar lehar pe ab tuhi sahara
sharan pade ki rakhsa karne tune haath badhaye

le le tera naam hari 


le le tera naam hari jeevan bita jaaye
sukh de chahe dukh de chahe sabko gale
dor hai tere haath mein bhagwan tu sab karne wala
tu jo chahe ho ga wohi kya hai jor humara
hum hain tere khilone chahe jahan nachaye
chahe rank bana de humko bhiksha ko tarsa de
raajmahal singhasana de de angin sukh barsa de
tere diye roop pehan kar apna dharam nibhaaye
man mein bhaav jage seva ka nirmal karam ho mera
prem preeti se is jeevan ka beete sham savera
sharan tihari ho ke jag mein jeevan sukhi bannaye

Man maila aur tan ko dhoye


Man maila aur tan ko dhoye
phool ko chahe kante boye

kare dikhava bhakti ka tu ujli odhe chadariya
bhitar se man saaf kiya na bahar manje gagariya
parmeshwar nit dwar pe aaya tu bhola raha soye

kabhi na man mandir mein tune prem ki jyot jalayi
sukh paane tu dar dar bhatke janam hua dukhdayi
ab bhi naam sumir le hari ka janam vritha kyu khoye

swanson  ka anmol khajana din din lutata jaye
moti lene aaya tat pe seep se man behlaaye
saancha sukh to paye sharan prabhu ki hoye

Naam ka deep jala le 


Naam ka deep jala le andhera
pal bhar mein mit jaaye
jis jyoti se jag ujiyara
woh hai ishwar pran piyara
usme manwa rama le
satsangat se lau lag jati
man ko bana le prem ki bati
gyan ki jyot jalale andhera pal bhar ....
bhajan se gunje man ka mandir
surat samadhi lag jaye phir
sharan hoye aajma le andhera pal bhar mein ...

Nis din namoon ganapati


Nis din namoon ganapati charan
ganapati charan jag dukh haran

santaap sab man ke haren
mangal sada ganapati karen

man kar raha pratah smaran

baL BUDDHI KE TUM DEVATA
BHAR BHAKTI HIDAYA SEVATA
SHANKAR SUVAN TAARAN TARAN

TUMHARI KRIPA BEANT HAI
DENON PE TU DAYAVANT HAI
HUM AA GAYEN TERI SHARAN 

Prabhu hum pe kripa


Prabhu hum pe kripa karna, Prabhu hum pe daya karna.
Baikunth to yahi hai. Hirday mein raha karna.

Goonjenge raag bankar, veena ki taar banke.
Pragatoge Nath mere, hriday mein Pyar banke.
Har ragini ki dhun par, Swar bankar utha karna.

Nachenge mor bankar, hey Shyam Tere dware.
Ghanshyam chhaye rahna, bankar ke megh kaare.
Amrit ki dhar bankar, pyaason pe daya karna.

Tere viyog mein hum, din raat hain udasi.
Apni sharan mein le lo, hey Nath Braj ke waasi.
Tum so hum shabd bankar, prano mein rama karna.

Ram ji ke naam ne to pathar


Ram ji ke naam ne to pathar bhi taaren
jo na japen ram woh hain kismat ke maare

ram ji ke naam ko shiv ji ne dhyaya
tulsi ne ram ji pe sarvas lutaya
kabira bhajan kar bhaye matware
ram naam amrit hai ram naam chandan
ram naam dev jape sant karen vandan
mahavir ram naam hirdaya mein dharen
ram ram ram japo ram hi dhiyayo
ram naam prem jyot ghar ghar jagaao
unhi ki sharan aa pal na gavaayen

Sai teri yaad


Sai teri yaad maha sukhdai
Ek tuhi rakhwala jag mein,tuhi sada sahai .
Tujhko bhula jag dukhiyara , sumiran bin man mein andhiyara
Hoon charnan sharanaai ..
Sanchi preet tihari data , tere bin sab jhuta nata
Tune kripa barasai …


Shiv Bhola bhandari

Listen to shiv bhola bhandari

Lyrics -

Shiv bhola bhandari hey teri sharan 
sweekaro naman sweekaro naman sweekaro hey mera naman 

damru bajane wala hai deva gauri ka 
bigadi banane wala hai 

Shree radhey govinda

Listen to shree radhey govinda

Lyrics -

shree radhey govinda, man bhaj le hari ka pyara naam hai 
gopala hari ka pyara naam hai, nandlala hari ka pyara naam hai 

mor mukut sir dalban mala kesar tilak lagayre 
vrindaban ki kunj galin mein sabko naach nachaye 

giridhar nagar kehti meera sur ko shyamal bhaya 
tukaram aur naam dev ne vitthal vitthal gaya 

narsi ne kartaal baja ke sanwariya ko rijhaya 
shabari apne hanthon se prabhu ko ber khilaya 

radha shakti bina na koi shyamal darshan paaye 
aaradhan kar radhey radhey kanha bhage aaye 

simran ka ras jisko aaya wo hi jaane man mein
nirakaar sakaar hot re bhagaton ke aangan mein 

shyam salona kunj bihari natwar leela dhari 
antarwasi hare  avinasi lage sharan tihari 

Tere dar ko chhod ke (so beautiful song)

Listen to tere dar ko chhod ke

Lyrics -

ter dar ko chhod ke kis dar jaun main 
sunta meri kaun hai kise sunaun main 

dekh liya jag saara maine tere jaisa meet nahi 
data tere jaisa meet nahi 
tere jaisa sabal sahara teri jaisi preet nahi 
kin shabdon mein aap ki mahima gaun main

mere paap karam hi tujhse preet na karne dete hain 
data preet na karne dete hai 
kabhi jo chahun miloon aapse rok mujhe woh lete hai 
kaise swami aap ke darshan paaun main 

apne path par aap chaloon main mujhme itna gyan nahi 
hoon mati mand nain ka andha bhala bura pehchan nahi 
haanth pakad ke le chalo thokar khaun main  

Tere dware khada aan mili

Listen to tere dware khada

Lyrics -

tere dware khada aan milo mere sai
mere man nein yeh aas lagayi 

lagi lagan meri tum hi so jag ki preet bhulayi
teerath dham anek chhane koi khabar nahi payi 

man mandir mein aan birajo bhagati sej bichhayi
bin darshan yh bujh na jaaye prem ki jyot jalayi

aaradhan mera sweekaro lelo nij sharnayi 
hey karunamaya kirpa kije dware jholi phailayi

dukhiyon ke dukh harne wale mori sudh bisrai kyun 

tum bin mero kaun hai data sharan pade ka sahayi 

Vinay meri sun lijiye

Listen to vinay meri sun lijiye

Lyrics -

Vinay meri sun lijiye hey hari jagadadhaar 
aaraadhan nis din karoon kar lena sweekaar

Chadar maili manwa maila 

Listen to chadar maili manwa maila

Lyrics -


chadar maili manwa maila, kis vidhi milna hoye 
kaise jaun dwar hari ke, ,jatan batawo koye 

main nahi jaanu puja archa gyan dhyan nahi jaanu
apna apa janu nahi prabhu kaise pehchanu 
pana chahun amrit phal main kante pag pag boye 

maarag hari ka nirmal nirmal pawan hari ka dwara 
sumiran hari ka premal premal pawan shabd vichara
jag maaya virtha is path mein woh pave jo khoye 

meri antar vinati sun lo parmeshwar sukhdayi 
is mithya sansaar mein mera tum bin kaun sahayi
ab to sharan tihari aaya honi hoye so hoye 

Hey parmeshwar vishwavidhata


Hey parmeshwar vishwavidhata
mam vandan sweekaar karo
Hey paripuran brahma hey data
deenan ka udhhaar karo 

hey karunamaya hey sukhkari
sukh shantimaya bhav bhaya hari
tera sumiran man ko bhata
nath kripa ek baar karo

hey sarvagya sahayak swami 
prem puneet hey antaryami
sharan ho tera naam pukarta
ab to daya kartaar karo  

bhet karun kya kuchh nahi mera
tujhe samarpit jeevan tera
rahoon yahi anand manata
hey prabhu pavan pyar varo 

Maalik jage banda sove 

Listen to malik jaage

Lyrics -

Malik jaage banda sove 
aakhir kaise milna hove 

Rakh laaj meri ganapati 


Rakh laaj meri ganapati apni sharan mein lijiye
kar aaj mangal ganapati apni kripa ab kijiye

sidhhi vinayak dukh haran santaap hari sukh karan
karun prarthana main nit prati vardaan mangal dijiye 

teri daya teri kripa hey nath hum maange sada
tere dhyan mein khoye mati parnaam mam ab lijiye

karte pratham tav vandana tera naam hai dukh bhanjana
karna  prabhu meri subh gati ab to sharan mein lijiye

Ram sumir ke reham


Ram sumir ke reham kare na phir kaise sukh payega
kriishna sumir ke karam kare na yunhi jag se jaayega

Oh bhagwaan ko bhajne wale kya bhagwaan ko jana hai
paas pados dukhi deenon mein kya usko pehchana hai
jab tak teri khudi na toote khuda nazar na aayega

yeh sansaar hai karam ki kheti jo boye wohi paave
prem pyar se seench le jeevan yeh awasar phir na aaye
char dino ka jeevan hai yeh kab tak thokar khayega

andar tere antaryami roz tujhko samjhata hai
bhala bura kya karna tujhko rah tujhe dikhlata hai
man ki kahi pe chalne wale phir phichhe pachhtayega

sharan gaye bin jaap hai nishphal nishphal hai jeevan tera
janam maran ki saadh na choote rahe dukhon se nit ghera
paap gathariya bhari hogayi kab tak bojh uthayega

Toote na preet tihari data


Toote na preet tihari data

jab se tumse neh lagaya man ne apna aap bhulaya
tan mein man mein in saanson mein tu hi krishna murari 

mere man mandir mein aana aake nath nahi phir jaana 
yugan yugan ka nata hai ye tu data main bhikhari

main hoon jeevar tu hai jeevan tu hai moti main hoo bandhan
apni sharan mein leke vipdayen sab taari

Data ek ram


Data ek ram bhikhari saari duniya 
raam ek devata pujari saari duniya 

dware pe uski jaake koi bhi pukarta 
param kripa de apni bhav se ubarta
aise deenanath pe balihari saari duniya

do din ka jeevan prani kar le vichar tu
pyare prabhu ko apne man mein vichar tu
bina hari naam ke dukhiyari saari duniya

naam ka prakaash jab antar jagayega
pyare shreeram ka tu darshan payega


jyoti se uski hai ujiyari sari duniya

Mukund maadhav govind bol

Listen to Mukund madhav govind bol

Lyrics-

Mukund Maadhava Govind bol
Keshava Maadhava Hari Hari bol
Ram ram bol krishna krishna bol .


Aisa pyar baha de maiya

Listen to aisa pyar baha de maiya





Lyrics-

Ya Devi Sarvabhuteshu Daya Rupen Sansthita
Namastasyaiya namahtasyaiya namo namah

Durga durgati door kar mangal kar sab kaaj
Man mandir ujjwal kar Kripa karke aaj

Aisa pyar baha de maiya
Charanon se lag jaaun main
Sab andhkar mita de maiya
Daras tera lakh paun main

Jag mein aakar jag ko maiya
Ab tak na pehchan saka
Kyu aaya hoon kahan hai jaana
YE bhi na main jaan saka
Tu hai Agam Agochar maiya
Kaho kaise lakh paaun main

Karo kripa Jagdamb bhawani
Main balak naadan hoon
Nahi aaradhan jap tap jaanu
Main avaguna ki khan hoon
De aisa vardaan hey maiya
Sumiran tera gaun main

Main balak tu maiya meri
Nis din teri oat hai
Teri kirpa hi mein teri
Bhitar jo bhi khot hai
Sharan laga lo mujhko maiya
Tujhpe bali bali jaaun main

Janam tera bato hi beet gayo

Listen to janam tera baaton hi beet gayo

Lyrics-

Janam tera bato hi beet gayo
Tune kabahoo na krishna kahyo

Paanch baras ka bhola bhala ab to bees bhayo
Magar pachisi maaya kaaran desh videsh gayo

Tees baras ki jab mati upaji lobh bhaye nit nayo
Maaya jori laakh karori ajahun na tripat bhayo

Vridha bhayo tab aalas upaji cough nit kanth rahyo
Sangati kabahoo na kinhi tune birtha janam gayo


Ram rahima ekai hai re

Listen to Ram Rahima eke hain

Lyrics -

Ram rahima eke hai re kahe karo ladai 
vahiman duniya agam apala teeno lok sahayi 

ved padhante pandit hove satta naam nahi jaana
kahe kabira dhyan bhajan se paaya pad nirvaana

ek hi maati ki sab kaaya oonch neech kou nahi 
ek yahi jyoti bare kabira sab ghat antar mahi 

yah anmolak jeevan satguru sabhi dhyayo
kahe kabira bhagat nisani ek alakh darsao

Durgati haarini durga 

Listen to durgati haarini durga

Lyrics -

Durgati haarini durga ambey teri jai jai kaar ho
bhav bhav taarini bhawani ambey meri namaskaar ho

teri hi abha se jyotir suraj chand sitare hain 
teri hi maa shakti lekar khade hue yeh saare hain 
sukhdayi ho shrishti saari halka dukh ka bhaar ho 

vishwa amba tav shakti to brahmlok par ant hai 
teri mahima ka hey maiya nahi aadi aur ant hai 
janma janma tak hey brahmani charan kamal son pyaar ho 

hey maha devi hey mahakali dushton ka sanhaar karo 
mangal maya vardaan do maiya bhav se beda paar karo
bhaav bhakti mein sharan mein aayen vinati ma sweekaar ho 

Sattanam ka sumiran kar le 



Sai ki nagariya jana hai re bande 


Lyrics-

Meri surati suhagan jaag ri


Lyrics-

Meri surati suhagan jaag ri 
kya tu sove moh  neend uth ke bhajan vich laag ri
anhad shabad suno chit de ke uthat madhur dhun raag ri  
charan sheesh dhar vinati kariyo paayegi achal suhaag ri
kahat kabira suno bhai sadho jagat peeth de bhaag ri 


Are dil gaphil


Lyrics-



Man lago mero yaar phakiri mein 


Lyrics-

Man lago mero yaar fakiri mein 
fakiri mein fakiri mein 

jo sukh paun naam bhajan mein so sukh nahi amiri mein 
bhala bura sabka sun lije kar gujraan garibi mein
prem nagar mein reheni humari bhali ban aayi saburi mein 
haath mein kundi bagal mein sota charon disha jagiri mein 
aakhir yeh tan khaakh milega kaha phirat magroori mein 
kahat kabir suno bhai sadho sahib mile saburi mein  

Chalna hai door musafir 


Lyrics-

Chalna hai door musafir kahe sove re 
kahe sove re musafir sove re 

chet achet nar soch baanware bahut neend mat sove re 
kaam krodh mad lobh mein phans kar umariya kahe khove re 

sir par maaya moh ki gathari sang doot tere hove re 
so gathari tori beech mein chhin gayi moond pakari kaha rove re 

rasta to door kathin hai chalab akela hove re 
sang saath tere koi na chalega kake dagariya jove re 

nadiya gehri naav purani kehi bidhi paar tu hove re 
kahe kabir suno bhai sadho byaaj dho ke mool mat khove 

Man na rangaye jogi kapda rangaye


Lyrics-

Aave na jaave 

First of all I heard this song from my father's mouth .I liked it so much and  asked papa for whom you sing like this .Who is that who does not comes and leaves this world ?Everyone does .I was in tenth standard .I did not know so many things in life .He said no person in this world is like this.Only this suits to the God and so I m singing this for Him only .He explained the meaning .Oh then !I was so much impressed .I thought wow what is the need to make fake friends ,I too should make a friend with the same traits .Though I have lots of friends but when I necessarily need someone ,no one from this world comes to tell me right things but this awesome invincible true friend reaches me and tells me see  this world by being that very fish who have just changed herself in the form of water .How a fisherman can trap you in his net.You are always free ....as I am. :)

Listen to aave na jaave

Lyrics -

mare nahi janme soi nij peev humara ho 
na pratham janani ne janmo na koi sirjanhaara ho 

saadhan siddha muni na tapasi na koi karat aachaara 
na khat darshan char varan mein na ashram vyavahara ho

na trideva sohem shakti nirakaar nirakaar se kaara ho
shabd ateet achal avinashi kshar akshar se nyara ho 

jyoti swaroop niranjan nahi na om onkara ho 
dharni na gagan pawan na paani na ravi chanda taara ho

hai pragat par deeshat nahi satguru sain sahara ho 
kahe kabir sarbahi saheb parkho parkhanhaara ho



Humare guru mile brahma gyani 


Lyrics-

Humare guru mile brahmagyani  paayi amar nishani 

kaag palat guru hansa kinhe dinhi naam nishani 
hansa pahunche sukh sagar tar mukti bhare jaha pani 

jal bich kumbh kumbh vich jal hai bahar bhitar paani 
bikasyo kumbh jal jal hi samana yah gati birle hai gyani 

hai athaah thaah santan mein dariya leher samani 
                                  gheevar jaal daal kya karihe jab meen peeghal bhaye paani 

anubhav ka gyan ujalata ki vaani so hai akath kahani 
kahe kabir gunge ki sain  jin jaani un maani 


Kabira soya kya kare 

Kabira soya kya kare (a descent knowledge!!)

Lyrics-



Janam tera bato hi beet gayo 


Janam tera bato hi beet gayo

Lyrics-

Hum ka odhave chadariya


Hum ka odhave chadariya

Lyrics-

Taj diye pran re 


Taj diye pran re

Lyrics-

Ghoonghat ke pat khol


Ram Rahim Raam Raam

Listen to Ram Rahim Ram Ram


Lyrics -

Shyam kaho sai kaho rahiman kaho ya ram
 sab mein uski jyot hai angin uske naam

ram rahim ram ram krishna sai shyam  

rahiman reham karew sada ram de araam 
shyam sanware kaaj sab sharan hove jab naam 

dharan kare so dharam hai ghat ghat raha samaye
mandir mein mohan basa masjid mein muskaye 

woh malik to ek hai jisne racha jahan 
muslim to sizda karen hindu dharte dhyan 

kyun nahi hum sab pyar se jeevan leve gujar 
ek pita sabka wohi duniya hai parivaar 


Tere naam ka sumiran kar ke

Listen to tere naam ka sumiran kar ke

Lyrics -

tere naam ka sumiran kar ke mere man mein sukh bhar aaya 
teri daya ko maine paaya teri kripa ko maine paaya

duniya ki thokar khakar jab hua kabhi besahara 
na paakar apna koi jab maine tujhe pukara 
hey nath mere sir upar tune amrit barsaya 
teri kripa ko maine paya

 Tu sang mein tha nit mere, yeh naina dekh na paaye.
Chanchal maya ke rang mein yeh naina rahe uljhaye.
Jitni bhi baar gira hoon, tune pal-pal mujhe uthaya.
teri kripa ko maine paaya

Bhav-saagar ki leharon mein bhatkai meri naiya.
Tat chhuna bhi mushkil tha nahin dikhe koi khiwaiya
tune lehar ka roop pehankar meri naav kinare lagaya
Teri kripa ko maine paya  teri daya ko maine paya. 

Har taraf tumhi ho mere  har taraf tera ujiyara.
Nirlap ramaiya mere  har roop tumhi ne dhara.
Teri sharan mein aake data  maine jeevan apna sanwara

Teri kripa ko maine paya, teri daya ko maine paya.


Vinay meri sun lijiye

Listen to vinay meri sun lijiye

Lyrics -

vinay meri sun lijiye hey prabhu jagadadhar 
aaradhan nis din karoon kar lena sweekaar


Aaradhey man shyam radhey


Lyrics -

Aaradhey man shyam radhey 
hari shyam radhey 
shyam radhey hari shyam radhey 

amritmaya hari naam tihara 
deenan ka hari yehi sahara 
nis din sumire radhey radhey 

mohan ki murli baje 
pranan mein yehi naam viraje 
din din bhagati aagadhe 

radha bhakti shyam milave 
aaradhan radha ban jaave 
unki sharan ho dhyan sadhe 

Ab na bani to

Listen to ab na bani to


lyrics-

Ab na bani to phir na banegi
Nar tan baar baar nahi milta

Heera sa janam kyun birtha gawayo
Na satsang kiyo hari gun gaayo
JAnani teri tujhe phir na janegi
Nar tan baar baar nahi milta

Tere jawani bharma bhulani
Guru pita maat ki baat na mani
Naiya kaho kaise paar lagegi
Nar tan baar baar nahi milta

Oh prani teri kaya mati
Dharni sirat hai patang kyu kati
mati mein mati mil ke rahegi
Nar tan baar baar nahi milta

Govind jai jai

Listen to Govind jai jai

Lyrics - 

Govind jai jai gopal jai jai 
radha ram hari govind jai jai 

brahma ki jai jai vishnu ki jai jai 
umapati shiv shankar ki jai jai 

radha ki jai jai rukmini ki jai jai 
mor mukut bansi wale ki jai jai 

ganga ki jai jai yamuna ki jai jai 
saraswati triveni ki jai jai 

ram ki jai jai shyam ki jai jai 
dashrath kunwar charon bhaiyon ki jai jai 

krishna ki jai jai laxmi ki jai jaia 
krishna baldev dono bhaiyon ki jai jai 

Jai jai hanuman gosai

Listen to jai jai jai Hanuman gosai

Lyrics - 

Jai shree hanuman 

jai jai jai bajran bali 
mahaveer hanuman gosain tumhari yaad bhali 

sadhu sant ke hanumat pyare 
bhakt hridaya shree ram dularey
ram rasayan paas tumhare 
sada raho tum ram duware 
tumhari kripa se hanumat beera 
sabri vipat tari 

tumhari sharan maha sukhdayi 
jai jai jai hanuman gosain
umhari mahima tulsi gaayi 
jag janani sita mahamayi 
shiv shakti ki tumhare hirdaya
 jyot mahan jali 


Lyrics-

Mukund Maadhava Govind bol
Keshava Maadhava Hari Hari bol
Ram ram bol krishna krishna bol .

Na yeh tera

Listen to na yeh tera na yeh mera 

Lyrics -

Na ye tera na ye mera mandir hai bhagwan ka 
paani uska bhumi usi ki, sab kuchh usi mahan ka 

hum sab khel khilone uske khel raha kartaar re 
uski jyoti sab mein damke sab mein uska pyar re 
man mandir mein darshan kar le un pranon ke pran ka 
pani uka bhumi usi ki ..

teerath jaaye mandir jaaye angin roop manaye re 
deen roop mein ram samne dekh ke nayan phiraye re
man ki aankhen khul jayen to kya krna hume gyan ka 
pani uska bhumi usi ki ..

kaun hai uncha kaun hai neecha sab hain ek saman re 
prem ki jyot jaga hirdaya mein sab mein prabhu pehchan re 
saral hridaya ko sharan mein rakhe hari bhole nadaan ka 
pani uska bhumi usi ki ....

Nis din namo ganapati



Nis din namoon ganapati charan
ganapati charan jag dukh haran

santaap sab man ke haren
mangal sada ganapati karen

man kar raha pratah smaran

baL BUDDHI KE TUM DEVATA
BHAR BHAKTI HIDAYA SEVATA
SHANKAR SUVAN TAARAN TARAN

TUMHARI KRIPA BEANT HAI
DENON PE TU DAYAVANT HAI


HUM AA GAYEN TERI SHARAN 

Tera Ram ji karenge beda paar

lyrics-

Tera Ram ji karenge beda paar
udasi man kahe ko dare

Naiya teri ram hawale
Lehar Lehar Hari aap sambhale
Hari aap hi uthave tera bhar
udasi man kahe ko dare

Kabu mein majhdhar usi ke
Hanthon mein patwaar usi ke
Teri haar bhi rahi hai teri baat
udsi man kahe ko dare

Sahaj kinara mil jaayega
Param sahara mil jaayega
Dori saup ke tu dekh le ek baar
Udasi man kahe ko dare






0 comments:

Post a Comment