Bolo Sanchedarbar Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Ram
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Banke Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Kaha Par Nahi Hai
Aankh Walo Ne Tumko Hai Dekha
Kaan Walo Ne Tumko Suna Hai
Tera Darshan Usi Ko Hua Hai
Jiski Aankho Mein Parda Nahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Kaha Par Nahi Hai
Dwarika Deesh Ki Jai Ho
Banke Bihari Lal Ki Jai Ho
Log Peete Hai Pee Pee Ke Girte
Hum Peete Hai Girte Nahi Hai
Hum Peete Hai Satsang Ka Pyala
Yeh Angoori Madira Nahi Hai
Ye Nasha Jaldi Chadta Nahi Hai
Chad Jaye Utarata Nahi Hai
Log Jeete Hai Duniya Ke Dar Se
Hume Duniya Ki Parwah Nahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Kaha Par Nahi Hai
Subah Shaam Maine Tujhko Pukara
Subah Shaam Maine Tumko Pukara
Tere Naam Ka Leke Sahara
Tere Bhakto Ne Jab Bhi Pukara
Tere Aane Mein Deri Nahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Radha Ki Kirpa
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Kisi Desh Mein Ho
Chahe Kisi Vesh Mein Ho
Chahe Kisi Parivesh Mein Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Kisi Rang Mein Ho
Chahe Kisi Dhang Mein Ho
Chahe Kisi Terang Mein Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Vo Ghar Mein Ho
Chahe Vo Ban Mein Ho
Chahe Kisi Uljhan Mein Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Amir Ho
Chahe Garib Ho
Chahe Bigadi Taqdeer Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Vo Dukhi Ho
Chahe Vo Sukhi Ho
Chahe Jeevan Mushkil Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Vo Dhyani Ho
Chahe Vo Gyani Ho
Chahe Vo Agyani Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Radhe
Bharosa Kar Le Bhagwan Ka
Bharosa Kar Le Bhagwan Ka Tujhe Dokha Nahi Hoga
Ye Jeevan Beet Jayega Tujhe Rona Nahi Hoga
Kabhi Sukh Hai Kabhi Dukh Hai Ye Jeevan Dhoop Hai Chhaya
Naa Kar Abhiman Tu Dhan Ka Ye Pal Do Pal Ki Maya Hai
Jo Sukh Aaye To Hans Lena Jo Dukh Aaye To Sah Lena
Sunana Aur Kisi Ko Naa Guruji Ko Suna Dena
Naa Kar Abhimaan Tu Dhan Ka Naa Tere Saath Jayega
Naa Jayega Ye Rath Haathi Naam Ek Saath Jayega
Ye Bachpan Khel Mein Khoya Jawani Neend Mein Soya
Budapa Dekhar Roya Prabhu Ab Aasra Tera
Mero Kanha Gulab Ka Phool
Mero Kanha Gulab Ka Phool Kishori Meri Kusum Kali
Kanha Mero Nandju Ko Chhona Shri Radhe Vrishubhan Lali
Banke Bihari Lal Ki Jai Ho
Radha Rani Sarkar Ki Jai Ho
Kanha Mange Makhan Lona Radhe Bhave Mishri Ki Dali
Kanha Khele Nandju Ke Angna Radhe Kehle Rangeeli Gali
Brajnidhi Darshan Ki Pyasi Voto Bhatkat Gali Gali
Mohe Bhave Bihariji Ko Naam Chalori Sakhi Darshan Ko
Teri Sharan Pada Hu
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Jo Deekhta Jagat Mein Khata Hai Kaal Sabko
Wah Kaal Unse Darte Jispe Teri Mehar Ho
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai
Mai Hu Sada Hi Tera Bin Mol Ka Hu Chera
Kuchh Bhi Karo Karalo Mera Nahi Udar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Vyapak Sabhi Jagat Mein Tuhi Jhalak Raha Hai
Tujhko Naa Koi Jaane Per Sabki Tujhe Khabar Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai
Tera Hi Ansh Hu Mai Haqdaar Tere Darr Ka
Teri Hi God Mein Hu Ab Naa Kisi Ka Darr Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari
Shyam Rang Mein Rang Gayi Radha Bhooli Sudh Budh Sari
Shyam Naam Ki Chunar Odhi Shyam Naam Ki Chudiya
Aang Aang Mein Shyam Samaye Mit Gayi Saari Dooriya
Kaano Mein Kundal Gal Vaijanti Mala Lage Pyari
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari
Baith Kadam Ki Dali Kanhaiya Murali Madhur Bajaye
Sajh Sagare Murali Ke Swar Radha Radha Gaye
Iss Murali Ki Taan Pe Jaye Ye Duniya Balihaari
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari
Radha Ke Mann Mein Rang Gaye Shyam Bihari
Adhar Sudha Ras Murali Raje Kanha Raas Rachaye
Krishna Rachaeya Radha Rachana Prem Sudha Barsaye
Prem Magan Ho Sab Hi Bolo Jai Ho Banke Bihari
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari
Maine Chhod Diya Jag Sara
Maine Chhod Diya Jag Sara Mujhe Mila Na Banshi Wala
Mathura Dhunda Gokul Dhunda Dhunda Vrindawan Sara
Mujhe Mila Na Banshi Wala
Gauo Mein Dhunda Gwalo Mein Dundha Maine Dhunda Madhwan Sara
Mujhe Mila Na Banshi Wala
Kusum Sarovar Chandra Sarovar Maine Dhunda Yamuna Kinara
Mujhe Mila Na Banshi Wala
Mujhe Mil Gaya Preetam Pyara Nithwan Mein Mil Gaya Pyara
Mujhe Mila Na Banshi Wala
Mor Mukut Pitambar Sohe Gal Vaijanti Mala
Mujhe Mila Na Banshi Wala
Vrindavan Mein Jai Radhe Radhe
Yamuna Tat Pe Jai Radhe Radhe
Bansi Vat Pe Jai Radhe Radhe
Godan Gali Mein Jai Radhe Radhe
Maan Gali Mein Jai Radhe Radhe
Kunj Gali Mein Jai Radhe Radhe
Banke Bihari Jai Radhe Radhe
Hamari Pyari Jai Radhe Radhe
Tumhari Pyari Jai Radhe Radhe
Hum Sabki Pyari Jai Radhe Radhe
Pyari Pyari Jai Radhe Radhe
Pran Vallabha Jai Radhe Radhe
Jai Radhe Radhe
Jai Radhe Radhe
Mujhe Mil Gaya Preetam Pyara
Nithwan Mein Mil Gaya Pyara
Maine Chhod Diya Jag Sara
Mujhe Mila Gaya Murali Wala
Mujhe Mila Gaya Banshi Wala
Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Bolo Banke Bihari Lal Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Jai Shri Radhe
Mai To Kahungi Baja Ke Dhol
Mai To Kahungi Baja Ke Dhol Vo Girdhar Mera Hai
Koi Kahe Halka Koi Kahe Bhar Maine Leno Taraju Tol
Koi Kahe Kala Koi Kahe Gora Vo To Mera Chandra Chakor
Vo Girdhar Mera Hai
Koi Kahe Chhota Koi Kahe Mota Vo To Aap Hi Gol Matol
Vo Girdhar Mera Hai
Koi Kahe Mahanga Koi Kahi Sasta Maine Leeno Amolak Mol
Vo Girdhar Mera Hai
Koi Ghar Mein Koi Kahe Van Mein Vo To Radha Sang Kilol
Vo Girdhar Mera Hai
Vrindavan Mein Radhe Radhe
Yamuna Tat Pe Radhe Radhe
Bansi Vat Pe Radhe Radhe
Godan Gali Mein Radhe Radhe
Maan Gali Mein Radhe Radhe
Kunj Gali Mein Radhe Radhe
Banke Bihari Radhe Radhe
Hamari Pyari Radhe Radhe
Tumhari Pyari Radhe Radhe
Hum Sabki Pyari Radhe Radhe
Pyari Pyari Radhe Radhe
Pran Vallabha Radhe Radhe
Mohe Bhaave Bihari Ji Ko Naam
Mohe Bhaave Bihari Ji Ko Naam Chalo Ri Sakhi Darshan Ko
Banki Sundar Murat Bhave Chitwan Chit Mein Jaye Samave
Main To Jaake Padungi Wake Paav chalo Ri Sakhi Darshan Ko
Phoolo Ki Mala Pahnau Thakur Ji Ko Bhog Lagau
Bihari Ji Ko Bhog Lagau Mere Ban Jaye Bigade Kaam
Chalo Ri Sakhi Darshan Ko
Yamuna Bahrahi Taran Tarani Pawan Param Sumangal Karni
Yaki Pooja Se Hove Pooran Kaam Chalo Ri Sakhi Darshan Ko
Ghar Ghar Mandir Hai Vrindavan Darshan Karenge Nange Paav
Mandir Mein Milege Shyama Shyam Chalo Ri Sakhi Darshan Ko
Hari Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Hari Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Prabhu Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Hari Ke Sahare Jiya Karo
Ye Durlabh Manav Tann Tune Bade Bhagya Se Paya Hai
Vishyo Mein Padkarke Tune Heera Janam Gavaya Hai
Naam Usi Kaa Liya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo
Pata Nahi Ye Kab Ruk Jaye Chalte Chalte Swash Teri
Hari Naam Nam Bin Nahi Bujhegi Badti Rahegi Aas Teri
Aanand Amrit Piya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo
Kal Ka Din Kisne Dekha Hai Aaj Ke Din Ko Khoye Kyo
Jin Ghadiyo Mein Hans Sakte Hai Unn Ghadiyo Mein Roye Kyu
Naam Ka Sumiran Kiya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo
Har Prani Se Pyar Karo Har Ek Mein Vahi Samaya Hai
Milkar Rahna Sab Hai Apne Koi Nahi Paraya Hai
Dukh Naa Kisi Ko Diya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo
Radha Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Krishna Ka Sumiran Kiya Karo
Shri Krishna Ka Sumiran Kiya Karo
Bolo Sanchedarbar Ki Jai
Jai Shri Radhe
Jai Shri Krishna
Sacche Na Sahi Jhoote Hi Sahi
Sacche Na Sahi Jhoote Hi Sahi Aakhir Toh Tere Deewane Hain
Pahle To Banaya Tha Apna Fir Mukhda Kaise Mod Liya
Thakur Layak Na Sahi Jahil Hi Sahi Aakhir Toh Tere Deewane Hain
Betab Naa Kar Barbaad Naa Kar Hairaan Naa Kar Apni Rahmat Se
Dana Naa Sahi Nadan Hi Sahi Aakhir Toh Tere Deewane Hain
Mujhe Raas Aa Gaya Hai Tere Dar Pe Sar Jhukana
Tujhe Mil Gayi Pujaarin Mujhe Mil Gaya Thikaana
Mujhe Kaun Janta Tha Teri Bandagi Se Pahale
Teri Yaad Ne Bana Di Meri Jindagai Fasana
Mujhe Iska Gam Nahi Hai Ki Badal Gaya Jamana
Meri Jindagi ke Malik Kahi Tum Badal Naa Jana
Yah Sar Vo Sar Nahi Hai Jise Rakh Du Phir Uthalu
Jab Chad Gaya Charan Me Aata Nahi Uthana
Mujhe Tumne Data
Mujhe Tumne Data Bahut Kuchh Diya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya
Naa Milti Agar Dee Hue Daat Teri
To Kya Thi Zamane Me Aukat Meri
Tumhi Ne To Jeene Kabhil Kiya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya
Mujhe Hai Sahara Teri Bangi Kaa
Hai Jisper Gujara Meri Jindgi Kaa
Mila Mujhko Jo Kuchh Tumhi Se Mila Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya
Kiya Kuchh Naa Maine Saram Saar Hu Mai
Teri Rahmato Ka Talabgaar Hu Mai
Diya Kuchh Nahi Bus Liya Hi Liya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya
Mila Mujhko Jo Kuchh Badulat Tumhari
Mera Kuchh Nahi Sab Hai Daulat Tumhari
Usse Kya Kami Jo Tera Ho Liya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya
Mera Hi Nahi Tu Sabhi Ka Hai Data
Tu Hi Sabko Deta Tu Hi Hai Dilata
Tera Hi Diya Hi Maine Khaya Piya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya
Anupam Sundara Nanda Kishora Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Chhora Mann Mohan Ghanshyam
Murli Madhav Radhe Govinda Madhusudan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Lala Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Chhora Mann Mohan Ghanshyam
Banke Bihari Sneh Bihari Kamal Nayan Abhiram
Anupam Sundara Nanda Ko Dhota Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Kanha Mann Mohan Ghanshyam
Kunj Bihari Bhakt Hitkari Natwar Sundar Shyam
Anupam Sundara Nanda Ko Dhota Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Kanha Mann Mohan Ghanshyam
Kunj Bihari Bhakt Hitkari Natwar Sundar Shyam
Anupam Sundara Nanda Kishora Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Chhora Mann Mohan Ghanshyam
Murli Madhav Radhe Govinda Madhusudan Ghanshyam
Zari Ki Pagdi Bandhe
Zari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankho Wala
Kitna Sundar Lage Bihari Kitna Laage Pyara
Kano Me Kundal Saaje Sir More Mukut Viraje
Sakhiya Pagali Hove Jab Jab Hotho Banshi Baje
Hai Chanda ye Sanwara Taare Hai Gwal Bala
Kitna Sundar Lage ..
Lat Ghunghare Baal Tere Kale Kale Baal
Sundar Syam Salona Teri Tedi Medi Chal
Hawa Me Sar Sar Karata Tera Pitammber Matwala
Kitna Sundar Lage ..
Mukh Pe Makhan Malta Tu Bal Ghutne Ke Chalta
Dekh Yashoda Ke Bhaag Ko Devo Ka Man Jalta
Mathe Pe Tilak Sohe Aankho Me Kajal Dara
Kitna Sundar Lage ..
Tu Jab Banshi Bajaye Tab More Bhi Naach Dikhaye
Yamuna Me Lahare Uthati Aur Koyal Bhi Ku Ku Gaye
Haath Me Kangan Pahne Aur Gal Vaijanti Mala
Kitna Sundar Lage ..
Teeno Lokan Se Nayari O Radha Rani Hamari
Sankadik Tero Yash Gave Brahma Vishnu Aarati Utaare
Dekho Indra Lagavye Buhaari O Radha Rani Hamari
Sarveshwari Jagat Kalyani Braj Ki Malik Radha Rani
Yaha Koi Naa Rahta Bhikhari O Radha Rani Hamari
Ek Baar Jo Bole Radha Kat Jaye Jeevan Ki Badha
Ha Kripa karo Maharani Kripa karo Maharani
O Radha Rani Hamari
Hari Bol Hari Bol
Hari Bol Hari Bol
Jai Jai Radha Raman Hari Bol
Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Brahma Bhi Bole Radhe Vishnu Bhi Bole Radhe
Shankar Ke Damroo Se Awaz Aave Radhe Radhe
Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Ganga Bhi Bole Radhe Yamuna Bhi Bole Radhe
Saryoo Ki Dhaar Se Awaz Aave Radhe Radhe
Chanda Bhi Bole Radhe Suraj Bhi Bole Radhe
Taaro Ke Mandal Se Awaz Aave Radhe Radhe
Gaeya Bhi Bole Radhe Bachhada Bhi Bole Radhe
Dhoodh Ki Dhaar Se Awaz Aave Radhe Radhe
Gopi Bhi Bole Radhe Gwale Bhi Bole Radhe
Braj Ki Sab Galiyo Se Awaz Aave Radhe Radhe
Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Shayam Teri Bansi Baje
Shayam Teri Bansi Baje Dheere Dheere
Baje Dheere Dheere Shri Yamuna ji Ke Teere
Itt Mein MannSukh Utt Mein Dhan Sukh
Beech Mein Kanhaiya Chale Dheere Dheere
Itt Mein Lalita Utt Mein Vishakha
Beech Mein Radhe Chale Dheere Dheere
Itt Mein Mathura Utt Mein Gokul
Beech Mein Yamuna Bahe Dheere Dheere
Lala Teri Murali Haule Haule
Shayam Teri Bansi Baje Dheere Dheere
Chhoti Choti Gaiyan
Chhoti Choti Gaiyan Chhote Chhote Gwal
Chhoto So Mero Madan Gopal
Aage Aage Gayian Pichhe Pichhe Gwal
Beech Mein Mero Madan Gopal
Kaari Kaari Gaiyan Gore Gore Gwal
Shyam Varan Mero Madan Gopal
Ghaas Kaave Gaiyan Doodh Peeve Gwaal
Maakhan Khaave Mero Madan Gopal
Chhoti Chhoti Lakooti Chhote Chhote Haath
Bansi Bajaave Mero Madan Gopal
Chhoti chhoti Sakhiya Madhuban Baag
Raas Rachave Mero Madan Gopal
Tera Pal Pal Bita Jaye Re Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Om Namah Shivaye Om Namah Shivaye Om Namah Shivaye
Shiv Shiv Tum Harday Se Bolo Mann Mandir Ka Parda Kholo
Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Ye Duniya Panchhi Ka Mela Samjho Udd Jana Hai Akela
Tan Mann Saath Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Mushafiri Jab Poori Hogi Chalne Ki Majboori Hogi
Pinjara Pran Rah Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Shiv Poojan Me Mast Bane Ja Bhakti Sudha Raspaan Kiye Ja
Darshan Vishvanaath Ke Paye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Pal Pal Bita Jaye Re Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Radhe Radhe Gaate Rahana
Radhe Radhe Radhe Radhe
Radhe Radhe Gaate Rahana
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna
Vrindaban Aake Tere Bhaag Khul Jayenge
Yamuna Naha Ke Saare Pap Dhul Jayenge
Baar Baar Yamuna Nahate Rahana
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahana
Chain Bhi Milega Aaram Bhi Milega
Radha Ki Kripa Se Tumhe Shyam Bhi Milenge
Dono Ko Hirdaya Me Basate Rahana
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna
Vrindaban Ek Baar Jo Aajayega
Dil Baar Baar Phir Se Aana Chahega
Vridaban Ki Parikrama Lagate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna
Aaao Jhoom In Galiyo Me
Radhe Radhe Bolo Braj Galiyo Me
Santo Ki Prasadi Bhi Paate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna
Ek Baar Aake Jara Dharshan To Karlo
Bihari Ji Ki Chhavi Ko Aankho Me Bharlo
Charno Me Sheesh Navate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna
Krishna Ka Kahte Hai Radha Raani
Aur Radha Ka Hardya Ye Braj Bhoomi
Braj Raj Sheesh Chadate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna
Aaate Rahan Gaate Rahana
Radhe Radhe Radhe Radhe
Radhe Radhe Radhe Radhe
Zara Chalke Zara Chalke
Zara Chalke Zara Chalke Brindavan Dekho
Zara Hatke Hatke Zamane Se Dekho
Shyam Banshi Bajate Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho
Jhoola Jhool Rahi Hongi Radha Rani
Shyam Jhoola Jhulate Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho ..
Shri Radhe Shri Radhe Shri Radhe
Saath Me Unke Gwal Baal Honge
Shyam Gaue Charate Hue Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho ..
Abhi Rooth Gayi Hongi Radha Rani
Shyam Banshi Bajate Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho ..
Chhiin Liya Mera Bhola Sa Mann
Chhiin Liya Mera Bhola Sa Mann
Radha Raman Pyaro Radha Raman
Gokul Ka Gwala Braj Ka Basaiya
Sakhiyo Ka Mohan Maa Ka Kanhaiya
Bhakto Ka Jeevan Nirdhan Ka Dhan
Radha Raman Pyaro Radha Raman
Yamuna Ke Jal Me Vahi Shyam Khele
Lahro Me Uchhale Aur Mare Dhanere
Bhichhudan Kabhi Hovye Mohan Milan
Radha Raman Pyaro Radha Raman
Ja Kar Ke Dekha Mandir Ke Andar
Baitha Vahi Baba Vo Shyam Sundar
Kundal Varan Aur Tirchhi Chalan
Radha Raman Pyaro Radha Raman
Ye Bol Bade Anmol O Rasna Radhe Radhe Bol
Radhaji Barsane Wali Radhaji Brij Bhanu Dulari
Do Akshar Adhar Jagat Ke Ye Akshar Anmol
Rasna Radhe Radhe Bol Apni Vani mein Amrit ghol
Radhaji Maha Raas Rachavye Radhaji Nandalal Nachavye
Is Chhawi Ko Basa Kar Nayanan Me Andar Ke Pat Khol
Bin Radha Nahi Saje Bihari Bin Radha Nahi Mile Banwari
Inke Charan Pakade Nadan Bhatke Na Dar Dar
Rasna Radhe Radhe Bol
Dhara To Beh Rahi Hai
Dhara To Beh Rahi Hai Shri Radha Naam Ki
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Soojhe Kuchh Aur Nahi Vrinda Van Dhaam Ke
Soojhe Kuchh Aur Shri Radha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Dhara To Beh Rahi Hai Shri Radha Naam Ki
Radha Ke Naam Ka Ye Saya Ghana Ghana Hai
Har chhad Hardaya Me Rahti Radha Ki Kalpana Hai
Aaate Nazar Bihari Sang Radha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Ab Bhi Samay Hai Murakh Buddhi Se Kaam Le Le
Tar Jayega Jeewan Ye Jeewan Shri Raadha Naam Le Le
Nashwar Hai Tera Jeewan Bin Raadha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Insaan Bhool Hai To Radha Chhama Daya Hai
Radha Charan Mile To Soni Ki Dhool Kya Hai
Brahama Sar Jhooka De Is Radha Naam Pe
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Vishwash Chahata Hai To Bol Dhara Dhara
Tujh Ko Sunai Dega Khud Radha Radha
Jadoo Alag Juda Hai Radha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai
Pass Mere To Khuchh Bhi Nahi Hai Charno Me Sheesh Jhukana Hai
Jab Se Teri Surat Dekhi Usme Prem Ki Murat Dekhi
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai
Jab Tak Saadhan Kuchh Na Janu Apni Lagan Ko Sab Kuchh Manu
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai
Janam Janam Se Bhooli Tumko Ab Jakar Hu Jaani Tumko
Ab Na Tumhe Bhoolana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai
Daasi Teri Sharan Me Aayi Lagan Milan Ki Mann Me Samai
Prem Ki Bhetein Chadana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai
Pass Mere To Khuchh Bhi Nahi Hai Charno Me Sheesh Jhukana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha
Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai Na Mein Meera Na Mein Radha
Dukh Me Mat Ghabrana Panchi Ye Jag Dukh Ka Mela Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Par Udna Tujhe Akela Hai
Nanhe Komal Pankh Ye Tere Aur Gagan Ki Ye Doori
Baith Gaya To Kaise Hogi Mann Ki Abhilaasha Puri
Uska Naam Amar Hai Jag Me Jisne Sankat Jhela Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Per Udna Tujhe Akela Hai
Chatur Shikari Ne Rakha Hai Jaal Bichha Kar Pag Pag Par
Fas Mat Jaana Bhool Se Pagle Nahi Pachhatayega Jeevan Bhar
Moh Maya Me Tu Mat Fasna Bada Samajh Ka Fera Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Per Udna Tujhe Akela Hai
Jab Tak Suraj Aasman Par Badta Chal Tu Badta Chal
Ghir Jayega Andhar Jab Bada Kathin Hoga Pal Pal
Kise Pata Ki Udd Jane Ki Ajadi Kab Bela Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Per Udna Tujhe Akela Hai
Yeh Toh Prem Ki Baat Udhav Bandagi Tere Bas Ki Nahi Hai
Yaha Sir Deke Hote Hai Saude Aashique Itni Sasti Nahi Hai
Prem Walo Ne Kab Waqut Poohha Unki Pooja Me Sunle E Udhav
Yaha Dum Dum Me Hoti Hai Pooja Sir Jhukane Ki Phursat Nahi Hai
Jo Asal Me Hai Masti Me Dube Unhe Kya Parvaha Jindagi Ki
Jo Utarti Hai Chadti Hai Masti Vo Hakikat Me Masti Nahi Hai
Jiski Nazaro Me Hai Shyam Pyare Vo To Rahte Hai Jag Se Niyare
Jiski Nazaro Me Mohan Samaye Vo Nazar Phir Tarasti Nahi Hai
Ram Naam ke Heere Moti Mai Bikhrau Gali Gali
Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara Shor Machau Gali Gali
Ram Naam ke Here Moti Mai Bikhrau Gali Gali
Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara Shor Machau Gali Gali
Abhi To Jagaya Tujhe Fir So Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya
Agar Bhajan Aatur Karo
Nadi Rukhna Jab Tab Hove Vinash
Abhi To Jagaya Tujhe Fir So Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya
Hum Pardesiyo Ki Yahi Hai Nishani
Aaye Aur Chale Gaye Khatam Kahani
Koi Chala Hanste Hanste Koi Ro Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya
Kya Khabar Dil Ki Lagi Bhi Ho Naa Ho
Dil To Hai Zindadili Bhi Ho Naa Ho
Aaj Hi Ka Din Hai Jo Karna Hai Kar
Kal Naa Jane Jindagi Ho Naa Ho
Jab Tum Jag Mein Aaye The
Sab Hanse Tum Roye
Kabira Aisi karni Kar Chalo
Jo Pachhe Hansi Naa Hoye
Saare Riste Naate Tere Yahi Rah Jayenge
Heere Aur Moti Tere Kaam Nahi Aayenge
Anmol Jeevan Tera Vyarth Kho Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya
Insaan Ke Kandho Per Insaan Jaa Rahe Hai
Kafno Mein Lipte Hue Kuchh Arman Jaa Rahe Hai
Jinko Naa Mila Sukun Iss Bhaagti Duniya Mein
Ab Sukun Ki Talash Mein Shamshan Ja Rahe Hai
Naa Ek Pal Chain Se Baitho Naa Meethi Need So Pau
Miya Iss Muktsar Si Jindgi Mein Kya Chahte Ho
Ab Jaag Mushafir Hosh Mein Aaa
Kuchh Mol Samajh Iss Jeevan Ka
Sir Per Gathari Tere Paap Ki Hai
Pal Pal Per Nagin Santap Ki Hai
Naa Apna Koi Saathi Hai
Aur Lamba Safar Hai Jeevan Ka
Ab Jaag Mushafir Hosh Mein Aaa
Kuchh Mol Samajh Iss Jeevan Ka
Bhav Sagar Ab Sookh Gayo Hai
Fikar Nahi Ab Taranan Ki
Kuchh Mol Samajh Iss Jeevan Ka
Ab Jaag Mushafir Hosh Mein Aaa
Iss Duniya Mein Tera Koi Apna Nahi
Koi Pardesi Yaha Der Tak Ruka Nahi
Vapas Naa Aaya Ek Baar Jo Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya
Sanwariya Tere Liye Tere Liye
Meine Jogan Bhesh Banaya
Tod Diya Maine Jag Se Naata
Tere Siva Ab Kuchh Naa Suhata
Tune Aisa Jadu Chalaya
Hasna To Ona Di Aadat Si
Asi Galat Andaza Laa Baithe
O Haste Haste Vasde Rahe
Asi Apna Aap Luta Baithe
Ye Hai Mere Yaar Ka Jalwa
Ye Hai Mere Dildar Ka Jalwa
Peele Patte Sukhi Sakhe
Khush Rang Sajar Ban Jate Hai
Jab Teri Inayat Hoti Hai
Har Aib Hunar Ban Jaate Hai
Kirdaar Hai Jinka Gangajal
Aur Sab Ki Khidmat Fitrat Hai
Unlogo Ka Dil Dheere Dheere
Khuda Ka Ghar Ban Jaate Hai
Chail Hai Chhaibila Sab Rang Mein Rangeela
Bade Chit Ka Adila Sab Devto Se Nyara Hai
Nandji Ka Pyara Jin Kans Ko Pachhada
Vo Hi Vrindawala Krishna Sahab Hamara Hai
Vrindawan Bihari Lal Ki Jai
Mujhe Chad Gaya Radha Rang Rang
Shri Radha Naam Rang Rang
Aisi Kripa Barsayi Hai
Mujhe Naam Ki Masti Chhayi Hai
Mai Ho Gaya Radha Rani Ka
Vrindavan Ki Maharani Ka
Ab Karo Karo Naa Koi Tang
Mai Chhod Chuka Duniya Saari
Ab Nahi Kisi Se Hai Yaari
Koi Kahta Hai Deewana Hu
Pagal Hu Mai Mastana Hu
Mai Ho Gaya Mast Malang
Ho Shri Radha Naam Ka Rang Rang
Shri Radha Naam Ka Rang Rang
Mujhe Chad Gaya Radha Rang Rang
Vrindawan Makarand Hai Rasik Karat Raspaan
Dulhan Pyari Radhika Dulha Shyam Sujan
Bhakt Vatsal Bhagwan Ki Jai
Vrindawan Bihari Laal Ki Jai
Shri Radhe
Jai Radhe Jai Radhe Jai Radhe
Vrindawan Mein Radhe Radhe
Yamuna Tat Pe Radhe Radhe
Jalandhar Mein Radhe Radhe
Vrindawan Mein Radhe Radhe
Jai Radhe Jai Radhe Jai Radhe
Jai Jai Shri Radhe
Bhoolo Mat Pyare Bihari Ji Ka Naam
Mere Banke Bihari Hai Sab Sukh Dhaam
Jindagi Jabtak Rahegi Fursat Naa Hogi Kaam Se
Kuchh Samaye Aisa Nikalo Prem Karlo Shyam Se
Banke Bihari Ki Jhaki Suhani
Mahima Mahan Jave Naa Bakhani
Dware Pe Pade Hai Dekho Inke Charo Dham
Mere Banke Bihari Hai
Banke Thakur Ki Banki Thakurani
Mukti Bhi Bharti Hai Aakar Ke Paani
Sur Muni Sab Inko Karte Pranaam
Banke Bihari Hai Sab Sukh Dhaam
Mandir Mein Rahti Hai Bheed Badi Bhari
Darshan Ko Aate Hai Lakho Nar Naari
Sevak Hai Inki Duniya Tamam
Mere Banke Bihari Hai Sab Sukh Dhaam
Santan Ke Sang Laag Re Teri Achhi Banegi
Achhi Banegi Teri Bigadi Banegi
Teri Kismat Jagegi Teri Achhi Banegi
Santan Ke Sang Bhakti Badegi
Ram Charan Anurag Re Teri Achhi Banegi
Santan Ke Sang Laag Re Teri Achhi Banegi
Kaga Se Tohe Hans Banave
Mit Jaye Dil Ke Daag Re Teri Achhi Banegi
Moh Ratri Mein Bahut Din Soya
Jaag Sake To Jag Re Teri Achhi Banegi
Kahat Kabir Suno Bhai Sadho
Hoye Tero Bado Bhaag Re Teri Achhi Banegi
Dil Kadya Te Pata
Dil Kadya Te Pata Vi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan
Dil Kadya Te Pata Bhi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan
Chori Chori Ghar Mere Aake
Shyama Makhan Le Gaya Mera Chura Ke
Pyara Makhan Le Gaya Mera Chura Ke
Jado Kadya Te Pata Vi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan
Meethi Meethi Taan Suna Ke
Mora Vanghu Paila Paake
Shyama Mora Vanghu Paila Paake
Dekho Paila Paake
Dil Kadya Te Pata Bhi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan
Mil Jao Ram
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Ram Aur Bharat Mein Chhid Gayi
Bhairav Ek Lagayi
Chaudah Baras Ladenge Dono
Chalo Dekhne Bhayi
Aur Ek Ram Hai Aur Ek Bharat Sheel
Avadh Raj Ko Gend Bana
Dono Ne Thokar Maari
Mere Khulus Ki Gahrayi Se Nahi Milte
Ye Jhute Log Hai Jo Sachchai Se Nahi Milte
Mohabbat Ka Sabak De Rahe Hai Duniya Ko
Per Apne Ghar Mein Sage Bhai Se Nahi Milte
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Sunahu Bharat Hum Jhut Naa Kahihi
Udasin Tapas Ban Rahihi
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Pawan Hetu Patit Pawan Ko
Ho Sawan Jaisi Baras Rahi Ankhiyan
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Bahane Lage Hai Bindu Ansuan Ke
Ho Bhav Ke Ras Mein Saras Bhayi Ankhiyan
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Janam Janam Ki Bhuli Bhatki
Ho Gaya Aaj Ujala Re
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri
Mera Satguru Rangne Wala Ri
Aisa Koi Rangrej Naa Dekha
Tann Mann Sab Rang Dala
Jyo Jyo Dhou Tyo Tyo Chamke
Aisa Rang Nirala
Jisko Milgayi Rang Ki Laali Ho Ho
Wahi Hai Kismat Wala Ri
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri
Sukh Ka Saathi Sab Jagat
Aur Dukh Ka Nahi Koye
Kyoki Dukh Ka Saathi Kewal
Mere Satguru Ho
Yah Rangrej Bada Hi Anokha
Naa Leta Dhan Maya
Jo Baat Dawa Se Ban Naa Saki
Vo Baat Dua Se Hoti Hai
Jab Sachche Sadguru Milte Hai To
Baat Khuda Se Hoti Hai
Yah Rangrej Bada Hi Anokha
Naa Leta Dhan Maya
Soye Bhaag Hamare Jage
Jo Aisa Satguru Paya
Naa Kuchh Lete Sabkuchh De De
Inka Daan Nirala Re
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri
Failao Apne Daman Ko
Bikhar Rahe Hai Moti
Jeevan Safal Banalo Apna
Jale Prem Ki Jyoti
Darr Pe Tere Aaya Bhikhari
Jholiya Bharne Wala Ri
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue
To Gum Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai
Khud Ba Khud Mit Gayi Meri Sabhi Muskile
Takdeer Ke Daano Ko Bikharne Nahi Dete
Ye Jisko Bana Dete Hai Usko Bigadne Nahi Dete
Khud Ba Khud Mit Gayi Meri Sabhi Mushkile
Jabse Vo Jindagi Ke Sahare Hue
To Gam Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue
Dard Hi Ab Hamari Dawa Ban Gaya
Ye Daag Bhi Daulat Hai
Jo Kuchh Bhi Ye Daulat Hai
Vo Teri Hi Badaulat Hai
Pyare Vo Teri Hi Badaulat Hai
Dard Hi Ab Hamari Dawa Ban Gaya
Dard Mein Bhi Unhi Ke Nazare Hue
Gam Jamane Ke Saare Kinaare Hue
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue
Rakhungi Saari Umariya
Rakhungi Saari Umariya
Mere Ghar Aana Sanwariya
Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aaoge To Makhan Khilaungi
Makhan Khilaungi Mishri Khilaungi
Bhog Lagaungi Mishri Khilaungi
Chahe Tu Fode Gagariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aao To Palko Pe Bithaungi
Palko Pe Bithaungi
Naino Mein Chhupaungi
Dekhungi Bhar Ke Nazariya
Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aao To Sundar Sajaungi
Mala Bhi Pahnaugi Phoolo Se Sajaungi
Odan Ko Dungi Kamariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana Sanwariya Tohe Jane Naa Dungi
Aaja Mere Angna Mein Aao Nandlal
Aaja Mere Angna Mein Aao Gopal
Darshan Ki Pyasi Gujariya Re
Darshan Ki Pyasi Tere Nainan Ki Pyasi
Aaja Mere Angna Mein Aao Nandlal
Bolo Makhan Chor Bhagwan Ki Jai
Shri Vrindavan Bihari Lal Ki Jai
Jai Jai Shri Radhe
Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Banke Bihari Lal Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Shyam
Tere Sang Mein Rahenge O Mohana
O Mohana O Sohana
Tum Chand Bano Mai Paani Banu
Mastak Per Milenge O Mohana
Tum Pushpa Bano Mein Dhaga Banu
Mala Mein Milenge O Mohana
O Tum Murali Bano Mein Taan Banu
Adharo Per Milenge O Mohana
O Tum Vakta Bano Mai Shrota Banu
Bhagwat Mein Milenge O Mohana
Main To Japu Sada
Main To Japu Sada Tera Naam Dayalu Daya Karo
Hare Krishna Japo Hare Ram Dayalu Daya Karo
Dwar Khade Hai Bhakt Tumhare
Apni Daya Ke Kholo Dware
Mere Pooran Ho Sab Kaam
Dayalu Daya Karo
Sadhu Sant Ki Sangat Dena
Apne Naam Ki Rangat Dena
Mujhe Das Banalo Ghanshyam
Mere Mann Mein Prem Jaga Do
Mujhko Apna Roop Dikha Do
Mujhe Pahuchado Braj Dhaam
Dayalu Daya Karo
Zindagi Ka Safar
Zindagi Ka Safar Karne Wale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Waqt Ki Dhar Ye Kah Rahi Hai
Kast Kyu Jindagi Sah Rahi Hai
O Dekh Aisi Jagah Tu Khada Hai
Gyan Ganga Jaha Bah Rahi Hai
Badke Ganga Mein Gota Laga Le
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Raat Lambi Hai Gahra Andhera
Kaun Jaane Kaha Ho Savera
Tumhe Har Safar Ka Kinara Milega
Chamakta Hua Har Sitara Milega
Chahre Pe Aayegi Raunak
Jis Din Tumhe Shyam Pyara Milega
Tu Hai Anjan Manzil Ka Raahi
Badte Rahana Hi Hai Kaam Tera
Roshani Se Dagar Jagmaga Le
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Bus Tujhe Hai Akele Hi Chalna
Bahut Mumkin Hai Girna Fisalna
Per Girke Girna Nahi Baat Kuchh Bhi
Baat Muskil Hai Girke Sambhalna
Apne Mann Mein Dar Ka Koi Beej Naa Bone Dena
Soyam Sajoye Sapne Ko Hargij Mat Khone Dena
Lakshya Tumhare Kadam Chumane Khud Aayega
Sart Ek Hai Bus Apni Himmat Mat Khone Dena
Soch Ke Har Kadam Tu Uthale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Dil Pe Aajaye To
Rukh Mod De Toofano Ke
Tumne Tewar Dekhe
Nahi Hai Deewano Ke
Udho Hum Hai Deewane
Unse Jab Dil Ki Baat Hoti Hai
Bazam Mein Kayenaat Hoti Hai
Lab Ko Mahsoosh Tak Nahi Hota
Aankho Aankho Mein Baat Hoti Hai
Udho Hum Hai Deewane
Iss Duniya Mein Pagal To Sub Hai
Lekin Sachcha Pagal Kaun Hai
Ye Duniya Pagal Khana Hai
Sab Pagal Issme Aate Hai
Kuchh To Hokar Aate Hai
Kuchh Aakar Ho Jate Hai
Koi Pagal Pita Ka Hai
Koi Pagal Hai Maayi Ka
Koi Pagal Hai Beti Ka
Koi Pagal Hai Jamayi Ka
Koi Pagal Hai Daulat Ka
Koi Pagal Hai Kamayi Ka
Koi Pagal Hai Shoharat Ka
Koi Pagal Hai Naari Ka
Aasali Hai Vo Hi Pagal
Jo Pagal Hai Bihari Ka
Udho Hum Hai Deewane
Nahi Chitra Suna Naa Charitra Likha
Vah Shyam Sundar Ko Jane Hi Kya
Mann Mein Naa Basa Mohan
To Vah Dhyan Kisi Per Aane Hi Kya
Vah Dhyan Kisi Per Aane Hi Kya
Jis Bandar Ne Imali Hi Chakhi
Vah Swad Sudha Pahchane Hi Kya
Jisne Kabhi Prem Kabhi Kiya Hi Nahi
Vah Prem Ki Aaho Ko Jaane Hi Kya
Tu Iss Baat Ko Kya Jaane
Dekha Hai Akalwalo Ko Apas Mein Ulajhate
Per Deewane Ko Deewano Se Ladte Nahi Dekha
Ye Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajhlije
Ek Aag Ka Dirya Hai Aur Doob Ke Jana Hai