Wednesday, 17 February 2016




Sarkaar shyam ji






Humne bharosa kar liya sarkar shyam ka

Listen to Humne bharosa kar liya

Lyrics -

jo bhi chaho maang lo mere shyam sarkaar se 

aaj tak koi nahi khali gaya durbaar se 

Humne bharosa kar liya sarkaar shyam ka 

lagta hai pyara humko to durabaar shyam ka


humko to shyam pyare ne apna bana liya
deewana ban chuka hai ab sansaar shyam ka 

jo dar pe aa gaya kami usko nahi rahi 
ji bhar ke usne paa liya hai pyar shyam  ka  

karke bharosa shyam ka meera ne vish piya 
pyale mein usne kar liya deedaar shyam ka 

jab naav doobane lagi majhdhaar mein meri 
tab naam kaam aagaya dildaar shyam ka

apni to shyam sarkar se vinati hai yahi 
hot arahe yun hi sada avtaar shyam ka  


Meri shyam chnariya rang de

Listen to Meri shyam chnariya rang de

Lyrics -

Rang de rang de rang de 

Meri shyam chunariya rang de 
sun o radha ke shyam kar de thoda sa kaam 

aisa rang chadha de sanware jeevan bhar na chhute

aur jo bhi odhe shyam chunariya jee bhar masti loote
mere sune man madir mein khushiyon ka rang bhar de
rang de rang de 

odhu chunariya tere rang ki dwar tumhare aaun 

aur nachoo jhoomu jee bhar ke main darshan tera pau
bhool jaun mein saari duniya mujhe masti bhari umang de 
rang de rang de  

shyam sundar ab kar do mujhpar apni daya anoothi 

chamke kismat teri kripa ab tak jo hai roothi
prem rang barse jeevan mein aisi prem tarang de 
rang de rang de 


Rasiya ko naar banao ri

Listen to Rasiya ko naar banao ri

Lyrics -

rasiya ko naar banao ri rasiya ko 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 

gaddi lehenga galmaal kanchuki 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 
haare aahe chunar khambe aahe chunar 
sheesh odhao ri rasiya ko 
rasiya ko naar...

bindi bhaal nayan bich kajara 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 
haare aahe nathune  hambe aahe nathune
kesar pahirao rasiya ko 
rasiya ko naar ..

Narayan kartaal bajayenge 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 
haare aahe yashomati khambe aahe yashomati 
nikat nachavo ri rasiya ko 

Agar shyam sundar ka sahara na hota

Listen to Agar shyam sundar

Lyrics -

Agar shyam sundar ka sahara na hota 

to duniya mein koi humara na hota 

jab se mili daya humko inki 

to rahen badal di meri zindagi ki
nazare karam ka ishara na hota 
to duniya mein koi ...

inhi ke sahare jiye jaa rahe hain

naam ka amrit piye jaa rahe hain
mera bigada jeevan sanwara na hota 
to duniya mein ...

koi nahi tha duniya mein apna 

kanhaiya se milna lagta hai sapna
kanhaiya ne humko ubara na hota 
to duniya mein ...

bhanwar mein thi naiya kiya hai kinara

inhi ki kripa se chale hai guzara
kripa bhari drishti se nihara na hota 
to duniya mein ....

Koi gali mein bulaye sanware aa jana

Listen to Koi gali mein bulaye

Lyrics -

Koi gali mein bulaye sanware aa jana

mere man mandir mein sama jaana

humne suna tera roop hai salona
lage na nazar koi kare jadu tona
isliye  tumko na gali bulao 
duniya ki nazar se tumko chhipaun
ho koi gali mein bulaye prabhu mat jana 
beshak nazron mein sama jana 

ghar chhota hai ya bada iski na baat hai 

milegi tujhe yahan pyar ki saugaat hai 
pyar bina bol kaise tujhko  bulau 
bhaav bina kaise teri seva kar paun 
nahi pyar ka jharokha mere ghar mein prabhu 
mere sapno ko hi saja jaana 

dil jaisa koi na thikana mil paayega

baitha intzaar mein hoon shyam kab aayega
dil mera mandir pyar meri pooja
humko milega na kahin tere jaisa dooja
rom rom gaaye gaana tere pyar ka taraana
bas aisa jaadu chala jaana 


Radha dhun laagi kanhaiya dhun lagi

Listen to Radha dhun laagi

Lyrics -



Jai jai jai krishna jai jai jai radhe
Sab ki nayya par laggaiya krishna kanahiya savre
Brij gopin ke chitchuraiya manmohan ghanshyam re
Sham dhun lagi gopal dhun lagi
Radha dhun lagi kanhaiya dhun lagi

Jo shyam charaye dhenu bajaye renu rachye ras re
Pyas usi ki lagi jiya mein jagi usi ki pyas re
Usi ki dhun mein firu rat din
Dhoop mile ya chhav re
Ho sham dhun lagi...

Kismet se mila nar janam
Chhod kar bharan bhajan kar shyam ka
Rag rang shringar jagat ka tyag nahi kuchh kam ka
Shyam nam patwar bana le
Par lagegi naav re
Sham dhun lagi ...


Anmol dhan mile bina kisi mol ke
Aage badhe chalo shyam nam bol ke
Sachchi jo hai lagan tumhari
To kabhi thake na paav re
Ho sham dhun lagi ...

Sab ki nayya par laggaiya krishna kanahiya savre
Brij gopin ke chitchuraiya manmohan ghanshyam re
Sham dhun lagi..

0 comments:

Post a Comment