1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Tuesday, 11 December 2012

Kaise Miloge Bihari



Hari sabse pyara tera naam

Listen to hari sabse pyara tera naam 

Lyrics-

Hari sabse pyara tera naam
sab dukh door huven jab maine liya tera naam
bhaj govinda govinda bhaj gopala
jab jab kasht pade prabhu humpar
tumne aake ubara
chhota bada ho khota khara ho
tumne kuchh na vichara
tumme paa ke punya ki bunde
deti hain vishram
swarth mein dubi duniya sari
kaun kise pehchane
mere man ke aaye dukhon bas tuhi to jaane
man mandir mein base raho tum
purna karo sab kaam
Surdas ke tum ho kanhaiya Tulsi ke ho Ram
Meera ke prabhu giridharnagar Shabari ke sukhdham
Ek pal tumko bhool naa jaaun
karun sada man dhyan
   


Monday, 10 December 2012

Kaise miloge bihari


Kaise miloge bihari



Lyrics-


kaise miloge bihari
aas lagaye aayen dware kripa karo banwari
panth nihare naina haaren
kahan chhupe ho mohan pyare
man mandir mein jyoti jalao
govardhan giridhari
sankat mochan naam tiharo
jan ke bigade kaaj sanwaro
tum bin mera koi nahi hai
natwar krishna murari
darshan do giridhari
darshan do banwari
bhaktan ke ho tum rakhware
begi suno brajraj dulare
naiya meri paar lagao
hey prabhu dukh niwari
darshan do giridhari
darshan do banwari
aas lagaye tharedware
kripa karo banwari


Thursday, 6 December 2012

Parmarth Geeta Saar

Parmarth Geeta Saar(Dekh Arjun ki dasha)








Lyrics -

Dekh arjun ki dasha prabhu krishna bole
jeevan atma ke bhed sab khole
atma na janme deh janma paye
atma na marti kabhi deh mar jaaye
janma jo le mar jaye janma phir hole

shashtra se kat na paaye
jale na jalaaye
jal se jo ho na gili
vayu na sukhaye
atma mein main hi main hoon
arjun bhole

dharma yudh jo na kare papi kehlaye
tu hai ek yodha kho jaaye
aise apyash se achha
mrityu ka hole

kaam se krodh jage krodh se maya
isse jo bach ke raha yogi kehlaya
indriyan bas mein kar ke karma yogi hole
Parmarth Geeta Saar(Arjun Bola)





Lyrics -

arjun bola hey purushottam
batlayen adhyatma hai kya
mukti ka marg milta kaise
yeh karma hai kya yeh brahma hai kya

naash na ho jiska arjun
woh brahma pukara jata hai
us brahma ka nitya swabhava hai jo
adhyatma wohi kehlata hai
jin bhavon ka chintan kar ke
prani pran ko chode ga
le kar woh phir se janma unhi ke
phal se nata jodega

jo mujhe prapta ho jata hai
phir janma na uska hota hai
ichhaoon mein jo bhatak gaya
janmon janmon tak rota hai
jo naam mera lete lete
pranon ko chhodta hai arjun
sandeh nahi apna nata
mukti se jodta hai arjun
saare yogon se bada yog
tu om om bas gaa arjun
hari om hari om
Parmarth Geeta Saar(Prabhu karmon ke sanyas ki )






Lyrics -

prabhu karmon ke sanyas ki raah dikhayi
nishkaam karma ki mahima tumne gayi

in dono mein jo ho uttamkari
woh batlao mujhko hey krishna murari
nishkaam karma ka yog sugam sundar hai
dono margon mein kuchh bhi nahi antar hai
nishtha se bhi marg vyakti apnaaye
dono ke hi phalroop mokshka ko paaye
jo alag alag phal samjhe we abhichari
aise bole arjun se krishna murari

yeh jeev moh ki dhara mein behta hai
maya ke dwara gyan dhaka rehta hai
jab atmagyan ka sat prakash chhata hai
hey arjun moksha tabhi maanava pata
tu gyan deep se kaat nisha andhiyari
aise bolen arjun se krishna murari

Geeta saar

Parmarth Geeta Saar (Prabhu karmon ke sanyas ki raah dikhao)

Sung by Anu radha Paudwal



Lyrics  


prabhu karmon ke sanyas ki raah dikhayi
nishkaam karma ki mahima tumne gayi

in dono mein jo ho uttamkari
woh batlao mujhko hey krishna murari
nishkaam karma ka yog sugam sundar hai
dono margon mein kuchh bhi nahi antar hai
nishtha se bhi marg vyakti apnaaye
dono ke hi phalroop mokshka ko paaye
jo alag alag phal samjhe we abhichari
aise bole arjun se krishna murari

yeh jeev moh ki dhara mein behta hai
maya ke dwara gyan dhaka rehta hai
jab atmagyan ka sat prakash chhata hai
hey arjun moksha tabhi maanava pata
tu gyan deep se kaat nisha andhiyari
aise bolen arjun se krishna murari


Parmarth Geeta Saar ( Hey prabhu )






Lyrics-

Hey prabhu aap kehte jise yog hain
man hai chanchal bada usko paane na de
dhyan to door hai dhyan ke dwar tak
mujhko jaane na de

karma phal mein anasakta reh kar ke jo
parth kartavya ka nitya paalan kare
woh hi sachha hai sanyaasi sansaar mein
yogi woh hi hai jo karma se na dare
man to baandhe bandhe isko sadho sadhe
apna man pehle vishnu charan pe dhare
kaamnaaon se tum mukt ho jaaoge
pehle sambhav ka tum varan to karo

yeh vishaya vaasana isko tyage bina
jag mein yogi ki padvi nahi pa sake
bhakti ke yog mein tripta ho atma
dhyan ko paa sake dhyan mein ja sake
man ko vash mein karo man bada mitra hai
var na aisa milega na shatru koi
man to jeeta hua kaal parmatma
sukh mein kuchh bhi nahi
dukh meiun kuchh bhi nahi

Parmarth Geeta Saar

Parmarth Geeta Saar (Jo Bhakt Bhaktiman Gaaye)





Lyrics-

jo bhakt bhaktiman dhyaye
wohi bhakt mujhko bas paaye
jo jal thal aur amber mein
jo kan kan aur sagar mein basa hai
wohi bhed batana hai

har sidhhi ke liye jagat mein
bahuton ne yatna kiya hai
par na koi bhi prani
ise tatva se jaan saka hai
main jal mein hoon rasdharita
suraj mein jyoti apaar
vedon mein Om rama hai
yehi bhed batana hai

yeh sat raj taamas vaani
hai trigun mayi meri maya
prani mujhko jo jaane
woh hi isse bach paaya
vigyan sahit yeh gyan karunga tujhse purna bakhan
rahe kuchh bhi na anjaan
yehi bhed batana hai