Monday 30 April 2012

Ghat ghat mein panchhi bolta by Kishori Amonkar



Feel the  divine Creations  of various saints of India in divine Voice of Kishori Amonkar ji .
These songs envoke spirituality .

Ghat ghat mein panchhi bolta 


ghat ghat mein panchhi bolta
ghat ghat mein panchhi bolta
aap hi dandi aaap taraju aap hi baitha tolta
aap hi maali aap bagicha aap hi kaliyan todta
sab mein sab par aap biraaje jad chetan mein dolta


Nainan neer bahe 

Listen to nainan neer bahe

Lyrics -

Nainan neer bahe Shyam ki peer sahe .
Akhiyan aas rahe
Man mor nit kahe piu piu tor rahe
nainan neer bahe..
Kaunan gaanv gayendarshan unan chahe
nainan neer bahe ..
Chhavi ki lagan lagepreet ki reet yahe
Shyam das ki chah pulkit jiya kare
nainan neer bahe ..


Rehna nahi des birana hai

Listen to Rehna nahi des birana hai

Lyrics -

Rehna nahi des birana hai
rehna nahi sun bhai sadho rehna nahi
yeh sansar kaagaz ki pudiya bund pade ghul jana hai
yeh sansar jhad aur jhakad aag lage bar jana hai
yeh sansar kante ki badi ulajh ulajh mari jana hai
suno bhai sadho ulajh ulajh mari jana hai
kehat kabira suno bhai sadho
sad guru naam thikana hai


Koi kahiyo re prabhu aavan ki 

Listen to koi kahiyo re prabhu aavan ki

Lyrics -

koi kahiyo re prabhu aavan ki aavan ki man bhavan ki
aap na aaye likh nahi bheje bana pari lalchavan ki
yeh dou naina kahyo nahi mane nadiya bahe jaise saavan ki
koi kahiyo re prabhu aavan ki
kahan kara kachu nahi bas mero paankh nahi ud jaavan ki
meera kahe prabhu kabre miloge cheri bhayi hun tere naaman ki


Main kaise aaungi saanwariya

Listen to main kaise aaungi

Lyrics -

Main kaise aaungi saanwariya
Hari vikat nagariya
Naam Nishani thara panth du hohela 
chalath dekh mera tan man dariya
Jab lag le jo saanwariya...
jab lag le jo hari pahuchat nahi
tab lag aave khali gagariya
Begumpur mein soyi jan jaaven 
rom rom jinke prem ki pudiya  

0 comments:

Post a Comment