Sunday 16 August 2015

sankat nibaro



Sankat nibaro



Chakra ke dharanhaar


Lyrics-

Chakra ke dharanhaar, Garunan ke aswaar
nand ke kumar mero sankat niwaro

Yamlaarjun taryo, gaj grah te ubaryo
naag ko naathanhaaro mero pran piyaro 

girivar kar dharyo, indra ko garv daryo
vraj ke rakshanhaar deenan vicharo

drupad suta ki ber, tab kyun na kini aber
ab kyun aber sur sevak tiharo

Krishnaya vasudevaya


Lyrics -

Krishnaya vasudevaya haraye paramatmane 
pranatat kleshnashaya govindaya namo namah 

Main to kab se 


Lyrics - 

Main to kab se teri sharan mein  hoon,zara meri ore bhi dhyan do   
mere man jo andhkaar hai, mere ishwar mujhko gyan do 

koi sukh ki bhor khile to kya, koi dukh ki rain mile to kya 
patjhad mein bhi jo khila rahe, main woh phool ban ke rahoon sada
na mite na phiki pade kabhi, mujhe woh madhur muskaan do 

teri aarti ka diya banun , hai yehi meri manokamna 
mere pran tera hi naam le, kare man teri aaradhana 
gungaan tera kiya karoon, mujhe bas vardaan do

mujhme hai raag aur dwesh bhi, ninda parayi main karoon 
ahankaar ko prabhu har lo tum, mujhe divyata ka daan do
tera daras main sab mein kiya karoon mujhe woh nazar bhagwan do 

 Radha raman hari bol 


Lyrics -

Jai Jai Radha raman hari bol 

mujhe kaam hai ishwar se, jagat roothe  to roothan de 
baith sangat mein santan ki, karoon kalyan main apna
log duniya ke bhogon mein, mauj loote to lootan de 
prabhu ke dhyan karne se lagi lagan mere
preet sansaar vishyan se agar tootat hai to tootan de 

tum bin meri kaun khabar le gobardhan giridhari 
sheesh mukut pitambar sohe kundal ki balihari



0 comments:

Post a Comment