Just sit , close your eyes and listen to these bhajans .These are ragas from heart that touches your heart . It will take you close to yourself by destroying and removing all boundaries between your mind and your soul.
Listen to kshama karo mere prabhu ji
Lyrics -
Kshama karo mere prabhu ji
dho dalo man ki chadar ko lage hain jisme itne daag
tum ho prabhuji mansarowar amrit jalse bhare hue
paras tum ho ek loha main kanchan hove jo bhi chhuye
taj ke jag ki sari maaya tumse main kar loon anuraag
kaam krodh mein fasa raha man sachi dagar nahi jani
lobh moh mad mirad kar bprabhu kar dali hai man mani
manmani ne disha galat di pahucha wahan jahan hai aag
is sundar tan ki rachna kar tumne jo upkaar kiya
humne is sundar tan par prabhu apradhon ka bhar diya
narayan ab sharan tihari tumse preet hove nij pran
Bhavbhanjan ko dhyau Ram ko rijhaun
Lyrics -
Bhavbhanjan ko dhyau Ram ko rijhaun
Ganga na jaun main jamuna na jaun na koi teerath nahaun
arsath teerath ghathi ke bhitar newane mad man lagaun
booti na khaun main aushadhi na khaun na koi vaidya bulaun
pooran ved ho aap more daata main aap ko nabz dikhun
bhavabhanjan ko dhyaun ram ko rijhaun
jogi banu na main jata badhaun na ang bhabhooti lagaun
jo rang rang diye aap more data main aur kya rang chadhaun
dali na todu main pati nahi todu main na koi jeev sataun
pati pati mein ho aap more data main aap ko sheesh nawaun
Deendayal daya kariye
Lyrics -
deendayal daya kariye prabhu charon ore se aan bani hai
kaun sune kisse kahun sab apni apni jahan mein thani hai
garib ki beri na deri karo prabhu der ki thor mori ghani hai
aap kahu ki bharose rahu ki prabhu tum bin mori kaun ghani hai
Na jaane kaun se gun par dayanidhi reejh jaate hain
yahi sab granth kehte hai yehi sab bhakt gaate hain
mere ram mere ram dayanidhi reejh jaate hain
dayalu reejh jaate hain
na roye vangaman par bhi wo pitaki vedanao par
gidh ko god mein lekar prabhu aansu bahate hain
wo nahi swekaar karte hain nimantran nabh duryodhan ka
vidur ke ghar wo bhog chhlilko ka lagate hain
na aaye madhupuri se bhi wo gopiyon ki virah vyatha sunkar
draupadi ki karuna sune dwarka se wo daude aate hain
mere ram mere ram mere ram
kathinta se charan dhokar mile kuchh bindu vidhi gali ko
wo charno tak swayam kewat ke ghar ja ke dhulate hain
yehi sab ye granth kehte hain....
Re man hari sumiran kar lije
Lyrics -
re man hari sumiran kar lije
hari ko naam prem se japiye hari ras rasna pije
hari gun gaiye suniye nirantarhari charnan chit dije
hari bhaktan ki sharn grahan k ar hari sang preet karihe
hari sam hari jan samjhi man hi man tin ko sewan kije
hari ki bhidi so humse ribhay hogi kast karije
harijan hari maarag pahichane hanumat jehiso kije
hari hit khaiye pagariye hari hit hari kaaraj karije
hari hit hari tan sab jag seiye hari hit mariye jijiye
0 comments:
Post a Comment