1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Wednesday 17 February 2016




Sarkaar shyam ji






Humne bharosa kar liya sarkar shyam ka

Listen to Humne bharosa kar liya

Lyrics -

jo bhi chaho maang lo mere shyam sarkaar se 

aaj tak koi nahi khali gaya durbaar se 

Humne bharosa kar liya sarkaar shyam ka 

lagta hai pyara humko to durabaar shyam ka


humko to shyam pyare ne apna bana liya
deewana ban chuka hai ab sansaar shyam ka 

jo dar pe aa gaya kami usko nahi rahi 
ji bhar ke usne paa liya hai pyar shyam  ka  

karke bharosa shyam ka meera ne vish piya 
pyale mein usne kar liya deedaar shyam ka 

jab naav doobane lagi majhdhaar mein meri 
tab naam kaam aagaya dildaar shyam ka

apni to shyam sarkar se vinati hai yahi 
hot arahe yun hi sada avtaar shyam ka  


Meri shyam chnariya rang de

Listen to Meri shyam chnariya rang de

Lyrics -

Rang de rang de rang de 

Meri shyam chunariya rang de 
sun o radha ke shyam kar de thoda sa kaam 

aisa rang chadha de sanware jeevan bhar na chhute

aur jo bhi odhe shyam chunariya jee bhar masti loote
mere sune man madir mein khushiyon ka rang bhar de
rang de rang de 

odhu chunariya tere rang ki dwar tumhare aaun 

aur nachoo jhoomu jee bhar ke main darshan tera pau
bhool jaun mein saari duniya mujhe masti bhari umang de 
rang de rang de  

shyam sundar ab kar do mujhpar apni daya anoothi 

chamke kismat teri kripa ab tak jo hai roothi
prem rang barse jeevan mein aisi prem tarang de 
rang de rang de 


Rasiya ko naar banao ri

Listen to Rasiya ko naar banao ri

Lyrics -

rasiya ko naar banao ri rasiya ko 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 

gaddi lehenga galmaal kanchuki 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 
haare aahe chunar khambe aahe chunar 
sheesh odhao ri rasiya ko 
rasiya ko naar...

bindi bhaal nayan bich kajara 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 
haare aahe nathune  hambe aahe nathune
kesar pahirao rasiya ko 
rasiya ko naar ..

Narayan kartaal bajayenge 

ha ba re rasiya ho ba re rasiya 
haare aahe yashomati khambe aahe yashomati 
nikat nachavo ri rasiya ko 

Agar shyam sundar ka sahara na hota

Listen to Agar shyam sundar

Lyrics -

Agar shyam sundar ka sahara na hota 

to duniya mein koi humara na hota 

jab se mili daya humko inki 

to rahen badal di meri zindagi ki
nazare karam ka ishara na hota 
to duniya mein koi ...

inhi ke sahare jiye jaa rahe hain

naam ka amrit piye jaa rahe hain
mera bigada jeevan sanwara na hota 
to duniya mein ...

koi nahi tha duniya mein apna 

kanhaiya se milna lagta hai sapna
kanhaiya ne humko ubara na hota 
to duniya mein ...

bhanwar mein thi naiya kiya hai kinara

inhi ki kripa se chale hai guzara
kripa bhari drishti se nihara na hota 
to duniya mein ....

Koi gali mein bulaye sanware aa jana

Listen to Koi gali mein bulaye

Lyrics -

Koi gali mein bulaye sanware aa jana

mere man mandir mein sama jaana

humne suna tera roop hai salona
lage na nazar koi kare jadu tona
isliye  tumko na gali bulao 
duniya ki nazar se tumko chhipaun
ho koi gali mein bulaye prabhu mat jana 
beshak nazron mein sama jana 

ghar chhota hai ya bada iski na baat hai 

milegi tujhe yahan pyar ki saugaat hai 
pyar bina bol kaise tujhko  bulau 
bhaav bina kaise teri seva kar paun 
nahi pyar ka jharokha mere ghar mein prabhu 
mere sapno ko hi saja jaana 

dil jaisa koi na thikana mil paayega

baitha intzaar mein hoon shyam kab aayega
dil mera mandir pyar meri pooja
humko milega na kahin tere jaisa dooja
rom rom gaaye gaana tere pyar ka taraana
bas aisa jaadu chala jaana 


Radha dhun laagi kanhaiya dhun lagi

Listen to Radha dhun laagi

Lyrics -



Jai jai jai krishna jai jai jai radhe
Sab ki nayya par laggaiya krishna kanahiya savre
Brij gopin ke chitchuraiya manmohan ghanshyam re
Sham dhun lagi gopal dhun lagi
Radha dhun lagi kanhaiya dhun lagi

Jo shyam charaye dhenu bajaye renu rachye ras re
Pyas usi ki lagi jiya mein jagi usi ki pyas re
Usi ki dhun mein firu rat din
Dhoop mile ya chhav re
Ho sham dhun lagi...

Kismet se mila nar janam
Chhod kar bharan bhajan kar shyam ka
Rag rang shringar jagat ka tyag nahi kuchh kam ka
Shyam nam patwar bana le
Par lagegi naav re
Sham dhun lagi ...


Anmol dhan mile bina kisi mol ke
Aage badhe chalo shyam nam bol ke
Sachchi jo hai lagan tumhari
To kabhi thake na paav re
Ho sham dhun lagi ...

Sab ki nayya par laggaiya krishna kanahiya savre
Brij gopin ke chitchuraiya manmohan ghanshyam re
Sham dhun lagi..
Mero man hey gayo lata pata 





Mero man hey gayo lata pata

Listen to Mero man hey gayo lata pata

Lyrics -


Tedhe sundar nain
Tedhe mukh kahe bain
Tedho hai mukaut baat tedhi 
kuchhu kah gayo tedhe ghugharale baal
Tedhi gale phool maal Aur tedhe hi bulaak 
mere chit mein base gayo
Tedhe pag upar nupur jhankar kare
Tedhi basuri bajaye chit churai gayo
Aise tedhe tedhen ko dhyan dhare manoram
Ha lat pat pag so lapet man lai gayo 

Kab se khoju banwaari ko
Banvaari ko giridhaari ko 
Koi bata de uska pata
Ari mero man le gayo latta patta
Mor mukut shyamal tan dhaari
Kar murali adharan saji pyari
Aur kamar mein badhi pilo patta
Ari mero man le gayo latta patta
Paniya bharan yamuna tat aayi
Beech mein mil gaye krishna kanhai
Aur fod diyo paani ka ghada
Ari mero man le gayo latta patta
Ha latta patta ari latta patta
Tedhi nazare lat ghunghraali
Maar rahi meri dil pe katari
Aur shyam waran jaise kari ghata
Ari mero man le gayo latta patta
Milate hai use bake bihari
Ha bake bihari sneh bihari
Ari radhe radhe jisane rata
Ari mero man rah gayo latta patta

Mohan se dil kyu lagaya hai

Listen to

Mohan se dil kyu lagaya hai yah main janu ya wo jaane

Chhaliya se dil kyu lagaya hai yeh main jaanu ya wo jaane

har baat nirali hai uski har baat mein hai tedapan
tedhe pe dil kyu aaya hai ye main jaanu ya woh jaane

jitna dil ne tujhe yaad kiya utna jag ne tujhe badnaam kiya
badnami ka phal kya paaya hai ye main jaanu ya wo jaane

tere dil ne dil deewana kiya mujhe is jag se begana kiya
maine kya khoya kya paaya hai ye main jaanu ya wo jaane

milta bhi hai wo milta bhi nahi nazron se meri hatta bhi nahi
yah kaisa jadu chalaya hai ya main janu ya wo jaane 

Shyam sundar manohar

Listen to Shyam sundar manohar

Lyrics -

Shyam sundar manohar varan

hey gopal madan mohan

shree radhavar hey muralidhar
 hey gopal madan mohan

tirchha hai kirit kasaur mein  tirchha banmaal pada rehta
tirchhi kati kachhini hai jisme sukh sindhu sada umada rehta hai 
tirchhi hi kadamb ki vriksha tale tirchhi drigtaan khada rehta hai 
kis bhanti nikale kaho dil se tirchha ghanshyam ada rehta hai 


Jo sharan guru ki aaya

Listen to Jo sharan guru ki aaya

Lyrics -

sukh ka sthi sab jagat dukh ka nahi koi 
dukh ka sathi saiyan kewal sadguru hoye

jo sharan guru ki aaya ih lok sukhi parlok sukhi 
jisne guru gyan bachaya ih lok sukhi parlok sukhi

ramayan mein shiv ji kehte bhagwat mein sukhdev ji kehte
guru baani nanak kehte jisne  hari naam kamaya 
to ih lok sukhi parlok sukhi

chinta aur bhaya sab mit duniya ke bandhan hat jaaye
sankat ke baadal chhat jaaye jisne guru ko apnaya 
to ih lok sukhi parlok sukhi

sanson mein ho prabhu ka simran aur man guruvar ka chintan 
phir kaisa maaya ka bandhan jise dwar ka bhaya 
to ih lok sukhi par lok sukhi

jo satsang mein aa jayenge woh guru kripa paa jayenge
bhav sagar se tar jayenge jisne jag ko thukaraya 
ih lok sukhi par lok sukhi


Banke biahri mujhko dena sahara

Listen to Banke biahri mujhko dena sahara

Lyrics -

Banke bihari mujhko dena sahara
kahi chhoot jaaye na daman tumhara 

tera siva dil mein samaye na koi
lagan ka ye deepak bujhaye na koi 
tuhi meri kashti tu hi hai kinara 
kahi chhoot jaaye....

tere naam ka gaan gata rahun main
subah shaam tujhko rijhata rahoon main 
tera naam mujhko hai prano se pyara 
kahin chhoot jaaye na ...

tere raste se hatati hai duniya 
isharon se mujhko bulati hai duniya 
dekhun na  hargiz  main duniya ka ishara 
kahin chhoot jaaye na ....

badi bhool ki jo main duniya mein aaya 
mool bhi khoya aur byaj bhi ganvaya 
duniya mein mujhko na bhejana dobara 
kahin choot jaye na ... 

Apni vaani mein amrit ghol

Listen to Apni vaani mein amrit ghol

Lyrics -

Apni vaani mein amrit ghol o rasna radhe radhe bol 
ye bol bade anmol o rasna radhe radhe bol 

radha ji barsane wari radha ji vrishbhanu dulari
do akshar aadhaar jagat ke ye akshar anmol 
o rasna radhe radhe bol

radha ji maha raas rachave radha ji nandlal nachave
is chhavi ko bhar ke nayanan mein antar ke pat khol 
o rasna radhe radhe bol

bin radha nahi saje bihari bin radha nahi mile banwari 
inke charan pakad lena da bhatak na dar dar dol 
o rasna radhe radhe bol  


Durbaar mein radha rani

Listen to Durbaar mein radha rani

Lyrics -

Durbaar mein radha rani ke dukh dard mitaye jaate hai
duniya ke sataye log yahan sine se lagaye jaate hai 

sansaar sahi rehne ko yahan dukh hi dukh hai sehne ko yahan
bhar bhar ke pyale amrit ke yahan roz pilaye jaate hain

pal pal mein aas niraas bhayi din din ghatati pal bhar rehti
duniya jinko thukar degi woh god bithaye jaate hain

jo radha rdaha kehte hain woh priya sharan mein rehte hain 
karti hai kripa vrishbhanu suta wahi mahal bulaye jaate 

wo kripamayi kehlati hai rasiko ke man ko bhati hai 
duniya mein jo badnaam hue palkon mein bithaye jaate hai 


Radha sneh bihari

Listen to Radha sneh bihari

Lyrics -

Radha sneh bihari nandlal mero pyaro mohan 
shree radha kunj bihari nandlal mero pyaro mohan 

radha raman giridhari nandlal mero pyaro mohan
shree radha kunj bihari nandlal mero pyaro mohan  


Tera shukriya hai

Listen to Tera shukriya hai

Lyrics -

Mujhe tumne data bahut kuchh diya hai 
Tera shukriya hai tera shukriya 

na milti agar di hui daat teri to kya thi zamane mein aukaat meri
tumhi ne to jeene ke kabil kiya hai tera shukriya hai 

mujhe hai sahara teri bandagi ka hai jispar guzara meri zindagi ka
mila mujhko o kuchh tumhi se mila hai tera shukriya hai

kiya kuchh na maine sharamsaar hoon main teri rehmato ka talabgaar hoon main
diya kuchh nahi bas liya hi liya hai tera shukriya hai 

mila mujhko jo kuchh badaulat tumhari mera kuchh nahi sab hai daulat tumhari
use kya kami jo tera ho liya tera shukriya hai 

maer hi nahi tu sabhi ka hai daata tu hi sabko deta tu hi hai dilata 
tu hi diya maine khaya piya hai tera shukriya hai 

Bhole nath se nirala

Listen to Bhole nath se nirala

Lyrics -

Bhola sath se nirala gauri nath se nirala 
koi aur nahi

unka damru dam dam bole agam nigam ke bhed khole
aisa damru bajane wala koi aur nahi 
bhola naath se nirala ...

kaaya jab jab karvat paap chamakte agale pichhale 
ab mujhko bachane wala koi aur nahi
bhola nath se nirala ..

tumne jag ka kasht mitaya mujhko swami kyu bisraya 
aisa bhakton ka rakhwala koi aur nahi
bhola naath se nirala ...

om namah shivaye om namah shivaye 


Teri bansi pe 

Listen to Teri bansi pe

Lyrics -

Teri bansi pe jaun balihari rasiya 
main to nachungi tere durbaar rasiya

odh ke aayi main to laal chunariya 
matki utha ke main to bani re gujariya 
main to kar aayi sola singaar rasiya 
main to nachungi tere durbaar rasiya 

tere pichhe main to aayi hoon akeli
bade gop ki nayi naveli 
aayi karne ko main manuhaar rasiya
main to nachungi tere durbar rasiya

jab se lagi mohe tori laganwa
bisar gaya mohe ghar aanganwa
main to chhod aayi sara sansaar rasiya 
main to nachungi tere durbar rasiya


Bolo radhe radhe

Listen to Bolo radhe radhe

Lyrics -

Bolo radhe radhe radhe radhe radhe 
ki beda paaar ho jayega 
kabhi aate jaate brij galiyon mein 
kanhaiya pyara mil jayega 

radha ke bina shyam rijhe bhi to kaise 
diye ke bina roshani nahi aaye jaise 
yadi radha radha naam nahi bola 
jeena bekaar ho jayega 

shyam kahe se shyam na aaye 
radhe radhe bolo shyam daude aaye 
radha naam ke sahare o bande 
yeh jeevan sudhar jayega

sare jagat ki hai maharani
prem kripa maya radha rani 
radha naam ke sahare jeene marne ka
bhed saara mit jaayega

Jhula jhulat bihari vrindavan mein

Listen to Jhula jhulat bihari vrindavan mein

Lyrics -

Jhula jhoolat bihari vrindavan mein 
kaisi chhayi hariyali nikunjan mein 

it nand ko bihari ut bhanu ki dulari 
jodi laage ati pyari basi nayanan mein 

yamuna ke kool baher surang dukool
aur khil rahe phool in kadaman mein 

gaur shyam rang ghan damini ke sang 
bhayi ankhiyan pang chhavi bhari man mein 

radha mukh ore naina shyam ke chakor 
sakhiyan prem dor lagi charnan mein 

Kaun si  ne maar diyo ri tona

Listen to Kaun si ne maar diyo ri tona

Lyrics -

Kaun si ne maar diyo ri tona 
mero machalo shyam salona 
roye roye udham kare sab gahr mein 
diye sab tod khilona 

doodh na pive lala mero dahi na khave na le makhan lona
nhave na dhove sudh bisrayi aankh na khole mera chhona

phele hi kahi maine in sakhiyan ke sang mein raas rachau na
theek na drishti in gopin ki inte laal bachau na 

boli tab lalita bishaha yasuda maa suno na
rai noon kar nazar utaro rakh diyo kachhu uthauna

phir nazar utaar gayi lala ki maa ne vilamb kiyo na
naina khul gaye shyam sundar ke hasan lage tab mohana

Hey radhe ji

Listen to hey radhe ju

Lyrics -

hey radhe ju hey shyam ju aaye tiahri ore
shree radhe ab karo kripa ki kor
aayo tihari ore

kripa mayi sarkar si radhe krishna pran priya prem agadhe
dekh lo meri ore aayo tihari ore 

Aisi chatak matak so thakur

Listen to Aisi chatak matak so thakur

Lyrics -


aiso chatak matak hu so thakur 
teeno lokan hun mein naaye

teen ore te tedhe dikhe 
nat ki si chalghat yah sikhe
tede nain chalave teekhe 
sab devan ko dev 
tau ye braj mein phere gaaye

brahma moh kiyo pachhtayo
darshan ko shiv braj mein aayo
maan indra door bhagayo
aiso vaibhav varo tau ye braj mein gari khaye

bade bade asuran ko maryo
naag kaliya pakad pachhadyo 
saat dina tak girivar dharyo
aiso bali tau khelat mein gwalan te pit jaaye

roop chhabilo hai braj sundar 
bina bulaye dole ghar ghar 
premi braj gopin ko chakr
aiso prem badhyo maakhan ki chori kave jaaye


Na main meera na main radha

Listen to Na main meera na main radha

Lyrics -

na main meera na main radha 
phir bhi shyam ko paana hai 
paas mere to to kuchh bhi nahi hai 
charnon mein sheesh jhukana hai 

jab se teri surat dekhi 
kusum prem ki murat dekhi 
apna tujhe banana hai 

jap tap saadhan kuchh na janu 
apni lagan ko sab kuchh manu
dil ka dard sunana hai 

janama se bhuli tumko 
ab jaakar hoon jani tumko
ab na tumhe bhulana hai 

dasi teri sharan mein aayi 
lagan milan ki man mein samayi
prem ki bhet chadhana hai 


Tohe kahu din haath lagaye dungi

Listen to Maine ratna lagayi radha naam ki

Lyrics -


tohe kaahe din haath lagaye doongi 
oh lala mat phode dahi ki matki

main hoon gwalin barsane ki 
teri dhosh mein naaye aane ki 
tera rasta band karaye doongi
mat phode dahi ki matki 

maat yashoda se kah aayi 
ghar chal teri karenge pitayi
tohe ukhal te bandhvaye doongi
mat phode dahi ki matki 

bhayo anokho tu utpati 
naiko sharam toko nahi aati
teri kans pe khabar karaye doongi
mat phode dahi ki matki

ek kamariya kari tore
ratan jadit aabhushan more
main to chori tohe lagaye doongi 

meri teri preet purani 
tumne mohan nahi pahichani 
toye nayanan beech basaye loongi 
mat phode dahi ki matki

Vrindavan dham apaar

Listen to Maine ratna lagayi radha naam ki

Lyrics -




Maine ratna lagayi radha naam ki

Listen to Maine ratna lagayi radha naam ki

Lyrics -


Maine ratna lagayi re radha tere naam ki 
meri alkan mei radha meri palkan mein radha
maine mang bharayi radha tere naam ki 
maine ratna lagayi re radha tere naam ki 

mere nainan mein radha  mere bainan mein radha 
maine nathuni sajayi re  radha tere naam ki 

meri chundari mein radha meri dulari mein radha 
maine veni ghuthayi re redha tere naam ki 

mere ang ang mein radha mere sang sang mein radha 
shyam bansi bajayi re radha tere naam ki 

Ram naam ke heere moti

Listen to Ram naam ke heere moti

Lyrics -


Ram naam ke heere moti main bikhrau gali gali 
krishna naam  ke heere moti main bikhrau gali gali 
lelo re koi ram ka pyara shor machaun  gali gali 
lelo re koi shyam ka pyara shor machaun gali gali 

maay ke deewano sun lo ek din aayega 
dhan daulat aur maal khajana yahin pada rah jayega
sundar kaya mitti hogi charcha hogi gali gali
le lo re koi ram ka pyara shor machaun gali gali
lelo re koi shyam ka pyara shor machaun gali gali 

kyu karta tu mera meri yeh to tera makaan nahi 
jhuthe jan mein phansa hua hai wah sachha insaan nahi
jag ka mela do din ka hai ant mein hogi chala chali 
le lo re koi ram ka pyara shor machaun gali gali
lelo re koi shyam ka pyara shor machaun gali gali 

bolo ram bolo ram bolo ram ram ram 

jin jin ne yah  moti loote wah to maala maal hue 
dhan daulat ke  bane pujari aakhir wah kangaal  hue
chandi sone wale sun lo baat sunau khari khari 
lelo re koi ram ka pyara shor machaun gali gali
lelo re koi shyam ka pyara shor machaun gali gali 

duniya ko tu kab tak pagle apni kehlaye ga
ishwar ko tu bhool gaya hai ant samay pacchhitaye ga
do din ka yah chaman khila hai phir murjhaye kali kali
lelo re koi ram ka pyara shor machaun gali gali
lelo re koi shyam ka pyara shor machaun gali gali 


Radhe jhulan padharo

Listen to Radhe jhulan padharo

Lyrics -


Radhe jhulan padharo jhuk aaye badra 
saajo sakal singaar naiana sajo kajra

aiso maan na kije hat tajiye ali 
radhe jhoolan padharo jhuki aaye badra

tu to param shayani ho vrishbhan ki lali 
radhe jhulan padharo jhuki aaye badra

tero rasik pritam mag jovat khado 
radhe jhulan padharo jhuki aaye badra

radhe dou kar jode tore charan pado
radhe jhulan padharo jhuki aaye badra



Wednesday 3 February 2016

Acharya Mridul Krishna & Gaurav Krishna Goswami Bhajans







Vrindawan dhaam apaar 



Jai radhey radhey

vrindawan dhaam apaar
jape ja radhe radhe
radha vedan ko saar
jape ja radhe radhe
bhaje ja radhe radhe
radha albeli sarkaar
vrindavan dham apaar
jape ja radhe radhe

jo radha radha gaave

wo prem padarath paave
wa ko hwai jaaye beda paar
jape ja radhe radhe

Jo radha naam na hoto

rasraaj bicharo roto
nahi hoto krishna avataar
jape ja radhe radhe

bansi vat mein radhe  radhe
kidwan ji mein radhe radhe

ye vrinda van ki leela
na jaano  gud ko tila
ya mein rishi muni gaye haar
jape ja radhe radhe


daan gali mein
maan gali mein


vrindavan raas rachao
hiv gopi roop banayo
bansi vat kiyo vihaar
jape ja radhe radhe

kunj gali mein radhe radhe
banke bihari radhe radhe

ye prem ki akath kahaani
sahi samjhe gyani dhyani
tahe jaane biraj ki naar
jape ja radhe radhe


pran ballabha radhe radhe

giri gobardhan radhe radhe


tu vrindavan mein aayo

tene radha naam na gaayo
tere jeevan ko dheekaar
jape ja radhe radhe


nand gaaon mein radhe radhe

barsane mein radhe radhe


 Radhe radhe rato



 Radhe radhe rato chale aayenge bihari
Radha meri chanda chakor hain bihari
radhe radhe rato ..
Radha rani misri to swad hain bihari
radhe radhe rato ..
Radha meri ganga to dhar hain bihari
radhe radhe rato ..
Radha rani tan hai to pran hain bihari
radhe radhe rato ..
Radha rani saagar tarang hain bihari
radhe radhe rato ..
Radha rani mohani to mohan bihari
radhe radhe rato ..
Radha meri gori to sanware bihari
radhe radhe rato ..
Radha rani bholi bhali chanchal bihari
radhe radhe rato ..
radha rani nathuni to kangan bihari
radhe radhe rato ..
Radha rani murali to taan hain bihari
radhe radhe rato ..


Natkhat natkhat nandkishore




Natkhat natkhat nandkishore

makhan kha gayo maakhan chor
pakdo pakdo daudo dauudo kanha bhaga jaaye
kabhi kunj mein  kabhi kadamb pe
haath nahi ye aaye
gokul ki galiyon mein mach shor


sang mein sakhaon ki toli khadi

maakhan churane ki aadat padi
oonchi matakiya mein maakhan dharo
aangan meim maakhan bikharo pado
haath nahi aaye jhapat ke khaaye
gatak gatak maakhan gatkaaye
yahi roz ka iska daur


mukh dadhi laage kanhaiya bhage

pichhe pichhe gopiya kanhaiya aage
kaha bhago jaave makhan churaye
doongi ulahano ter ghar jaaye
pakado gwalinon kanhaiya ko aaj
layi nanddware kanhaiya ko saath
aayo tero lala meri mataki phod


kyu ri kanhayia tu ghar ghar jaaye

nit nit kahe ulahano laaye
ghar ki gaiyan ko maakhan na bhaye
ghar ghar jaaye kahe maakhan churaye
maata yashoda se naina churaye
man hi man kanha muskaaye
ukhal se badhyo khul gayi dor


kanha ki akhiyan mein aansu bhare

kaise yashoda maa dheeraj dhare
maakhan misri ko bhg lagaye
roothe kanhaiya ko linho manaye
leeladhari ki leela appar
bolo kanhaiya ki jai jai kaar
maakhan ko le yeah chitchor
man har linho maakhanchor


Chalo aayo re shyam 




Chalo aiyo re shyam mere palkan pe

haare chale aiyo re hambe chalo aiyo re


tu to rijho mere naval jovana
main rijhi tere tilakan pe

tu to rijho meri latak chaal pe
ha wa re rasiya
main rijhi teri alkan pe

prushottam prabhu ki chhavi nirakhe
abir gulal ki jhalkan pe chalo aiyo re


Shree Guru Charan saroj raj 




Meri chunari mein pad gayo daag ri 





Meri chunari mein pad gayo daag ri

kaiso chatak rang daro
auran ko achara na chhuvat hai
ya ki mohi so lag rahi laag ri
moso kehto sundar nari
ye to mohi so khele phagri
bali bali das aas  braj chhoda
aisi hori mein lag jaaye aag ri


Yashoda ka laal ye to krishna kanhaiya




Yashoda ka laal ye to krishna kanhaiya

jag ka paalanhaar kanha bansi ka bajaiya
jai jai krishna
teri suratiya man mein samayi
aan milo ab krishna kanhayi
tere daras ki lagan ki lagayi
ab to daras do krishna kanhayi
teri muraliya jab jab baaje
koyal bhi gaaye mayura nache
pat pitambar tan par saaje
mor mukut makarakrit raaje
aao dharam ka alakh jagao
bhakton ka santaap mitaye
is jag mein prabhu prem badhao
geeta ka hari vachan nibhao
yada yada hi dharmasya
tadatmananm srijamyaham
paritranaya sadhunaam vinasayacha dushkrita
dharma sansthapanarth


Mero lala jhule palna






Mero lala jhule palna

kanahiya jhule palna main to hole jhoka dijo
mathura mein ani janam liyo hai
gokul mein jhule palna main to hole jhoka dijo
kahe ko yak bano hai palno
kahe ke lage phundana main to hole jhoka dijo
ratan jatit yak bano hai palno
resham ke laga phundana main to hole jhoka dijo
chandra sakhi bhagwaan krishna chhavi
chir jeevo yah lalna main to hole jhoka dijo


Natwar naagar nanda 




Natwar naagar nanda bhajo re man govinda

shyam sundar mukh chanda bhajo re man govinda


tu hi natwar tu hi naagar
tu hi baal mukunda bhajo re man govinda

sab devan mein krishna bade hain
jyo taaran bich chanda bhajo re man govinda

sab sakhiyan mein radha ji badi
joyo nadiyan vich ganga bhajo re man govinda

dhruva taare prahlaad ubare
narshingh roop dharanda bhajo re man govinda

kaali dah mein naag jo natho
phan phan nirat karanda bhajo re man govinda

vrindavan mein raas rachayo
naachat baal mukunda bhajo re man govinda

Meera ke prabhu giridhar naagar
kato yam ke phanda bhajo re man govinda


Radhe ke mann mein bas gaye




Radhe ke mann mein bas gaye shyam bihari

shyam rang mein rang gayi radha
bhuli sudh budh saari

shyam naam ki chunari odhi shyam naam ki chudiyan

ang ang mein shyam samaye mit gayi saari dooriyan
kaanan kundal gale baijanti maala lage pyari

baith kadamb ki daal kanhaiya murali madhur bajaye

saajh sakare murli ki dhun radha radha gaaye
is murli ki taan pe jaaye ye duniya balihari

adhar sudha ras murali raaje kanha raas rachaye

krishna rachaiya radha rachna prem sudha barsaye
prem magan ho sabhi bolo jai banke bihari

Janam janam ki bhuli bhatki 




Janam janam ki bhuli bhatki ho gaya aaj ujala re

le lo ri rang le lo sakhiyon aagaya rangane wala re
mera satgru rangane wala re

aisa koi rangrej na dekha tan man sab rang dala re
jyo jyo dhoun tyo tyo chamke aisa rang nirala re

jisko mil gayi rang ki laali wahi hai kismat wala re
lelo ri rang lelo sakhiyon aa gaya rangane wala re

jai ho hari bol

sadgurudev bhagwan ki jai


sukh ka sathi sab jagat aur dukh ka nahi koi
kyu ki dukh ka sathi kewal mere satguru hoi
yah rangrez bada hi anokha na leta dhan maaya
jo baat dawa se ban na saki vo baat dua se hoti hai
jab sachhe sadgru milte hain to baat khuda se hoti hai
yah rangrez bada hi anokha na leta dhan maaya
soye bhaag humare jaage jo aisa satguru paaya
na kuchh lete sab kuchh de de inka daan nirala
failao apne daaman ko bikhar rahe hain moti
jeevan safal banao apnajale prem ki jyoti
dar pe tere aaya bhikhari jholia bharne wala ri
bolo satchidanand bhagwan ki jai

jai shree krishna
jai shri radhe



Jab Se Banke Bihari Hamare Hue



Jab Se Banke Bihari Hamare Hue

To Gum Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai

Khud Ba Khud Mit Gayi Meri Sabhi Muskile
Takdeer Ke Daano Ko Bikharne Nahi Dete
Ye Jisko Bana Dete Hai Usko Bigadne Nahi Dete
Khud Ba Khud Mit Gayi Meri Sabhi Mushkile
Jabse Vo Jindagi Ke Sahare Hue
To Gam Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue


Jai Ho
Vrindavan Bihari Lal Ki Jai

Dard Hi Ab Hamari Dawa Ban Gaya
Ye Dard Bhi Daulat Hai
Ye Daag Bhi Daulat Hai
Jo Kuchh Bhi Ye Daulat Hai
Vo Teri Hi Badaulat Hai
Pyare Vo Teri Hi Badaulat Hai
Dard Hi Ab Hamari Dawa Ban Gaya
Dard Mein Bhi Unhi Ke Nazare Hue
Gam Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai

Vrindawan Bihari Lal Ki Jai Ho
Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Jai Jai Shri Radhe
Jai Shri Krishna


Mere Ghar Aana Sanwariya

Rakhungi Saari Umariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana Sanwariya Tohe Jane Naa Dungi

Mere Ghar Aaoge To Makhan Khilaungi
Makhan Khilaungi Mishri Khilaungi
Bhog Lagaungi Mishri Khilaungi
Chahe Tu Fode Gagariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana ...

Makhan Chor Bhagwan Ki Jai
Bal Krishna Lal Ki Jai Ho

Mere Ghar Aao To Palko Pe Bithaungi
Palko Pe Bithaungi Naino Mein Chhupaungi
Dekhungi Bhar Ke Nazariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana Sanwariya Tohe Jane Naa Dungi
Vrindavan Bihari Laal Ki Jai Ho

Mere Ghar Aana Sanwariya
Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aao To Sundar Sajaungi
Mala Bhi Pahnaugi Phoolo Se Sajaungi
Odan Ko Dungi Kamariya
Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana....

Aaja Mere Angna Mein Aao Nandlal
Aaja Mere Angna Mein Aao Gopal
Darshan Ki Pyasi Gujariya Re
Darshan Ki Pyasi Tere Nainan Ki Pyasi
Tere Nainan Ki Pyasi
Jai Radhe Radhe
Jai Radhe Radhe
Shri Radhe
Bolo Makhan Chor Bhagwan Ki Jai
Shri Vrindavan Bihari Lal Ki Jai
Jai Jai Shri Radhe
Jai Jai Shri Radhe
Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Banke Bihari Lal Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Shyam

Tere Sang Mein Rahenge O Mohana

Lyrics- 

Tere Sang Mein Rahenge O Mohana
O Mohana O Mohana

Tum Chand Bano Mai Paani Banu
Mastak Per Milenge O Mohana
Jai Ho ,Shri Radhe

Tum Pushpa Bano Mein Dhaga Banu
Mala Mein Milenge O Mohana

Tum Murali Bano Mein Taan Banu
Adharo Per Milenge O Mohana

Tum Vakta Bano Mai Shrota Banu
Bhagwat Mein Milenge O Mohana

Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Bolo Banke Bihari Lal Ki Jai
Vrindawan Bihari Lal Ki Jai Ho
Jai Shri Radhe Jai Shri Krishna

Main To Japu Sada Tera Naam

Main To Japu Sada Tera Naam Dayalu Daya Karo
Hare Krishna Japo Hare Ram Dayalu Daya Karo

Dwar Khade Hai Bhakt Tumhare
Apni Daya Ke Kholo Dware
Mere Pooran Ho Sab Kaam Dayalu Daya Karo

Banke Bihari Lal Ki Jai Ho


Sadhu Sant Ki Sangat Dena
Apne Naam Ki Rangat Dena
Mujhe Das Banalo Ghanshyam Dayalu Daya Karo

Vrindawan Bihari Lal Ki Jai Ho
Mere Mann Mein Prem Jaga Do
Mujhko Apna Roop Dikha Do
Mujhe Pahuchado Braj Dhaam Dayalu Daya Karo

Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Vrindawan Bihari Lal Ki Jai Ho
Banke Bihari Lal Ki Jai Ho
Jai Jai Shri Radhe Jai Shri Krishna Jai Shri Ram
Zindagi Ka Safar Karne Wale

Zindagi Ka Safar Karne Wale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Waqt Ki Dhar Ye Kah Rahi Hai
Kast Kyu Jindagi Sah Rahi Hai
O Dekh Aisi Jagah Tu Khada Hai
Gyan Ganga Jaha Bah Rahi Hai
Badke Ganga Mein Gota Laga Le
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Zindagi Ka Safar Karne Wale ..

Raat Lambi Hai Gahra Andhera
Kaun Jaane Kaha Ho Savera
Tumhe Har Safar Ka Kinara Milega
Chamakta Hua Har Sitara Milega
Chehre Pe Aayegi Raunak
Jis Din Tumhe Shyam Pyara Milega
Raat Lambi Hai Gahra Andhera
Kaun Jaane Kaha Ho Savera
Tu Hai Anjan Manzil Ka Raahi
Badte Rahana Hi Hai Kaam Tera
Roshani Se Dagar Jagmaga Le
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Zindagi Ka Safar Karne Wale ....

BankeBihari Lal Ki Jai Ho
Sneh Bihari Lal Ki Jai Ho
Zindagi Ka Safar Karne Wale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Bus Tujhe Hai Akele Hi Chalna
Bahut Mumkin Hai Girna Fisalna
Per Girke Girna Nahi Baat Kuchh Bhi
Baat Muskil Hai Girke Sambhalna
Apne Mann Mein Dar Ka Koi Beej Naa Bone Dena
Soyam Sajoye Sapne Ko Hargij Mat Khone Dena
Lakshya Tumhare Kadam Chumane Khud Aayega
Sart Ek Hai Bus Apni Himmat Mat Khone Dena
Soch Ke Har Kadam Tu Uthale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Zindagi Ka Safar Karne Wale ...

Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Ram

Udho hum hue deewane



                                                              Udho Hum Hai Deewane


Dil Pe Aajaye To Rukh Mod De Toofano Ke

Tumne Tewar Dekhe Nahi Hai Deewano Ke

Unse Jab Dil Ki Baat Hoti Hai
Bazam Mein Kayenaat Hoti Hai
Lab Ko Mahsoosh Tak Nahi Hota
Aankho Aankho Mein Baat Hoti Hai
Prem Se Hari Bol
Ek Baar Kahiye Shri Radhe


Iss Duniya Mein Pagal To Sub Hai

Lekin Sachcha Pagal Kaun Hai
Ye Duniya Pagal Khana Hai
Sab Pagal Issme Aate Hai
Kuchh To Hokar Aate Hai
Kuchh Aakar Ho Jate Hai
Koi Pagal Pita Ka Hai
Koi Pagal Hai Maayi Ka
Koi Pagal Hai Beti Ka
Koi Pagal Hai Jamayi Ka
Koi Pagal Hai Daulat Ka
Koi Pagal Hai Kamayi Ka
Koi Pagal Hai Shoharat Ka
Koi Pagal Hai Naari Ka
Aasali Hai Vo Hi Pagal
Jo Pagal Hai Bihari Ka

Prem Se Hari Bol
Ek Baar Kahiye Shri Radhe


Nahi Chitra Suna Naa Charitra Likha

Vah Shyam Sundar Ko Jane Hi Kya
Nahi Chitra Lakha
Nahi Charitra Suna
Vah Shyam Sundar Ko Jane Hi Kya
Mann Mein Naa Basa Mohan
To Vah Dhyan Kisi Per Aane Hi Kya
Udho Hum Hai Deewane

Jis Bandar Ne Imali Hi Chakhi
Vah Swad Sudha Pahchane Hi Kya
Jisne Kabhi Prem Kabhi Kiya Hi Nahi
Vah Prem Ki Aaho Ko Jaane Hi Kya
Tu Iss Baat Ko Kya Jaane
Udho Hum Hai Deewane

Dekha Hai Akalwalo Ko Apas Mein Ulajhate
Per Deewane Ko Deewano Se Ladte Nahi Dekha
Ye Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajhlije
Ek Aag Ka Dirya Hai Aur Doob Ke Jana Hai
Udho Hum Hai Deewane

Prem Se Hari Bol
Jai Ho


Ek Baar Kahiye Shri Radhe

Vrindawan Bihari Lal Ki Jai Ho
Tu Iss Baat Ko Kya Jaane
Udho Hum Hai Deewane

Bolo Banke Bihari Lal Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Shyam

Teen Bar Bhojan Aur Bhajan Ek Bar



Teen Bar Bhojan Aur Bhajan Ek Bar
Issme Bhi Aate Hai Jhanjhat Hazaar

Mann Mera Kahata Hai Ganga Nahau... Yamuna Nahau
Jate Jate Raste Mein Aagaya Bukhar

Mandir Ho Aau Jara Darshan Kar Aau
Jate Jate Mandir Ke Lag Gaye Kiwad

Mann Mera Kahta Hai Daan Kar Aau
O Daan Kar Aau Thoda Punya Kar Aau
Mahngai Jyada Aur Bada Parivar

Mann Mera Kahta Hai Maala Jap Aau
Maala Jap Aau Thoda Bhajan Kar Aau
Japte Japte Mala Mein Aagaye Rishtedaar

                                                         Tune Deewana Banaya to



Mei Deewana Bana Tune Deewana Banaya to


Ab Mujhe Hosh Ki Duniya Mein Tamasha Na Bana
Tune Deewana Banaya to Mei Deewana Bana
Mai Apni Aah Ke Sadke Kyoki Meri Aah Mein Bhi
Teri Nigah Ke Andaz Paye Jate Hai

Ishq Mein Deed U Dil Sheesha O Paimana Bana
O Jhoom Ke Baith Gaye Hum Vahi Maikhana Bana

Ye Tamanna Hai Ki Ajad E Tamanna Hi Rahu
Dile Mayush Mein Ab Koi Tamanna Naa Bana

Teri Surat Se Nahi Milti Kisi Ki Surat
Hum Jaha Mein Tasveer Liye Firte Hain

Kisi Ke Haath Mein Heera Kisi Ki Naak Mein Heera
Hume Heero Se Matlab Kya Kyoki Humara Yaar Hai Heera

Nigahe Naaz Se Poochenge Kisi Din Ye Sawal
Tune Kya Kya Naa Banaya Koi Kya Kya Naa Bana

Tu Mila Bhi Hai Tu Juda Bhi Hai
Tera Kya Kahna Tu Mila Bhi Hai Tu Juda Bhi Hai
Tu Sanam Bhi Hai Tu Khuda Bhi Hai

Bolo Vrindavan Bihari Lal Ki Jai
Jai Jai Shri Radhe
Bolo Sanchedarbar Ki Jai
Jai Shri Krishna


Jeewan Maut Ka Khel Hai Pagle


Kahe Ka Rona Dhona

Jitni Ram Ne Bhardi Chavi Utna Chale Khilona

Jeewan Maut Ka Khel Hai Pagle Kahe Ka Rona Dhona
Jitni Ram Ne Bhardi Chavi Utna Chale Khilona
Aaya Hai So Jayega Raja Rank Fakir
Rishi Muni Kya Yogi Dhyani Aur Kya Peer Paigamber
Khali Haath Yaha Se Laute Dara Aur Sikandar
Kamalo Dulat Mann Chahi Juta Lo Heere Aur Moti
Per Itna Yaad Rakhna Tum Kafan Mein Jeb Nahi Hoti
Saath Kisi Ke Nahi Gaya Hai Ye Chandi Aur Sona
Jitni Ram Ne Bhardi Chavi Utna Chale Khilona

Jis Din Tootengi Teri Ye Swaso Ki Janjeere
Jis Din Tootengi Teri Ye Swaso Ki Janjeere
Kaam Nahi Aayengi Tere Kuchh Teri Jagire
Prem Se Kaho Shri Radhe  Maha Thagani Ye Swash Hai
Har Pal Aaye Jaye Ruk Jaye Ye Kab Kaha
Sita Ram Ram Radhe Shyam Shyam
Maut Ke Aage Chale Naa Jag Mein Kisi Ka Jadu Tona
Jitni Ram Ne Bhardi Chavi Utna Chale Khilona

Kothi Bangle Mahal Makan Aur Ye Sab Dhan Daulat
Pal Do Pal Ki Teri Ejjat Pal Do Pal Ki Shohrat
Aaj Jo Paya Tune Jag Mein Kal Padega Khona
Jitni Ram Ne Bhardi Chavi Utna Chale Khilona

Swash Swash Per Krishna Bhaj Aur Vratha Swash Mat Khoye
Naa Jane Yaa Swash Ko Fir Aawan Hoye Naa Hoye
Sita Ram Ram Radhe Shyam Shyam
Jai Ho
Hari Bol
Gaeye Prem Se
Sita Ram Ram Radhe Shyam Shyam
Sita Ram Ram Radhe Shyam Shyam
Sita Ram Ram Radhe Shyam Shyam
Sita Ram Ram Radhe Shyam Shyam
Hari Bol
Shri Radhe
Bolo Sanchedarbar Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Ram


Mere Banke Bihari Sanwariya

Mere Banke Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Kaha Par Nahi Hai
Aankh Walo Ne Tumko Hai Dekha
Kaan Walo Ne Tumko Suna Hai
Tera Darshan Usi Ko Hua Hai
Jiski Aankho Mein Parda Nahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Kaha Par Nahi Hai

Dwarika Deesh Ki Jai Ho
Banke Bihari Lal Ki Jai Ho

Log Peete Hai Pee Pee Ke Girte
Hum Peete Hai Girte Nahi Hai
Hum Peete Hai Satsang Ka Pyala
Yeh Angoori Madira Nahi Hai
Ye Nasha Jaldi Chadta Nahi Hai
Chad Jaye Utarata Nahi Hai
Log Jeete Hai Duniya Ke Dar Se
Hume Duniya Ki Parwah Nahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Kaha Par Nahi Hai

Subah Shaam Maine Tujhko Pukara
Subah Shaam Maine Tumko Pukara
Tere Naam Ka Leke Sahara
Tere Bhakto Ne Jab Bhi Pukara
Tere Aane Mein Deri Nahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Mere Banke Bihari Sanwariya
Mere Kunj Bihari Sanwariya
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai
Tera Jalwa Yaha Per Yahi Hai


Radha Ki Kirpa


Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Kisi Desh Mein Ho
Chahe Kisi Vesh Mein Ho
Chahe Kisi Parivesh Mein Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Kisi Rang Mein Ho
Chahe Kisi Dhang Mein Ho
Chahe Kisi Terang Mein Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Vo Ghar Mein Ho
Chahe Vo Ban Mein Ho
Chahe Kisi Uljhan Mein Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Amir Ho
Chahe Garib Ho
Chahe Bigadi Taqdeer Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Vo Dukhi Ho
Chahe Vo Sukhi Ho
Chahe Jeevan Mushkil Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Chahe Vo Dhyani Ho
Chahe Vo Gyani Ho
Chahe Vo Agyani Ho
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Radha Ki Kirpa Krishna Ki Kripa Jispe Ho Jaye
Bhakti Ko Paaye Mauj Udaye Mauj Udaye
Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Radhe


Bharosa Kar Le Bhagwan Ka

Bharosa Kar Le Bhagwan Ka Tujhe Dokha Nahi Hoga
Ye Jeevan Beet Jayega Tujhe Rona Nahi Hoga


Kabhi Sukh Hai Kabhi Dukh Hai Ye Jeevan Dhoop Hai Chhaya
Naa Kar Abhiman Tu Dhan Ka Ye Pal Do Pal Ki Maya Hai



Jo Sukh Aaye To Hans Lena Jo Dukh Aaye To Sah Lena
Sunana Aur Kisi Ko Naa Guruji Ko Suna Dena

Naa Kar Abhimaan Tu Dhan Ka Naa Tere Saath Jayega
Naa Jayega Ye Rath Haathi Naam Ek Saath Jayega

Ye Bachpan Khel Mein Khoya Jawani Neend Mein Soya
Budapa Dekhar Roya Prabhu Ab Aasra Tera


Mero Kanha Gulab Ka Phool

Mero Kanha Gulab Ka Phool Kishori Meri Kusum Kali
Kanha Mero Nandju Ko Chhona Shri Radhe Vrishubhan Lali

Banke Bihari Lal Ki Jai Ho
Radha Rani Sarkar Ki Jai Ho

Kanha Mange Makhan Lona Radhe Bhave Mishri Ki Dali
Kanha Khele Nandju Ke Angna Radhe Kehle Rangeeli Gali
Brajnidhi Darshan Ki Pyasi Voto Bhatkat Gali Gali
Mohe Bhave Bihariji Ko Naam Chalori Sakhi Darshan Ko


Teri Sharan Pada Hu


Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Jo Deekhta Jagat Mein Khata Hai Kaal Sabko
Wah Kaal Unse Darte Jispe Teri Mehar Ho
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai

Mai Hu Sada Hi Tera Bin Mol Ka Hu Chera
Kuchh Bhi Karo Karalo Mera Nahi Udar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai


Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Vyapak Sabhi Jagat Mein Tuhi Jhalak Raha Hai
Tujhko Naa Koi Jaane Per Sabki Tujhe Khabar Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai

Tera Hi Ansh Hu Mai Haqdaar Tere Darr Ka
Teri Hi God Mein Hu Ab Naa Kisi Ka Darr Hai
Tera Hi Geet Gau Dooja Nahi Jikar Hai
Teri Sharan Pada Hu Mujhko To Kya Fikar Hai

Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam


Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari
Shyam Rang Mein Rang Gayi Radha Bhooli Sudh Budh Sari

Shyam Naam Ki Chunar Odhi Shyam Naam Ki Chudiya
Aang Aang Mein Shyam Samaye Mit Gayi Saari Dooriya
Kaano Mein Kundal Gal Vaijanti Mala Lage Pyari
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari



Baith Kadam Ki Dali Kanhaiya Murali Madhur Bajaye
Sajh Sagare Murali Ke Swar Radha Radha Gaye
Iss Murali Ki Taan Pe Jaye Ye Duniya Balihaari
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari
Radha Ke Mann Mein Rang Gaye Shyam Bihari

Adhar Sudha Ras Murali Raje Kanha Raas Rachaye
Krishna Rachaeya Radha Rachana Prem Sudha Barsaye
Prem Magan Ho Sab Hi Bolo Jai Ho Banke Bihari
Radha Ke Mann Mein Bus Gaye Shyam Bihari


Maine Chhod Diya Jag Sara


Maine Chhod Diya Jag Sara Mujhe Mila Na Banshi Wala

Mathura Dhunda Gokul Dhunda Dhunda Vrindawan Sara
Mujhe Mila Na Banshi Wala

Gauo Mein Dhunda Gwalo Mein Dundha Maine Dhunda Madhwan Sara
Mujhe Mila Na Banshi Wala

Kusum Sarovar Chandra Sarovar Maine Dhunda Yamuna Kinara
Mujhe Mila Na Banshi Wala

Mujhe Mil Gaya Preetam Pyara Nithwan Mein Mil Gaya Pyara
Mujhe Mila Na Banshi Wala

Mor Mukut Pitambar Sohe Gal Vaijanti Mala
Mujhe Mila Na Banshi Wala

Vrindavan Mein Jai Radhe Radhe
Yamuna Tat Pe Jai Radhe Radhe
Bansi Vat Pe Jai Radhe Radhe
Godan Gali Mein Jai Radhe Radhe
Maan Gali Mein Jai Radhe Radhe
Kunj Gali Mein Jai Radhe Radhe
Banke Bihari Jai Radhe Radhe
Hamari Pyari Jai Radhe Radhe
Tumhari Pyari Jai Radhe Radhe
Hum Sabki Pyari Jai Radhe Radhe
Pyari Pyari Jai Radhe Radhe
Pran Vallabha Jai Radhe Radhe
Jai Radhe Radhe
Jai Radhe Radhe
Mujhe Mil Gaya Preetam Pyara
Nithwan Mein Mil Gaya Pyara
Maine Chhod Diya Jag Sara
Mujhe Mila Gaya Murali Wala
Mujhe Mila Gaya Banshi Wala
Jai Ho Shri Radhe
Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Bolo Banke Bihari Lal Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Jai Shri Radhe


Mai To Kahungi Baja Ke Dhol


Mai To Kahungi Baja Ke Dhol Vo Girdhar Mera Hai

Koi Kahe Halka Koi Kahe Bhar Maine Leno Taraju Tol
Vo Girdhar Mera Hai

Koi Kahe Kala Koi Kahe Gora Vo To Mera Chandra Chakor
Vo Girdhar Mera Hai

Koi Kahe Chhota Koi Kahe Mota Vo To Aap Hi Gol Matol
Vo Girdhar Mera Hai

Koi Kahe Mahanga Koi Kahi Sasta Maine Leeno Amolak Mol
Vo Girdhar Mera Hai

Koi Ghar Mein Koi Kahe Van Mein Vo To Radha Sang Kilol
Vo Girdhar Mera Hai

Vrindavan Mein Radhe Radhe
Yamuna Tat Pe Radhe Radhe
Bansi Vat Pe Radhe Radhe
Godan Gali Mein Radhe Radhe
Maan Gali Mein Radhe Radhe
Kunj Gali Mein Radhe Radhe
Banke Bihari Radhe Radhe
Hamari Pyari Radhe Radhe
Tumhari Pyari Radhe Radhe
Hum Sabki Pyari Radhe Radhe
Pyari Pyari Radhe Radhe
Pran Vallabha Radhe Radhe
Jai Ho
Shir Radhe


Mohe Bhaave Bihari Ji Ko Naam

Mohe Bhaave Bihari Ji Ko Naam Chalo Ri Sakhi Darshan Ko

Banki Sundar Murat Bhave Chitwan Chit Mein Jaye Samave
Main To Jaake Padungi Wake Paav chalo Ri Sakhi Darshan Ko

Phoolo Ki Mala Pahnau Thakur Ji Ko Bhog Lagau
Bihari Ji Ko Bhog Lagau Mere Ban Jaye Bigade Kaam
Chalo Ri Sakhi Darshan Ko

Yamuna Bahrahi Taran Tarani Pawan Param Sumangal Karni
Yaki Pooja Se Hove Pooran Kaam Chalo Ri Sakhi Darshan Ko

Ghar Ghar Mandir Hai Vrindavan Darshan Karenge Nange Paav
Mandir Mein Milege Shyama Shyam Chalo Ri Sakhi Darshan Ko


Hari Naam Ka Sumiran Kiya Karo


Hari Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Prabhu Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Hari Ke Sahare Jiya Karo

Ye Durlabh Manav Tann Tune Bade Bhagya Se Paya Hai
Vishyo Mein Padkarke Tune Heera Janam Gavaya Hai
Naam Usi Kaa Liya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo

Pata Nahi Ye Kab Ruk Jaye Chalte Chalte Swash Teri
Hari Naam Nam Bin Nahi Bujhegi Badti Rahegi Aas Teri
Aanand Amrit Piya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo

Kal Ka Din Kisne Dekha Hai Aaj Ke Din Ko Khoye Kyo
Jin Ghadiyo Mein Hans Sakte Hai Unn Ghadiyo Mein Roye Kyu
Naam Ka Sumiran Kiya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo

Har Prani Se Pyar Karo Har Ek Mein Vahi Samaya Hai
Milkar Rahna Sab Hai Apne Koi Nahi Paraya Hai
Dukh Naa Kisi Ko Diya Karo Hari Ke Sahare Jiya Karo


Radha Naam Ka Sumiran Kiya Karo
Krishna Ka Sumiran Kiya Karo
Shri Krishna Ka Sumiran Kiya Karo
Bolo Sanchedarbar Ki Jai
Jai Shri Radhe
Jai Shri Krishna


Sacche Na Sahi Jhoote Hi Sahi


Sacche Na Sahi Jhoote Hi Sahi Aakhir Toh Tere Deewane Hain
Pahle To Banaya Tha Apna Fir Mukhda Kaise Mod Liya
Thakur Layak Na Sahi Jahil Hi Sahi Aakhir Toh Tere Deewane Hain

Betab Naa Kar Barbaad Naa Kar Hairaan Naa Kar Apni Rahmat Se
Dana Naa Sahi Nadan Hi Sahi Aakhir Toh Tere Deewane Hain

Mujhe Raas Aa Gaya Hai


Mujhe Raas Aa Gaya Hai Tere Dar Pe Sar Jhukana
Tujhe Mil Gayi Pujaarin Mujhe Mil Gaya Thikaana

Mujhe Kaun Janta Tha Teri Bandagi Se Pahale
Teri Yaad Ne Bana Di Meri Jindagai Fasana

Mujhe Iska Gam Nahi Hai Ki Badal Gaya Jamana
Meri Jindagi ke Malik Kahi Tum Badal Naa Jana

Yah Sar Vo Sar Nahi Hai Jise Rakh Du Phir Uthalu
Jab Chad Gaya Charan Me Aata Nahi Uthana


Mujhe Tumne Data 

Mujhe Tumne Data Bahut Kuchh Diya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya

Naa Milti Agar Dee Hue Daat Teri
To Kya Thi Zamane Me Aukat Meri
Tumhi Ne To Jeene Kabhil Kiya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya

Mujhe Hai Sahara Teri Bangi Kaa
Hai Jisper Gujara Meri Jindgi Kaa
Mila Mujhko Jo Kuchh Tumhi Se Mila Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya

Kiya Kuchh Naa Maine Saram Saar Hu Mai
Teri Rahmato Ka Talabgaar Hu Mai
Diya Kuchh Nahi Bus Liya Hi Liya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya

Mila Mujhko Jo Kuchh Badulat Tumhari
Mera Kuchh Nahi Sab Hai Daulat Tumhari
Usse Kya Kami Jo Tera Ho Liya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya

Mera Hi Nahi Tu Sabhi Ka Hai Data
Tu Hi Sabko Deta Tu Hi Hai Dilata
Tera Hi Diya Hi Maine Khaya Piya Hai
Tera Shukriya Hai Tera Shukriya


Anupam Sundara Nanda Kishora

Listen to anupam sundar nand kishore


Anupam Sundara Nanda Kishora Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Chhora Mann Mohan Ghanshyam
Murli Madhav Radhe Govinda Madhusudan Ghanshyam

Anupam Sundara Nanda Ko Lala Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Chhora Mann Mohan Ghanshyam
Banke Bihari Sneh Bihari Kamal Nayan Abhiram

Anupam Sundara Nanda Ko Dhota Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Kanha Mann Mohan Ghanshyam
Kunj Bihari Bhakt Hitkari Natwar Sundar Shyam

Anupam Sundara Nanda Ko Dhota Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Kanha Mann Mohan Ghanshyam
Kunj Bihari Bhakt Hitkari Natwar Sundar Shyam

Anupam Sundara Nanda Kishora Mann Mohan Ghanshyam
Anupam Sundara Nanda Ko Chhora Mann Mohan Ghanshyam
Murli Madhav Radhe Govinda Madhusudan Ghanshyam


Zari Ki Pagdi Bandhe 


Zari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankho Wala
Kitna Sundar Lage Bihari Kitna Laage Pyara

Kano Me Kundal Saaje Sir More Mukut Viraje
Sakhiya Pagali Hove Jab Jab Hotho Banshi Baje
Hai Chanda ye Sanwara Taare Hai Gwal Bala
Kitna Sundar Lage ..

Lat Ghunghare Baal Tere Kale Kale Baal
Sundar Syam Salona Teri Tedi Medi Chal
Hawa Me Sar Sar Karata Tera Pitammber Matwala
Kitna Sundar Lage ..

Mukh Pe Makhan Malta Tu Bal Ghutne Ke Chalta
Dekh Yashoda Ke Bhaag Ko Devo Ka Man Jalta
Mathe Pe Tilak Sohe Aankho Me Kajal Dara
Kitna Sundar Lage ..

Tu Jab Banshi Bajaye Tab More Bhi Naach Dikhaye
Yamuna Me Lahare Uthati Aur Koyal Bhi Ku Ku Gaye
Haath Me Kangan Pahne Aur Gal Vaijanti Mala
Kitna Sundar Lage ..


Teeno Lokan Se Nayari

Listen to teeno lokan se nyari 

Teeno Lokan Se Nayari O Radha Rani Hamari
Sankadik Tero Yash Gave Brahma Vishnu Aarati Utaare
Dekho Indra Lagavye Buhaari O Radha Rani Hamari

Sarveshwari Jagat Kalyani Braj Ki Malik Radha Rani
Yaha Koi Naa Rahta Bhikhari O Radha Rani Hamari

Ek Baar Jo Bole Radha Kat Jaye Jeevan Ki Badha
Ha Kripa karo Maharani Kripa karo Maharani
O Radha Rani Hamari


Hari Bol Hari Bol


Hari Bol Hari Bol
Jai Jai Radha Raman Hari Bol


Radha Ko Naam Anmol


Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Brahma Bhi Bole Radhe Vishnu Bhi Bole Radhe
Shankar Ke Damroo Se Awaz Aave Radhe Radhe
Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe

Ganga Bhi Bole Radhe Yamuna Bhi Bole Radhe
Saryoo Ki Dhaar Se Awaz Aave Radhe Radhe

Chanda Bhi Bole Radhe Suraj Bhi Bole Radhe
Taaro Ke Mandal Se Awaz Aave Radhe Radhe

Gaeya Bhi Bole Radhe Bachhada Bhi Bole Radhe
Dhoodh Ki Dhaar Se Awaz Aave Radhe Radhe

Gopi Bhi Bole Radhe Gwale Bhi Bole Radhe
Braj Ki Sab Galiyo Se Awaz Aave Radhe Radhe

Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe
Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe


Shayam Teri Bansi Baje



Shayam Teri Bansi Baje Dheere Dheere
Baje Dheere Dheere Shri Yamuna ji Ke Teere

Itt Mein MannSukh Utt Mein Dhan Sukh
Beech Mein Kanhaiya Chale Dheere Dheere

Itt Mein Lalita Utt Mein Vishakha
Beech Mein Radhe Chale Dheere Dheere

Itt Mein Mathura Utt Mein Gokul
Beech Mein Yamuna Bahe Dheere Dheere


Lala Teri Murali Haule Haule

Shayam Teri Bansi Baje Dheere Dheere


Chhoti Choti Gaiyan 

Chhoti Choti Gaiyan Chhote Chhote Gwal
Chhoto So Mero Madan Gopal

Aage Aage Gayian Pichhe Pichhe Gwal
Beech Mein Mero Madan Gopal

Kaari Kaari Gaiyan Gore Gore Gwal
Shyam Varan Mero Madan Gopal

Ghaas Kaave Gaiyan Doodh Peeve Gwaal
Maakhan Khaave Mero Madan Gopal

Chhoti Chhoti Lakooti Chhote Chhote Haath
Bansi Bajaave Mero Madan Gopal


Chhoti chhoti Sakhiya Madhuban Baag
Raas Rachave Mero Madan Gopal


Tera Pal Pal Bita Jaye Re

Listen to tera pal pal beeta jaaye

Tera Pal Pal Bita Jaye Re Mukh Se Jap Le Namah Shivaye

Om Namah Shivaye Om Namah Shivaye Om Namah Shivaye

Shiv Shiv Tum Harday Se Bolo Mann Mandir Ka Parda Kholo
Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye

Ye Duniya Panchhi Ka Mela Samjho Udd Jana Hai Akela
Tan Mann Saath Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye

Mushafiri Jab Poori Hogi Chalne Ki Majboori Hogi
Pinjara Pran Rah Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye


Tera Avsar Khali Na Jaye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye

Shiv Poojan Me Mast Bane Ja Bhakti Sudha Raspaan Kiye Ja
Darshan Vishvanaath Ke Paye Mukh Se Jap Le Namah Shivaye
Tera Pal Pal Bita Jaye Re Mukh Se Jap Le Namah Shivaye


Radhe Radhe Gaate Rahana

Radhe Radhe Radhe Radhe
Radhe Radhe Gaate Rahana
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna

Vrindaban Aake Tere Bhaag Khul Jayenge
Yamuna Naha Ke Saare Pap Dhul Jayenge
Baar Baar Yamuna Nahate Rahana
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahana

Chain Bhi Milega Aaram Bhi Milega
Radha Ki Kripa Se Tumhe Shyam Bhi Milenge
Dono Ko Hirdaya Me Basate Rahana
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna

Vrindaban Ek Baar Jo Aajayega
Dil Baar Baar Phir Se Aana Chahega
Vridaban Ki Parikrama Lagate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna

Aaao Jhoom In Galiyo Me
Radhe Radhe Bolo Braj Galiyo Me
Santo Ki Prasadi Bhi Paate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna

Ek Baar Aake Jara Dharshan To Karlo
Bihari Ji Ki Chhavi Ko Aankho Me Bharlo
Charno Me Sheesh Navate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna

Krishna Ka Kahte Hai Radha Raani
Aur Radha Ka Hardya Ye Braj Bhoomi
Braj Raj Sheesh Chadate Rahna
Jaldi Jaldi Vrindaban Aate Rahna

Aaate Rahan Gaate Rahana

Radhe Radhe Radhe Radhe
Radhe Radhe Radhe Radhe


Zara Chalke Zara Chalke


Zara Chalke Zara Chalke Brindavan Dekho
Zara Hatke Hatke Zamane Se Dekho
Shyam Banshi Bajate Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho

Jhoola Jhool Rahi Hongi Radha Rani
Shyam Jhoola Jhulate Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho ..


Shri Radhe Shri Radhe Shri Radhe

Saath Me Unke Gwal Baal Honge
Shyam Gaue Charate Hue Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho ..


Abhi Rooth Gayi Hongi Radha Rani
Shyam Banshi Bajate Milenge
Zara Chalke Brindavan Dekho ..


Chhiin Liya Mera Bhola Sa Mann

Chhiin Liya Mera Bhola Sa Mann
Radha Raman Pyaro Radha Raman
Gokul Ka Gwala Braj Ka Basaiya
Sakhiyo Ka Mohan Maa Ka Kanhaiya
Bhakto Ka Jeevan Nirdhan Ka Dhan
Radha Raman Pyaro Radha Raman

Yamuna Ke Jal Me Vahi Shyam Khele
Lahro Me Uchhale Aur Mare Dhanere
Bhichhudan Kabhi Hovye Mohan Milan
Radha Raman Pyaro Radha Raman

Ja Kar Ke Dekha Mandir Ke Andar
Baitha Vahi Baba Vo Shyam Sundar
Kundal Varan Aur Tirchhi Chalan
Radha Raman Pyaro Radha Raman



Ye Bol Bade Anmol O Rasna Radhe Radhe Bol
Radhaji Barsane Wali Radhaji Brij Bhanu Dulari
Do Akshar Adhar Jagat Ke Ye Akshar Anmol
Rasna Radhe Radhe Bol Apni Vani mein Amrit ghol

Radhaji Maha Raas Rachavye Radhaji Nandalal Nachavye
Is Chhawi Ko Basa Kar Nayanan Me Andar Ke Pat Khol
Rasna Radhe Radhe Bol

Bin Radha Nahi Saje Bihari Bin Radha Nahi Mile Banwari
Inke Charan Pakade Nadan Bhatke Na Dar Dar
Rasna Radhe Radhe Bol


Dhara To Beh Rahi Hai 



Dhara To Beh Rahi Hai Shri Radha Naam Ki
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke

Soojhe Kuchh Aur Nahi Vrinda Van Dhaam Ke
Soojhe Kuchh Aur Shri Radha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke
Dhara To Beh Rahi Hai Shri Radha Naam Ki

Radha Ke Naam Ka Ye Saya Ghana Ghana Hai
Har chhad Hardaya Me Rahti Radha Ki Kalpana Hai
Aaate Nazar Bihari Sang Radha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke

Ab Bhi Samay Hai Murakh Buddhi Se Kaam Le Le
Tar Jayega Jeewan Ye Jeewan Shri Raadha Naam Le Le
Nashwar Hai Tera Jeewan Bin Raadha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke

Insaan Bhool Hai To Radha Chhama Daya Hai
Radha Charan Mile To Soni Ki Dhool Kya Hai
Brahama Sar Jhooka De Is Radha Naam Pe
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke

Vishwash Chahata Hai To Bol Dhara Dhara
Tujh Ko Sunai Dega Khud Radha Radha
Jadoo Alag Juda Hai Radha Naam Ke
Hum Ho Gaye Diwane Shri Radha Naam Ke


Na Mein Meera Na Mein Radha

Listen to na main meera

Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai
Pass Mere To Khuchh Bhi Nahi Hai Charno Me Sheesh Jhukana Hai

Jab Se Teri Surat Dekhi Usme Prem Ki Murat Dekhi
Apana Tujhe Banana Hai 
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai

Jab Tak Saadhan Kuchh Na Janu Apni Lagan Ko Sab Kuchh Manu
Dil Ka Dard Sunana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai

Janam Janam Se Bhooli Tumko Ab Jakar Hu Jaani Tumko
Ab Na Tumhe Bhoolana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai

Daasi Teri Sharan Me Aayi Lagan Milan Ki Mann Me Samai
Prem Ki Bhetein Chadana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai

Pass Mere To Khuchh Bhi Nahi Hai Charno Me Sheesh Jhukana Hai
Na Mein Meera Na Mein Radha
Phir Bhi Shyam Ko Pana Hai Na Mein Meera Na Mein Radha


Dukh Me Mat Ghabrana Panchi

Listen to dukh me mat ghabrana

Dukh Me Mat Ghabrana Panchi Ye Jag Dukh Ka Mela Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Par Udna Tujhe Akela Hai

Nanhe Komal Pankh Ye Tere Aur Gagan Ki Ye Doori
Baith Gaya To Kaise Hogi Mann Ki Abhilaasha Puri
Uska Naam Amar Hai Jag Me Jisne Sankat Jhela Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Per Udna Tujhe Akela Hai

Chatur Shikari Ne Rakha Hai Jaal Bichha Kar Pag Pag Par
Fas Mat Jaana Bhool Se Pagle Nahi Pachhatayega Jeevan Bhar
Moh Maya Me Tu Mat Fasna Bada Samajh Ka Fera Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Per Udna Tujhe Akela Hai

Jab Tak Suraj Aasman Par Badta Chal Tu Badta Chal
Ghir Jayega Andhar Jab Bada Kathin Hoga Pal Pal
Kise Pata Ki Udd Jane Ki Ajadi Kab Bela Hai
Chahe Bheed Bhadi Ambar Per Udna Tujhe Akela Hai



Yeh Toh Prem Ki Baat Udhav

Listen to yeh to prem ki baat hai udho

Yeh Toh Prem Ki Baat Udhav Bandagi Tere Bas Ki Nahi Hai
Yaha Sir Deke Hote Hai Saude Aashique Itni Sasti Nahi Hai

Prem Walo Ne Kab Waqut Poohha Unki Pooja Me Sunle E Udhav
Yaha Dum Dum Me Hoti Hai Pooja Sir Jhukane Ki Phursat Nahi Hai

Jo Asal Me Hai Masti Me Dube Unhe Kya Parvaha Jindagi Ki
Jo Utarti Hai Chadti Hai Masti Vo Hakikat Me Masti Nahi Hai


Jiski Nazaro Me Hai Shyam Pyare Vo To Rahte Hai Jag Se Niyare
Jiski Nazaro Me Mohan Samaye Vo Nazar Phir Tarasti Nahi Hai


Ram Naam ke Heere Moti

Listen to ram naam ke heere moti

Ram Naam ke Heere Moti Mai Bikhrau Gali Gali
Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara Shor Machau Gali Gali
Ram Naam ke Here Moti Mai Bikhrau Gali Gali
Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara Shor Machau Gali Gali

Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya

Listen to uth pardesi tera waqt

Abhi To Jagaya Tujhe Fir So Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya
Agar Bhajan Aatur Karo
Nadi Rukhna Jab Tab Hove Vinash
Abhi To Jagaya Tujhe Fir So Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya

Hum Pardesiyo Ki Yahi Hai Nishani
Aaye Aur Chale Gaye Khatam Kahani
Koi Chala Hanste Hanste Koi Ro Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya

Kya Khabar Dil Ki Lagi Bhi Ho Naa Ho
Dil To Hai Zindadili Bhi Ho Naa Ho
Aaj Hi Ka Din Hai Jo Karna Hai Kar
Kal Naa Jane Jindagi Ho Naa Ho

Jab Tum Jag Mein Aaye The
Sab Hanse Tum Roye
Kabira Aisi karni Kar Chalo
Jo Pachhe Hansi Naa Hoye

Saare Riste Naate Tere Yahi Rah Jayenge
Heere Aur Moti Tere Kaam Nahi Aayenge
Anmol Jeevan Tera Vyarth Kho Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya

Insaan Ke Kandho Per Insaan Jaa Rahe Hai
Kafno Mein Lipte Hue Kuchh Arman Jaa Rahe Hai
Jinko Naa Mila Sukun Iss Bhaagti Duniya Mein
Ab Sukun Ki Talash Mein Shamshan Ja Rahe Hai

Naa Ek Pal Chain Se Baitho Naa Meethi Need So Pau
Miya Iss Muktsar Si Jindgi Mein Kya Chahte Ho
Ab Jaag Mushafir Hosh Mein Aaa
Kuchh Mol Samajh Iss Jeevan Ka


Sir Per Gathari Tere Paap Ki Hai

Pal Pal Per Nagin Santap Ki Hai
Naa Apna Koi Saathi Hai
Aur Lamba Safar Hai Jeevan Ka
Ab Jaag Mushafir Hosh Mein Aaa
Kuchh Mol Samajh Iss Jeevan Ka

Bhav Sagar Ab Sookh Gayo Hai
Fikar Nahi Ab Taranan Ki
Kuchh Mol Samajh Iss Jeevan Ka
Ab Jaag Mushafir Hosh Mein Aaa

Iss Duniya Mein Tera Koi Apna Nahi
Koi Pardesi Yaha Der Tak Ruka Nahi
Vapas Naa Aaya Ek Baar Jo Gaya
Uth Pardesi Tera Waqt Ho Gaya


Sanwariya Tere Liye

Listen to sanwariya tere liye

Sanwariya Tere Liye Tere Liye
Meine Jogan Bhesh Banaya
Tod Diya Maine Jag Se Naata
Tere Siva Ab Kuchh Naa Suhata
Tune Aisa Jadu Chalaya
Sanwariya Tere Liye ..

Hasna To Ona Di Aadat Si
Asi Galat Andaza Laa Baithe
O Haste Haste Vasde Rahe
Asi Apna Aap Luta Baithe
Saanwariya Tere Liye ..

Ye Hai Mere Yaar Ka Jalwa
Ye Hai Mere Dildar Ka Jalwa
Peele Patte Sukhi Sakhe
Khush Rang Sajar Ban Jate Hai
Jab Teri Inayat Hoti Hai
Har Aib Hunar Ban Jaate Hai
Kirdaar Hai Jinka Gangajal
Aur Sab Ki Khidmat Fitrat Hai
Unlogo Ka Dil Dheere Dheere
Khuda Ka Ghar Ban Jaate Hai
Saanweriya Tere Liye ...

Chail Hai Chhaibila Sab Rang Mein Rangeela
Bade Chit Ka Adila Sab Devto Se Nyara Hai
Nandji Ka Pyara Jin Kans Ko Pachhada
Vo Hi Vrindawala Krishna Sahab Hamara Hai
Saanwariya Tere Liye..

Vrindawan Bihari Lal Ki Jai


Mujhe Chad Gaya Radha Rang

Listen to mujhe chhad gaya radha

Mujhe Chad Gaya Radha Rang Rang
Shri Radha Naam Rang Rang

Aisi Kripa Barsayi Hai
Mujhe Naam Ki Masti Chhayi Hai
Mai Ho Gaya Radha Rani Ka
Vrindavan Ki Maharani Ka
Ab Karo Karo Naa Koi Tang
Mujhe Chad Gaya ..

Mai Chhod Chuka Duniya Saari
Ab Nahi Kisi Se Hai Yaari
Koi Kahta Hai Deewana Hu
Pagal Hu Mai Mastana Hu
Mai Ho Gaya Mast Malang
Mujhe Chad Gaya ..

Ho Shri Radha Naam Ka Rang Rang
Shri Radha Naam Ka Rang Rang
Mujhe Chad Gaya Radha Rang Rang
Vrindawan Makarand Hai Rasik Karat Raspaan
Dulhan Pyari Radhika Dulha Shyam Sujan
Mujhe Chad Gaya ..
Bhakt Vatsal Bhagwan Ki Jai
Vrindawan Bihari Laal Ki Jai
Shri Radhe

Jai Radhe Jai Radhe Jai Radhe
Vrindawan Mein Radhe Radhe
Yamuna Tat Pe Radhe Radhe
Jalandhar Mein Radhe Radhe
Vrindawan Mein Radhe Radhe
Jai Radhe Jai Radhe Jai Radhe
Jai Jai Shri Radhe


Bhoolo Mat Pyare

Listen to bhoolo mat pyare

Bhoolo Mat Pyare Bihari Ji Ka Naam
Mere Banke Bihari Hai Sab Sukh Dhaam
Jindagi Jabtak Rahegi Fursat Naa Hogi Kaam Se
Kuchh Samaye Aisa Nikalo Prem Karlo Shyam Se

Banke Bihari Ki Jhaki Suhani
Mahima Mahan Jave Naa Bakhani
Dware Pe Pade Hai Dekho Inke Charo Dham
Mere Banke Bihari Hai

Banke Thakur Ki Banki Thakurani
Mukti Bhi Bharti Hai Aakar  Ke Paani
Sur Muni Sab Inko Karte Pranaam
Banke Bihari Hai Sab Sukh Dhaam

Mandir Mein Rahti Hai Bheed Badi Bhari
Darshan Ko Aate Hai Lakho Nar Naari
Sevak Hai Inki Duniya Tamam
Mere Banke Bihari Hai Sab Sukh Dhaam



Santan Ke Sang Laag Re Teri Achhi Banegi
Achhi Banegi Teri Bigadi Banegi
Teri Kismat Jagegi Teri Achhi Banegi
Santan Ke Sang Bhakti Badegi


Ram Charan Anurag Re Teri Achhi Banegi
Santan Ke Sang Laag Re Teri Achhi Banegi

Kaga Se Tohe Hans Banave
Mit Jaye Dil Ke Daag Re Teri Achhi Banegi

Moh Ratri Mein Bahut Din Soya
Jaag Sake To Jag Re Teri Achhi Banegi

Kahat Kabir Suno Bhai Sadho
Hoye Tero Bado Bhaag Re Teri Achhi Banegi


Dil Kadya Te Pata


Dil Kadya Te Pata Vi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan

Dil Kadya Te Pata Bhi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan
Chori Chori Ghar Mere Aake
Shyama Makhan Le Gaya Mera Chura Ke
Pyara Makhan Le Gaya Mera Chura Ke
Jado Kadya Te Pata Vi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan

Meethi Meethi Taan Suna Ke
Mora Vanghu Paila Paake
Shyama Mora Vanghu Paila Paake
Dekho Paila Paake
Dil Kadya Te Pata Bhi Naa Lagaya
Shyam Diyan Chor Ankhiyan


Mil Jao Ram 

Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Ram Aur Bharat Mein Chhid Gayi
Bhairav Ek Lagayi
Chaudah Baras Ladenge Dono
Chalo Dekhne Bhayi

Aur Ek Ram Hai Aur Ek Bharat Sheel
Avadh Raj Ko Gend Bana
Dono Ne Thokar Maari
Mere Khulus Ki Gahrayi Se Nahi Milte
Ye Jhute Log Hai Jo Sachchai Se Nahi Milte
Mohabbat Ka Sabak De Rahe Hai Duniya Ko
Per Apne Ghar Mein Sage Bhai Se Nahi Milte
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan


Sunahu Bharat Hum Jhut Naa Kahihi
Udasin Tapas Ban Rahihi
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan
Pawan Hetu Patit Pawan Ko
Ho Sawan Jaisi Baras Rahi Ankhiyan
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan


Bahane Lage Hai Bindu Ansuan Ke
Ho Bhav Ke Ras Mein Saras Bhayi Ankhiyan
Mil Jao Ram Taras Rahi Akhiyan


Janam Janam Ki Bhuli Bhatki

Listen to janam janam ki bhuli bhatki

Janam Janam Ki Bhuli Bhatki
Ho Gaya Aaj Ujala Re
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri
Mera Satguru Rangne Wala Ri

Aisa Koi Rangrej Naa Dekha
Tann Mann Sab Rang Dala
Jyo Jyo Dhou Tyo Tyo Chamke
Aisa Rang Nirala
Jisko Milgayi Rang Ki Laali Ho Ho
Wahi Hai Kismat Wala Ri
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri

Sukh Ka Saathi Sab Jagat
Aur Dukh Ka Nahi Koye
Kyoki Dukh Ka Saathi Kewal
Mere Satguru Ho
Aagaya Rangne Wala Ri

Yah Rangrej Bada Hi Anokha
Naa Leta Dhan Maya
Jo Baat Dawa Se Ban Naa Saki
Vo Baat Dua Se Hoti Hai
Jab Sachche Sadguru Milte Hai To
Baat Khuda Se Hoti Hai
Yah Rangrej Bada Hi Anokha
Naa Leta Dhan Maya
Soye Bhaag Hamare Jage
Jo Aisa Satguru Paya

Naa Kuchh Lete Sabkuchh De De
Inka Daan Nirala Re
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri

Failao Apne Daman Ko
Bikhar Rahe Hai Moti
Jeevan Safal Banalo Apna
Jale Prem Ki Jyoti
Darr Pe Tere Aaya Bhikhari
Jholiya Bharne Wala Ri
Lelo Ri Rang Lelo Ri Sakhiyon
Aagaya Rangne Wala Ri


Jab Se Banke Bihari Hamare Hue


Jab Se Banke Bihari Hamare Hue
To Gum Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai
Khud Ba Khud Mit Gayi Meri Sabhi Muskile
Takdeer Ke Daano Ko Bikharne Nahi Dete
Ye Jisko Bana Dete Hai Usko Bigadne Nahi Dete
Khud Ba Khud Mit Gayi Meri Sabhi Mushkile
Jabse Vo Jindagi Ke Sahare Hue
To Gam Jamane Ke Saare Kinaare Hue Hai
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue

Dard Hi Ab Hamari Dawa Ban Gaya
Ye Daag Bhi Daulat Hai
Jo Kuchh Bhi Ye Daulat Hai
Vo Teri Hi Badaulat Hai
Pyare Vo Teri Hi Badaulat Hai
Dard Hi Ab Hamari Dawa Ban Gaya
Dard Mein Bhi Unhi Ke Nazare Hue
Gam Jamane Ke Saare Kinaare Hue 
Jab Se Banke Bihari Hamare Hue

Rakhungi Saari Umariya

Rakhungi Saari Umariya
Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana Sanwariya
Tohe Jane Naa Dungi

Mere Ghar Aaoge To Makhan Khilaungi
Makhan Khilaungi Mishri Khilaungi
Bhog Lagaungi Mishri Khilaungi
Chahe Tu Fode Gagariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana ..

Mere Ghar Aao To Palko Pe Bithaungi
Palko Pe Bithaungi
Naino Mein Chhupaungi
Dekhungi Bhar Ke Nazariya
Tohe Jane Naa Dungi

Mere Ghar Aao To Sundar Sajaungi
Mala Bhi Pahnaugi Phoolo Se Sajaungi
Odan Ko Dungi Kamariya Tohe Jane Naa Dungi
Mere Ghar Aana Sanwariya Tohe Jane Naa Dungi

Aaja Mere Angna Mein Aao Nandlal
Aaja Mere Angna Mein Aao Gopal
Darshan Ki Pyasi Gujariya Re
Darshan Ki Pyasi Tere Nainan Ki Pyasi
Aaja Mere Angna Mein Aao Nandlal

Jai Radhe Radhe
Shri Radhe
Bolo Makhan Chor Bhagwan Ki Jai
Shri Vrindavan Bihari Lal Ki Jai
Jai Jai Shri Radhe
Bolo Sachchidanand Bhagwan Ki Jai
Banke Bihari Lal Ki Jai
Jai Shri Krishna
Jai Shri Shyam


Tere Sang Mein Rahenge

Listen to tere sang mein rahenge

Tere Sang Mein Rahenge O Mohana
O Mohana O Sohana

Tum Chand Bano Mai Paani Banu
Mastak Per Milenge O Mohana

Tum Pushpa Bano Mein Dhaga Banu
Mala Mein Milenge O Mohana

O Tum Murali Bano Mein Taan Banu
Adharo Per Milenge O Mohana

O Tum Vakta Bano Mai Shrota Banu
Bhagwat Mein Milenge O Mohana


Main To Japu Sada

Main To Japu Sada Tera Naam Dayalu Daya Karo
Hare Krishna Japo Hare Ram Dayalu Daya Karo

Dwar Khade Hai Bhakt Tumhare
Apni Daya Ke Kholo Dware
Mere Pooran Ho Sab Kaam
Dayalu Daya Karo

Sadhu Sant Ki Sangat Dena
Apne Naam Ki Rangat Dena
Mujhe Das Banalo Ghanshyam
Dayalu Daya Karo

Mere Mann Mein Prem Jaga Do
Mujhko Apna Roop Dikha Do
Mujhe Pahuchado Braj Dhaam
Dayalu Daya Karo


Zindagi Ka Safar


Zindagi Ka Safar Karne Wale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le
Waqt Ki Dhar Ye Kah Rahi Hai
Kast Kyu Jindagi Sah Rahi Hai
O Dekh Aisi Jagah Tu Khada Hai
Gyan Ganga Jaha Bah Rahi Hai
Badke Ganga Mein Gota Laga Le
Apne Mann Ka Diya To Jala Le

Raat Lambi Hai Gahra Andhera
Kaun Jaane Kaha Ho Savera
Tumhe Har Safar Ka Kinara Milega
Chamakta Hua Har Sitara Milega
Chahre Pe Aayegi Raunak
Jis Din Tumhe Shyam Pyara Milega
Tu Hai Anjan Manzil Ka Raahi
Badte Rahana Hi Hai Kaam Tera
Roshani Se Dagar Jagmaga Le
Apne Mann Ka Diya To Jala Le


Bus Tujhe Hai Akele Hi Chalna
Bahut Mumkin Hai Girna Fisalna
Per Girke Girna Nahi Baat Kuchh Bhi
Baat Muskil Hai Girke Sambhalna
Apne Mann Mein Dar Ka Koi Beej Naa Bone Dena
Soyam Sajoye Sapne Ko Hargij Mat Khone Dena
Lakshya Tumhare Kadam Chumane Khud Aayega
Sart Ek Hai Bus Apni Himmat Mat Khone Dena
Soch Ke Har Kadam Tu Uthale
Apne Mann Ka Diya To Jala Le


Dil Pe Aajaye To

Dil Pe Aajaye To
Rukh Mod De Toofano Ke
Tumne Tewar Dekhe
Nahi Hai Deewano Ke
Udho Hum Hai Deewane

Unse Jab Dil Ki Baat Hoti Hai
Bazam Mein Kayenaat Hoti Hai
Lab Ko Mahsoosh Tak Nahi Hota
Aankho Aankho Mein Baat Hoti Hai
Udho Hum Hai Deewane

Iss Duniya Mein Pagal To Sub Hai
Lekin Sachcha Pagal Kaun Hai
Ye Duniya Pagal Khana Hai
Sab Pagal Issme Aate Hai
Kuchh To Hokar Aate Hai
Kuchh Aakar Ho Jate Hai
Koi Pagal Pita Ka Hai
Koi Pagal Hai Maayi Ka
Koi Pagal Hai Beti Ka
Koi Pagal Hai Jamayi Ka
Koi Pagal Hai Daulat Ka
Koi Pagal Hai Kamayi Ka
Koi Pagal Hai Shoharat Ka
Koi Pagal Hai Naari Ka
Aasali Hai Vo Hi Pagal
Jo Pagal Hai Bihari Ka
Udho Hum Hai Deewane

Nahi Chitra Suna Naa Charitra Likha
Vah Shyam Sundar Ko Jane Hi Kya
Mann Mein Naa Basa Mohan
To Vah Dhyan Kisi Per Aane Hi Kya
Vah Dhyan Kisi Per Aane Hi Kya
Jis Bandar Ne Imali Hi Chakhi
Vah Swad Sudha Pahchane Hi Kya
Jisne Kabhi Prem Kabhi Kiya Hi Nahi
Vah Prem Ki Aaho Ko Jaane Hi Kya
Tu Iss Baat Ko Kya Jaane
Udho Hum Hai Deewane

Dekha Hai Akalwalo Ko Apas Mein Ulajhate
Per Deewane Ko Deewano Se Ladte Nahi Dekha
Udho Hum Hai Deewane
Ye Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajhlije
Ek Aag Ka Dirya Hai Aur Doob Ke Jana Hai
Udho Hum Hai Deewane