1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Monday, 9 January 2012


Lata Bhajans : Meera Kabir Surdas 






Na main dharmi


Listen to na main dharmi

Lyrics-

na main dharmi na hi adharmi
na main jati na kaami hoon
na main kehta na main sunta
na main sevak swami hoon

moko kahan dhundhe bande
main to tere paas hi
na main deval na main masjid
na kabe kailash mein

na main bandha na main mukta
na main phirat narangi hoon
na kahu se nyara hua na kahu ke sangi hoon
na main dharmi...
moko kahan dhundhe ..

na hum nark lok ko jaate na hum swarg sidhare ho
sabhi karma humara kiya hum karman se nyare ho

khoji hoyi to turatahe miliyo
pal bhar ki talash mein
keha kabir sun bhai sadho
sab saanson ki saans mein

Dinaanah ab baari tumhari

Listen to deenanath ab bari tumhari

Lyrics-

Dinaanath ab baari tumhari
thakit udaran deen jaani ke
begadi dehun sambhari

bala pan khelat hi khoya
yauvan vishras gholi
vriddha bhayo sudhi pragati moko
dukhit pukarat tohi

naari tajo sut tajo bhai tajo
tan ki twacha bhayi nyari
srawan na sunat charan gai dhari
nayan bhaye jaldhari

ab yeh vyatha door karne ko
aur na samrath koi
surdas prabhu karunasagar
tumse hoyi so hoyi

Saheliyan sajan ghar aaya re

Listen to sahelyon saajan ghar aaya

Lyrics-

saheliyaan saajan ghar aaya re
bohat deena ki jovati
birahana piya paya ri

ratna karun nichavare
le aarti utarun re

piya ka diya sandesha va
tahi bohat niharungi

meera sakhi ke aangane
mili mangal gavegi

Naina lobhi re

Listen to naina lobhi re

Lyrics-

Naina lobhi re
bahuri thake nahi aayen
badan chand par daar satya heri
mand mand muskaaye

main khadi ghar apne hi
mohan nikale aayen

log kutumbi mohe roke
man manat nahi hai

bhali kaho koi buri kaho
main dayi sheesh chadhaya

meera ke prabhu giridhar nagar
pal bhar rahyo na jaye

Jheeni jheeni

Listen to jheeni jheeni bini

Lyrics-

jheeni jheeni jheeni bini chadariya
kahe se buni buni
sukhman taar se bini chadariya

aanth kamaldal charkha dole
paanch tatva god kini chadariya

saayin siyat das maas jage
thok thok ke bini chadariya

so chadar sur nar muni odhe
odh ke maili kini chadariya

das kabir jatan se odhi
jyun ki tyun dhar dini chadariya

Hari bin kaun gati meri

Listen to Hari bin kaun gati meri

Lyrics-

Hari bin kaun gati meri
tum mere pratipalak hiye
main dasi teri

yeh sansaar vikar ka sagar
beech mein main gheri

baari baari pukari main
prabhu hai aarti teri

naav bhataki parabhu paar lagao
doobat dasi teri

dasi meera naam ratat hai
main sharan hoon teri

Tohi mohi lagan lagaye


Listen to tohi mohi lagan 

Lyrics -

Tohi mohi lagan lagaye re pathirva

sovat hi main apne aangan mein
sabad mhari jagayi re

dubat hi bhav ke saagar mein
pakad baanh sambhari de

eke bachan bachan nahi duja
bandhan mohe chhudayi de

kahat kabir suno bhai sadho
praanan pran lagaye re

Main pardesini naari


Listen to main pardeshini nari 

Lyrics -

Main pardesini naari akeli
bin raghunath aur nahi koi
maat pita na saheli

raavan bhesh dhari ho tapasi ko
kahe biksha dini
ati agyan moodh mati meri
ram rekha taj dinhi

biraha tap tana agan lagavat
jaise sukhat beli
surdas prabhu begi ilao
jeevan bhayo paheli

Ab main nachyo thakyo

Listen to na main dharmi

Lyrics-

Ab main nachyo thakyo thakyo bahot gopal
kaam krodh ka pehne chola
kanth vishaya ki maal

maha moh ke nupur bajat
ninda sab darsaya
bhram bhavaron man bhayo pakhavaj
chalat asangat gyan

moh ko nad bhayo ghat bhitar
nana vidhi taital
maya kokati pheta bandhyo
lobh tilak diyo bhal

koti kala aisi dikhlayi
jal thal sudhi nahi paye
surdas ki saari avidya
door karo nandlal

Sunday, 8 January 2012

Bhajanarpan 





Raghuvar tumko meri laaj

listen to Raghuvar tumko meri laaj

Lyrics-

Raghuvar tumko meri laaj
Sada sada main sharan tihari , tum ho garibnivaz .
Patit udharan virad tiharo sravanan suni awaaz
Hou to patit puratan kahiye paar utaro jahaz
Agh khandan dukh bhanjan jan ke , yahi tiharo kaaj
Tulsidas par kirpa kije bhakti daan dehu aaj .

Ram hain mahan

listen to Ram hain mahan by Lata mangeshkar

Lyrics-

Ram hain mahan Ram naam hai mahan
Ram ke siva na koi Ram ke saman

Data mere haal par na mujhko chhodiye
Suniye meri vinati mujhse muh na modiye
Aa bani hai jaan par na bano naadan

Haar kar pukarta hai dil ye baar baar
Saans lena bhi hua hai mere liye bhaar
Ramlijiye na mera aur imtihaan

Raam mujhko daas apna maan lijiye
lijiye sharan mein ram dhyan dijiye
jeeva ke hain jeeva aap pran ke hain pran

Om jai jagdeesh hare

listen to Om jai jagdeesh hare by Lata mangeshkar

Lyrics-

Om jai jagdeesha hare swami jai jagdeesh hare
Bhakt jano ke sankat das jano ke sankat Kshana mein door karen

Jodhyave phal pave dukh binase man ka
Sukh sampati ghar aave kasta mite tan ka

Maat pita tum mere sharan gahun main kiski
tum bin aur na dooja aas karoon main jiski

tum puran parmatma tum antaryami
paar brahma parmeshwar tum sabke swami

tum karuna ke sagar tum palankarta
main moorakh khal kami kripa karo bharta

tum ho ek agochar sabke pranpati
kis bidhi milun dayamaya tumko main kumati

deen bandhu dukh harta tum rakshak mere
apne haanth uthao dwar pada tere

vishaya vikar mitao paap haro deva
shraddha bhakti badhao santan ki seva

Hari aao hari aao

listen to Hari aao

Lyrics-

Hari aao hari aao hari aao
Kahan der kari mujhe jaldi padi

meri bujhti jyot jalao
mere man ki aas bandhao

Maat dewaki ke hitkari
naari aiahilya tumne tari
phir tum bhool gayen yeh kaise
aakhir main bhi hoon ek naari
aaj ek albla ke karan
phir se apni shakti dikhao
meri lootati laaj bachao

behne lagi hain tez hawayein aaj
uthne lagi ghanghor ghataayen aaj
daso dishaaon se takra kar
laut rahin hain meri duwayen
jaao hari jaao jitni raah chale ho ab tak
utna piche vapas jaao
ruk jaao ruk jaao hari ruk jaao
ruk jaao ruk jao hari mat aao

Thumak thumak chale

listen to thumak thumak

Lyrics-

Thumaka thumaka paga dumak kunj madhu
chapala charana hari aaye ho

aaye re mere praan lubhaavan aaye
aaye re mere nain lubhaavan aaye
hari aao, hari aao

nimiki jhimiki jhimi nimiki jhimiki jhimi
nartana pad pinj aaye ho
aaye re mere...

amala kamala kara murali madhur dhara
bansi bajaavan aaye ho, aaye re mere

mose mora shyam rootha

listen to mose mera shyam rootha

Lyrics-

govind bolo hari gopaal bolo
radha-raman hari gopaal bolo
govind bolo hari gopaal bolo
jay-jay shyam radheshyam

mose mora shyam rootha
kaahen mora bhaag phoota
kaahen maine paap dhoe
ansuvan beej boe
chhup chhup meera roe
dard na jaane choe

vish ka pyaala peena pada hai
marakar bhi mohe jeena pada hai
nain milaaye giradhar se
gir gai jo apani hi nazar se
ro ro naina khoe

Saturday, 7 January 2012

Maa 







Ambe charan kamal hain tere


Listen to Ambe charan kamal hain tere

Lyrics -

Ambe charan kamal hain tere
hum banware hain janam janam ke
nis din lete phere

Tu dharti jag palankarti
ambar ka adhaar hai tu hi
sab sukh jhute sab dukh jhute
is jeevan ka saar hai tu hi
tu satyam tu shivam sundaram
hum sab chapalit chere

Os mein ansu phool mein shraddha
antar mein lekar ujiyare
tere mandir mein natmastak
nabh ke suraj chand sitare
humne teri muskaano mein
dekhe madhur sawere

De maa nij charnon ka 


Listen to de maa nij charnon ka

Lyrics -

De maa nij charnon ka pyar
purna prem de amar sneha de
divya shanti ka anant dher de
puja karoon sada main teri
de sumiran ka aadhar

tujhko chahun tujhko manu
tujhpar hi nij jeevan vaarun
dhyan rahe tera hi nis din
de bhakti ka uphaar

hridaya abhipsa se jagrit ho
Abhaya asta mere sir par ho
divya prem se ot prot ho
jeevan ka paravar

Karam sakal tav vilas 


Listen to karma sakal tav vilas

Lyrics -

Karma sakal tav vilas
Lok aham keval haas

Hasti keech beech daryo
pangu paar giri sahaas
brahma pada pe koi baithayo
patitata ko hathgulas

yantra baddha kini mohe
chalit karyo nav prakash
tu dharani dehe mati
maila woh jo dishu ujaas

rath saman mohi banaye
chala woh haath tumhre raas
karo karma apni aur
bhulo sakal jag ki pyaas


Mera jeevan teri sharan


Listen to mera jeevan teri sharan

Lyrics -

mera jeevan teri sharan
saare raag virag hue ab
moh saare tyag huen ab
ek yahi mera bandhan

avirat raha bhatakta ab tak
bhatkun aur abhi main kab tak
paalun keval tujhko hi maa
ek yehi meri hai lagan

tere charnon pe ho arpan
mere jeevan ke gun avagun
saari vyathayen door karo maa
ho kusumit mera vandan

Mere man ke andhtamas mein

Listen to mere man ke andh tamas mein

Lyrics -

mere man ke andh tamas mein
jyotirmayi utaro
mere man ke andh tamas mein
gyan mayi utro

kahan yahan devo ka nandan
malayachal ka abhinava chandan
mere ur ke ujare van mein
karunamayi vicharo

nahi kahin kuch mujhme sundar
kaajal sa kala yeh antar
pranon ke gehre gahwar mein
mamtamayi utro

Anand mayi chaitanya mayi

Listen to Anand mayi chaitanya mayi

Lyrics -

anandmayi chaitanyamayi satya mayi varde

Sarveshwari jagdishwari

Listen to sarveshwari jagadishwari

Lyrics -

Sarveshwari jagadishwari
hey matri roop maheshwari
mamtamayi karunamayi
jagjeevani sanjeevani
samastha jeevaneshwari
kripalini jagtarini
pratipal bhuvan hridayeshwari
tamaharini subhkarini
manmohini vishweshwari

Var de veenavadini

Listen to var de var de

Lyrics -

Var de var de var de
veena vadini var de
nirmal man kar de
prem atul kar de
sab mein sammati ho
aisa humko var de
satyamayi tu hai
gyanmayi tu hai
premmayi bhi tu hai
hum bacchon ko var de
Saraswati bhi tu hai
mahalaksmi tu hai
mahakali bhi tu hai
hum bhakton ko var de

Friday, 6 January 2012

Archana bhajans by Om Vyas ji

Archana Bhajans By Om Vyas Ji 





Sita Ram Sita Ram kahiye

Listen to Sita Ram Sita Ram

Lyrics-

sita ram sita ram sita ram kahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

mukh mein ho ram naam ram seva haanth mein
tu akela nahi pyare ram tere saath mein
vidhi ka vidhan jaan haani laabh sahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

kiya abhiman to phir maan nahi paayega
hoga pyare wohi jo shreeram ji ko bhayega
phal aasha tyaag subh karm karte rahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

zindagi ki dor saup haanth deenanath ke
mahalon mein rakhe chahe jhopadi mein vaas de
dhanyavad nirvivad ram ram kahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

aasha ek ram ji se duji asha chhod de
naata ek ram ji se duja naata tod de
sadhu sang ram rang ang ang rangiye
kaam ras tyaag pyare ram ras pagiye

Itna to karna swami

Listen to itna to karna swami

Lyrics-

Itna to karna swami jab pran tan se nikale
govind naam lekar phir pran tan se nikale
shree ganga ji ka tat ho yamuna ka bansiwat ho
mere saanwara nikat ho jab pran tan se nikale
sree vrindavan ka sthal ho mere mukh mein tulsi dal ho
Vishnu charan ka jal ho jab pran tan se nikale
sir sohana mukut ho , mukhade pe kali lat ho
yahi dhyan mere ghat ho jab pran tan se nikale
jab pran kanth aave koi rog na sataye
yam daras na dikhave jab pran tan se nikale
mera pran nikale sukh se tera naam nikale mukh se
bach jaaun ghor dukh se jab pran tan se nikale

Bhagwaan meri naiya

Listen to bhagwaan meri naiya

Lyrics -

Bhagwaan meri naiya us paar laga dena
ab tak to nibhaya hai aage bhi nibha dena

dal bal ke saath maaya ghere jo mujhko aa kar
tum dekhte na rehna jhat aa ke bacha lena

sambhav hai jhanjhato mein main tumko bhool jaun
par nath kahin tum bhi mujhko na bhula dena

tum dev main pujari tum isht main upasak
yah baat agar sach hai sach kar ke dikha dena

Ab saup diya is jeevan ka

Listen to ab saup diya is jeevan ka

Lyrics -

Ab saup diya is jeevan ka sab bhaar tumhare haathon mein
hai jeet tumhaare haathon main aur haar tumhare haathon mein

Mera nischai bas ek yahi ik baar tumhe paa jaaun main
arpan kar doon duniya bhar ka sab bhaar tumhaare haathon mein

Yadi maanav ka mujhe janma mile to prabhu charano ka pujaare raho
mujh poojak ki ik rag rag ka ho taar tumhaare haatho main

Jab jab sansaar ka kaidi banu nishkaam bhav se karma karun
mere sab gun dosh samarpit ho sarkaar tumhaare haatho main

Mujhme tujhme hai bhed yahi main nar hoon tum narayan hai
main hoon sansaar ke haatho main sansaar tumhaare haatho main

Hey nath ab to aisi daya ho

Listen to hey nath ab to

Lyrics -

Hey nath ab to aisi daya ho jeevan nirarthak jaane na paaye
ye man na jaane kya kya karaye kuchh ban na paya apne banaye

sansaar mein hi asakta rah kar din raat apni matlab ki keh ke
sukh ke liye lakhon dukh sah kar yeh din na bite yun hi bitaye

aisa jaga do phir so na jaaun
apne ko nishkaam premi banaun
main aap ko chahun aur paaun
sansaar ka bhaya rah kuchh na jaaye

hai yogyata do satkarma kar loon
apne hridaya mein sad bhav bhar loon
nar tan hai shadhan bhav sindhu tar loon
aisa samaya phir aaye na aaye

hey nath mujhe nirbhimani bana do
tareef har lo daani bana do
anand maya bhi gyani bana do
main hoon tumhari asha lagaye

Maine mehandi rachayi

Listen to maine mehandi lagayi

Lyrics -

Maine mehandi rachayi re krishna naam ki
maine bindiya sajayi re krishna naam ki
krishna naam ki re gopal naam ki

mere nainon mein gokul vrindavan
mere pranon mein mohan man bhavan
mere hoton pe krishna mere hirdaya mein krishna
maine jyoti jalayi re krishna naam ki

ab chaya hai krishna mere ang ang mein
mera tan man ranga hai usi ke rang mein
mera preetam hai krishna mera jeevan hai krishna
maine mala banayi re krishna naam ki

Kisse bandhu bair jagat mein

Listen to kisse bandhu bair

Lyrics -

kisse bandhu bair jagat mein koi nahi paraya
har maanava mein pratibimbit hai usi brahma ki chhaya

jaise mala ke manko mein keval ank piroya
usi bhanti prati vyakti mein wohi ish hai soya
deen daridro mein muskaya dhaniyo mein we roya
usne paya jisne apne dambh darp ko khoya
jagdeeshawar ko pyar karan se use na bhayi kaya

prem malaya sheetalata deta vair badhata taap re
prem sada aashish bantata vair sada abhishaap re
prem nadi ki mand dhar hai vair marushtal andhi
prem mand muskaan pradata vair aati aur vyadhi
vair choosata rakt prem karta hai use savaya

kiski hui aaj tak bolo saam daam dam bharti
aanhken minjate hi bhai padi rahi hai dharti
yahi vastu hai jeevon ka nit bandhan hai karti
phir swarth bada albela jag bhi inpare marti
sab jag to phas jata hai durgam kaisi maya

Priya prannath manmohan sundar

Listen to priya prannath manmohan sundar

Lyrics -

priya prannath manmohan sundar nyare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nyare

ghanshyam gop gopipati gokulrai
nij premi jana hit nit nit nav sukhdayi
vrindavan rakshkak braj sarvas bal bhayi
pranann te pyare priyatam meet kanhayi
shree radha naayak yasuda nand dulare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nayre

ab darshan bin tan rom rom dukh paage
tab sumiran bin yah jeevan vish sam laage
tumhare sanyog bin tab viyog dukh dage
atulat pran sang kathin madan man lage
mam dukhi jeevan ke tum hi ek rakhware
chhin ho mati mere hohun gagan ke nyare

tum hi man jeevan ke avalamb kanhayi
tum bin sab sukh ke kaaj param dukhdayi
tum dekhe hi sukh hot na aur upayi
tumhare bin sab jag suno padat latayi
hey jeevan dhan mere naino ke taare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nyare

tumhare bin ek chhin koti kalp sam bhari
tumhare bin swargahu maha narak dukhdayi
tumhare sang banahu ghar so badhi banvari
humare to sab kuchh tum hi ho giridhari
harischand humare rakho maan dulare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nyare

Hari Rang Rati by Shobha gurtu 







Jago bansi wale


Listen to Jago bansi wale lalna


Lyrics -

Jago bansi wale lalana jago more pyare... lalana

Rajni biti bhor bhayo
ghar ghar khule kiwad
Gopi dahi mathat phirat hain sab
Kangana ke jhnakar

Utho laal ji bhor bhayo hai
Sur nar thade dware
Gwaal baal sab karat kolahal
Jai jai sabad uchare

Maakhan roti haanth mein linhi
Gaouwan ke rakhware
Meera ke prabhu giridhar naage
Tarnayak udhaare

Mhare ghar aao

Listen to Mhare ghar aao

Lyrics -

Mhare ghar aao pritam pyara

Tan man dhan sab bhent dharungi
Bhajan karungi tumhara
Tum gunwant susahib kahiye
Mome avagun sara

Main niguni kachu gun nahi jaano
Tum so bhagtan haara
Meera kahe prabhu kabre miloge
Tum bin nain dukhara

Chain nahi ghanshyam

Listen to chain nahi ghanshyam

Lyrics

Chain nahi Ghanshyam
Tadpat hoon din raat

Tere naam ki rat ab laagi
Duniya se kya kaam ... tadpat hoon din raat

Apne asuwan se main beh gayi
Baanh pakad ke tham .. tadpat hoon din raat

Nis din baant niharat reh gayi
kab sudhi loge shyam .. tadpat hoon din raat


Mere nazar mein

Listen to mere nazar mein

Lyrics -

Mere nazar mein moti aayo
Main bhala bharose paayo

Char kunj ka dewarh banayo
Uspar kalash dharayo

Sej sooni par saaheb mera
Teeno lok dhari aayo

Desh desh ke darshan aaye
Santan ke man bhayo

kahat kabira suno bhai sadho
Hukmi naao chalayo

Main bagiyan se

Listen to main bagiyan se 


Lyrics -

Main bagiyan se phool ko chun ke
Prabhu ke charan chadhaungi
Ab hari ke gun bas gaaungi

Bhor ki bela hari pad gaa ke
Unko nitya jagaungi
Saat suron ki maal gul ke
Kanth unhe pahinaungi
bhajan suna ke apne hari ka
Sundar roop niharungi
Ab hari ke gun bas gaungi
Main bagiyan se...

Woh hi sakha hain pritam mere
Nath sakal sansaar ke
kanth mein woh hain rom rom hari
Deeno ke oh pran mein
thakur ji ko bhog laga ke
pankha unhe jhelaungi
ab hari gun bas gaaungi
Main bagiyan se...

Hari charan hai charo teerath
Charnan sheesh jhukaungi
HAri naam mein sara sukh hai
unse neh lagaungi
shradha bhakti prem se prabhu mein
Darshan unka paaungi
Ab hari ke gun bas gaaungi
Main bagiyan se ...

 Lagan mhari lagi

Listen to lagan mahri lagi 


Lyrics -

Lagan mhari laagi chaturbhuj ram

Shyam sanehi jeevan yehi
Auran se kya kaam
Nain niharu pal na bisarun
Sumiru nis nir ram

Hari sumiran se sab dukh jave
Man paave vishram
Tam man dhan nauchhavar kije
Kahat Dulari Jaan

Thursday, 5 January 2012


Kanha Ki Deewani Meera by Shobha Gurtu 



Udho karman ki gati nyari 


Listen to udho karman ki gati nyari

Lyrics -

Udho karman ki gati nyari
Nirmal neer diya sarita ko sagar kar di khari
Ujla rang diya bagule koyal kar di kari
Murakh murakh raja hove pandit phirat bhikari

Piyaji mhare naina


Listen to piyaji mhare naina

Lyrics -

Piya ji mhare naina aage nahi jor
Niana aage mohe rehne de
Bhool na mohe jajyo ji
Bhavsagar mein bahi jaat hoon
Begi humari sun laio ji
Rana ji ne bheja vish ka pyala
Imrit kar dijyoji

Theto palak ughado deenanath


Listen to theto palak ughado

Lyrics -

theto palak ugadho deena nath
main hazir nazir kad ki khadi

sajaniya dushman hoya bathya
sabne lagoon kadi

din nahi chain raat nahi nindra
sukhun khadi khadi

baan biraha ke laga hirdaya mein
bhuloon na ek ghadi

pathar ki ahilya tari
banke beech pari

kaha bojh meera mein kahiye
sau par ek ghadi

Kaho to joshi 


Listen to kaho to joshi

Lyrics -

Kahu to joshi re shyam milan kab hoshi
Aao joshi mhare angane aao
ko batave thari pothi re
Paanch pakvaan joshi bhoj banayo re
Nyath demau thara goti re
Hari nazari joshi angiya siwana
Paanch pitambar doongi dhoti re
Paanch mohar joshi dikhna dikhaya re
Ratan jadaun thari pothi re
Meera ke prabhu giridhar nagar
Hari ke charan tajposhi re

Kanha re teri jovat reh gayi baant


Listen to kanha re

Lyrics -

Kanha re tori jovat reh gayi baat
jovat jovat ek pal thadi kalindi ke ghat
Kapati preet kari manmohan ya kapati ki baat
Meera kahe prabhu giridhar naagar
de gayo brij ko chhant

Bhaktimala krishna







Sakhi mharo kanho


Listen to sakhi mharo kanho lo

Lyrics -

Sakhi mharo kanho lo kalege ki kor
mor mukut pitambar sohe kundal ki jhakjhor

vridavana ki kunjgalin mein
naachat nandkishor

meera ke prabhu giridhar nagar
charan kamal chit chitchor

Saheb teri dekho sajariya ho 


Listen to saheb teri dekhi sajariya ho

Lyrics -

Sahab teri dekho sajariya ho
Lal mahal ki lal kangoora
Laalani lagi kewadiya ho
Lal palang ki lal bichhona
Laalni lagi jhalariya ho
Lal sahab ki laalani murat
Lali lali anuhariya ho
Dharamdas binawe kar jode
Guru ke sharan balihariya

Ri bansi kaun tap te kiyo 


Listen to ri bansi

Lyrics -

Ri bansi kaun tap tein kiyo
Rahat giridhar mukh hi lagi
Adharan ko ras piyo
Shyam sundar kamal lochan
Tohi tan man diyo
Sur shri gopal bas bhayen
Jagat mein yash liyo

Padhariye piya paiyan


Listen to padhariye piya paiyan

Lyrics -

Padhariye piya paiyan
Kunj mahal ke dware thade
Kunwar kadamb ki chhaiyan
Sunat vachan sakhi bilamb na kino
Chali ali gahi baiyan
Bithhal bipul vinod viharin
Dar gayi gal baiyan

Patiyaan main kaise likhoon


Listen to patiya main kaise likhhon

Lyrics -

Patiya main kaise likhoon
likhiyo na jaayi
Kalam dharat mero kar kanpat hai
Nainan hai jharnaar
Hamari bipat tum dekh chale
Udho hari ji su kahiyo jaayi
Meera ke prabhu Giridhar naagar
Darshan dijo aaye

Jogiye tu kab re miloge


Listen to jogiya tu kabre miloge

Lyrics -

Jogiya tu kab re milego aayi
Tere hi kaaran jogan yo hain
Ghar ghar alakan gaayi
Diwasan bhookh rain nahi nindra
Tujh bin kachhu na suhai
Meera ke prabhu giridhar naagar
Milkar tab sankuchayi

Krishna kahiye ram japiye





Jo bhaje hari ko sada 


Listen to jo bhaje hari ko sada

Lyrics -

jo bhaje hari ko sada
soyi param pad paayega
deh ke mala tilak aur
haath nahi kuch kaam denge
prem bhakti ke bina nahi
nath ke man bhayega

dil ke darpan ko safa kar
door kar abhiman ko
khak ho guru ke kadam ki
to prabhu mil jayega

chodd duniya ke maje sab
baith kar ekant mein
dhyan dhar hari ka charan ka
phir janam nahi aayega

dridh barosa man mein karke
jo jape hari naam ko
kehta hai Brahmanand
bheetar payega

krishna krishna kahiye uthi bhor


Listen to krishna krishna kahiye uthi bhor

Lyrics -

Krishna krishna kahiye uthi bhor
bhor kiran ke saath krishna kah
van mein nache mor

pakshi ke kalrav mein vandan
vandan lehrein karti
vandan karti bahe sameerein behti
gaayen hain pag bhartin
krishna krishna kah putra jaga ke mata hoye vibhore

gun gun kar ke krishna krishna kahe
bhanware dol rahe hain
krishna krishna kah kamal pushpa sab
pankhudi khol rahe hain
vandan ki abha faili hain
dekho charon ore

phool toot ke dhara pe bikhare
isi bhanti hai vandan
doob ke mukh par os padi hai
mahak utha hai chandan
koyal kook ke vandan karti
hans kare kilore .

prabhu ke charnaarvind mein 


Listen to prabhu ke charnaarvind mein

Lyrics -

Prabhu ke charnaarvind mein
prani charnaaraj hum ho jaaye

paapon ka shodhan kar bande
parmanand ko hum paayen

shree ram to param tatva hain
param dhaam ati paavan hai
sada sanatan aadi dev hain
bhakti yog man bhaavan hain
dhyan karen hum shree ram ka
tanmaya na hoke gun gayen

janam maran ke bhaya se prani
mukt karen hum bhitar apna
sabhi saadhana puran hogi
shree ram ko hi japana
sumiran kar ke shree ram ka
sheetal man hum apnaayen

valmiki muni rushi dev bhi anek
tran sada karte
shree ram ke shree charan mein
sheesh narayana hain dharte
shree ram hi param brahma hain
amar jyoti hum phailayen

Ram kahiye ram japiye


Listen to Ram kahiye ram japiye

Lyrics -

Shree Ram...
Ram kahiye ram japiye
saans ke hi pravesh mein
chir nirantar man rama le
ram ke parivesh mein

punya hi aadhar hai woh
tej hai rakesh hai
kanj hai woh kant hai woh
aadya hai woh nimesh mein

prat japiye sanjh japiye
prem mein aur dwesh mein
desh mein pardesh mein
va kabu rahiye bhesh mein

bhog bhaya udveg chanchal
malin ya aavesh mein
ram mukh se boliye
shree ram hain akhilesh mein

netra mein adharon mein rakhiye
aur japiye bhed mein
jap rahe ehin vadantim
pran vandan bhet mein

Monday, 2 January 2012

Creations Of Tulsidas ji

Creations Of Tulsidas ji 



Gaiye Ganapati jagvandan sankar suwan bhawani ke nandan

siddhi sadan gajbadan vinayak kripasindhu sundar sab laayak 
modak priya mud mangal data vidya varidhi buddhi vidhata 
maangat tulsidas kar jore basahu ram siya manas more 

Listen to this vandana of ganapati ji by tulsidas ji


This post is totally dedicated to Goswami Tulasi Das ji and his creations .You can find his popular and rare compositions here .He has done such a great work in Hindi Awadhi language but he never did so for fame .It was all that came out from the deapth of his heart with that special feeling that we call "Devotion" towards his lord "Sri Ram Chandra ji " . His creations are based on Balmiki Ramayana and the experiences of his own life .You can easily find his experiences in his creations that make them more sensitive and intricate too. What he thought at that time , how can we know but some of his compositions are just a derivation of the general communication between him and the  saints at that time . You can see one like Jaake priya na Ram Baidehi ... It is a conversation between Tulsidas ji and Meera Bai where this topic is raised by Meerabai ji that her relatives did not allow her to worship Lord Krishna then Tulsidas ji replied her by writing like this-




"jaake piya na ram baidehi
so chadiye koti bairi sam yadyapi param sanehi
Tajyo pita prahlad vibhihan bandhu bharat mahtari
bali guru tyajo kant brij bani tani bhaya mud mangalkari
naate neh ram se maniyat subhag susebya jahanlo
anjan kahan wa aankh jehi phute bahutak kaho kahanlo
tulsi so sab bhanti paramhit pujya pran te pyaro
jaso hoya saneha ram pada aito mato hamaro "




You can find this song and its meaning here ..Click here for the song and meaning


You will feel strange to know that these all words are written by that man who had been once chided upon by his own wife . Yes , though Tulsidas ji was brilliant since his childhood but he was not involved in deep devotion of Lord Rama since childhood .He loved his wife very much but once Tulsidas ji made a lot attempts to meet her while she was far from him , when tulsidas ji reached her she told him that if you did all this endaevours for Lord Rama you would have crossed  "bhavasagar" .So dont long for me but this longing should be for the Lord .This changed his life.

You can find his best bhajans collections here ...


Find the bhajans with satrting alphabet 


A B C D G H J K L M N P R S T Y





Jab janki nath sahaya karen - This song is a rendition to the devotees





Lyrics -


Jab janaki nath sahaya kare tab kaun bigad kare nar tero

suraj mangal som brigu sut bandhu aru guru vardayak tero
rahu ketu ki nahi gamyata sang sanischar hot uchero
dust duhshashan vimal draupadi chir utar kumantar phero 
jaki sahaya kari karunanidhi badh gaye chir ke  maar ghaneri
garbha mein rakhyo parikshit raja aswasthama jab ashtra phero 
bhasrat mein maruhi ke anda ta par gaj ka ghanta gero
jaki sahaya kari karunanidhi take jagat mein bhag badhero
raghuvanshi santan sukhdayi tulsidas charanan ko chero 

Meaning - 


When the master of Janki (Janki =the daughter of janak ji = Sita ji ) means Ram ji is favourable to you , who will harm you . The astrological planets like Sun ,Mars , Moon ,Venus the son of Bhrigu become your brotherly and the Jupitar becomes boon giver to you .

The Rahu and ketu cant reach you and together with them the sanischar too disappears .
The wicked Duhshashan and humble Draupadi : He tried to make draupadi naked and said vulgar words to her , for saving her the Lord "ocean of mercy" helped her by densly wrapping her in the cloth .
The Lord saved Parikshit in the womb from ashwasthama when he tried to kill parkshit (the son of Abhimanyu from Uttara )by arms .
Whom so ever the  "treasure of mercy " helps ,he /she have a huge fate(strong fate) in this world .
The Lord belonging from Raghu Clan , is pleasant to the saints ,Tulsidas is the servant of  his feet .


Shree Ram chandra kripalu bhajaman -Shree Ram stuti



Listen to Shree Ram chandra Kripalu bhajman

Lyrics-


sri ram chandra kripalu bhajmana haran bhav bhaya daarunam

navkanj lochan kanj mukh kar kanj pad kanjarunam
kandarp aganit amit chhavi nav neel neeraj sundaram
pat peet manahu tadit ruchi suchi naumi janak sutavaram
bhaju deen bahndhu dinesh daanave daitya vansh nikandanam
raghuvansh anandkand kaushal chand dashrath nandanam
sir mukut kundal tilak charu udaar ang vibhushanam
aajanubhuj sar chaap dhar sangramjit khaldushanam
iti vadti tulsidas shankar shesh muni man ranjanam
mam hridaya kunj nivas kuru kaamadi khal dal ganjanam

Meaning -



O mind! Revere the benign Shree Ramachandra, who can remove the intense fear of this world
Who has fresh lotus eyes, lotus face and lotus hands, feet like lotus and like the rising sun 
His image exceeds myriad Cupids, like a fresh, blue-hued cloud — magnificent 
His amber-robes appear like lightning, pure, captivating. Revere this groom of Janaka’s daughter 
Sing hymns of the brother of destitute, Lord of the daylight, the destroyer of the clan of Danu-Diti demons 
The progeny of Raghu, limitless 'joy', the moon to Kosala, sing hymns of Dasharatha’s son 
His head bears the crown, ear pendants, tilak on forehead, his adorned, shapely limbs are resplendent
Arms extend to the knees, studded with bows-arrows, who won battles against Khara and Dooshana 
Thus says Tulsidas, O joy of Shankara, Shesh (Nag), Mind and Sages 
Reside in the lotus of my heart, O slayer of the vices-troops of Kaama and the like 

Bhaye Prakat Kripala - Shree Ram stuti when he was just born


Listen to Bhaye prakat kripala


Lyrics-


Bhaye prakat kripala deendayala kaushlya hitkari

harshit mahtari muni manhari adbhud roop vichari
Lochan abhirama tanu ghanshyama nij aayudh bhuj chari
bhushan banmala nayan bishala shobha sindhu kharari
Kah dui kar jori astuti tori kehi vidhi karhu ananta
maya gun gyanatit amana ved puran bhananta
karuna sukh sagar sab gun aagar jehi ganwahi shruti santa
brahmand nikaya nirmit maya rom rom prati ved kahe
Mam ur so basi yah uphasi sunat dheer mati thir na dhare
Upja jab gyana prabhu muskana charit bahut vidhi kinhi chahe
kahi katha sunayi matu bujhayi jehi prakar sut prem lahe
mata puni boli so mati doli tajahu taat yah roopa
kije shishu leela ati priya sheela yah sukh param anoopa
suni vachan sujana rodan thana hoyi balak sur bhoopa
yah charit je ganwahi hari pad panwahi te na pari bhava koopa

meaning-


bHAYE PRAKAT KRIPALA deendayala kaushlya hitkari 
harshit mahtari muni manhari adbhud roop vichari

"The mercyful ,graceful,and the benefecial to Kaushalya , appeared .
Mother (kaushalya)is happy ,minds of sages have been stolen thinking of the amazing form of lord ."

Lochan abhirama tanu ghanshyama nij aayudh bhuj chari 
bhushan banmala nayan bishala shobha sindhu kharari

"His eyes are spectacle (beautiful) body is black like clouds in his four arms he has his own armaments.
ornament is the "vanamala" , eyes are large. The Kharari (the Lord )is the ocean of beauty"

Kah dui kar jori astuti teri kehi vidhi karu ananta
maya gun gyanatit amana ved puran bhananta
"His mother joining both hands says Oh "Anant" (Infinite for the lord )how should I praise you?

you are above the maya (illusion) gun (properties of nature) and the knowledge even Vedas and Purans (epics)couldnt express you."

karuna sukh sagar sab gun aagar jehi ganwahi shruti santa
brahmand nikaya nirmit maya rom rom prati ved kahe

"the ocean of grace and happiness and all meritorious who is applauded by Vedas and the saints 
who has made his illusion to spread upto the universe and his smallest parts are narrated by the vedas"

Mam ur so basi yah uphasi sunat dheer mati thir na dhare
Upja jab gyana prabhu muskana charit bahut vidhi kinhi chahe

"This happiness that is staying in my heart(kaushalya ji thinks) , listening to it no steady mind can be restful .

When such knowledge is produced to kaushlaya ji , the Lord smiles and wanted to to show different characters to her."

kahi katha sunayi matu bujhayi jehi prakar sut prem lahe
mata puni boli so mati doli tajahu taat yah roopa

"Then telling all the stories to his mother , he made her to understand Him in the way which may let her to bring a maternal love for her child.
the mother again said this all is wandering my mind .Oh dear son , leave this attire ."

kije shishu leela ati priya sheela yah sukh param anoopa 
suni vachan sujana rodan thana hoyi balak sur bhoopa 

"perform like a Kid that is very lovey and polite , this happiness is very beautiful.
Listening the kind word (of kaushalya ji ,the lord started crying and the king of Gods took the form of a kid ."

yah charit je ganwahi hari pad panwahi te na pari bhava koopa

"One who sings this character of Lord , reaches to the feet of the lord .He never falls into the well of this world . "



-Janani main na jiyun bin Ram - When Rama left Ayodhya for the jungle.Bharat came to know this and he said this -



Lyrics-

Janani aey janani main na jiyun bin ram

ram lakhan siya van ko gaman kiye pita gayen sur dham
hot bhor hamhu vana jaibe avadh aaye kehi kaam
kapati kutil kubuddi abhagin kaun haryo tero gyan
sur nara muni sab dosh det hain nahi kiyo bhal kaam
tulsidas prabhu aas charan ke bhaye vidhata baam

Meaning - 


This a song illustrating the state of mind of Bharat ji when he knew that Ramchandra ji with Sita ji and Laxman went on an exile just because of his mother Kaikayi .He says these words to his mother ...

Janani (means mother ) O mother I wont live without Ram .
Ram Laxman and Sita ji went to the jungle and father (Dashrath ji ) went to the abode of Gods i.e heaven .
As the dawn brokes I will also go to the  forests what is the need to stay in Ayodhya .
You(Kaikayi) the Deceitful , cunning , wicked and unfortunate who has taken away your knowledge ?
The Gods , humans and the saints all are blaming that you havent done right ..
Tulsidas ji says that Bharat ji says now I only have the hope of the Feet of Lord because the creator has become left to me (means against me) .


Ghan ghamand nabh garjat ghora - this is a saying of Lord Ram chandra ji to laxman ji when he was sitting with laxman ji in panchavati waiting for the rainy season to pass so that they may start searching for Sita ji again in far regions of the South India . -



Listen to Ghan ghamand nabh garjat ghora

Lyrics-


Ghan ghamand nabh gartjat ghora ,piya heen darpat man mora

Damini damak rahat nabh mahi , khal ke preeti jatha thir nahi
Barasahi jalan bhoomi niyraaye , jatha nabhahin guni vidya paaye
Boond aghat sahayin giri aise , khal ke bachan sant saha jaise
Chhudra nadi bahi chali tyorayi , jas tyoreiun dal khal itrai
Sarita jal jal nidhi mahoon jaayi , hoohin achal jin jeev hari paayi .

One must should understand meaning of this song . It is really a milestone in defining nature of goodness in a person .


Meaning -


Sri Ram chandra ji says to Laxman ji :


The proudy clouds are roaring in the sky ,my mind is being afraid without my sweetheart(Sita ji).

The lightening is making the clouds bright in the same way as the love for one is not stable for a wicked .
The rainwater is falling down to flow on the land in the same way as the knowledge itself moves towards a skilled person .
The mountains are tolerating the impact of the rainwater drops in the same way as nobel person tolerate the abusing words from the wicked.
The little river after getting the rainwater flows inundating the areas being overwhelming in the same way as the group of the wicked gets overwhelming after getting little.
The streaming riverwaters are falling in the ocean and are getting calm like ocean in the same way as the disturbed soul(atma)or jeev becomes peaceful after mixing in the supersoul(paramatma)or Hari.

Rann jiti Ram rau aayen - This is the song illustrating the scene just after Ram chandra ji won the battle and then returned to Ayodhya


Listen to ran jiti ram rau aayen


Lyrics -


Rann jeeti Ram rau aayen

sanuj sakal sasiya aayen
Avadh anand manaye

Ram ji has come winning the battle.

He has come with his younger brother and with Sita
and is  celebrating with delight in Awadh .

Aripur jari ujari mari ripu

Bipul subhas basaye
dharni dhenu mahi dev sadhu
sab ke sab soch nasaayen

He has come by setting the city of his enemy on fire , devastating his state and killing his enemy.

He has entertained the city with an exquisite environment .
The earth , the cow , the soil , the gods and the sages 
He has destroyed all of their grieves .

dayi lank sir thape vibhishan

bachan piyush piyayen
sudha sinchi kapi kripa nagar nar
nari nihari jiyayen

He has given the Lanka toVibhishan, enthroning him 

and saying sweet words to him.
The monkies are irrigating the city with sweetness
 and Ram has made the man and women in the city to get alive by showing himself to them .

Ram raj kul kaaj sumangal

sabane sabe sukh paven
dehi ashish bhoomi sur pamudit
praja pramod badhayen

Now there is reign of Ram and all tasks are running delightfully 

each and everyone is full of joy ans happiness 
the earth is blessing and the gods are happy 
He is enhancing the happiness of  his subject .

Kaam dhenu mahi bitap kaamtaru

bahu vidhi badhan lage
te tab ab tulsi kenu jinhit
sahit Ram gun gaayen

the earth has become the milch cow and  the trees have become the Kaamtaru(a tree that gives all desired fruits)

they have sarted growing variously
Tulsi das ji says now an then who so ever has been benefitted by Him 
sung the glory of Ram together.


Tu dayalu deen hau

Listen to tu dayalu deen hau


Lyrics-


tu dayalu deen haun

tu daani haun bhikhari
haun prasidhh pataki
tu paap punj haari

nath tu anath ko anaath kaun moso

mo samaan aarat nahi aartihar to so

brahma tu haun jeev tu hai thakur haun chero

taat maat guru sakha sab bidhi hitu mero

tohi mohi naate anek maaniye jo bhaavai

jyon jyon tulasi kripalu charan sharan aave


Meaning from Vinay Patrika :

You are merciful and I am destitute; You grant wishes and I am the seeker. I am a well-known fallen one and You absolve away the heap of sins. You protect the orphans, and there is no orphan like me [hence, protect me]. There is no pain-absolver like You and I am in immense pain [hence, absolve my pain].||1-2||


You are the Brahman and I am a [destitute] living-being; You are the Preceptor and I am a disciple. You are for my benefit in each way — as father, mother, preceptor, or friend. My relations with You are infinite [since You are present in everything], so assume the one You like. At least, this way, Tulsi will get refuge in Your dual-feet.||3-4||


Bhajman Ram Charan Sukhdayi


Bhajman ram charan sukhdayi japo re ram charan sukhdayi

Jin charnan se nikasi sursari sankar jata samayi
jata shankari naam padyo hai tribhuvan taranhari

Jin charnan ki charan paduka bharat rahyo liv laayi
soyi charan kevat dhoyi linhi tab hari naav chadhayi

Dandakvan prabhu paavan kinhi rishiyan traas mitayi
soyi charan gautam rishi nari parsi param pad payi

Joyi charan santan jan sevat sada rahat sukhdayi
soyi prabhu trilok ke swami kanak mriga sang dhayi

Shiv sankadik aru bhrahmadik shesh sahas mukh gaayi Tulsidas marut sut (son of maruti : Hanuman ji ) ki prabhu nij mukh karat badhayi

Meaning - 


O mind revere to the pleasing feet of shree Ram ,

enchant to the pleasing feet of shree Ram.

From which feet the river of the Gods (The Ganga) have arrived and has run through the tress of 

Lord Shankara.Due to which he has been named as jatashankari who delivers freedom to all of the tree lokas (worlds) .

The footsteps of which feet bharat put on his head

that same feet the ferryman washed and then he let the lord to board on his boat

 The lord purified Dandakvan from the asuras and in this way he delivered the saints from sufferings .

the wife of the sage Gautam (=Ahilya ) touching the same feet got the supreme abode.

which feet is served by the saints and is always pleasant to them 

that very Lord, the master of three world, runs with the golden deer .

Lord Shiva , the Shanakdik sages  and Brahma and others Shesh ji (the sheshnaag,the snake) sings his glory by thosands of mouths .Tulsidas ji says that very lord praises the son of Maruti means Hanuman ji from His own mouth . 

  
O mind revere to the pleasing feet of shree Ram...


Ab lou nasani ab na nasaiho


Lyrics -

Ab lou nasani ab na nasaiho
Ram kripa bhav nisha sirani jaage phir na dasaiho
Payo naam chaaru chintamani ur karte na khasaiho
Shyam roop suruchikar  kasauti chit kanchanhi kasaiho
Parbas jaanyo hasyo in indrin nij bas hwai na hasaiho


MAn madhupahi pran kari , Tulsi Raghupati pad basaiho

Meaning -

Tulsidas ji says till now I have destroyed myself but will not destroy anymore 
By grace of lord Ram I have awoken from the night of this world , after awaking I wont sleep again .I have got a beautiful stone of the name "Ram" like chintamani ,that I will not remove from the space of my heart .On the test stone of dark colored beautiful morph ,I will test the gold of my mind .These senses of mine kept on laughing upon me knowing that I am controlled by others (by these senses ) but now getting control over myself  ,I will not let anyone laugh at me .
Tulsidas ji says the bumble bee like mind capitulates that it will settle itself in the feet of raghupati . 

***