Tuesday 24 April 2012

Golden collection Hari Om Sharan Vol 1


Golden Collection Vol 1 by Shree Hari Om Sharan ji 



Govind ke gun ga le

Listen to Govind ke gun ga le

Lyrics -

Govind ke gun ga le re o bhole prani
man mein raam rama le re o bhole prani

jeevan ka har pal yun jaaye
nikali swans nahi phir aaye
prabhu ko sheesh jhuka le re o bhole prani

is jag mein sab beh jata hai
prabhu ka hi sab rah jata hai
prem ki jyot jala le re o bhole prani

hari narayana sumiran karle
hoke sharan bhavsagar tar le
bhule man ko mana le re o bhole prani  

jaya bhola bhandari


Lyrics -

jaya bhola bhandari shivhar
jai kailash pati shivshankar sab jag ke hitkari

nis din tera dhyan karen hum simre mantra tumhara
hey shiv shankar mantra jagao hove ghat ujiyara
namami shankar namami shankar kripa karo tripurari

shankh naad se shabd jaga kar swar sangeet banaya
yug yug se ye shrishti naache aisa damaru bajaya
teri yaad bhula ke jag mein dukh paave sansaari

teeno taap haran kar deta yeh trishul tumhara
tera naam jape se jag mein milta mukti dwara
mahadev parbrahma vidhata aayen sharan tihari

Jay jay jay Hanumana Gosai 


Lyrics -

Vegi haro, Hanumana Mahaprabhu
jo kachu sankata hoye hamaro
Kauna sa sankata mora gariba ko
jo tuma se nahi jata hai taro

Jay jay jay Hanumana Gosai
kripa karo, Maharaja

Tana me tumhare shakti viraje mana bhakti se bhina
Jo jana tumhari sharana me aye dukha darada harnina
Hanumata dukha darada harnina
Mahavira Prabhu hama dukhiyana ke
tuma ho gariba nivaja, Hanumata

Rama Lakhana Vaidehi tum par sada rahe harshaye
Hriday chirake Rama Siya ka darshana diya karaye
Do kara jora araja  Hanumanta kahiyo Prabhu se aja  Hanumata

Jap le hari ka naam



Jap le hari ka naam saanjh sakare
antaryami data hare dukh saare


jagat pita ka dhyan na aaya
madmate prani tune janam gavaya
kabhi nahi khole tune antardware


swanson ki tu jap le mala
guru kirpa se hove nihala
bhava saagar se paar utaare


sharan pade bin nishphal jeena
jeevan mein shubh karam na kina
yun hi na prani heera janam ganva re

Jinke hirdaya ram rame 




Jinke hirdaya ram rame unhe kahe ki kami
unko kahe ki kami
jap le ram siya ram bolo ram siya ram


ram ki mahima jo nit gayen unke bhagya hain bhari
ramayana ka paath jo karte unki main balihari
jinke hirdaya ram laganiya aathon yaam lagi
unko kahe ki kami


ram naam tulsi ne gaaya bhav sagar bhaye paara
ram naam jape kabira bhaya ram deedara
ram chunariya odh ke meera joganiya bani
usko kahe ki kami


ram rachaiya saare jag ka sabka jeevan data
wohi bandhu pran atma guru pita aur mata
unki shran mein lago bhaiya unsa koi nahi
phir to kahe ki kami

Jiske sir par haath ho tera 



Jiske sir par haanth ho tera woh kaise dukh paaye
atal bharosa ko tera jag bairi ho jaaye

teri raza mein razi hokar har kaaraj woh karta
jo tu deta khush hokar woh apne aanchal bharta
uthe sabere dhyan mein teri rain bhyi so jaaye

hoke sharan tumhari rehta man ki chinta tyagi
teri kripa prasadi pake man ab hua vairagi
moh maya ke bandhan toote
vandan tera gaaye
saanson ki mala par jaape nirmal naam tihara
bhav saagar ki lehar lehar pe ab tuhi sahara
sharan pade ki rakhsa karne tune haath badhaye

le le tera naam hari 


le le tera naam hari jeevan bita jaaye
sukh de chahe dukh de chahe sabko gale
dor hai tere haath mein bhagwan tu sab karne wala
tu jo chahe ho ga wohi kya hai jor humara
hum hain tere khilone chahe jahan nachaye
chahe rank bana de humko bhiksha ko tarsa de
raajmahal singhasana de de angin sukh barsa de
tere diye roop pehan kar apna dharam nibhaaye
man mein bhaav jage seva ka nirmal karam ho mera
prem preeti se is jeevan ka beete sham savera
sharan tihari ho ke jag mein jeevan sukhi bannaye


Man maila aur tan ko dhoye


Man maila aur tan ko dhoye
phool ko chahe kante boye

kare dikhava bhakti ka tu ujli odhe chadariya
bhitar se man saaf kiya na bahar manje gagariya
parmeshwar nit dwar pe aaya tu bhola raha soye

kabhi na man mandir mein tune prem ki jyot jalayi
sukh paane tu dar dar bhatke janam hua dukhdayi
ab bhi naam sumir le hari ka janam vritha kyu khoye

swanson  ka anmol khajana din din lutata jaye
moti lene aaya tat pe seep se man behlaaye
saancha sukh to paye sharan prabhu ki hoye

Naam ka deep jala le 



Naam ka deep jala le andhera
pal bhar mein mit jaaye
jis jyoti se jag ujiyara
woh hai ishwar pran piyara
usme manwa rama le
satsangat se lau lag jati
man ko bana le prem ki bati
gyan ki jyot jalale andhera pal bhar ....
bhajan se gunje man ka mandir
surat samadhi lag jaye phir
sharan hoye aajma le andhera pal bhar mein ...

Nis din namoon ganapati



Nis din namoon ganapati charan
ganapati charan jag dukh haran

santaap sab man ke haren
mangal sada ganapati karen


man kar raha pratah smaran

baL BUDDHI KE TUM DEVATA
BHAR BHAKTI HIDAYA SEVATA
SHANKAR SUVAN TAARAN TARAN

TUMHARI KRIPA BEANT HAI
DENON PE TU DAYAVANT HAI
HUM AA GAYEN TERI SHARAN 

Prabhu hum pe kripa


Prabhu hum pe kripa karna, Prabhu hum pe daya karna.
Baikunth to yahi hai. Hirday mein raha karna.

Goonjenge raag bankar, veena ki taar banke.
Pragatoge Nath mere, hriday mein Pyar banke.
Har ragini ki dhun par, Swar bankar utha karna.

Nachenge mor bankar, hey Shyam Tere dware.
Ghanshyam chhaye rahna, bankar ke megh kaare.
Amrit ki dhar bankar, pyaason pe daya karna.

Tere viyog mein hum, din raat hain udasi.
Apni sharan mein le lo, hey Nath Braj ke waasi.
Tum so hum shabd bankar, prano mein rama karna.

Ram ji ke naam ne to pathar


Ram ji ke naam ne to pathar bhi taaren
jo na japen ram woh hain kismat ke maare

ram ji ke naam ko shiv ji ne dhyaya
tulsi ne ram ji pe sarvas lutaya
kabira bhajan kar bhaye matware
ram naam amrit hai ram naam chandan
ram naam dev jape sant karen vandan
mahavir ram naam hirdaya mein dharen
ram ram ram japo ram hi dhiyayo
ram naam prem jyot ghar ghar jagaao
unhi ki sharan aa pal na gavaayen

Sai teri yaad


Sai teri yaad maha sukhdai
Ek tuhi rakhwala jag mein,tuhi sada sahai .
Tujhko bhula jag dukhiyara , sumiran bin man mein andhiyara
Hoon charnan sharanaai ..
Sanchi preet tihari data , tere bin sab jhuta nata
Tune kripa barasai …


Shiv Bhola bhandari

Listen to shiv bhola bhandari

Lyrics -

Shiv bhola bhandari hey teri sharan 
sweekaro naman sweekaro naman sweekaro hey mera naman 

damru bajane wala hai deva gauri ka 
bigadi banane wala hai 


Shree radhey govinda

Listen to shree radhey govinda

Lyrics -

shree radhey govinda, man bhaj le hari ka pyara naam hai 
gopala hari ka pyara naam hai, nandlala hari ka pyara naam hai 

mor mukut sir dalban mala kesar tilak lagayre 
vrindaban ki kunj galin mein sabko naach nachaye 

giridhar nagar kehti meera sur ko shyamal bhaya 
tukaram aur naam dev ne vitthal vitthal gaya 

narsi ne kartaal baja ke sanwariya ko rijhaya 
shabari apne hanthon se prabhu ko ber khilaya 

radha shakti bina na koi shyamal darshan paaye 
aaradhan kar radhey radhey kanha bhage aaye 

simran ka ras jisko aaya wo hi jaane man mein
nirakaar sakaar hot re bhagaton ke aangan mein 

shyam salona kunj bihari natwar leela dhari 
antarwasi hare  avinasi lage sharan tihari 

Tere dar ko chhod ke (so beautiful song)

Listen to tere dar ko chhod ke

Lyrics -

ter dar ko chhod ke kis dar jaun main 
sunta meri kaun hai kise sunaun main 

dekh liya jag saara maine tere jaisa meet nahi 
data tere jaisa meet nahi 
tere jaisa sabal sahara teri jaisi preet nahi 
kin shabdon mein aap ki mahima gaun main

mere paap karam hi tujhse preet na karne dete hain 
data preet na karne dete hai 
kabhi jo chahun miloon aapse rok mujhe woh lete hai 
kaise swami aap ke darshan paaun main 

apne path par aap chaloon main mujhme itna gyan nahi 
hoon mati mand nain ka andha bhala bura pehchan nahi 
haanth pakad ke le chalo thokar khaun main  

Tere dware khada aan mili

Listen to tere dware khada

Lyrics -

tere dware khada aan milo mere sai
mere man nein yeh aas lagayi 

lagi lagan meri tum hi so jag ki preet bhulayi
teerath dham anek chhane koi khabar nahi payi 

man mandir mein aan birajo bhagati sej bichhayi
bin darshan yh bujh na jaaye prem ki jyot jalayi

aaradhan mera sweekaro lelo nij sharnayi 
hey karunamaya kirpa kije dware jholi phailayi

dukhiyon ke dukh harne wale mori sudh bisrai kyun 

tum bin mero kaun hai data sharan pade ka sahayi 

Vinay meri sun lijiye

Listen to vinay meri sun lijiye

Lyrics -

Vinay meri sun lijiye hey hari jagadadhaar 
aaraadhan nis din karoon kar lena sweekaar

Chadar maili manwa maila 

Listen to chadar maili manwa maila

Lyrics -




chadar maili manwa maila, kis vidhi milna hoye 
kaise jaun dwar hari ke, ,jatan batawo koye 

main nahi jaanu puja archa gyan dhyan nahi jaanu
apna apa janu nahi prabhu kaise pehchanu 
pana chahun amrit phal main kante pag pag boye 

maarag hari ka nirmal nirmal pawan hari ka dwara 
sumiran hari ka premal premal pawan shabd vichara
jag maaya virtha is path mein woh pave jo khoye 

meri antar vinati sun lo parmeshwar sukhdayi 
is mithya sansaar mein mera tum bin kaun sahayi
ab to sharan tihari aaya honi hoye so hoye 













































0 comments:

Post a Comment