Friday 6 January 2012

Archana bhajans by Om Vyas ji

Archana Bhajans By Om Vyas Ji 





Sita Ram Sita Ram kahiye

Listen to Sita Ram Sita Ram

Lyrics-

sita ram sita ram sita ram kahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

mukh mein ho ram naam ram seva haanth mein
tu akela nahi pyare ram tere saath mein
vidhi ka vidhan jaan haani laabh sahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

kiya abhiman to phir maan nahi paayega
hoga pyare wohi jo shreeram ji ko bhayega
phal aasha tyaag subh karm karte rahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

zindagi ki dor saup haanth deenanath ke
mahalon mein rakhe chahe jhopadi mein vaas de
dhanyavad nirvivad ram ram kahiye
jahi vidhi rakhe ram tahi vidhi rahiye

aasha ek ram ji se duji asha chhod de
naata ek ram ji se duja naata tod de
sadhu sang ram rang ang ang rangiye
kaam ras tyaag pyare ram ras pagiye

Itna to karna swami

Listen to itna to karna swami

Lyrics-

Itna to karna swami jab pran tan se nikale
govind naam lekar phir pran tan se nikale
shree ganga ji ka tat ho yamuna ka bansiwat ho
mere saanwara nikat ho jab pran tan se nikale
sree vrindavan ka sthal ho mere mukh mein tulsi dal ho
Vishnu charan ka jal ho jab pran tan se nikale
sir sohana mukut ho , mukhade pe kali lat ho
yahi dhyan mere ghat ho jab pran tan se nikale
jab pran kanth aave koi rog na sataye
yam daras na dikhave jab pran tan se nikale
mera pran nikale sukh se tera naam nikale mukh se
bach jaaun ghor dukh se jab pran tan se nikale

Bhagwaan meri naiya

Listen to bhagwaan meri naiya

Lyrics -

Bhagwaan meri naiya us paar laga dena
ab tak to nibhaya hai aage bhi nibha dena

dal bal ke saath maaya ghere jo mujhko aa kar
tum dekhte na rehna jhat aa ke bacha lena

sambhav hai jhanjhato mein main tumko bhool jaun
par nath kahin tum bhi mujhko na bhula dena

tum dev main pujari tum isht main upasak
yah baat agar sach hai sach kar ke dikha dena

Ab saup diya is jeevan ka

Listen to ab saup diya is jeevan ka

Lyrics -

Ab saup diya is jeevan ka sab bhaar tumhare haathon mein
hai jeet tumhaare haathon main aur haar tumhare haathon mein

Mera nischai bas ek yahi ik baar tumhe paa jaaun main
arpan kar doon duniya bhar ka sab bhaar tumhaare haathon mein

Yadi maanav ka mujhe janma mile to prabhu charano ka pujaare raho
mujh poojak ki ik rag rag ka ho taar tumhaare haatho main

Jab jab sansaar ka kaidi banu nishkaam bhav se karma karun
mere sab gun dosh samarpit ho sarkaar tumhaare haatho main

Mujhme tujhme hai bhed yahi main nar hoon tum narayan hai
main hoon sansaar ke haatho main sansaar tumhaare haatho main

Hey nath ab to aisi daya ho

Listen to hey nath ab to

Lyrics -

Hey nath ab to aisi daya ho jeevan nirarthak jaane na paaye
ye man na jaane kya kya karaye kuchh ban na paya apne banaye

sansaar mein hi asakta rah kar din raat apni matlab ki keh ke
sukh ke liye lakhon dukh sah kar yeh din na bite yun hi bitaye

aisa jaga do phir so na jaaun
apne ko nishkaam premi banaun
main aap ko chahun aur paaun
sansaar ka bhaya rah kuchh na jaaye

hai yogyata do satkarma kar loon
apne hridaya mein sad bhav bhar loon
nar tan hai shadhan bhav sindhu tar loon
aisa samaya phir aaye na aaye

hey nath mujhe nirbhimani bana do
tareef har lo daani bana do
anand maya bhi gyani bana do
main hoon tumhari asha lagaye

Maine mehandi rachayi

Listen to maine mehandi lagayi

Lyrics -

Maine mehandi rachayi re krishna naam ki
maine bindiya sajayi re krishna naam ki
krishna naam ki re gopal naam ki

mere nainon mein gokul vrindavan
mere pranon mein mohan man bhavan
mere hoton pe krishna mere hirdaya mein krishna
maine jyoti jalayi re krishna naam ki

ab chaya hai krishna mere ang ang mein
mera tan man ranga hai usi ke rang mein
mera preetam hai krishna mera jeevan hai krishna
maine mala banayi re krishna naam ki

Kisse bandhu bair jagat mein

Listen to kisse bandhu bair

Lyrics -

kisse bandhu bair jagat mein koi nahi paraya
har maanava mein pratibimbit hai usi brahma ki chhaya

jaise mala ke manko mein keval ank piroya
usi bhanti prati vyakti mein wohi ish hai soya
deen daridro mein muskaya dhaniyo mein we roya
usne paya jisne apne dambh darp ko khoya
jagdeeshawar ko pyar karan se use na bhayi kaya

prem malaya sheetalata deta vair badhata taap re
prem sada aashish bantata vair sada abhishaap re
prem nadi ki mand dhar hai vair marushtal andhi
prem mand muskaan pradata vair aati aur vyadhi
vair choosata rakt prem karta hai use savaya

kiski hui aaj tak bolo saam daam dam bharti
aanhken minjate hi bhai padi rahi hai dharti
yahi vastu hai jeevon ka nit bandhan hai karti
phir swarth bada albela jag bhi inpare marti
sab jag to phas jata hai durgam kaisi maya

Priya prannath manmohan sundar

Listen to priya prannath manmohan sundar

Lyrics -

priya prannath manmohan sundar nyare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nyare

ghanshyam gop gopipati gokulrai
nij premi jana hit nit nit nav sukhdayi
vrindavan rakshkak braj sarvas bal bhayi
pranann te pyare priyatam meet kanhayi
shree radha naayak yasuda nand dulare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nayre

ab darshan bin tan rom rom dukh paage
tab sumiran bin yah jeevan vish sam laage
tumhare sanyog bin tab viyog dukh dage
atulat pran sang kathin madan man lage
mam dukhi jeevan ke tum hi ek rakhware
chhin ho mati mere hohun gagan ke nyare

tum hi man jeevan ke avalamb kanhayi
tum bin sab sukh ke kaaj param dukhdayi
tum dekhe hi sukh hot na aur upayi
tumhare bin sab jag suno padat latayi
hey jeevan dhan mere naino ke taare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nyare

tumhare bin ek chhin koti kalp sam bhari
tumhare bin swargahu maha narak dukhdayi
tumhare sang banahu ghar so badhi banvari
humare to sab kuchh tum hi ho giridhari
harischand humare rakho maan dulare
chhin ho mati mere hohu gagan ke nyare

0 comments:

Post a Comment