Sunday 8 January 2012

Bhajanarpan 





Raghuvar tumko meri laaj

listen to Raghuvar tumko meri laaj

Lyrics-

Raghuvar tumko meri laaj
Sada sada main sharan tihari , tum ho garibnivaz .
Patit udharan virad tiharo sravanan suni awaaz
Hou to patit puratan kahiye paar utaro jahaz
Agh khandan dukh bhanjan jan ke , yahi tiharo kaaj
Tulsidas par kirpa kije bhakti daan dehu aaj .

Ram hain mahan

listen to Ram hain mahan by Lata mangeshkar

Lyrics-

Ram hain mahan Ram naam hai mahan
Ram ke siva na koi Ram ke saman

Data mere haal par na mujhko chhodiye
Suniye meri vinati mujhse muh na modiye
Aa bani hai jaan par na bano naadan

Haar kar pukarta hai dil ye baar baar
Saans lena bhi hua hai mere liye bhaar
Ramlijiye na mera aur imtihaan

Raam mujhko daas apna maan lijiye
lijiye sharan mein ram dhyan dijiye
jeeva ke hain jeeva aap pran ke hain pran

Om jai jagdeesh hare

listen to Om jai jagdeesh hare by Lata mangeshkar

Lyrics-

Om jai jagdeesha hare swami jai jagdeesh hare
Bhakt jano ke sankat das jano ke sankat Kshana mein door karen

Jodhyave phal pave dukh binase man ka
Sukh sampati ghar aave kasta mite tan ka

Maat pita tum mere sharan gahun main kiski
tum bin aur na dooja aas karoon main jiski

tum puran parmatma tum antaryami
paar brahma parmeshwar tum sabke swami

tum karuna ke sagar tum palankarta
main moorakh khal kami kripa karo bharta

tum ho ek agochar sabke pranpati
kis bidhi milun dayamaya tumko main kumati

deen bandhu dukh harta tum rakshak mere
apne haanth uthao dwar pada tere

vishaya vikar mitao paap haro deva
shraddha bhakti badhao santan ki seva

Hari aao hari aao

listen to Hari aao

Lyrics-

Hari aao hari aao hari aao
Kahan der kari mujhe jaldi padi

meri bujhti jyot jalao
mere man ki aas bandhao

Maat dewaki ke hitkari
naari aiahilya tumne tari
phir tum bhool gayen yeh kaise
aakhir main bhi hoon ek naari
aaj ek albla ke karan
phir se apni shakti dikhao
meri lootati laaj bachao

behne lagi hain tez hawayein aaj
uthne lagi ghanghor ghataayen aaj
daso dishaaon se takra kar
laut rahin hain meri duwayen
jaao hari jaao jitni raah chale ho ab tak
utna piche vapas jaao
ruk jaao ruk jaao hari ruk jaao
ruk jaao ruk jao hari mat aao

Thumak thumak chale

listen to thumak thumak

Lyrics-

Thumaka thumaka paga dumak kunj madhu
chapala charana hari aaye ho

aaye re mere praan lubhaavan aaye
aaye re mere nain lubhaavan aaye
hari aao, hari aao

nimiki jhimiki jhimi nimiki jhimiki jhimi
nartana pad pinj aaye ho
aaye re mere...

amala kamala kara murali madhur dhara
bansi bajaavan aaye ho, aaye re mere

mose mora shyam rootha

listen to mose mera shyam rootha

Lyrics-

govind bolo hari gopaal bolo
radha-raman hari gopaal bolo
govind bolo hari gopaal bolo
jay-jay shyam radheshyam

mose mora shyam rootha
kaahen mora bhaag phoota
kaahen maine paap dhoe
ansuvan beej boe
chhup chhup meera roe
dard na jaane choe

vish ka pyaala peena pada hai
marakar bhi mohe jeena pada hai
nain milaaye giradhar se
gir gai jo apani hi nazar se
ro ro naina khoe

0 comments:

Post a Comment